Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

    Next Please :lol
    sigpic

    Comment


    • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

      Bilakhir mey ney aap ka poora interview perh liya.:-D Allah T'ala aap ko her qadam pe kamyab karey aur hamesha aap yuhi muskurahatein bkhairein. Ameen.

      - Malaysia aur Singapore dono hi meri most fav. jaghein hein aur inshAllah apni zindagi mey zaroor visit kerna hai. Aap mujhey ye btayein k in dono mumaalik ka pehla impression aap pe kya perha tha? Kya aap in k local logon k sath miley juley hein ... kuch bhi jo aap kehna chahien gey? :-)

      - Aap ney kaha k aap poori dunya ghoomna chahtey hein, kuch aik do jagein jo top of the list hon? :-)

      - Aap ki aur nature ki kitni dosti hai? Kabhi aap ney phoolon ko, hawa ko, drkahtoN ko, alal subha itni pyari awaz mey chehaktey prindon ko "good morning" kaha hai? :-D

      - Aap ney MashAllah apni zindagi apni mehnat aur koshish sey banai hai plus of course your parents du'az iss ssaarey process mey agar aap kuch usooloN per karband rahein hein tau wo kya they/hein?

      - You seem to be a very good Muslim MashAllah. Agar aap sey koi aeysa banda miley jo bilkul hi block ho, mayoos, uss k emaan level bhi down ho, jo k apni zindagi ki mushkilaat sey tang aa gaya ho, lekin wo her cheez k sath wapas catch up kerna chahta ho, what would be your conseil to this person?
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

        Originally posted by thefire1 View Post
        Zaroor jo aap ka hukum, sar ankhoon per :)

        1. Iss ka jawab main upper bhi likh chuka hay kay kisi aik member kay baaray main bol kar main baaqi members kay saath nainsaafi nahin karsakta... aur jitna main nay explore kia hay woh abhi bohat kam hay, I think its too early to answer that, waqt ka saath saath sab pata chal jayay ga :)

        2. Nahin mujhay aisa nahin lagta, kiyonki main apni baatoon ko daleelon aur wazahat say karnay ka aadi hoon aur saath saath koshish karta hoon kay meri baat main kisi bhi kisam ka jhot waghaira shamil na ho, sachayi kay saath jab ungliyan dili jazbaat iss screen per bikhairti hain tou inn ki rawaani ka andaaza mujhay khudh bhi nahin rehta, halankay main bohat koshish karta hoon kay kam likhoon magar yeh meray ikhtiyaar say bahir hojaata hay!

        3. aap bhi na, jab elobrate karta hoon tou kehtay hain kay itna kiyon likhtay hoo, aur jab kam likhta hoon tou kehtay kay elobrate kiyon nahin kia, kahan jayon main :lol

        Meri job ek Adminstration manager ki hay aap agar kahain tou job description type kardoon, phir na kehna kay itna kiyon likhtay hain :lol

        Main dua mang raha tha ke aap ka reply short short ho

        Impressive answers. aur best of luck for ur future :)
        Allah

        Comment


        • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

          Assalam o Alaikum Ali Uncil

          U ka naam itna zaburdust he....yeh thefire1 kyun rakha hua he
          yeh koi series he kia :donno: thefire1, thefire2 ......:donno: u kahi aag bujhnae wali company me to kaam nahi kurte:think:

          u ko to pata he k me perhne likhne se buhat dour rehta ho....
          is lie u k sare jawabat to nahi perhe....me ko pata he u aape hi cheete he

          me k bus aik/do hi sawal he...

          u kia real life me bhi itne lambe lambe jawab explain kurte he:donno:
          u to train ki characteristic bata hi rahe hote hounge k train nikal jati ho gi

          u ko dosre bunde itna time dete he k u itne lambe jawab explan kur sake

          bus yahi pochna he:embarasse

          Comment


          • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

            Originally posted by thefire1 View Post
            Mehmaan-e-khusoosi huwa tou kia huya rule to sab kay liye aik hi hain na, main nay pehlay HALA kay tamam jawabaaat diye, phir saraah aur yaram kay aab aap ki baari hay :lol

            1. I have been treated very well, Insaan har jaga apnay ikhlaaq say duniya jeet sakta hay yehi tareeqa humaray sahaba-e-karaam RZ ka tha kay unhoon nay apnay ikhlaaq aur mohababt say poori duniya main ISLAM ka parcham lehra diya... Main Pakistani hokar bhi Singapore main aik Indian family kay saath tour per gaya, aur hum aik dosray ka bohat khayal rakh rahay tha, main aik American joRay say Thailand main mila and we had very good time together, Australian family also met me in Thailand, Spanish explorer in Malaysia, British ladies in border between Singapore and Malaysia... Sab kay sab bohat hi achay andaaz say paish aayay, halaankay unhoon nay mujh say sawaal bhi kia kay Pakistan is very dangerous place to visit, laikin ALHAMDULLILAH main nay apni baatoon say unhain convince kia, I think we should have right knwoledge to deliver our thoughts to other, natuarlly a human have love for other, its all upon you that what sort of impression you are leaving on others :)
            .
            :thmbup:
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment


            • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

              Thats really nice, congratulations, meri bhi naik tamanyain aur duwayain aap kay saath hain, khush rahyeh :)

              1. You are right Malaysia aur Singapore are must visit places. It was August 2008 jab main Singapore gaya tha Karachi say, mousam bohat hi acha tha aur land hotay hi itni taiz baarish hoyee kay maza hi aagaya, I love RAINS mujhay baarish bohat achi lagti hay aur jab main nay waha ki haryaali ki barish ki boondon main nahatay dekha tou main apnay dil per qaboo nahin rakh saka aur khoob barish bhi bheeg gaya... aur yehi haal Malaysia main hua, kiyonki main via road Malaysia main enter hua tha Singapore say aur jab Kaula Lampur poohancha tou Bus say utartay hi baarish shuroo hogayi, yaani dono jagah ALLAH SWT ki remhat nay mera istiqbaal kia... Dono mulk main Safayi ko dekh kar main bohat impress hua, kiyonki waqayi safayi ka khayal rakhnay say Insaan kitni bemaarioyon say aur wabayon say mehfooz rehta hay, jo kay unfortunately humaray mulk main log iss ka bilkul khayal nahin rakhtay!!

              Local log bohat freindly hain, main kaafi logon say mila, Singapore kay log malaysia kay logon say ziyda educated aur well settled hain... If you are planning to visit Singapore, you should plan for 2012 kiyonki uss waqt tak un ka aik mega development plan complete hojayay ga, main bhi phir jayon ga agar ALLAH SWT nay mouqa dia to aur SENTOSA ISLAND zaroor jayey ga wahan per aik Light and Laser show "Song of the Sea" dekh kar tou aap dang reh jayain gi jaisay main reh gaya tha :)

              2. Switzerland aur Australia.... Main nay yearly planning ki hoyee hay bas dua karain kay ALLAH SWT issay kamyab banay...
              2009 - Egypt, Jordan, Lebenon, Syria and Turkey
              2010 - South Africa
              2011 - Australia and New Zealand
              2012 - Switzerland and some more European countries.
              2013 - Kenya and other African countries for Jungle Safari
              2014 - Brazil and Chile
              2015 - USA and Canada

              3. Nature ka deewaana hoon main, ALLAH SWT ki banayi hoyee iss khoobsurat duniya ko apnay camera main capture karna mera shouq hay, main nay 5000 say ziyada tasweerain capture kar kay apnay laptop main save ki hoyee hain INSAHLLAH jald hi aap sab say share karoon ga, bohat bareeki aur mohabbat say main har charand, parind, plants ko dekhta hoon aur planting ka bhi bohat shouq hay aur aksar main poudoon say baatain karta hoon, jaisay "kia haal hain", "koi parishani tou nahin"...yeh pagalpan main nahin actually main nay kahin paRha tha kay plants humari baatain suntay hain aur jab hum unsay baatain kartay hain tou unki nashonuma achi hoti hay aur woh achay say Grow kartay hain, yehi baat main nay apnay office kay maali say kee tou uss nay baRi masoomiyat say mujh say poocha "Sahab, yeh punjabi samajh lainday nay" main nay kaha "aaho kiyon nahin :lol

              4. Bilkul waldain ki duwayoon kay saath saath, ALLAH SWT ka karam aur apni mehnat yeh teenon hi shaamil hain meri kamyaabi main, mujhay khushi iss baat ki hay kay ALLAH SWT nay Rizq-e-Halaal ata kia... Main nay apni professional aur personal life ko kabhi mix-up nahin honay dia, yeh bohat zaroori hay kay aap apnay kaam main apni zaati ya gharailo mashgoolaat ko douur rakhain similiarly apnay ghar say apnay kaam ko dour rakhain dono jagah hi apnay relations ko maintain rakhna zaroori hota hay, ghar main kaam kaam ki baatain gharailoo mahool kharaab karti hain aur office main gharailoo masayil lay kar jayain tou office main efficeincy per farq paRta hay. Dosri bohat eham baat yeh kay apni zindagi ko dair tak bahar rehnay, idhar udhar ghoomnay ghumaanay say mehfooz rakhain kiyonki aksar insaan aisay karnay say buray chakaroon main phans jaata hay jo uski zindagi barbaad kardaiti hain. Dost bohat milain gain bas aap apnay aap ko kisi ki dosti kay qaabil banayain!

              5. Aik baat jo main sab say kehta hoon aur khudh bhi ussi per amal karta hoon, woh yeh hay kay " Insaan ko kabhi comparison per zindagi nahin guzaarni chayeh, agar aap apnay aap ko compare karna chatay hain tou apnay say neechay waalay say compare karain kiyonki agar aap apnay say upper walay say apnay aap ko compare karain gain tou mayoosi ki hi zindagi guzarain gain aur hosakta hay kay uss upper waalay ko compete karnay kay liye aap haram tareeqa ikhtiyaar karain aur duniya aur akhirat main dono hi main zillat aur khuwaari aap ka muqaddar banay"

              Sorry for long responses :)

              Originally posted by Z. View Post
              Bilakhir mey ney aap ka poora interview perh liya.:-D Allah T'ala aap ko her qadam pe kamyab karey aur hamesha aap yuhi muskurahatein bkhairein. Ameen.

              - Malaysia aur Singapore dono hi meri most fav. jaghein hein aur inshAllah apni zindagi mey zaroor visit kerna hai. Aap mujhey ye btayein k in dono mumaalik ka pehla impression aap pe kya perha tha? Kya aap in k local logon k sath miley juley hein ... kuch bhi jo aap kehna chahien gey? :-)

              - Aap ney kaha k aap poori dunya ghoomna chahtey hein, kuch aik do jagein jo top of the list hon? :-)

              - Aap ki aur nature ki kitni dosti hai? Kabhi aap ney phoolon ko, hawa ko, drkahtoN ko, alal subha itni pyari awaz mey chehaktey prindon ko "good morning" kaha hai? :-D

              - Aap ney MashAllah apni zindagi apni mehnat aur koshish sey banai hai plus of course your parents du'az iss ssaarey process mey agar aap kuch usooloN per karband rahein hein tau wo kya they/hein?

              - You seem to be a very good Muslim MashAllah. Agar aap sey koi aeysa banda miley jo bilkul hi block ho, mayoos, uss k emaan level bhi down ho, jo k apni zindagi ki mushkilaat sey tang aa gaya ho, lekin wo her cheez k sath wapas catch up kerna chahta ho, what would be your conseil to this person?
              sigpic

              Comment


              • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                Originally posted by Yaaram View Post
                Main dua mang raha tha ke aap ka reply short short ho

                Impressive answers. aur best of luck for ur future :)
                Thank you dear and wish you all the best too for your future endeavors. :)
                sigpic

                Comment


                • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                  Walaikum Assalaam

                  1. Thefire1 kiyon rakha hay iss ki explaination tou day chuka hoon Saraah kay sawaloon kay response main. Nahin yeh koi series nahin hay actually iss say pehlay ek site per koi aur thefire kay naam say register tha tou main nay thefire1 rakh dia, tab say ab tak issay hi follow kar raha hoon. Nahin main aag mujhanay waali company main kaam nahin karta :)

                  2. Nahin aisi koi baat nahin :)

                  3. Jahan zaroorat paRti hay tou isi tarhan wazaahat say baat karta hoon, kiyonki aksar humari wazahat say kisi ko gumrahi bhi hosakti hay, likhnay aur paRhnay main ziyada time lagta hoga magar jab inhi batoon ko bolnay main itna waqt nahin lagay ga, aap beshaq inko paRh kar aur yaad kar kay dekhain aur time machine on rakhna, phir mujhay batana kay kitnay second main aap nay yeh baat ki thik hay munnay :lol

                  4. Seekhnay waalay ya jisay zaroorat hoti hay woh iss say lamba jawaab bhi sunn laitay hain :)

                  5. OK, anytime dear :)

                  Originally posted by MSA View Post
                  Assalam o Alaikum Ali Uncil

                  U ka naam itna zaburdust he....yeh thefire1 kyun rakha hua he
                  yeh koi series he kia :donno: thefire1, thefire2 ......:donno: u kahi aag bujhnae wali company me to kaam nahi kurte:think:

                  u ko to pata he k me perhne likhne se buhat dour rehta ho....
                  is lie u k sare jawabat to nahi perhe....me ko pata he u aape hi cheete he

                  me k bus aik/do hi sawal he...

                  u kia real life me bhi itne lambe lambe jawab explain kurte he:donno:
                  u to train ki characteristic bata hi rahe hote hounge k train nikal jati ho gi

                  u ko dosre bunde itna time dete he k u itne lambe jawab explan kur sake

                  bus yahi pochna he:embarasse
                  sigpic

                  Comment


                  • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                    Originally posted by *rida* View Post
                    :thmbup:
                    thanks :)
                    sigpic

                    Comment


                    • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                      Thats really nice, congratulations, meri bhi naik tamanyain aur duwayain aap kay saath hain, khush rahyeh :)

                      1. You are right Malaysia aur Singapore are must visit places. It was August 2008 jab main Singapore gaya tha Karachi say, mousam bohat hi acha tha aur land hotay hi itni taiz baarish hoyee kay maza hi aagaya, I love RAINS mujhay baarish bohat achi lagti hay aur jab main nay waha ki haryaali ki barish ki boondon main nahatay dekha tou main apnay dil per qaboo nahin rakh saka aur khoob barish bhi bheeg gaya... aur yehi haal Malaysia main hua, kiyonki main via road Malaysia main enter hua tha Singapore say aur jab Kaula Lampur poohancha tou Bus say utartay hi baarish shuroo hogayi, yaani dono jagah ALLAH SWT ki remhat nay mera istiqbaal kia... Dono mulk main Safayi ko dekh kar main bohat impress hua, kiyonki waqayi safayi ka khayal rakhnay say Insaan kitni bemaarioyon say aur wabayon say mehfooz rehta hay, jo kay unfortunately humaray mulk main log iss ka bilkul khayal nahin rakhtay!!

                      Local log bohat freindly hain, main kaafi logon say mila, Singapore kay log malaysia kay logon say ziyda educated aur well settled hain... If you are planning to visit Singapore, you should plan for 2012 kiyonki uss waqt tak un ka aik mega development plan complete hojayay ga, main bhi phir jayon ga agar ALLAH SWT nay mouqa dia to aur SENTOSA ISLAND zaroor jayey ga wahan per aik Light and Laser show "Song of the Sea" dekh kar tou aap dang reh jayain gi jaisay main reh gaya tha :)
                      wah!
                      Singapore k baarey mey tau kaha jata hai k extreme had tak safai pasand hein :-)
                      inshAllah zindagi rahi tau mey bhi bohot saari barishein udher enjoy karun gi 372-shock

                      2. Switzerland aur Australia.... Main nay yearly planning ki hoyee hay bas dua karain kay ALLAH SWT issay kamyab banay...
                      2009 - Egypt, Jordan, Lebenon, Syria and Turkey
                      2010 - South Africa
                      2011 - Australia and New Zealand
                      2012 - Switzerland and some more European countries.
                      2013 - Kenya and other African countries for Jungle Safari
                      2014 - Brazil and Chile
                      2015 - USA and Canada
                      inshAllah

                      3. Nature ka deewaana hoon main, ALLAH SWT ki banayi hoyee iss khoobsurat duniya ko apnay camera main capture karna mera shouq hay, main nay 5000 say ziyada tasweerain capture kar kay apnay laptop main save ki hoyee hain INSAHLLAH jald hi aap sab say share karoon ga, bohat bareeki aur mohabbat say main har charand, parind, plants ko dekhta hoon aur planting ka bhi bohat shouq hay aur aksar main poudoon say baatain karta hoon, jaisay "kia haal hain", "koi parishani tou nahin"...yeh pagalpan main nahin actually main nay kahin paRha tha kay plants humari baatain suntay hain aur jab hum unsay baatain kartay hain tou unki nashonuma achi hoti hay aur woh achay say Grow kartay hain, yehi baat main nay apnay office kay maali say kee tou uss nay baRi masoomiyat say mujh say poocha "Sahab, yeh punjabi samajh lainday nay" main nay kaha "aaho kiyon nahin :lol


                      wow thats cool, apney jaisey bandon k baarey mey jaan ker shayad waqai khushi hoti hai :-), meyri uni. entrance mey kuch gulab lagey hein aur un ko mey hamesha good morning kehti hun aur mujhey hamesha aeysa lagta hai k wo smile back kertey hein :lol ... aur hawaein aur drakht aur khas ker abhi khizan mey itney pyarey rang subha subha suraj ki pehli kirnein aur cheh-chahatey parindey........ wow... Allah T'ala ney ye kainat bohot payari banai hai :alhamd:

                      4. Bilkul waldain ki duwayoon kay saath saath, ALLAH SWT ka karam aur apni mehnat yeh teenon hi shaamil hain meri kamyaabi main, mujhay khushi iss baat ki hay kay ALLAH SWT nay Rizq-e-Halaal ata kia... Main nay apni professional aur personal life ko kabhi mix-up nahin honay dia, yeh bohat zaroori hay kay aap apnay kaam main apni zaati ya gharailo mashgoolaat ko douur rakhain similiarly apnay ghar say apnay kaam ko dour rakhain dono jagah hi apnay relations ko maintain rakhna zaroori hota hay, ghar main kaam kaam ki baatain gharailoo mahool kharaab karti hain aur office main gharailoo masayil lay kar jayain tou office main efficeincy per farq paRta hay. Dosri bohat eham baat yeh kay apni zindagi ko dair tak bahar rehnay, idhar udhar ghoomnay ghumaanay say mehfooz rakhain kiyonki aksar insaan aisay karnay say buray chakaroon main phans jaata hay jo uski zindagi barbaad kardaiti hain. Dost bohat milain gain bas aap apnay aap ko kisi ki dosti kay qaabil banayain!



                      5. Aik baat jo main sab say kehta hoon aur khudh bhi ussi per amal karta hoon, woh yeh hay kay " Insaan ko kabhi comparison per zindagi nahin guzaarni chayeh, agar aap apnay aap ko compare karna chatay hain tou apnay say neechay waalay say compare karain kiyonki agar aap apnay say upper walay say apnay aap ko compare karain gain tou mayoosi ki hi zindagi guzarain gain aur hosakta hay kay uss upper waalay ko compete karnay kay liye aap haram tareeqa ikhtiyaar karain aur duniya aur akhirat main dono hi main zillat aur khuwaari aap ka muqaddar banay"
                      okay :-)

                      Sorry for long responses :)

                      Nah nah, not at all .... mujhey tau laga k abhi bhi aap kafi kuch short cut ker gaye hein :-D
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                        Originally posted by thefire1 View Post
                        Walaikum Assalaam

                        1. Thefire1 kiyon rakha hay iss ki explaination tou day chuka hoon Saraah kay sawaloon kay response main. Nahin yeh koi series nahin hay actually iss say pehlay ek site per koi aur thefire kay naam say register tha tou main nay thefire1 rakh dia, tab say ab tak issay hi follow kar raha hoon. Nahin main aag mujhanay waali company main kaam nahin karta :)

                        2. Nahin aisi koi baat nahin :)

                        3. Jahan zaroorat paRti hay tou isi tarhan wazaahat say baat karta hoon, kiyonki aksar humari wazahat say kisi ko gumrahi bhi hosakti hay, likhnay aur paRhnay main ziyada time lagta hoga magar jab inhi batoon ko bolnay main itna waqt nahin lagay ga, aap beshaq inko paRh kar aur yaad kar kay dekhain aur time machine on rakhna, phir mujhay batana kay kitnay second main aap nay yeh baat ki thik hay munnay :lol

                        4. Seekhnay waalay ya jisay zaroorat hoti hay woh iss say lamba jawaab bhi sunn laitay hain :)

                        5. OK, anytime dear :)
                        ok....:D
                        thankooo

                        khush rahein:dance5:

                        Comment


                        • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                          Thank you to both of you too Z. and MSA, khush rahyeh :)
                          sigpic

                          Comment


                          • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                            2 naam jo aap ko bahot pasand hain?

                            2 log jin k bager aap ji nahi sakte?

                            2 dost jo aap k hamraz hain?

                            2 khanay jo aap ko bahot pasand hain?

                            2 din jin k aanay ka aap ko intazar hai?

                            2 gift jo aap dena pasand kerte hain?

                            2 log jin k bager aap adhoore hain?

                            2 pg members jin se aap bahot ziada impress hain?

                            2 pg members jin se aap milna chahte hain?

                            2 log jo mobile per sab se ziada sms kon kerte hain?

                            2 log jin k liye apni jaan de sakti hain?

                            Aur bhi sawal hen pehle in ka jawab dijiye
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                              kaunsa member talented lagta hay

                              kaunsa member creative lagta hay

                              kaunsa member flirty lagta hay

                              kaunsa member actor lagta hay

                              kaunsa member emotional lagta hay

                              kaunsa member caring lagta hay

                              kaunsa member fool lagta hay

                              kaunsa member serious lagta hay

                              kaunsa member genious lagta hay

                              kaunsa member lover lagta hay

                              kaunsa member fighter lagta hay

                              kaunsa member jhoota lagta hay.

                              kaunsa member samajhdar lagta hay

                              kaunsa member dost lagta hay.

                              kaunsa member rude lagta hay.

                              kaunsay member say aap impress ho.

                              kaunsay member kee posts pasand hay?

                              kaunsay member se baat kernay ka dil kerta hai?

                              kaunsa member aap chahti hain k aap thread zaroor dekhe?
                              sigpic

                              Comment


                              • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                                Itnay 2, 2 ..... chalain phir main bhi 2 din main jawab doonga :lol
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X