Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    wo shakhs aik shaam kitna badal gaya,,,,,,,,bohot khoob ,nice sharing

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      :)

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Ishq junoon bhi, sanjeedgi bhi hai
        Yeh hawas bhi hai, pakeezagi bhi hai
        Shokhi bhi hai ishq
        Baanki adaaon pe lutnay ka naam bhi hai
        Rooh-e-irtaqa- e-dil-o-dimaagh bhi hai
        Zindagi ko samajhnay ka naam bhi hai
        Ishq masrufiat bhi, fursat bhi hai
        Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
        Ishq riff'at bhi aur wuss'at bhi hai
        Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
        Yeh maasoomyat bhi, rakhshandgi bhi hai
        Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
        Zameen bhi hai aur aasmaan bhi hai
        Magar ufaq ka iss main nishaan bhi hai
        Kabhi bistar ki salwaton se
        To kabhi mandir ki moorton se
        Kabhi uryaaniyon ka shai'da
        To kabhi meera-o-mariam ki moorton se
        Ishq rog bhi hai magar madaawa bhi hai
        Ishq parstish bhi, magar da'awa bhi hai
        Rishton say sadaa judaa hai ishq
        Isliye hi bana khuda hai ishq...

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Ishq rog bhi hai magar madaawa bhi hai
          Ishq parstish bhi, magar da'awa bhi hai
          Rishton say sadaa judaa hai ishq
          Isliye hi bana khuda hai ishq...
          __________________
          Awesome...:clap:

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Aik mohabbat main nay ki hai
            roshan aankhein ujly ansoo
            tery piyar ko daan kiye hai
            chahat k ahsaas tumhary naam kiye hai
            neendain di hai
            khwab buny hai
            ruswaye ko naam kia hai
            apni zaat pe daag sahy hai
            suchy jazbon wali mohabbat
            tery zaat per sadqy ki hai
            raar raat bhar jaag k kitni
            nam aanjhon say duain ki hai
            aik mohabbat main nay ki hai......!
            aik mohabbat tumny ki hai.....!
            aisi thos aur aisi bebasi
            jis per dil ka har har ansoo
            pani ki tarha bah jaye
            mery under sholy jalain
            aur uski ana per aanch na aaye
            banjar jazby,patther aankhain
            yeh jazbon ki dolat di hai
            AIK MOHABBAT TUMNAY KI HAI.....!

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Originally posted by musaddaq View Post
              Abhi woh dard baaki hai

              Agarche waqt marham hai
              Magar kuch waqt lagta hai
              Kisi ko bhool jaane main
              Doobara Dil basane main
              Abhi kuch waqt lagna hai
              Abhi woh waqt baaki hai
              Main kaise nayi Ulfat main
              Apni zaat ko gum kardoon
              Ke mere jism o wajda main
              Abhi woh fard baaki hai
              Abhi us shaks ki mujh per
              Nigaah -e- sard baaki hai
              Abhi to Ishq ke raaston ki
              Mujh per gard baaki hai
              Abhi woh dard baaki hai
              bahut khobsurat
              bahut shukriya
              wasalaam...

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Originally posted by musaddaq View Post
                Aik mohabbat main nay ki hai
                roshan aankhein ujly ansoo
                tery piyar ko daan kiye hai
                chahat k ahsaas tumhary naam kiye hai
                neendain di hai
                khwab buny hai
                ruswaye ko naam kia hai
                apni zaat pe daag sahy hai
                suchy jazbon wali mohabbat
                tery zaat per sadqy ki hai
                raar raat bhar jaag k kitni
                nam aanjhon say duain ki hai
                aik mohabbat main nay ki hai......!
                aik mohabbat tumny ki hai.....!
                aisi thos aur aisi bebasi
                jis per dil ka har har ansoo
                pani ki tarha bah jaye
                mery under sholy jalain
                aur uski ana per aanch na aaye
                banjar jazby,patther aankhain
                yeh jazbon ki dolat di hai
                AIK MOHABBAT TUMNAY KI HAI.....!
                mohabatoon ka mawzna acha haii..mager kitna bhi mawzna kr loo mohabat sirf mohabat rehti hai..hamesha hi bebas..yeh sirf deney ka naam hai woh mohabat hi kya jis main paa lya jayee ....:)
                V nice sharing ...

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya
                  Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya

                  Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai
                  ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya

                  Zindagi ki masrufiat ke woh chand din jo guzar chuke hain
                  na hi un pe urooj aya,aur na hi aun pe zawaal aya

                  Bhool na chahti hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai
                  jitna bhi roka woh waqt utna woh mere sath chala aya

                  Guzra hua kal na tha mera,na hai mera aur na ho ga kabhi
                  yeh mein janti hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya

                  woh wade teri woh kasmein woh sab yaad hain mujhe
                  magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhoola paya

                  ana parast the tum to khudaar tha main bhi
                  yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya

                  us ki muskurahat tere liye ek fareb thi
                  tu thi nadan,dil tera usse na samajh paya

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Tu Khizan mai b aye to Bahar ka Gumaan hota hai
                    Tu Yaad hai uski jo ab tak Paseman hota hai

                    Tu ek Khuwab hai, Haqeeqat-e-Zindagi nahi Magar!!
                    Ye Dil soch ker Tujhe phir b Pareshan hota hai

                    Roz naye ek Zakhm pr rakhtey hain Mausam Hum
                    Roz uske Khanjar ka phir naya Nishan hota hai

                    Jis ne diye hain Dukh Hamein itne b 'MOHSIN'
                    Wohi Hamari Rooh, wohi Hamari Jaan hota hai

                    Yeh Dil k Ma'amley hain na Samjhoge Tum kabi
                    is Intizaar per her koi Hairaan hota hai

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Aaj baad mudat ke
                      Maine usko daikha hei
                      Woh zara nahi badli
                      Ab bhi apni aankhon mein
                      So swal rakhti hei
                      Choti choti batoon par
                      Ab bhi khul ke hansti hei
                      Ab bhi uske lehjay main
                      Wohi khankhanahat hei
                      Woh zara nahi badli
                      Ab bhi uski palkon ke
                      Saay geelay rehte hein
                      Ab bhi uski sochon main
                      Mera naam rehta hei
                      Ab bhi meri khatir woh
                      Ussi tarah he pagal hei
                      Woh zara nahi badli
                      Aaj baad muddat ke
                      Maine usko dekha hei
                      Tu mujhe bhi lagta hei
                      Main bhi uski chahat mein
                      Ussi tarah he pagal hon
                      Baad itni mudat ke
                      Aur kuch nahi badla
                      JUZ HAMARE RASTON KE
                      Aur kuch nahi badla.

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Originally posted by musaddaq View Post
                        Abhi woh dard baaki hai
                        Agarche waqt marham hai
                        Magar kuch waqt lagta hai
                        Kisi ko bhool jaane main
                        Doobara Dil basane main
                        Abhi kuch waqt lagna hai
                        Abhi woh waqt baaki hai
                        Main kaise nayi Ulfat main
                        Apni zaat ko gum kardoon
                        Ke mere jism o wajda main
                        Abhi woh fard baaki hai
                        Abhi us shaks ki mujh per
                        Nigaah -e- sard baaki hai
                        Abhi to Ishq ke raaston ki
                        Mujh per gard baaki hai
                        Abhi woh dard baaki hai


                        :ff:
                        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          SARI KI SAI POETRY BUHAT ACHI HAI..
                          good*****
                          Lonely Girl

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Originally posted by Dil_E_Veran View Post
                            :ff:
                            :) thanx

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Originally posted by aisha malik View Post
                              SARI KI SAI POETRY BUHAT ACHI HAI..
                              good*****
                              :)

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Roz naye ek Zakhm pr rakhtey hain Mausam Hum
                                Roz uske Khanjar ka phir naya Nishan hota hai
                                woh sitamgar hi kyaa jo sitam krney sey baz ajaye or hum bhi is qadr aadii hochukey hotey hain k bina zakhm khaye zindagi adhoori lagti haii

                                Jis ne diye hain Dukh Hamein itne b 'MOHSIN'
                                Wohi Hamari Rooh, wohi Hamari Jaan hota hai
                                kuch loog is qadr saraiyat krjaey hain diloo main k humari zindagi un k sitam ki badolat hojati haii

                                Yeh Dil k Ma'amley hain na Samjhoge Tum kabi
                                is Intizaar per her koi Hairaan hota hai
                                hr koi hairan hota haii k loog mohabat kaisey kr letey hain pr jo koi bhi dil rakhta hai ek bar is sey ashnaa zaroor hhota haii

                                Comment

                                Working...
                                X