Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Teri yaad ko dil se bhoolaya hai humne

    Teri yaad ko dil se bhoolaya hai humne
    Sine me dil ki jagha pather sajaya hai humne

    Hans ke milte hain sabhi se ab hum
    Ankh se aik bhi ansu nahi bahaya hai humne

    Pochte hain humse humari khushi ka sabab
    Batoon hi batoon main bahana banaya hai humne

    Teri baat per mozoo badalne ka hunar hai
    Tere zikar se pehloo her bar bachaya hai humne

    Kaise bharosa ho humain kisi khair pay
    Jab kisi apne se hi dhoka khaya hai humne

    Comment


    • wo rishta khamosh hai

      lamha lamha behti yeh zindagi,
      na janay kis taraf ja rahi hai,
      pal pal mujh say keh rahi hai,
      aao mere saath chalo mere hamsafar,
      lakin mere qadmon main kaise zanjeerain hain,
      jo mujhay janay say rookti hain,
      anjaan say rishton main mujhay baandhti hain,
      kuch rishtay jo mujhay mere apno nay diye hain,
      kuch rishtay jo is dil say vabasta hain,
      har rishtay ki apni talab hai taqaza hai,
      batta hua mera wajood aadha aadha hai,
      main kaise insaaf karu inkay saath,
      har koi apna haq mangta hai,
      kam nahi bohat ziyada mangta hai,
      ek rishta jo mera tujh say hai,
      wo khamosh hai mujh say kuch nahi mangta,
      khud jal kay mujhay sakoon deta hai,
      mere saath sanso ki tarha rawa'n hai,
      mujh say har waqt yahi kehta hai,
      mujhay tumsay kuch nahin chhahiye,
      bass mujhay yu'n hee qayam rakhna,
      meri garmi ko thandi mat parnay dena,
      apnay ehsas say mujhay zinda rakhna,
      tamaam rishton ko main nibha raha hoon,
      sabko sabka haq de raha hoon,
      pal pal jee raha hoon mar raha hoon,
      sab kay saath insaaf kar raha hoon,
      lakin jo rishta tera mera hai,
      wo rishta khamosh hai......wo rishta khamosh hai......wo rishta khamosh hai.......

      Comment


      • Aarzoo

        Ab koi aarzo nheen hoti
        in ki bhi justajoo naheen hoti

        dil jo ho jaey khali ulfat say
        us ki phir aabro nheen hoti

        jab wo aaty hain samny mery
        un say phir guftago nheen hoti

        kabhi sairaab wo dil nheen hota
        jis main ulfat ki kho nheen hoti

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Bazm E Shairi ke Qawaid o Zawabit ke tehat aap ko matla' kia jata hai ke apney temam pasandeeda Ashaar, Nazmen, Ghazlen .. isi Thread mein As a Reply Post keejye Is thread ka naam "aap ka naam ka intikhab/ aap ka naaam's choice hai .. agar aap ki is section mein aleyheda posts payee gayeen in future to .. delete ker di jaayen gi ... Shukryaa

          Pegham Intizamya
          (S.Mod Aania)
          Visit My Early PS Work
          You Are Welcome To Comment

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            but all others are posting there,then why diff for me

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Originally posted by musaddaq View Post
              but all others are posting there,then why diff for me
              Rules sab ke liye aik se hain ... sab ke threads in process of merging hein ... dont worry ... :)
              Visit My Early PS Work
              You Are Welcome To Comment

              Comment


              • Re: Tumhain Sochoon to sab silsala acha lagta hain

                boht shandar choice hai apki

                Comment


                • Re: Tumhain Sochoon to sab silsala acha lagta hain

                  bohat he achi baat kah dee aap nay . wakea he hota hai esa be .

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    ok,then its ok,:D

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Aaj muskuraaye bahuT main aur mera aaina..
                      Samjh nahi aaya kaun kispe hass raha Tha..
                      Main uspe, ya mujhpe mera aaina..

                      Dikha raha Tha unki Tasveer pal do pal ke liye..
                      SharaaraT kar raha Tha mera aaina..

                      Hassa raha Tha mujhe..
                      BahuT khush nazar aa raha Tha mera aaina..

                      Phir na jaane kya hua use..
                      Naraaz ho gaya mujhse mera aaina..

                      Dikhaane laga mere gam ko khud mein..
                      Rone lag gaya mera aaina..

                      De ke aansoo phir meri aankhon me..
                      Hassa bahuT mujhpe mera aaina..
                      Hassa bahuT mujhpe mera aaina..

                      Na jaane kyun diya dard usne "ChaahaT" ko..
                      DeTa raha behisaab mera aaina..
                      Hassa bahuT mujhpe mera aaina..

                      Comment


                      • Bhoolne waale se koyi keh de zara

                        Bhoolne waale se koyi keh de zara
                        is tarah yaad aane se kya faaida,


                        Jab mere dil ki duniya basaati nahin
                        phir khayaalon mein aane se kya faaida

                        Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
                        Aap kya badle duniya badal si gayi,

                        Aasra de ke dil tod te hain mera
                        Is tarah sataane se kya faaida,

                        Chaar tinke jala ke kya mil gaya
                        Mit sakana zamane se mera nishaan,

                        Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
                        Aashiaan par girane se kya faaida











                        Comment


                        • Hamari Aur Tumhari Daastan Hay

                          Judayee Mujh Mein Aur Un Mein Kahan Hay
                          Faqat Meri Mohabbat Darmiyan Hay
                          Zabanoun Pe Jo Shor-e-Do-jehan Hay
                          Hamari Aur Tumhari Daastan Hay
                          Zabaan Honey Pe Bhi Dil Be-Zabaan Hay
                          Mohabbat Khamoshi Ka Imtihaan hay
                          Waheen Bastey Jahan Jalwa Hay Un Ka
                          Waheen Rehtey Hamara Dil Jahan Hay
                          Jabeen Rakhi Na Thi Jab Tak Jabeen Thi
                          Magar Ab Astaan He Astaan Hay
                          Qafas Mein Aagaye Hein Ashiyaan Se
                          Qafas Se Chhoot Kar Phir Ashiyaan Hay
                          Nayee Dunya Banadey Muskara Kar!!
                          Tabassum Mein Terey Dunya Nehaan Hay
                          Shab-e-Gham Zehar Pi Kar Dekhta Houn
                          Meri Nakamiyoun Ki Hadd Kahaan Hay
                          Badal Li Hein Nigahein Uss Ne Jab Se
                          Zamin Woh Hay Na Ab Woh Asmaan Hay

                          Comment


                          • Chand lamhe

                            Chand lamhe bache hain tere mere saath key
                            Mumkin hai ke bichar jaayen bina mulakat key.
                            Kahan aansuon ki ye saugaat hogi,
                            Naye log honge nayee baat hogi.
                            Main har haal me muskurata rahoonga,
                            Gar tumhari mohabbat mere saath hogi.
                            Chiragon ko mehfooz rakhna aankho main,
                            Badi door tak andheri raat hogi.
                            Musafir hoon main bhi, Musafir ho tum bhi
                            Phir kahin, kisi mod par mulaqat hogi
                            Last edited by musaddaq; 6 April 2007, 21:42.

                            Comment


                            • Teri Yaad Aati Rahi Dayr Tak

                              Teri Yaad Aati Rahi Dayr Tak
                              Faza Jagmagati Rahi Dayr Tak
                              Darazi-e-Shab Zulf-e-Mehboob Ki
                              Ghazal Gungunati Rahi Dayr Tak
                              Khayal Rukh-e-Yaar Jab Aagaya
                              Sehar Muskarati Rahi Dayr Tak
                              Ussey Dekh Kar Jab Palatney Lagi
                              Nazar Jhilmilati Rahi Dayr Tak
                              Tujhe Choo Ke Aayee Thi Shayed Saba
                              Shagoofey Khilati Rahi Dayr Tak
                              Mujhe Khamoshi Teri Tasweer Ki
                              Takallum Sikhati Rahi Dayr Tak
                              Teri Kam Nigahi Ki Dilkash Ada
                              Mujhe Aazmati Rahi Dayr Tak
                              Haqiqat Haseen Khawab Ke Roop Mein
                              Tajalli Dikhati Rahi Dayr Tak
                              Tasawwar Mein Aghosh-e-Mehboob Thi
                              Mujhe Neend Aati Rahi Dayr Tak
                              Fareb-e-Tasawwar Pe Janan Mujhe
                              Hansi Khud Bhi Aati Rahi Dayr Tak

                              Comment


                              • maiN phir lauT ke aauuNgaa

                                Comment

                                Working...
                                X