Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Musaddaq Ki Choice
Collapse
X
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Haakim-e-shehar bata !
Waqt kay shikanjon ne
Khuwahishon ke pholoon ko
Noch Noch Torra hai.......
kiya yeh zulm thora hai?
Dard ke jazeeron ne
Aarzoo ke jeewan ko
Maqbroon main dala hai
Zulmaton ke deray hain.....
log sab luteray hain
Maut rooth baithi hai
Zaat Raiza Raiza hai
Zindagi tere hathon
Pamaal hai janaan......
ik sawal hai janaaan!
Kaisay maan loon jeewan?
Saans hi nahin koi
Karb karb lamhay yeh
Baar baar dastay hain......
log hum pe hanstay hain
Taar Taar Aanchal hai
Dard Dard jeewan hai
Shabnami si palkain hain
Qurb hai na doori hai ....
Zindagi adhooori hai
Ab yaqeeen aaya hai ....
Maut bhi zaroori hai...!
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
kabhi shaam kabhi aanchal ka kinara dena,
mein agar doob ke ubhroon to sahara dena,
teri ulfat mein mukammal hoon har pehlu se,
mujhe dard bhi dena to saara dena,
main tujhe ghum ke samandar mein kinara doonga,
tu mujhe hijr ke tufaan mein sitara dena,
main teri yaad ke sehra mein kahi rehta hoon,
kabhi aana to halka sa ishaara denaLast edited by musaddaq; 17 February 2009, 06:14.
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
khafa hona manalena,
ye sadiyo se riwayat hai
Mohabbat ki alamat hai...
Gile Shikwy karo mujh se..
tumhe yaara ijazat hai...
Magar Ik baat meri bhi..
Hamesha Yaad rakhna tum...
Kabhi aissa bhi hota hai..
Hawaiein rukh badalti hian..
Khizaeyn lout aati hain..
Khatayen ho hi jati hain..
Khafa hona bhi mumkin hai..
Khata hona bhi mumkin hai..
Magar yu hath se daman
Churaya nahi karte..
Hamesha Yaad rakhna tum...
Talluq tor dene se...
Kabhi toota Nahi karte ...
Kabhi toota nahi karte...
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Koi to ho aisa jo sirf mera hoBaton me unki khushbu ho
Dil me unka basera ho
Chahy to chahat meri
Mangy to mohabbat meri
Wo chand ki chandni ho to
Chand sirf mera ho
Wo falak ki roshni ho to
Suraj sirf mera ho
Wo pholon ki khushbo ho to
Ehsas sirf mera ho
Wo falak ka ujala ho to
Charagh sirf mera ho
Wo ishq or mohabbat ho to
Dil sirf mera ho
Wo pani ka cheenta ho to
Darya sirf mera ho
Wo kismat ki lakeer ho to
Hath Sirf mera Ho.
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi
us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi
sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi
mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi
wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Originally posted by musaddaq View PostKoi to ho aisa jo sirf mera ho
Baton me unki khushbu ho
Dil me unka basera ho
Chahy to chahat meri
Mangy to mohabbat meri
Wo chand ki chandni ho to
Chand sirf mera ho
Wo falak ki roshni ho to
Suraj sirf mera ho
Wo pholon ki khushbo ho to
Ehsas sirf mera ho
Wo falak ka ujala ho to
Charagh sirf mera ho
Wo ishq or mohabbat ho to
Dil sirf mera ho
Wo pani ka cheenta ho to
Darya sirf mera ho
Wo kismat ki lakeer ho to
Hath Sirf mera Ho.
Bahot khoob janab nice sharingssigpic
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Originally posted by musaddaq View PostHaakim-e-shehar bata !
Waqt kay shikanjon ne
Khuwahishon ke pholoon ko
Noch Noch Torra hai.......
kiya yeh zulm thora hai?
Dard ke jazeeron ne
Aarzoo ke jeewan ko
Maqbroon main dala hai
Zulmaton ke deray hain.....
log sab luteray hain
Maut rooth baithi hai
Zaat Raiza Raiza hai
Zindagi tere hathon
Pamaal hai janaan......
ik sawal hai janaaan!
Kaisay maan loon jeewan?
Saans hi nahin koi
Karb karb lamhay yeh
Baar baar dastay hain......
log hum pe hanstay hain
Taar Taar Aanchal hai
Dard Dard jeewan hai
Shabnami si palkain hain
Qurb hai na doori hai ....
Zindagi adhooori hai
Ab yaqeeen aaya hai ....
Maut bhi zaroori hai...!
Originally posted by musaddaq View Postkabhi shaam kabhi aanchal ka kinara dena,
mein agar doob ke ubhroon to sahara dena,
teri ulfat mein mukammal hoon har pehlu se,
mujhe dard bhi dena to saara dena,
main tujhe ghum ke samandar mein kinara doonga,
tu mujhe hijr ke tufaan mein sitara dena,
main teri yaad ke sehra mein kahi rehta hoon,
kabhi aana to halka sa ishaara dena
Originally posted by musaddaq View Postkhafa hona manalena,
ye sadiyo se riwayat hai
Mohabbat ki alamat hai...
Gile Shikwy karo mujh se..
tumhe yaara ijazat hai...
Magar Ik baat meri bhi..
Hamesha Yaad rakhna tum...
Kabhi aissa bhi hota hai..
Hawaiein rukh badalti hian..
Khizaeyn lout aati hain..
Khatayen ho hi jati hain..
Khafa hona bhi mumkin hai..
Khata hona bhi mumkin hai..
Magar yu hath se daman
Churaya nahi karte..
Hamesha Yaad rakhna tum...
Talluq tor dene se...
Kabhi toota Nahi karte ...
Kabhi toota nahi karte...
Originally posted by musaddaq View PostKoi to ho aisa jo sirf mera ho
Baton me unki khushbu ho
Dil me unka basera ho
Chahy to chahat meri
Mangy to mohabbat meri
Wo chand ki chandni ho to
Chand sirf mera ho
Wo falak ki roshni ho to
Suraj sirf mera ho
Wo pholon ki khushbo ho to
Ehsas sirf mera ho
Wo falak ka ujala ho to
Charagh sirf mera ho
Wo ishq or mohabbat ho to
Dil sirf mera ho
Wo pani ka cheenta ho to
Darya sirf mera ho
Wo kismat ki lakeer ho to
Hath Sirf mera Ho.
Originally posted by musaddaq View Postzikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi
us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi
sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi
mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi
wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thiBeautiful Collection.:)aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
Comment