Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

    Assalam o Alaikum wr wb FIRE SAHAB...

    Aap kay naam ne hi motaseer kiya hai aap kay waldeen mubarakbaad kay mostaheeq hain kay unhoon ne aap ka naam HAZRAT ALI RADI ALAHO ANHA ki nessbat per rakha MASHALLAH...
    Waisay meray bhai kay naam bhi hai :)

    Waisay aap ne durast farmaya sitaroon kay chakaroon main paar ker insaan ALLAH se duur ho jata hai....

    hummm Karachi se talooq rakhtay hain aap ....

    Taleemi lahaaz se bhi aap MASHALLAH bahtareen hain wo tou aap ki ara se andazah ho gaya tha kay aap ala zouq rakhnay kay sath sath achi taleemm bhi rakhtay hain :)

    Aap ki shaksyat kafi motaseer kun hai aur aap ki khohishain bhi bohat ala hain ALLAH PAAK se yahi dua hai kay wo aap ko zindagi kay her imtihaan main kamyaab karay ameen..

    Aap se mil ker aur aap kay baaray main jaan ker acha laga...
    khush rahain...


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

    Comment


    • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

      - badtareen aijad "HUMAN CLONING"

      - 20th Century ka insaan, changaiz khan, hitler, aur bhi bohat see insaani ki safaaki ki misalain mojood hain HALA jee :)

      - Haan yeh baat tou hay kay ALLAH SWT nay 1 baar nahin 3 baar mujhay apnay ghar ki ziyarat naseeb farmayee ALHAMDULLILAH, aur baaqi duniya bhi tou uss RAB ki banayi hoyee hay, main dekhna chata hoon poori duniya :)

      - JHOOOOOOTI :lol itni lambi response bhi nahin thi kay 5 hours lagain aap ko, mujhay likhnay main 20 minutes lagay thay srif :lol


      Originally posted by *Halo* View Post
      Haan jee iss sawaal ka jawab main nay pehlay awaiayain nahin dia, meri naqis soch kay mutaabiq sciene ki sab say behtreen aijaad hay CIRCLE, hum apnay atraaf main hazaroon cheezain dekhtay hain, mean of transportation, education, space science, rocket science, internet, computer, you name it and this circle will always be a critical part of every invension. If you take out Circle from your life and try something with Rectangular or triangle shape, it wont work out. !
      right... chali yah bata de science ki 1 badtareen ijaad kia hai...ek point mein jawab de 372-haha

      [COLOR=black]
      [COLOR=black]hmmm ....isa na mumkin hai jo ajj tak isaa na howa ho.... 372-shock


      [COLOR=seagreen]right.... :clap:


      [COLOR=seagreen]right.... issy hum be mehsoos or mazi ko yaad karti hai..


      [SIZE=4][COLOR=seagreen]yeah 2oth century ki insaan khatarnak tareen makhloq bangye hai... phely kuch shraif thee.... :khi:

      [COLOR=seagreen]MASHALLAH!! :rose

      [SIZE=4]
      [SIZE=4][COLOR=seagreen]apki pass to par hai.. app ni MASHALLAH ramazan ki ba barakat maheeni mein Madina sharif or kabha gaye.... issy zayda kia chahye.


      [COLOR=seagreen]good

      [SIZE=4]
      [SIZE=4]zabardast!! buht acha.... :salam:

      ajjj(5hrz ) itni tasali sy ek ek lafz read ki..... 372-haha :khi:
      baqi jawabat ki intizar ...... [/QUOTE]
      sigpic

      Comment


      • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

        Walaikum Assalaam WR WB Mehwish

        Aap kau khoobsurat alfaaz ka bohat bohat shukriya, bas ALLAH SWT ki khas karam hay kay uss nay seekhnay ,samajhnay ki salahiyat ata farmayi aur humesha aap jaisay achay logon say achi baatain seekh kar apni zindagi main nikhaar paida karta hoon, bas apni duwayoon main yaad rakhain, ALLAH SWT aap ko bhi khushiyon say nawazay AMEEN

        Khush rahyeh

        FI Amaan ALLAH


        Originally posted by mehwish afsar View Post
        Assalam o Alaikum wr wb FIRE SAHAB...

        Aap kay naam ne hi motaseer kiya hai aap kay waldeen mubarakbaad kay mostaheeq hain kay unhoon ne aap ka naam HAZRAT ALI RADI ALAHO ANHA ki nessbat per rakha MASHALLAH...
        Waisay meray bhai kay naam bhi hai :)

        Waisay aap ne durast farmaya sitaroon kay chakaroon main paar ker insaan ALLAH se duur ho jata hai....

        hummm Karachi se talooq rakhtay hain aap ....

        Taleemi lahaaz se bhi aap MASHALLAH bahtareen hain wo tou aap ki ara se andazah ho gaya tha kay aap ala zouq rakhnay kay sath sath achi taleemm bhi rakhtay hain :)

        Aap ki shaksyat kafi motaseer kun hai aur aap ki khohishain bhi bohat ala hain ALLAH PAAK se yahi dua hai kay wo aap ko zindagi kay her imtihaan main kamyaab karay ameen..

        Aap se mil ker aur aap kay baaray main jaan ker acha laga...
        khush rahain...
        sigpic

        Comment


        • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

          Originally posted by thefire1 View Post
          - badtareen aijad "HUMAN CLONING"

          - 20th Century ka insaan, changaiz khan, hitler, aur bhi bohat see insaani ki safaaki ki misalain mojood hain HALA jee :)

          - Haan yeh baat tou hay kay ALLAH SWT nay 1 baar nahin 3 baar mujhay apnay ghar ki ziyarat naseeb farmayee ALHAMDULLILAH, aur baaqi duniya bhi tou uss RAB ki banayi hoyee hay, main dekhna chata hoon poori duniya :)

          acha ji.. .... :)

          - JHOOOOOOTI :lol itni lambi response bhi nahin thi kay 5 hours lagain aap ko, mujhay likhnay main 20 minutes lagay thay srif :lol
          toba... janab mein ni sirf pherni ko kaha tha.. na ka response ka..... 372-shock
          chali baqi jawabat be jaldi sy de..... memberz intizar mein hai ka wo apni apni sawalat app sy poch saky.

          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

          :pr:

          Comment


          • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

            INSHALLAH jald hi post karoon ga, aglay jawab bhi, srif 10 tou reh gayain hain :)
            sigpic

            Comment


            • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

              Originally posted by thefire1 View Post
              44

              48 Nafraat bhi kia tareef kay qabil hay :) Nafrat insaan ko andar hi andar jalaati rehti hay aur aik aag see uss kay badan main jalti rehti hay jab tak insaan uss nafrat ki aag ko nahin bujhaata uss ko sukoon nahin milta, issi liye aisi aag apnay badan main kiyon paalna jis say humara wajood aik angaara ban jayay aur uss nafrat ki aag kobhujaanay kay liye aap kisi ko qatal karnay say bhi guraiz nahi karay, kiyonki aksar yeh nafart insaan ko aisa karnay per uksaati hay jo aam haalat main hum soch bhi nahin saktay :)

              hmmmmm right .....:rose

              Originally posted by thefire1 View Post
              Meray paas URDU ka software hi nahin hay warna mujhay kahan shouq hay aap logon ko itni takleef dainay ka SORRY dear, issi per guzaara karna paRay ga aur meri khushnaseebi hain kay aap Admin nahin hain :lol
              سوفٹ ویئر تو میرے پاس بھی نہیں جناب
              /shade
              خیر اپنی خوش نصیبی پہ رشک کیجیئے
              /hmmm
              ساتھ میں میر ےسوالوں کے جواب دیجیے گا
              1-آپ نے یہ آئی ڈی کیوں رکھی؟
              2- لٹریچر پڑھتے ہیں کیا؟کس کس زبان کاپڑھا ہے؟
              اپنا انتخاب بتائیں
              3-ہر دور کے ادب میں اور ہر زبان کے ادب میں کیا چیز مشترک ہوتی ہے؟
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment


              • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                Bohat khoob Ali bhai - cha gaye aap to :D:


                bohat acha laga aap ke bare main jaan kar :D:
                Allah

                Comment


                • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                  main bhi SAWA LAAT ke sath hazir hon - alag alag na parhye ga :D:



                  1) Mujhey yeh batayin ke pegham ko aap ne jitna bhi explore kia hay. chaan been ki hay.. logoN ke khayalat parhay.. un ka batein karney ka andaz.. lekan aik sirf aik member woh kon hay jis k khayalat se aap mutasir hain.. ya aisa aap ki nazar main koi nai hay jis ke khayalat se aap mutasir ho sakein??



                  2) aap ko nai lagta aap ke long replies aap ke interview ke husn ko maand kar rahey hain?? bajaye is ke , ke aap to the point , short aur sharp answer dein ??( Ali bhai yeh aap ke interview ka hissa hay - mat samjhye ga k mujehy aap ke long replies se chirr hay - mujhey bohat maza aaya parh ke. aur yakeen karein main ne sara parha hay :D:)

                  3) Aap ki field jese ke aap ne bataya ke Business management hay.. aap ne apni job ko ziada elaborate nai kia? keu?
                  Allah

                  Comment


                  • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                    yeh sab rulllz k against kiun ja rahay hain.:think:...Hala k question khatam hoye baghir hi question start kar diye sab nay :garmi:
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                      sigpic

                      Comment


                      • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                        1. Iss ka jawaab main nay Shummu ki ek ghazal kay jawaab main diya tha, pata nahin kinn jazbaat main likha tha, khudh paRha tou khudh per hansi aanay lagay magar yaqeenan yehi waja thi meri yeh ID rakhnay ki... aap say share karta hoon kay wahan kia likha tha :"Insaan auroon ko khushi poohanchanay main kab apni zindagi jee laita hay, kab apnay hissay ka pyar kisi aur baant daita hay, kab apni khuwahishaat ko andar hi andar daba kar isay eik AAG main tabdeel kar laita hay, iss ka andaaza hi nahin rehta aur yoon lagta hay kay bas yehi tou naam hay zindagi ka kiyonki apni khushi kay liye tou har koi jeeta hay maza tou uss waqt hay jab insaan auroon ki khushi kay liye apni khusiyon ko qurbaan karday, aur ajar ki umeed us shaks say nahi balkay ALLAH SWT say karay kiyonki bilaakhir uss Pak Parwardigaar nay waada kia hay na hum sab kay saath kay "Baishak woh sabr karnay waloon kay saath hay"


                        2. Haan paRha hay, Urdu Adab ka paRha hay, Englinsh ka paRha hay, mujhay Ahmed Nadeem Qasmi ko paRhna bohat acha laga unki shaeri per musthamil do kitaabain Shola-e-gul aur kishti-e-wafa bohat pasand hain aur iss kay ilaawa mukhtasir khaniyon per mustamil kitaabain Chopaal aur Sannata, bohat hi khoobsurat andaaz-e-bayan aur Urdu adab main aik sitaaray ki maanind chamakti hoyee tehreerain lagti hain!

                        3. Jahan tak meri naqis aqal ka sawaal paida hota hay, iss sawal per main yehi kahoon ga kay, har qoum ki adab main do cheesain bohat mushtarik hain aik hay khayaal ki bulandi jissay aap Common sense bhi keh sakti hain, aur dostri lafzoon ki sachayi... kiyonki jis qalaam main shaaer ya munsif nay sachayi say kaam nahin liya woh tehreer raddi kay dhaair main gum hojaati hay, insaani fitrat kay mutabiq uss kay dil main sachay alfaaz zindagi bhar naqshband hojaatay hain aur waqt kay har dour main woh zindagi rehtay hain!


                        Originally posted by sarooh View Post
                        hmmmmm right .....:rose



                        سوفٹ ویئر تو میرے پاس بھی نہیں جناب
                        /shade
                        خیر اپنی خوش نصیبی پہ رشک کیجیئے
                        /hmmm
                        ساتھ میں میر ےسوالوں کے جواب دیجیے گا
                        1-آپ نے یہ آئی ڈی کیوں رکھی؟
                        2- لٹریچر پڑھتے ہیں کیا؟کس کس زبان کاپڑھا ہے؟
                        اپنا انتخاب بتائیں

                        3-ہر دور کے ادب میں اور ہر زبان کے ادب میں کیا چیز مشترک ہوتی ہے؟
                        sigpic

                        Comment


                        • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                          Nawaazish aur bohat bohat meharbaani janab :)

                          Originally posted by Yaaram View Post
                          Bohat khoob Ali bhai - cha gaye aap to :D:


                          bohat acha laga aap ke bare main jaan kar :D:
                          sigpic

                          Comment


                          • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            Koi baat nahin RIDA jee, yeh lain meray aglay 10 sawallon kay jawaabat, ab tou rule kay hissab say unkay jawabaat main day sakta hoon na :)

                            janab aap tu mehman e khososi hain ... aap tu pehlay bhi jawab dai saktay thay ....:D...aur bad mein bhi.... lakin rulls sab k liye aik jaisay hotay hain naa .. mebhi tu waiting.... main nay aik qauestion poch lia tha pehlay ...lakin phir post edit kar di thi ...

                            chalain ab aap me ko bataien ...

                            aap abroad jatay hain .... jahan bhi gaye hain ab tak ...how u are treated by foriegners (in theri country) being a PAKISTANI?

                            waisay tu abtak jitna aap ko samjha hai ... is ka answer mujhay pata hai ..)): lakin phir bhi ...aap say pochtay hain ... kuch loag kehtay hain Muhbbat khud gharz hoti hai ... aap ka kia khayal hai .... kia waqai aisa hai ....

                            there are people who feel good when they let down other ..... aap kaisay deal kartay hain aisay loagoon ko...

                            :lpop:
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment


                            • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                              Zaroor jo aap ka hukum, sar ankhoon per :)

                              1. Iss ka jawab main upper bhi likh chuka hay kay kisi aik member kay baaray main bol kar main baaqi members kay saath nainsaafi nahin karsakta... aur jitna main nay explore kia hay woh abhi bohat kam hay, I think its too early to answer that, waqt ka saath saath sab pata chal jayay ga :)

                              2. Nahin mujhay aisa nahin lagta, kiyonki main apni baatoon ko daleelon aur wazahat say karnay ka aadi hoon aur saath saath koshish karta hoon kay meri baat main kisi bhi kisam ka jhot waghaira shamil na ho, sachayi kay saath jab ungliyan dili jazbaat iss screen per bikhairti hain tou inn ki rawaani ka andaaza mujhay khudh bhi nahin rehta, halankay main bohat koshish karta hoon kay kam likhoon magar yeh meray ikhtiyaar say bahir hojaata hay!

                              3. aap bhi na, jab elobrate karta hoon tou kehtay hain kay itna kiyon likhtay hoo, aur jab kam likhta hoon tou kehtay kay elobrate kiyon nahin kia, kahan jayon main :lol

                              Meri job ek Adminstration manager ki hay aap agar kahain tou job description type kardoon, phir na kehna kay itna kiyon likhtay hain :lol

                              Originally posted by Yaaram View Post
                              main bhi SAWA LAAT ke sath hazir hon - alag alag na parhye ga :D:



                              1) Mujhey yeh batayin ke pegham ko aap ne jitna bhi explore kia hay. chaan been ki hay.. logoN ke khayalat parhay.. un ka batein karney ka andaz.. lekan aik sirf aik member woh kon hay jis k khayalat se aap mutasir hain.. ya aisa aap ki nazar main koi nai hay jis ke khayalat se aap mutasir ho sakein??



                              2) aap ko nai lagta aap ke long replies aap ke interview ke husn ko maand kar rahey hain?? bajaye is ke , ke aap to the point , short aur sharp answer dein ??( Ali bhai yeh aap ke interview ka hissa hay - mat samjhye ga k mujehy aap ke long replies se chirr hay - mujhey bohat maza aaya parh ke. aur yakeen karein main ne sara parha hay :D:)

                              3) Aap ki field jese ke aap ne bataya ke Business management hay.. aap ne apni job ko ziada elaborate nai kia? keu?
                              sigpic

                              Comment


                              • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                                Mehmaan-e-khusoosi huwa tou kia huya rule to sab kay liye aik hi hain na, main nay pehlay HALA kay tamam jawabaaat diye, phir saraah aur yaram kay aab aap ki baari hay :lol

                                1. I have been treated very well, Insaan har jaga apnay ikhlaaq say duniya jeet sakta hay yehi tareeqa humaray sahaba-e-karaam RZ ka tha kay unhoon nay apnay ikhlaaq aur mohababt say poori duniya main ISLAM ka parcham lehra diya... Main Pakistani hokar bhi Singapore main aik Indian family kay saath tour per gaya, aur hum aik dosray ka bohat khayal rakh rahay tha, main aik American joRay say Thailand main mila and we had very good time together, Australian family also met me in Thailand, Spanish explorer in Malaysia, British ladies in border between Singapore and Malaysia... Sab kay sab bohat hi achay andaaz say paish aayay, halaankay unhoon nay mujh say sawaal bhi kia kay Pakistan is very dangerous place to visit, laikin ALHAMDULLILAH main nay apni baatoon say unhain convince kia, I think we should have right knwoledge to deliver our thoughts to other, natuarlly a human have love for other, its all upon you that what sort of impression you are leaving on others :)

                                2. Sab say pehlay tou yeh batayain kay MUHABBAT kis cheese kaa naam hay?... Kiya Muhabbat un teen lafzoon ki mouhtaaj hay jo galiyoon main, bazaroon main, mouhaloon main, chobaroon main,school main, colleges main, universities main, shadi biya main, chori aur chupkay say ek dosray say har koi keh daita hay...

                                Yaa mohabbat uss ka naam hay kay pyar karnay walay har dosray din aik nayay affair ki talaash main rehtay hain, yaa mohabbat woh hay jo kay srif apni hawas ki aag aur nafs ki bhook mitanay kay liye ki jaati hay, yaa mohabbat woh hay jo time pass jaisay ghatiya naamoon say jaani jaati hay..

                                Yaa phir mohabbat woh hay kay pyar karnay walay apni chand dinoon ki mohabbat ko apnay maa baap ki barsoon ki mohabbat per tarjeeh daitay hain aur muhabbat main itnay andhay hojaatay hain kay apni Walida-e-mohtarma kay anmol ansoo aur apnay walid-e-mohtaram kay charay ki baibasi ko nahin parakh saktay!

                                MOHABBAT tou darhaqeqat aisa khubsurat aur pak rishta hay jo kay dosron say pyar karna sikhata hay, dosron ki izzat karna sikhaata hay, dosron ki khushi aur gham ka ehsaas dilaata hay, dosray kay liye dili hamdardi paida karta hay, hawas aur nafs ki bhook say mehfooz rakhta hay,darhaqeqat mohabbat woh muqddas rishta hay jo kay khudh takleef utha kar dosray ko khushi muyasar karna apna farz samajhta hay...

                                Mohabbat KHUDHGARZ nahin balkay KHUDH SHANAS Banaati hay, Insaan ko pyar aur mohabbat ka sabaq daiti hay aur sab say phaR kar QURBAANI daina sikhaati hay...

                                3. Well, everyone has their own way of taking things, and generally I still love everyone because I have a habbit of trusting people and that sometimes puts me in many danger but on the other hand I have a strong belief that whatever happens in our life, happens for good. I have an infectious energy and smile! I am someone who loves to laugh and enjoy life in all capacities. I have great self-confidence and self-respect - knowing my abilities and capabilities. I love family and spending time with the ones I love. I can make someone's day bright...as I enjoy laughter and being happy. I try not to let things or people get me down - life is too short and I need to savor each moment ALLAH SWT has given me.


                                Originally posted by *Rida* View Post
                                janab aap tu mehman e khososi hain ... aap tu pehlay bhi jawab dai saktay thay ....:D...aur bad mein bhi.... lakin rulls sab k liye aik jaisay hotay hain naa .. mebhi tu waiting.... main nay aik qauestion poch lia tha pehlay ...lakin phir post edit kar di thi ...

                                chalain ab aap me ko bataien ...

                                aap abroad jatay hain .... jahan bhi gaye hain ab tak ...how u are treated by foriegners (in theri country) being a PAKISTANI?

                                waisay tu abtak jitna aap ko samjha hai ... is ka answer mujhay pata hai ..)): lakin phir bhi ...aap say pochtay hain ... kuch loag kehtay hain Muhbbat khud gharz hoti hai ... aap ka kia khayal hai .... kia waqai aisa hai ....

                                there are people who feel good when they let down other ..... aap kaisay deal kartay hain aisay loagoon ko...

                                :lpop:
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X