Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Tujhay kya khabar

    Originally posted by musaddaq View Post
    Tujhay kya khabar
    teri
    yaad nay
    mujhay kaisay kaisay
    sata
    dia

    Kabhi khalwaton
    mai hansa
    dia
    kabhi mehfilon mai
    rula dia

    Tere ishq mai kabhi
    youn
    hoa k
    namaz apni qaza hoi

    Teri aarzoo nay
    kabhi kabhi
    mujhay mere
    rab say mila diya
    :thmbup:

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Originally posted by musaddaq View Post
      BaanTne se bhee ye gham kyon kam naheen hote
      aansuon se dil ke kone nam naheen hote
      thee bahut umeed to apnon se is dil ko kabhee
      par hameshaa saath ye hamdam naheen hote
      bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee
      band kamron men koyee mausam naheen hote
      jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee
      un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote
      pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee
      kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote
      yaad to karte hain unko ham sadaa hee raat din
      khwaab men unke kabhee kyaa ham naheen hote
      zaberdast

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Originally posted by musaddaq View Post

        Dosti mujh se woh chahta to hai lekin phir bhi

        Apne raazon ko kabhi, mujh pe nahin khulne daita
        kuch loog unkahye lafzoo sey baatin kertey hai...




        Pyar dil dil main woh mujh se to bohat karta hai

        Us ka izhar magar, mujh pe nahin honay daita
        ba'az auqat insan lafzoo sey nahi ankhoo sey izhar kerta hai bus samjhney ki baat haii


        Mujh se milne ki woh koshish to bohat karta hai

        Lekin milne pe kabhi mehsoos nahin honay daita
        yeh sub sey khobsoorat ada hoti hai mehboob ki k woh ghantoo app ka intezar kerta haii but....jub samney aao tu aisey show karey gaa jaisey ussey app ki yaad aai hi nahi




        Zindagi us ki bhi kat jati yunhi meri tarha

        Lekin woh khud ko mohabbat nahin karne daita
        mohabat k chin janey ka khouf hi itna jan leva hota haii

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          very nice.............
          Behis hain log yahan bhala such ke kerna
          Eis dor main logon se wafa such ke kerna
          Ek bar jo roothe to mana tum na sahko ge
          Hum jese wafadar ko khafa such ke kerna

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            JATEY HUWEY LOGON KO PUKARA NAHI KARTEY
            JO APNEY HOON UNHEIN BESAHARA NAHI KARTEY
            DEKH LOO UN KO NIGAH BHAR KEY LEKIN
            YUN QADAM QADAM PEH RUK KER ISHARA NAHI KARTEY
            AJJ BARSOON BAAD SAJI HAI WOH KISI AUR KEY LIYEE
            WAISEY TO ROOZ ROOZ HUM BHI KUDH KO SANWARA NAHI KARTEY
            US SHAKS NEY VAADA KIYA THA HUM SEY KISI ROOZ
            AISEY TO HUM BHI KISI KO YAAD RAKHNA KA TAMASHA NAHI KARTEY
            SUNA HAI YEH ISHQ KA ROOG DEEMAK KI TARAH CHAAT JATA HAI
            ISI LIYE TO AB HUM IS SEY YARANA NAHI KARTEY

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Kabi Khud hi Mere paas aa,
              Meri Baat sun Mera Saath de
              Jo Khalish hai Dil se Nikal ker,
              Mujhe Uljhano se Nijaat de
              Tujhe Sochna Mera Mashghala,
              Tujhe Dekhna Meri Aarzoo
              Mujhe Dil de apne Khayal ka,
              Mujhe Karb ki ek Raat de
              Meri Zindagi Mere saath chal,
              Mere Haath mai apna Haath de
              Mujhe Ghum b Khushi se Qabool hai,
              Jo Tu agar Mera Saath de

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Originally posted by musaddaq View Post
                Kabi Khud hi Mere paas aa,
                Meri Baat sun Mera Saath de
                Jo Khalish hai Dil se Nikal ker,
                Mujhe Uljhano se Nijaat de
                Tujhe Sochna Mera Mashghala,
                Tujhe Dekhna Meri Aarzoo
                Mujhe Dil de apne Khayal ka,
                Mujhe Karb ki ek Raat de
                Meri Zindagi Mere saath chal,
                Mere Haath mai apna Haath de
                Mujhe Ghum b Khushi se Qabool hai,
                Jo Tu agar Mera Saath de
                dil ki baat hai..ager saath chalney ki arzoo hai tu ek bar pukar leney main koi harj nahi..shayed woh muntazir hoo izhar ka....

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  SUNA HAI YEH ISHQ KA ROOG DEEMAK KI TARAH CHAAT JATA HAI
                  ISI LIYE TO AB HUM IS SEY YARANA NAHI KARTEY
                  ishq sey kitna bhi bachoo..jub dil ana hota tu aahi jata haii

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Aey muhabbat tery anjam pay aaj rona aaya
                    Jaany kiun aaj tery naam pay rona aaya,
                    Youn to har sham umeedon main guzar jati hai
                    Aaj kuch baat hai jo sham pay rona aaya,
                    Kabhi takdeer ka matam kabhi dunia ka gila
                    Safr-e-ishaq main har ghum pay rona aaya,
                    Jab ho zikar zamany main muhabbat ka
                    Mujh ko apny pagal DIL-e-nadan pay rona aaya.

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      nice choice :ff:
                      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Originally posted by musaddaq View Post
                        Aey muhabbat tery anjam pay aaj rona aaya

                        Jaany kiun aaj tery naam pay rona aaya,
                        Youn to har sham umeedon main guzar jati hai
                        Aaj kuch baat hai jo sham pay rona aaya,
                        Kabhi takdeer ka matam kabhi dunia ka gila
                        Safr-e-ishaq main har ghum pay rona aaya,
                        Jab ho zikar zamany main muhabbat ka

                        Mujh ko apny pagal DIL-e-nadan pay rona aaya.
                        kash k ansoo humari qismat k likhey ghamoo ko dhoo sakain
                        ...

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Originally posted by aquari View Post
                          kash k ansoo humari qismat k likhey ghamoo ko dhoo sakain
                          ...
                          aisa ho nahi sakta shaid:)

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Chand bhi tanha hai, Meri tareh
                            Is virani raat mein, Qatil ki tareh.
                            Ankho mein neend nahi Aati
                            Bistar par parhi hoon, Kafir ki tareh.
                            So gaya jag sara
                            Phir bhi jaag rahi hoon, Saki ki tareh.
                            Dil ki Dhakane, Badhne lagi hai
                            Kahi tarapkar na toot jaye, Ghungro ki tareh.
                            Kitni mushkil hai zindgi
                            Phir bhi kat jayege, Jugnoo ki tarah.
                            Manzil jitni door hai,
                            Chahat bhi adhoori hai, Armano ki tarah.
                            Jitna khudko samjha maine
                            Tanha thi, Tanha reh gayi, Khawish ki tareh

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice


                              JUB MAE YAADOON MAY KHOO JATI HOON

                              JUB MAE SUB DUKH BHOOL SAY JATI HOON

                              JUB KISI KHUSHI KA MUJHAY AHSAS NAHI HOTA

                              JUB KUCH KEHNA CHAHTEY HOON AUR KEH NAHI PATY HOON

                              JUB BURDASH NAHI HO PATA HAY

                              AUR BAYCHAN SI HO JATI HOON

                              KISI PAL SAKOON NAHI ATA HAY

                              AUR BAT BAT PER ROTE HOON

                              JUB DIL TUKRAY TUKRAY HO JATA HAY

                              JUB DHARKAN RUK RUK JATI HAY

                              ZAKHUM KA DARD NAHI SAEH PATI HOON

                              JUB LUFZOON MAY BAT NAHI KEH PATI HOON

                              MAE CHUP CHUP SE HO JATI HOON

                              AUR KUCH BOAL HE NAHI PATI HOON

                              MERI RAAZDAN, MERI SAHALIAN, MERI TANHAI'AN

                              SAATH MERA BUS DAYTI HAIN

                              HAN

                              TANHAI'AN BOLTI HAIN

                              TANHAI'AN BOLTI HAIN

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Junoon ki guthian suljha raha hoon
                                Safar dushwar karta ja raha hoon

                                Mujhe maloom hai sab dar haqeeqat
                                Mein apni hi simt chalta ja raha hoon

                                Ana ko jab se girvi rakh diya hai
                                Tarane Zindagi k ga raha hoon

                                Haqeeqat aiene se jhanki hai
                                Samajhta hoon magar jhutla raha hoon

                                Yaqeenan koi khami baqi hai
                                Mein apne aap ko dohra raha hoon

                                Abhi ek or hijrat samne hai
                                Main raste main zara sasta raha hoon

                                Shaoor chak-e-dama ho raha hai
                                Main ab khud ko samajh mein aa raha hoon

                                Comment

                                Working...
                                X