Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

    Originally posted by thefire1 View Post
    Chlain janab... third round of answers are ready to be posted....

    30. Dosti mohabbat main badal sakti hay, kia mohabbat dosti main badal sakti hay, jo bhi aap ka jawab ho daleel kay saath wazahat karain?

    31. Faisla kartay waqt dil-o-dimagh ki jang ho tou aap kis ki maanain gain?
    Faisla wohi acha hota hay jis main dili jazbaat kay saath saath dimagh ki wusaat aur halaat ki jaankaari hona bohat zaroori hay. Har insaan jo faisla karta hay who uss kay apnay mafaad kay liye behtar hota hay chahay uss kay faislay say kisi aur ko nuqsaan kiyon na poohancha raha hoon
    Main Nay Jab Uss Kay Zehan Say Sochay Thay Masalay

    Jahan tak meri zaat ka sawaal hay tou main nay humesha faislay soch samajh kar kiye hain, jis main tajurba, halat per nazar aur dili jazbaat sab ki shamooliyat ho chahay uss main mera nuqsaan hi kiyon na ho, haq aur sahi faisla karna bhi aik AMAANAT hay jis ka jawab agar duniya main koi talab karay ya na karay magar aakhirat main uss ka jawabday hona paRay ga!

    32. Science ki behtreen aijaad?
    Science ki sab say behtreen aijaad

    33. Ghussa kin baatoon per aata hay?
    Main umooman aik thandi nature ka insaan hoon aksar ghussay per qabool kar laita hoon magar ghussa aik fitri amal hay aur mujhay uss waqt bohat ghussa aata hay jab bhi koi Mard kisi aurat per haath uthaata hay, mujhay aisay mard say bohat sakht nafrat hay!

    34. Jhoot Kab boltay hain? Aur
    Koshish karta hoon aur ALHADULLILAH bohat hadh tak kamyaab bhi hoon kay jhoot na boloon chahy kuch bhi ho jayay sachayi ka saath daita hoon humesha.

    35. Sach kab boltay hain?
    Humesha aur jhoot say door hi rehnay ki koshish karta hoon.

    36. Kin cheeson per dil khool kar kharch kartay hain?
    Yeh tou meray aur meray ALLAH SWT ka mamla hay manzar-e-aam per nahin laana chahta.

    37. Aur apnay liye sab say qeemti cheese kia khareedi?
    Khana-e-Kaaba aur Masjid-e-Nabwi SAW ki ziyarat.

    38. Kaun sa mousam enjoy kartay hain?
    Sab hi mousam bohat achay say enjoy karta hoon magar phir bhi monsoon yaani barish ka maousam bohat dilkash lagta hay.

    39. Kin cheeson kay baghair ghar say nahin nikaltay?
    Mobile, wallet aur car ki chaabi offcourse kapRay bhi pehanta hoon :lol

    40. 24 ghantoon main pasandeeda waqt?
    Fajr ki namaz kay baad jab masjid say bahar nikalta hoon, tou parindoon ki chechihat, subah ko manzar bohat hi khooobsurat lagta hay, zaroor mushahida jijyey ga, you would love it, its personal experience.

    41. Bachpan wala sawaal tou repeat horaha hay :lol
    good... apki jawabat or khayalat buht honest and sincere lag rahi hai....
    thanks..third part jawabat ki lyee... :clap:
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment

    • #77
      Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

      sab pakRay gayay,:dance5: main nay jaan boojh kar question No. 32 ka adhoora jawab likha tha taakay pata laga sakoon kay koi meri lambi lambi response paRhta bhi hay kay nahin.... sab pakRay gayay, aap log jab paRhtay nahin hain tou kia main apna time waste kar raha hoon yaa yeh interview waqayi main mujhay yahan busy rakhnay kay liye liya jaa raha hay :kr:
      sigpic

      Comment

      • #78
        Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

        @ honestly mujhy be doubt hoa ka yeah answer short kion hai... Ayee kash lekhti ka app ni yaha tafseel yah specific science ki ijaad ka naam kyon nhi lekha..:lol
        Interview to islye rakha jata hai ta ka dosro ki mizaj ilaam ka pata chali... dont think ka apka interview koi read nahi karta yah sari sari read karta hai.
        app chahi lambi jawabat de yaa short... ek hai bat hai.. jo kaisy ko pherni ka shoq ho wo dono sorto mein pherty hai. :)
        keep it up... we are here to read it. :)
        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

        :pr:

        Comment

        • #79
          Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

          Chalain aap kehti hain tou maan laitay hain waisay bhi tou koi dosra option nahi hay humaray paas:khi:
          sigpic

          Comment

          • #80
            Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

            Originally posted by Mr.Khan View Post
            Oyyyeee chalo niklo yahan se, thefire1 ( ALI ) bhai k interview ka thread mat kharab karo :lol
            yeh tu mai ne ap ko pehley hi bola tha.........
            .......................!!!!!

            Comment

            • #81
              Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

              Originally posted by thefire1 View Post
              sab pakRay gayay,:dance5: main nay jaan boojh kar question No. 32 ka adhoora jawab likha tha taakay pata laga sakoon kay koi meri lambi lambi response paRhta bhi hay kay nahin.... sab pakRay gayay, aap log jab paRhtay nahin hain tou kia main apna time waste kar raha hoon yaa yeh interview waqayi main mujhay yahan busy rakhnay kay liye liya jaa raha hay :kr:
              bhaijaan mai ne parra tha.......socha pooch loon magar phir kaha nahii barrey hain samajhdaar hain jantey hain kya likh rahhey hain ....is liye nai poocha........:shyy:
              .......................!!!!!

              Comment

              • #82

                yeh baat main nay note kar li thi ..... haan reply karnay mein dair ho gai...:shyy:..main nay 2nd round k answer nahin perhay thay ...ab perhay hain...
                bus muhabbat k dosti main badal janay wali baat nahin perhi....aur Pakistan say related report...perhna shro kar di hai khatam bhi kar lon gi...kafi facts n figures k sath likha hai u nay.... aisa lag raha hai baqaida column nigaar hain aap...... baqi sab perh liye hain answer chahain tu exam lai lain..:shyy:
                buht khushi hoi aap k baray mein jaan kar..:rose..jawaabat dainay ka andaaz bhi buht bhala laga....::super:........
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment

                • #83
                  Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                  Originally posted by bhataktii rooh View Post
                  bhaijaan mai ne parra tha.......socha pooch loon magar phir kaha nahii barrey hain samajhdaar hain jantey hain kya likh rahhey hain ....is liye nai poocha........:shyy:
                  Aisi bhi kia samjhadaari kay Jawab hi nahin likha :lol
                  sigpic

                  Comment

                  • #84
                    Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                    Originally posted by *Rida* View Post
                    yeh baat main nay note kar li thi ..... haan reply karnay mein dair ho gai...:shyy:..main nay 2nd round k answer nahin perhay thay ...ab perhay hain...
                    bus muhabbat k dosti main badal janay wali baat nahin perhi....aur Pakistan say related report...perhna shro kar di hai khatam bhi kar lon gi...kafi facts n figures k sath likha hai u nay.... aisa lag raha hai baqaida column nigaar hain aap...... baqi sab perh liye hain answer chahain tu exam lai lain..:shyy:
                    buht khushi hoi aap k baray mein jaan kar..:rose..jawaabat dainay ka andaaz bhi buht bhala laga....::super:........
                    I trust you Rida :)
                    sigpic

                    Comment

                    • #85
                      Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                      I trust you all dear, this message was to make all of you laugh aur mujhay bhi tou kuch relaxation chayeh, itna mood kharaab hojaata hay baz auqaat likhtay likhtay kay bayan nahin kar sakta tou apnay aap ko halka karnay aur mood ko khushgawaar karnay kay liye aisi mazah say bharpoor tehreer likhta rehta hoon, please meri post ko offensive nahin samjhyeh ga, take it lightly and keep smiling, insaan muskuraatay huway bohat acha lagta hay :)
                      sigpic

                      Comment

                      • #86
                        Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                        Tou yeh lain janaab aglay 10 sawaalaat kay jawaabaat, khush rahyeh :)

                        41. Science ki behtreen aijaad?Haan jee iss sawaal ka jawab main nay pehlay awaiayain nahin dia, meri naqis soch kay mutaabiq sciene ki sab say behtreen aijaad hay CIRCLE, hum apnay atraaf main hazaroon cheezain dekhtay hain, mean of transportation, education, space science, rocket science, internet, computer, you name it and this circle will always be a critical part of every invension. If you take out Circle from your life and try something with Rectangular or triangle shape, it wont work out.

                        42. Kinn baton main junooni hain?Junooni lol at Junooni, aisa kabhi hua tou nahi aur hona bhi nahin chayeh, har insaan main apnay aap ko qaboo main rakhnay ki salahiyat honi chayeh kiyonki insaan aksar junoon main aisay kaam kar jaata hay jis kay liye usay pachtaanay ka bhi mouqa nahin milta.

                        43. Tatbeer ya taqdeer kis per yaqeen hay?

                        44. Kin dino ko yaad kartay hain?

                        45. Dunya ki khatarnaak tareen makhlooq?

                        46. Subah ka aghaaz kis tarhan kartay hain?
                        Apni band ankhoon per apnay anghootay say sehlaatay huway Qalma-e-shaddat paRhta hoon aur ALHAMDULLILAH kehta hoon kay ALLAH SWT nay mujhay aik aur dinn iss aadhi mout (soonay kay baaray main kaha jaata hay kay jab insaan sou jaata hay tou who uss kay liye aadhi mout hay kiyonki usko khudh bhi pata nahin hota kay woh uth payay ga bhi nahin.) say mujhay uthaya aur phir Namaz-e-Fajr ada karta hoon.

                        47. Aksar kia sochtay hain?
                        Kay kaash meray par hotay aur main poori duniya ki saair uR uR kar karta kiyonki mujhay travelling ka bohat shouq hay aur har nayi jaga discover karni ki khuwahish, ALLAH SWT nay waisay mouqa dia kay duniya kay kuch mumalik ghoom sakoon jin main, Saudi Arabia, Dubai, Bahrain, Malaysia, Singapore aur Thailand shamil hain ab INSHALLAH next month bhi iraada hay jab sab set jojayay ga tou aap sab say aik baar phir Alwida lay lain gain :)

                        48. Zindagi say kab nafrat hoti hay?

                        49. Achanak chot lagnay per baysakhta kia kehtay hain?
                        ALHAMDULLILAH

                        50. jazbaat ka izhaar kaisay kartay hain?
                        Main umooman apnay dil main koi baat nahin rakhta, iss ka andaaza tou aap logon ko bhi ho gaya hoga meri posts paRh kar :lol haan unka izhaar achay aur mohazib andaaz main karta hoon aur koshish karta hoon kay meri baat say kisi ko koi takleef na ho, haq ki baat kehnay main, main kabhi sharm mehsoos nahin karta chahay who meray walid, baRay bhai behan hi kiyon na hoon, magar kabhi
                        bhi apni baat kehnay main badtameezi ka ansar shamil nahin honay dia!
                        Last edited by thefire1; 6 October 2009, 15:40.
                        sigpic

                        Comment

                        • #87

                          Miyan Ali, u ke answers ki counting ka hisaab kuch barabar nahi beth raha hai :mm:
                          Last edited by Mr.Khan; 6 October 2009, 17:00.

                          Comment

                          • #88
                            Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                            Originally posted by Mr.Khan View Post
                            Miyan Ali, u ke answers ki counting ka hisaab kuch barabar nahi beth raha hai :mm:
                            Dear khan bro...... apni acha point note kia... :clap:warna ab Fire ji ko iska be shikwa hota ka hum log onka interview read nahi karti...:lol or counting ko mad nazar nahi rkti.... 372-haha
                            actually jo 1 sawal 2,3 pointz pe mushtamil hai ... onhoni alag alag numbering dia hai...thtzy why.....
                            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                            :pr:

                            Comment

                            • #89
                              Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                              Fire ji....mein apni lyee Coffee bana ki... ajj ki jawabat read karogi.
                              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                              :pr:

                              Comment

                              • #90
                                Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                                soch rahi hoon ek adad chashma khreed loon :think:
                                شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                                Comment

                                Working...
                                X