Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    nice

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Soocha nahi accha bura, dekha suna kuch bhi nahi,
      manga khuda sey raat din, terey siwa kuch bhi nahi

      Jis per hamari ankh ney, mooti bichaye raat bhar,
      bheja wohi kaaghaz usey, hum ney likha kuch bhi nahi

      Soocha tujhey, dekahaa tujhey, chaha tujhey, pooja tujhey,
      meri khata meri wafa, teri khata kuch bhi nahi

      Ik shaam ki dehleez par, baithey rahey woh dair tak,
      ankhoo sey ki baatey bahut, muh sey kaha kuch bhi nahi

      Ehsaas ki khushboo kaha, aawaz key jugnoo kaha,
      khamoosh yado key siwa, ghar mein raha kuch bhi nahi

      Do chaar din ki baat hai, dil khaak main mil jaye gaa,
      jab aag per kaaghaz rakha, baaqi bacha kuch bhi nahi

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Tumhain jab kabhi milain fursatain,mere dil se bojh utaar do
        Main bohat dino se uddas hon mujhay koi shaaam udhaar doo

        Mujhay apnay rooop ke dhoop do k chamak sakain meray khad-o-khal
        Mujhay apnay rungg main rungg du,meray saray zungg utaar dooo

        Kisi or ko meray haaal se na gharaz hai na koi wastaaa
        Main bikher gaya hon sameet lo, main biger gaya hon sanwar doo

        Mere wehshaton ko berha diya judaiyon kay azaaaaab nayy
        Mere dil pe haath rakho zara, meri dherkanoo ko qarar doo

        Tumhain subha kaisi lagi kaho,meri khwaishon kay dayar kee
        Jo bhali lagi to yahen rahoo , isay chahaton se nikhaar dooo

        Wahan gher main kon hai muntazir kay fiker ho dair sawair kee
        Bari mukhtasir si yey raaat hai isay chandniii main guzaar doo

        Koi baaat kerni hai chaand say kisi shaakhsaar kee ooot main
        Mujhay raastay main yahen kahen kisi kunj-e-gull main utaar dooo !!

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          2no achi hen

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Mujhey Aaram Karney Do, Mujhey Abb Mat Sataao Tum
            Thakan Sadiyon Ki Hai Mujh Ko, Mujhey Abb Mat Jagaao Tum

            Mairi Khamosh Aankhon Say, Koi Qissa Na Kehna Tum
            Mairey Khwaabon Mein Sehra Hain, Mujhey Abb Mat Rulaao Tum

            Dukhon Ki Ikk Kahani Thi, Ussi Ka Aakhri Hissa
            Bohat Arsey Say Jaari Tha, Ussey Abb Mat Dohraao Tum

            Mairey Viraan Kamrey Mein, Teri Tasveer Abb Bhi Hai
            Ye Abb Kamrey Ka Hissa Hai, Issey Abb Mat Hataao Tum

            Mairey Jaaney Ki Baaton Per, Kabhi Woh Hansta Rehta Tha
            Mairey Jaaney Ki Raaton Mein, Ussey Abb Mat Hansaao Tum

            Tumhaari Diary Ke Aakhri Auraaq Mein Main Tha
            Safhey Yoon To Na Phaarro Tum, Mujhey Yoon Na Mitaao Tum

            Kahin Sehra, Kahin Saahil, Kabhi Mitti, Kabhi Paani
            Mujhey Jo Cheezein Bakhseen Thi, Ussi Say Ghar Banaao Tum

            Wahin Per Hoon, Main Waisa Hoon, Abb Aaey Ho To Ruk Jaana
            Thakan Ki Dastaan Apni, Mujhey Abb Mat Sunaao Tum

            Bohat Mushkil Say Sambhla Hai, Ikk Arsey Baad Abb 'Bilal'
            Lo Abb Ye Jaam Ulta Do, Issey Abb Mat Pilaao Tum !

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              again achi ha

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Teri Yaad
                Yuun Dubby Paon
                Meri Tanhai Main
                Mery Dil main
                Yuun Chali Ati Hai Khamoshi Se
                Jase Ik Raat Ka Khawab Ho Koi
                Be Khaber Neend Se Jagati Hai
                Main Usey Dhondhi Hi Rehti Hoon
                Wo Kahan Hai
                Wo Kon Hai
                Wo Koi Aur Nahi
                Ik Khawab Hai Mera!!

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Musaffir K Rasstey Badltey Rahey
                  Muqader Main Chalna Tha Chaltey Rahey

                  Koi Phool Sa Haath Kandhey Pay Tha
                  Meray Paaon Sholon Pay Chaltey Rahey

                  Main Rasttey Main Uljha Raha
                  Diyey Uski Rahoon Main Jaltey Rahey

                  Woh Kiya Tha Jissey Hum Ney Thukra Diya
                  Mager Umer Bher Haath Maltey Rahey

                  Mohabbat,Adavar, Wafa,Bayrukhi
                  Kiraye K Gher Thay Badltey Rahey

                  Suna Hai Unhin Bhi Hawa Lug Gai Hai
                  Hawaon K Jo Rukh Badlatey Rahey

                  Lipat K Chiraghoon Sey Hum So Gaey
                  Hum To Pholon Main Carvan Badltey Rahey

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    nice musaadaq

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Koi dost hai na Raqeeb hai
                      Tera Shehar bhi kitna ajeeb hai

                      Woh ishq tha,woh junoon tha
                      Yeh jo hijr hai, yeh Nseeb hai

                      Main kiss se kahoon mera sath chal
                      Yahan sab keh ser per saleeb hai

                      Yahan kiss ka chehra perha karoon
                      Mere kon itna kareeb hai

                      Gila karain to kiss se karain
                      Jo ho gaya woh naseeb hia

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Falsafa-e-Ishq Mein Paish Aaye Sawaalon Ki Tarah
                        Hum Pareshaan Hi Rahey Apney Khayalon Ki Tarah

                        Sheesha-gar Baithey Rahey Zikr-e-Maseeha Ley Ker
                        Aur Ham Toot Gaye Kaanch Ke Pyaalon ki tarah

                        Jab Bhi Anjaam-e-Muhabbat Ne Pukaara Khud Ko
                        Waqt Ne Paish Kiya Hum Ko Misaalon Ki Tarah

                        Zikr Jab Ho Ga Mohabbat Mein Tabahi Ka Kahin

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          musaddaq bhai i am visiting here for the first time..... i have read your poetry choice over and over again, n it is simply beautiful...... your choice is inspirational, intense and powerful..... n thank you so much for sharing yourself with us........ :)

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Originally posted by raafi View Post
                            musaddaq bhai i am visiting here for the first time..... i have read your poetry choice over and over again, n it is simply beautiful...... your choice is inspirational, intense and powerful..... n thank you so much for sharing yourself with us........ :)
                            Thanks dear for such nice comments

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Ek tere na honay say
                              yun tu kuch nahi hota


                              Pholl phir bhi khiltay hain
                              Chadni tu Angan mai aj bhi utarti hay


                              mai b yun tu zinda hon
                              or mere sans ki door bhi chalti hay


                              Rooz o shab guzartay hain
                              Omer dhalti rehti hay


                              Ek tere na honay say
                              yun tu kuch nahi hota


                              Ek kami si rehti hay
                              Ankh kay kinaroo per

                              Ek nami si rehti hay

                              Ek tere na honay say

                              Yun tu kuch nahi hota


                              Tishnagi si rehti hay
                              Tishnagi si rehti hay

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                buhat khoob Musaddaq ..kush reh..:rose

                                Comment

                                Working...
                                X