Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Originally posted by aquari View Post
    awesome..:clap:
    us shaks ko kuch bhi likh daloo ..mager shayed hi koi lafz aisa baan hoo jo sahi us ki zaat ki tashree kr sakeyy!....or yeh lafz na milna hi huamrey lya saza ban jata haii
    :thmbup::thmbup::thmbup:
    batoo ka jadoooooooooooo

    sigpic

    Comment


    • Re: Kabhi Yuh Bhi Aa Meri Aankh Mein

      Originally posted by musaddaq View Post
      CHAMAKTE CHAAND KO TOOTA HUA TAARA BANA DAALA


      MERI AAWARGI NE MUJHKO AAWAARA BANA DAALA
      BARA DILKASH BARA RANGEEN HAI YEH SHAHER KAHETE HAIN
      YAHAN PAR HAIN HAZAARON GHAR GHARON MAIN LAUG RAHETE HAIN
      MUJHE IS SHAHER NE GALION KA BANJAARA BANA DAALA
      CHAMAKTE CHAAND KO TOOTA HUA TAARA BANA DAALA
      MAIN IS DUNIYA KO AKSAR DEKH KAR HERAAN HOTA HOON
      NA MUJHSE BAN SAKA JHONKA SA HAR DIN RAAT ROTA HOON
      KHUDAYEA TUNE KAISE YEH JAHAN SAARA BANA DAALA
      CHAMAKTE CHAAND KO TOOTA HUA TAARA BANA DAALA
      MERE MAALIK MERA DIL KION TARAPTA HAI SULAGTA HAI
      TERI MARZI TERI MARZI PE KIS KA ZOR CHALTA HAI
      KISI KO GUL KISI KO TUNE ANGAARA BANA DAALA
      CHAMAKTE CHAAND KO TOOTA HUA TAARA BANA DAALA
      YEH HI AAGHAAZ THA MERA YEH HI ANJAAM HONA THA
      MUJHE BARBAAD HONA THA MUJHE NAKAAM HONA THA
      MUJHE TAQDEER NE TAQDEER KA MAARA BANA DAALA
      CHAMAKTE CHAAND KO TOOTA HUA TAARA BANA DAALA
      MERI AAWARGI NE MUJHKO AWARA BANA DAALA

      CHAMAKTE CHAAND KO TOOTA HUA TAARA BANA DAALA
      very nice poetry:rose
      bohat acha likhty hain app
      waisy batoon say nahi lgta k yeh sab app nay he likha hay:khi:
      Originally posted by musaddaq View Post
      Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
      woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya
      kuch din to mera aks raha ayeena naqsh
      phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya
      jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
      to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya
      kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
      us nay churaaya haath to sehra badal gaya
      koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
      jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya
      ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal
      wo be niaaz saara ka saara badal gaya
      uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
      parda utha to saara tamaasha badal gaya
      hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
      baaton main apni baat ko kaisay badal gaya
      kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
      ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya
      shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
      manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya
      qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
      tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya
      manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
      jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya
      andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
      us no bahaar naaz ka chehra badal gaya
      aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
      woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee
      apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
      amjad yeh kon shehar ka naqsha badal gaya
      so nice bohat khobsoorati say app bdal gay hain:hehe:
      very beautiful sharing:rose

      Originally posted by musaddaq View Post
      Tujhay kya khabar
      teri
      yaad nay
      mujhay kaisay kaisay
      sata
      dia

      Kabhi khalwaton
      mai hansa
      dia
      kabhi mehfilon mai
      rula dia

      Tere ishq mai kabhi
      youn
      hoa k
      namaz apni qaza hoi

      Teri aarzoo nay
      kabhi kabhi
      mujhay mere
      rab say mila diya
      very nice
      simple
      short but so beautiful
      keep it up


      Originally posted by musaddaq View Post
      Tumhain jana'an ijazat hay .......!


      k inn tareek rahoon per
      thakan si khud main paao to
      andheroon say kabhi dil dool jaaay
      thak si jaao to
      meray jaltay lamhoon
      meray kangal hathon say churakay apnay hathon ko
      fiza ki naghmagi say tum na'ay geeton ko chun laina
      haseen palkoon ki nokon per na'ay kuch khuwab bun laina
      koi gar puch lay mera to us say zikr mat karna
      meray jiwan ki jalti dupahar say baygarz hokar
      tum apni chandni ratoon main jugnoo palti rehna
      meri thanhayon ki wehshaton ki fiqr mat karna
      tumhain ess ki ijazat hay
      meray sub khat jala daina
      meray tuhfoon ko darya main bahana ya dabadaina
      meri her yaad ko dil say khurchna aur mitta dena
      tumhain bilkul ijazat hay
      mugar itni guzarish hay
      agar aisa na ho jana'an

      too acha hay .......
      ab to smajh main bhi nahi aa rha k kia likhti jaoon.:khi:
      really app ke poetry itni achi hay k mera dil to kr rha hay k hr aik poem ,ghazal,qitta or jo kuch bhi hr aik pr comments doon lakin smajh main he nahi aa rha k likhon kia:tauba
      so nice poetry



      Originally posted by musaddaq View Post
      Kabhi Yuh Bhi Aa Meri Aankh Mein,
      Originally posted by musaddaq View Post

      Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho,
      Mujhe Ek Raat Nawaz De,
      Magar Us Ke Baad Saher Na Ho,
      Who Bada Nahi Who Karim Hai,
      Mujhe Yeh Shifat Bhi Ata Kare,
      Tujhe Bhoolne Ki Dua Karo,
      To Dua Mein Meri Asar Na Ho,
      Kabhi Din Dhoop Mein Zhum Ke,
      Kabhi Shab Ke Phool Ko Chum Ke,
      Yuh Hi Saath Saath Chale Sada,
      Kabhi Khatm Aapna Safar Na Ho,
      Mere Paas Mere Habib Aa,
      Jara Aur Dil Ke Karib Aa,
      Tujhe Dhadhkano Me Basa Lu Mein,
      Ke Bichadne Ka Kabhi Daar Na Ho
      this is 2 good:eye:
      keep it up:thmbup:
      b happy:rose

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Kash hum bezubaan hote,
        Naa phir gham yun bayaan hote !!

        Kash naa hoti zindagi ki samajh,
        Naa phir yun afsaane jawaan hote !!

        Kash naa khwahish hoti kuch paane ki,
        Naa phir kuch khone k gham yahan hote !!

        Gar tod jaata koi ashiyaaN humara,
        Fir bhi khoobsurat saare samaan hote !!

        Lut Jaati gar Roshni-e-zindagi,
        phir bhi andhere naa yahan hote !!

        Toot-te hue bhi be-shubhaah hote !
        Kash hum bezubaan hote !!
        Kash hum bezubaan hote !!

        Comment


        • Re: Kabhi Yuh Bhi Aa Meri Aankh Mein

          Originally posted by jia View Post
          very nice poetry:rose
          bohat acha likhty hain app
          waisy batoon say nahi lgta k yeh sab app nay he likha hay:khi:

          so nice bohat khobsoorati say app bdal gay hain:hehe:
          very beautiful sharing:rose


          very nice
          simple
          short but so beautiful
          keep it up



          ab to smajh main bhi nahi aa rha k kia likhti jaoon.:khi:
          really app ke poetry itni achi hay k mera dil to kr rha hay k hr aik poem ,ghazal,qitta or jo kuch bhi hr aik pr comments doon lakin smajh main he nahi aa rha k likhon kia:tauba
          so nice poetry






          this is 2 good:eye:

          keep it up:thmbup:
          b happy:rose
          :salam:

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            [

            Kash hum bezubaan hote,

            Naa phir gham yun bayaan hote !!


            ghamoo ko zuban bayan na bhi karey mager ankhain tu ankhain apney under hi sub kuch bayan krdeti hainn...


            Kash naa hoti zindagi ki samajh,

            Naa phir yun afsaane jawaan hote !!
            sahi kaha zindagi ko na hi samjhoo tu behter haii kunk is ko samjh leney k bad jo dukh milta hai us sey behter tu hum anjan hi thek hain


            Kash naa khwahish hoti kuch paane ki,

            Naa phir kuch khone k gham yahan hote !!


            khuwaboo k dkehtey waqt waqai ahsas nahi rehtaa k in k tootney pr in ki kirchiyan chubhain gii....kash k bus main hoo k paney ki arzoo hi dil sey khatum hojayeee...


            Lut Jaati gar Roshni-e-zindagi,

            phir bhi andhere naa yahan hote !!


            roshini k khatum honey pr andhera tu phr muntazir hi khara hota haii naa!








            Toot-te hue bhi be-shubhaah hote !

            Kash hum bezubaan hote !!

            Kash hum bezubaan hote !!


            be-zubaan hum na hoteyhowey bhi kabhi kabhi zindagi main be zubaan hi ban jatey haii naa..!

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Jab Meraa Dil Toda Hoga
              Usne Kuch To Socha Hoga
              Meri Yaad To Aati Hogi
              Mera Naam To Leta Hogi
              Jis Ki Khaatir Hum Rote hein
              Wo Bhi Mujhko Roti Hogi
              Kyon Us Ka Dil maine Torda?
              Apne Dil Se Kehti Hogi
              Taktii Hogi meri Raahein
              Chaukhat Pe Wo Baithi Hogi
              Sote-Sote Raaton Ko Wo
              Har Aahat Pe Chaunki Hogi
              Na Main Ho Na Mere Khat Hai
              Dil Ko Apnay Jalati Hogi

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Originally posted by musaddaq View Post
                Jab Meraa Dil Toda Hoga

                Usne Kuch To Socha Hoga
                Meri Yaad To Aati Hogi
                Mera Naam To Leta Hogi
                Jis Ki Khaatir Hum Rote hein
                Wo Bhi Mujhko Roti Hogi
                Kyon Us Ka Dil maine Torda?
                Apne Dil Se Kehti Hogi
                Taktii Hogi meri Raahein
                Chaukhat Pe Wo Baithi Hogi
                Sote-Sote Raaton Ko Wo
                Har Aahat Pe Chaunki Hogi
                Na Main Ho Na Mere Khat Hai


                Dil Ko Apnay Jalati Hogi
                very nice:em:
                bohat acha likha hay app nay:clap:
                keep it up
                b happy:rose

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Originally posted by musaddaq View Post
                  Jab Meraa Dil Toda Hoga

                  Usne Kuch To Socha Hoga
                  Meri Yaad To Aati Hogi
                  Mera Naam To Leta Hogi
                  Jis Ki Khaatir Hum Rote hein
                  Wo Bhi Mujhko Roti Hogi
                  Kyon Us Ka Dil maine Torda?
                  Apne Dil Se Kehti Hogi
                  Taktii Hogi meri Raahein
                  Chaukhat Pe Wo Baithi Hogi
                  Sote-Sote Raaton Ko Wo
                  Har Aahat Pe Chaunki Hogi
                  Na Main Ho Na Mere Khat Hai


                  Dil Ko Apnay Jalati Hogi
                  Dil ko apney jalati hogi.....:clap:
                  no words to say anything about this line....

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Kabi Khud bhi Mere paas aa,
                    Meri Baat sun Mera Saath de

                    Jo Khalish hai Dil se Nikal ker,
                    Mujhe Uljhano se Nijaat de

                    Tujhe Sochna Mera Mashghala,
                    Tujhe Dekhna Meri Aarzoo

                    Mujhe Dil de apne Khayal ka,
                    Mujhe Qurb ki ek Raat de

                    Meri Zindagi Mere saath chal,
                    Mere Haath mai apna Haath de

                    Mujhe Ghum bhi Khushi se Qabool hain,
                    Jo Tu agar Mera Saath de

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Originally posted by musaddaq View Post
                      Kabi Khud bhi Mere paas aa,
                      Meri Baat sun Mera Saath de

                      Jo Khalish hai Dil se Nikal ker,
                      Mujhe Uljhano se Nijaat de

                      Tujhe Sochna Mera Mashghala,
                      Tujhe Dekhna Meri Aarzoo

                      Mujhe Dil de apne Khayal ka,
                      Mujhe Qurb ki ek Raat de

                      Meri Zindagi Mere saath chal,
                      Mere Haath mai apna Haath de

                      Mujhe Ghum bhi Khushi se Qabool hain,
                      Jo Tu agar Mera Saath de


                      mmmusaddaq bhai blush:
                      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Originally posted by musaddaq View Post
                        Jab Meraa Dil Toda Hoga

                        Usne Kuch To Socha Hoga
                        Meri Yaad To Aati Hogi
                        Mera Naam To Leta Hogi
                        Jis Ki Khaatir Hum Rote hein
                        Wo Bhi Mujhko Roti Hogi
                        Kyon Us Ka Dil maine Torda?
                        Apne Dil Se Kehti Hogi
                        Taktii Hogi meri Raahein
                        Chaukhat Pe Wo Baithi Hogi
                        Sote-Sote Raaton Ko Wo
                        Har Aahat Pe Chaunki Hogi
                        Na Main Ho Na Mere Khat Hai


                        Dil Ko Apnay Jalati Hogi
                        nice :salam:
                        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Apas main kahin apne,sitare nahi milte,
                          jaise kisi dariya ke,kinare nahi milte.

                          nafrat ke tarazu main,na tolo unhe logo,
                          yeh pyar ke rishte hai,udhare nahi milte.

                          majbur kismat hai,ke unhi se hai talluk,
                          wo jinse meri soch ke,dhaare nahi milte.

                          manzil ki tamanna hai,to kar koshish musalsal,
                          kherat main to,chand _ sitare nahi milte

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Gham-e-Zindegi Ka Ya Rab Na Mila Koi Kinaara
                            Meri Fiqr-e-Beqaraan Ne Do Jaahaan Ko Chhan Maara

                            Meri Aarzoo Ko Bakhshi Teri Harr Nazar Ne Rafat
                            Usse Beqaraan Karegaa Mere Shauq Ka Sharaara

                            Main Kabhi Rawaan Dawaan Tha Kisi Dasht-e-Bekhudi Mein
                            Kisi Dour Ki Sadaa Ne Mujhe Pyaar Se Poukaara

                            Mera Zarf Ye Ki Lekar Gham-e-Beqaraan Main Choup Houn
                            Na Soukhan Se Raaz Paida Na Jabeen Se Aashqaara

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Guftugo Ke Lamhon Main
                              Dekh He Nahi Paatay
                              Ham Tumharay Chehray Ko
                              Tum Hamari Aankhon Ko
                              Aaj Aisa Kartay Hain
                              Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
                              Baat Chor Datay Hain

                              Jaane Kiya Lamha Hoga
                              Jab Ye Hath Hathon Say
                              Gar Kabhi Juda Hoga
                              Aaj Aisa Kartay Hain
                              Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
                              Hath Chor Datay Hain

                              Kash Koi Samjha Day
                              Loag Kis Tarah Dil Ki
                              Manzilain Alag Kar Kay
                              Saath Chor Datay Hain
                              Aaj Aisa Kartay Hain
                              Bey-sabab Bikhartay Hain
                              Zaat Taur Datay Hain...

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                so nice sharing musaddaq bhai :salam:
                                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                                Comment

                                Working...
                                X