Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    woh paani kee lehron pe kiya likh rehi thee,
    Khuda jaaney "harf e dua" likh rehi thee,

    likha jis nay nawal wafa ka adhoora,
    wohee "pyaar kee inteha" likh rehi thee,

    bhala kartay kartay guzaaree jawanii,
    magar phir bhe khud ko bura likh rehi thee,

    mohabbat main nafrat mili thee usay bhe,
    jo har shakhs ko "be wafa" likh rehi thee,

    zara us kee aankhon se aansoo na niklay,
    woh jis waqt lafz "saza" likh rehi thee,

    Namaz e Mohabbat main woh apnay,
    hoay thay jo sajday,"qaza" likh rehi thee ....

    Comment

    • Re: Musaddaq Ki Choice

      woh paani kee lehron pe kiya likh rehi thee,
      Khuda jaaney "harf e dua" likh rehi thee,
      bauht khoobsoorat ....
      harf-dua likha kahi bhi jayee pr qabool hojayee tu baat hai

      likha jis nay nawal wafa ka adhoora,
      wohee "pyaar kee inteha" likh rehi thee,
      wafa ki kahaniya adhori reh bhi jayain tuu bhi ishq ki inteha biyan krdeti hain

      bhala kartay kartay guzaaree jawanii,
      magar phir bhe khud ko bura likh rehi thee,
      tu haa na aksar hota hai k hum sub acha krtey hai phr bhi humarey saath hi bura hota haii tu gila tu aahi jata hai laboo pr

      mohabbat main nafrat mili thee usay bhe,
      jo har shakhs ko "be wafa" likh rehi thee,
      ek bar wafa ka jo silaa milta hai us k bad kabhi wafa pr yaqen krney ko dil jo nahi chahtaa

      zara us kee aankhon se aansoo na niklay,
      woh jis waqt lafz "saza" likh rehi thee,
      kabhi kabhi ghum is qadr had sey guzar jata hai k ansoo hi khushk hojatey hainn....hum na roo kr bhi apney app pr zulm hi krrahey hotey hainn

      Namaz e Mohabbat main woh apnay,
      hoay thay jo sajday,"qaza" likh rehi thee .

      unhi sajdoo ka roona tu ta umr reh jata hai k kash k qaza na kya hotey tu shayed ajr mil hi jata .....namaz-e-mohabat k un haazar sajdoo ka koi hisab nahi jo ada kya gaye us ki koi jaza nahi pr koi 1 ghaliti ya majboori sey jo qaza hogaaya us ki saaza foran dey di jati haii

      Comment

      • Re: Musaddaq Ki Choice

        mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kiya howa
        meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa

        meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi
        abhi roshni abhi teergi, na jala howa na bujha howa

        mujhe jo bhi dushman-e jaa.n mila, wohi pukhta kaar-e jafa mila
        na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata howa

        mujhe aap kiyu na samajh sake, kabhi apne dill sey bhi pocheye
        neri dastaan-e hayaat ka tu waraq waraq hay khula howa

        jo nazar bacha k guzar gay merey saamne sey abhi abhi
        ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa howa

        humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e kholoos hon
        na humarey paas naqaab hay, na kuch aastee.n main chupa howa

        merey aik gosha-e fik'r main, meri zindagi sey aziz tar
        mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa

        mujhe ik gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila
        kahee.n khoon-e dill sey likha howa, kahee.n ansoo.n sey mita howa

        mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha
        kai manziloo.n ka thaka howa, kahee.n raaste main luta howa

        humain apney ghar sey chaley howe, sar-e raah um'r guzar gaii
        koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa

        Comment

        • Re: Musaddaq Ki Choice

          mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kiya howa
          meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa
          Kabhi apna zabt kisi choti si baat pr bhi jawab dey jata haii ..or is trhaa hum sar-e-bazm kamzoor par jate hainn

          meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi
          abhi roshni abhi teergi, na jala howa na bujha howa
          zamaney ki hawa hi aisi haii na zindagi k chiragh ko bhujney deti haii na sahi sey jalna ka maza leny deti haii

          mujhe jo bhi dushman-e jaa.n mila, wohi pukhta kaar-e jafa mila
          na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata howa
          kuch loog kitney khush qismat hotey haii naa k ghalat nishana bhi lagaye phir bhi woh chukta nahi or kuch utney hi badnaseb k nishaney pr na hotey howey bhi nishana ban jatey hainn

          mujhe aap kiyu na samajh sake, kabhi apne dill sey bhi pocheye
          neri dastaan-e hayaat ka tu waraq waraq hay khula howa
          kuch loog khuli kitaboo k auraq ko parhna hi nahi chahteyy

          jo nazar bacha k guzar gay merey saamne sey abhi abhi
          ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa
          howa
          amooman janey waley hi nazarain chura kr guzar jaya krtey hainn

          humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e kholoos hon
          na humarey paas naqaab hay, na kuch aastee.n main chupa howa
          hum sarey farz poorey kr bhi lain phr bhi huq nahi miltaa humain

          merey aik gosha-e fik'r main, meri zindagi sey aziz tar
          mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa
          bauht sey loog aisey hotey hai jo kabhi miltey tu nahi pr juda bhi nahi hoteyy

          [QUOTE]
          mujhe ik gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila
          kahee.n khoon-e dill sey likha howa, kahee.n ansoo.n sey
          mita howa
          [QUOTE]

          aisey khatoo ki taqdeer main durst patey pr poochna likha hi nahi hotaa

          mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha
          kai manziloo.n ka thaka howa, kahee.n raaste main luta howa

          thori badnasebi tu hai yeh mager acha hai naa woh humsafar zayda achaa hogaa kunk khoob nibhaye gi jub mil bethaingey dewaney 2

          humain apney ghar sey chaley howe, sar-e raah um'r guzar gaii
          koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa

          musafat kitni bhi tey kr loo pr zarori nahi k is safar ka hasil bhi kuch hoo ...amoman zeest k safar rayega hi jatey hain

          Comment

          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Dard-e-gham ka mausam jab aata hai,
            Muskurahaton se bhi dard chalkata hai,

            Lahu ke ashq bhi behte hain,
            Saason me toofan sa uthata hai,

            Dard-e-gham ka mausam jab aata hai,
            Unke saath guzra har lamha yaad aata hai,

            Jo hum fana hue to koi azooba nahi,
            Ye to aksar aashiqi me dekha jata hai,

            Meri maut ka gham na karna mere chahne walon,
            Ye Dard-e-gham hume saath liye jaata hai.....
            Last edited by musaddaq; 18 June 2007, 11:17.

            Comment

            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Meri maut ka gham na karna mere chahne walon,
              Ye Dard-e-gham hume saath liye jaata hai.....
              bauht khoob

              Comment

              • Re: Musaddaq Ki Choice

                shikway bhi hazaron hain shikayatain bhi bohat hain
                is di ko magar us se mohabbat bhi bohat hai

                ajata hai milne tassawar mai sar-e-sham
                ik shakhs ki itni si inayat bhi boaht hai

                yeh bhi tamana hai k use dil se bhula dain
                is dil ko magar uski zarurat bhi bohat hai

                Comment

                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Originally posted by musaddaq View Post
                  woh paani kee lehron pe kiya likh rehi thee,
                  Khuda jaaney "harf e dua" likh rehi thee,

                  likha jis nay nawal wafa ka adhoora,
                  wohee "pyaar kee inteha" likh rehi thee,

                  bhala kartay kartay guzaaree jawanii,
                  magar phir bhe khud ko bura likh rehi thee,

                  mohabbat main nafrat mili thee usay bhe,
                  jo har shakhs ko "be wafa" likh rehi thee,

                  zara us kee aankhon se aansoo na niklay,
                  woh jis waqt lafz "saza" likh rehi thee,

                  Namaz e Mohabbat main woh apnay,
                  hoay thay jo sajday,"qaza" likh rehi thee ....
                  too good g:rose

                  very nice:phool:
                  chak day phatty
                  Gham To Likha So Likha Taqdeer ny Meri Zindagi Main

                  Ye Raton Ko Der Tk Neend Na Ana Kis Gunaah Ki Saza Hai

                  Comment

                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Originally posted by musaddaq View Post
                    shikway bhi hazaron hain shikayatain bhi bohat hain
                    is di ko magar us se mohabbat bhi bohat hai

                    ajata hai milne tassawar mai sar-e-sham
                    ik shakhs ki itni si inayat bhi boaht hai

                    yeh bhi tamana hai k use dil se bhula dain
                    is dil ko magar uski zarurat bhi bohat hai
                    aap to kamal k shair hain:thmbup: very nice:rose
                    keep it up:rose
                    Gham To Likha So Likha Taqdeer ny Meri Zindagi Main

                    Ye Raton Ko Der Tk Neend Na Ana Kis Gunaah Ki Saza Hai

                    Comment

                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Originally posted by musaddaq View Post
                      shikway bhi hazaron hain shikayatain bhi bohat hain
                      is di ko magar us se mohabbat bhi bohat hai

                      ajata hai milne tassawar mai sar-e-sham
                      ik shakhs ki itni si inayat bhi boaht hai

                      yeh bhi tamana hai k use dil se bhula dain
                      is dil ko magar uski zarurat bhi bohat hai
                      bauht khoobsoorat

                      Comment

                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        tumhain jab kabhi milain fursatain mera dil se bojh utaar do
                        main bohat dinoon se udaas hoon mujhe koi sham udhaar do
                        mujhe apne roop ki dhoop do keh chamak sakain mera khado-khaal
                        mujhe apne rang mian rang do mera saare rang utaar do
                        kissi or ko mera haal se na koi gharaz hai na koi wastaa
                        main bikhar gaya hoon samait lo mian bikher gay ahoon sanwaar do
                        meri wehshatoon ko badda diya hia judaion keh azaab ne
                        mera dil pe haath rakho zara meri dharkanoon ko sanwaar do
                        tumhian subah kaisi lagi meri khawahishoon keh dariya ki
                        jo bhali laga to yahin raho isse chahtoon se nikhaar do
                        wahan ghar main kon hia muntazir keh fiker ho dair sawair ki
                        badi mukhtisar si yeh raat hia isse chaandani main guzaar do
                        koi baat kerni hai chaand se kissi shahkaar ki oat mian
                        mujhe raaste main yahin kahin kissi koonj-e-gul mian utaar do

                        Comment

                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          kissi or ko mera haal se na koi gharaz hai na koi wastaa
                          main bikhar gaya hoon samait lo mian bikher gay ahoon sanwaar do
                          v nice

                          Comment

                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Koi aahat nahi raahen sunsan hein,
                            Aarzoo ke nagar sare viran hai,...
                            Kya kahen sochke hum bhi hairan hein,...
                            Is tarah kitne din kis tarah hum jiye.
                            raah takte hai jane kiske liye...
                            Door tak ab koi sang saathi nahi,
                            koi deepak nahi koi vaadi nahi
                            kya kare zindgi ye batati nahi...
                            gham jo itne zahar hai koi kab tak piye
                            raah takte hai hum jane kiske liye...
                            Raat dhalne lagi bujh gaye hein diye,..
                            Raah bhatakte hai hum jane kiske liye...
                            Jane kiske liye...
                            Is nagri ke kuch logo ne
                            Dard ka naam dava rakha hai...
                            Gaanth agar lag jaye to phir rishtey ho ya doori
                            lakh kare koshish khulne mein waqt to lagta hai
                            Woh nahi sunte hamari kya kare....
                            Mangte hai hum Duaa jinke liye..
                            Kab khatam hoga ye safar ' Tanhaee' ka

                              tanhai safar la'hasil hi reh jatey hain...shayed yeh zindagi k saath hi khatum hotey hain

                              Comment

                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                soocha nahi accha bura dekha suna kuch bhi nahi
                                manga khuda sai raaat din teray siwa kuch bhi nahi

                                soocha tujhey dekhaa tujhey chaha tujhey pooja tujhey
                                meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi

                                jis per hamari ankh nai mooti bhichaye raat bhar
                                bheja wahi khaghaz usai hum nai likha kuch nahi

                                ik shaaam kai saye talay bhetai rahay woh dair tak
                                ankhoo sai ki baat bohat moun sai kaha kuch nahi

                                ihsaas ki khushboo kaha awaz kai jugnoo kaha
                                khamoosh yado kai siwa ghar mien raha kuch bhi nahi

                                do chaar din ki baat hai dil khaak mien mil jaye ga
                                jub agg per kaghaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi

                                Comment

                                Working...
                                X