Re: Musaddaq Ki Choice
woh paani kee lehron pe kiya likh rehi thee,
Khuda jaaney "harf e dua" likh rehi thee,
likha jis nay nawal wafa ka adhoora,
wohee "pyaar kee inteha" likh rehi thee,
bhala kartay kartay guzaaree jawanii,
magar phir bhe khud ko bura likh rehi thee,
mohabbat main nafrat mili thee usay bhe,
jo har shakhs ko "be wafa" likh rehi thee,
zara us kee aankhon se aansoo na niklay,
woh jis waqt lafz "saza" likh rehi thee,
Namaz e Mohabbat main woh apnay,
hoay thay jo sajday,"qaza" likh rehi thee ....

Comment