Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Salauddin Mengal Ka Intikhab
Collapse
X
-
Re: Salauddin Mengal Ka Intikhab
ab Ke Hum Bichray To Shayad Kabhi Khwabon Mein Milein
Jis Tarhan Sookhay Huay Phool Kitabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichray To Shayad...
Dhond Ujray Huay Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazanay Tuje Mumkin Hai Kharabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichray..
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farshton Jaisa
Donon Insaan Hain To Kion Itna Hijaabon Mein Milein
Jis Taran Sookhay Huay Phool Kitabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichrein To Shayad...
Ghum E Dunya Bhi Ghum E Yar Mein Shamil Kar Lo
Nasha Barhta Hai Sharabi Jo Sharabon Mein Milein
Ab Na Wo Mein Hon Na Tu Hai Na Wo Mazi Hai Faraz
Jaisay Do Saaay Tamanna Ke Sarabon Mein Milaein
Jis Taran Sookhay Huay Phool Kitabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichray To Shayad........YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.
Comment
-
Re: Salauddin Mengal Ka Intikhab
Kisse kya khabar hai kahan toot jayen
Mohabbat ke darya main tinke wafa ke
Na jaane yeh kis morr per doob jayen
Ajab Dil ki basti ajab Dil ki vaadi
Her ek morr mausam nayi Khushiyon ka
Lagaye hain humne bhi sapno ke podde
Magar kya bharosa yahan baarishon ka
Muradon ki manzil ke sapno main khoye
Mohabbat ki raahon pe hum chal parhe the
Zara door chal ke jab Aankhein khuli to
Karri dhoop main hum akele kharre the
Jinhein Dil se Chaha jinhein Dil se pooja
Nazar arahe hain woh hi ajnabi se
Rivayat hai shayad yeh sadiyon purani
Shikayat nahi hai koi Zindagi seYOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.
Comment
Comment