Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* hayaa_n *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

    Originally posted by KHL
    :masha buhat hee khobsurat..............

    another???

    kis tarah kee friendship per bilive kerty hu...?:eye:
    :) KHL ji kaha jata hay na k"Dost hota nahi har haath milanay waala"main aap ko apna hi bataun gi..Dosti k bouhat say taqaazay hotay hain jo agar na nibhaey jaein to dosti ka haq ada na huwa...mairi bouhat hi kam logon say dosti hay but jin say hay woh mairay liye aur main un k liye:alhamd: sab kuch kar guzarnay k liye khud ko tayyaar patay hain..main har rishtay ki Base dosti ko hi samajhti hun agar us rishtay main dosti ka ansar nahi hay to woh paedaar nahi..dosti har rishtay ki base hay chahay woh koi bhi rishta ho but kuch rishton main dosti aur be,takalufi main farq rakhna munasib khayaal karti hun.Dosti ho ya koi bhi rishta sab with respect hi acha lagta hay...main ziyada dostiya'n nibha nahi sakti kiyun k dosti kay taqazey itnay ziyada nibha nahi sakti is liye dosti mehdood hay aur muttmain hun k jin say dosti hay apnay faraiz :alhamd: achi tarha ada kar rahi hun..
    :roseENIGMA:rose

    Comment


    • #92
      Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

      Originally posted by hayaa_n
      :) KHL ji kaha jata hay na k"Dost hota nahi har haath milanay waala"main aap ko apna hi bataun gi..Dosti k bouhat say taqaazay hotay hain jo agar na nibhaey jaein to dosti ka haq ada na huwa...mairi bouhat hi kam logon say dosti hay but jin say hay woh mairay liye aur main un k liye:alhamd: sab kuch kar guzarnay k liye khud ko tayyaar patay hain..main har rishtay ki Base dosti ko hi samajhti hun agar us rishtay main dosti ka ansar nahi hay to woh paedaar nahi..dosti har rishtay ki base hay chahay woh koi bhi rishta ho but kuch rishton main dosti aur be,takalufi main farq rakhna munasib khayaal karti hun.Dosti ho ya koi bhi rishta sab with respect hi acha lagta hay...main ziyada dostiya'n nibha nahi sakti kiyun k dosti kay taqazey itnay ziyada nibha nahi sakti is liye dosti mehdood hay aur muttmain hun k jin say dosti hay apnay faraiz :alhamd: achi tarha ada kar rahi hun..
      :jazak: :masha Buhat khoooooooooooooob next ?pher sahii....

      Comment


      • #93
        Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

        Nice Haya..............................wish u Gud lUck in Future,,,,
        be happy

        Comment


        • #94
          Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

          Originally posted by Hala
          Hayaa jiii ur interview is going excellent ....keep it on :thmbup:

          can i ask question ....:khi:

          ok thanks ...

          Agar ap truck driver ban jaii .... ap kahaa pe chalana pasand karingii ?

          next Q is coming soon :)
          Bouhat Shukriya Hala ji..:)
          Agar main Truck Driver hoti :lol :lol to main bas Trucks main hi rehti :lol usi main so gai, usi main uth gai,PC bhi rakhti ta kay Pegham par online bhi rehti :lol Guess bhi to theek karna hain kay nahi? :lol main kisi aik jagha na rukti saari duniya main by Truck hi safar karti :lol waqt parta to samander main bhi as a ship chalati...:lol
          Last edited by hayaa_n; 10 December 2005, 20:59.
          :roseENIGMA:rose

          Comment


          • #95
            Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

            Originally posted by KHL
            :jazak: :masha Buhat khoooooooooooooob next ?pher sahii....
            :jazak: :) KHL ji bouhat shukriya.Khush Rahiye.Aameen.:)
            :roseENIGMA:rose

            Comment


            • #96
              Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

              Originally posted by KHL
              Nice Haya..............................wish u Gud lUck in Future,,,,
              be happy
              :jazak: :) KHL ji bouhat shukriya dua k liye shukar guzaar hun.:)
              :roseENIGMA:rose

              Comment


              • #97
                Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                Assalaam o alekum,


                hayaa ek aur sawaal leker haazir hun :D:

                kal ki aurat aur aaj ki aurat(females) mien kyaa farq hai ???
                :tang: RISK IS MY BUSINESS

                DANGER IS MY GAME

                DONT PLAY WITH ME
                BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                Comment


                • #98
                  Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                  Originally posted by aik_lerki
                  Haya mai aa gaee Questions lay ker

                  1)Ager aapko ikhtiyar mil ja'ay to aap awaam ki bhalae kay liay kiya kerayge?

                  2)Aaap ye batao ky aap nagaware ka izhar kis tarah kerte ho?

                  3)jesa ky aap bohat acha likhte hain..to bohat saray loog tanqeed bhe kerty hon gay..kiya aap vo bardasht kerte ho?

                  4)Aapka zindagi k bary main kiya nazarya hai?

                  5)Aaap tanhae pasand ho ya social?

                  6)aapko 12 maheeno ma sy kon sa maheena pasand hai aur kio?

                  7)Koe aise shakhsiyat jis sy aap mutasir hoe hon?

                  8)Wo kon sy kaam hain jin ki takmeel ki ta haal arzo hai?

                  9)Aapki zindage ky asool?

                  10)Khoobsurat tareen din kon sa hai apki zindage ka?

                  Baki abhe lay ker ate hon :D:

                  Welcome Aik Larki Ji with Ice-Cream...:lol
                  Aap kay Q umda hain..:thmbup: :) jawaab haazir hay...

                  A 1)Agar mujhay yeh ikhtiyaar mil jaey to main har Idaray say Jhoot ka khaatma karun gi baaqi bhalaai ki chain say chain khud bakhud jurti chali jaey gi aur Awaam ki bhalaai kay iqdamaat hotay chalay jaein gay...Jhoot hi har burai ki Jar hay us ko ukhaar kar phainku'n gi to baaqi buraiya'n khud dam tor dain gi aur Awaam ki :insha: bhalaai hi bhalaai aur Mulk :masha jald hi Saf-e-Awwal par.:thmbup:

                  A 2)Mujhay har woh baat bouhat na'gawaar guzarti hay jo k tehzeeb.o.Ikhlaaq say giri hui ho..Allah ka shukar hay k real main mujhay is say kam hi waasta para hay but Net par Mujhay pvt msg main is ka saamna karna para...main kisi bhi haal main tameez.o.tehzeeb ka daman haath say nahi janay deti koshish bhi karun gi to nakaam rahun gi kiyun k meri fitrat main nahi hay..is daerey main rehtay huway bhi saamnay waalay ka dimaagh theek kiya ja sakta hay...ignoreable baat fowran ignore kar deti hun but kuch baaton ko ignore karna ghalat baat ko mazeed hawa dena hota hay.mairay saath aisa kiyun k net k pvts main huwa to main nay tameed kay daerey main rehtay huway un kay Mind main achi tarha jhaaru lagai :lol kuch vacume cases thay to vacume bhi kiya...aur result yeh raha k woh baaz aaey aur jo baaz nahi aey un ko ignore kardiya...kabhi reply hi nahi diya...msg read kiye baghair delete...

                  Naagwari say muraad agar ghussa hay :lol hehehehehe to mujhay yun samajh lijiye k ghussa aata hi nahi hay boooooooooohat hi kam aata hay but bila wajha nahi aata..ghussa aey to main bilkul khamosh ho jati hun. khana pina fowran chowr deti hun.:lol :lol bhook piyaas fowran khatam ho jati hay aur aik lafz nahi bolti... kisi ko pata bhi nahi chalnay deti k mujhay ghussa hay :lol khud ko is had tak busy kar leti hun k aihsaas hi nahi honay deti k ghussa hay..khud ko khud hi samjha kar sahi kar leti hun aur usi tarha dobara ho jati hun...

                  A 3)Main tanqeed bara-e-tameer ko bouhat pasand karti hun but abhi tak koi aik bhi aisi tehreer nahi hay jis par kisi nay tanqeed ki ho..Shayed woh poora read hi nahi kartay :lol ya is qabil nahi samajhtay k tanqeed bhi kiyun zaya ki jaey? :lol pata nahi tanqeed kiyun nahi hui kisi bhi tehreer par? :cc: but agar aisa hoga to main bhala kiyun nahi bardasht karun gi? isi tarha to mujhay apni tehreer ki khamiyon ka pata chalay ga..tanqeed baraey tanqeed mujhay nahi pasand..main tanqeed baraey tameer ki qail hun...

                  A 4) Main social to hargiz bhi nahi kehlai jaun gi,maira shumaar tanhaai pasand logon main hi hota hay...but jin logon main shamil hona pasand ho to wahan main social hun...
                  :roseENIGMA:rose

                  Comment


                  • #99
                    Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                    A 5)Zindagi kay baraey main mera nazariya yeh hay k Zindagi Allah ki bakhshi hui aik bouhat bari Neimat hay..hamari takhleeq ka koi na koi maqsad hay...to zindagi ko zaya nahi karna chahiye jis maqsad k liye di gai hay us ko sir anjaam dena chahiye...agar ham sab apni apni zindagi ko kisi positive plane k tehet guzarein to aaj duniya ki yeh surat-e-haal hi na hoti...har fard-e-waahid hi apni zindagi ko positive way k tehet guzarey aur achai aur bhalaai k kamon main hissa lay apni bisaat kay mutabiq to zindagi ki neimat zaaya nahi hui..ham to likh kar bhi apni zindagi zaaya honay say bacha saktay hain..lafz ba,maqsad bhi likhay ja saktay hain aur fuzool bhi...hansi hansi main bhi aap doosron tak koi achi baat, koi acha pegham apnay lafzon say de saktay hain..zindagi ki neimat ko zaya karna sakht na'shukri hay jo k mujhay nahi pasand..

                    A 6)Mujhay March ka aur April ka bhi month bouhat pasand hay.wajha is ki yeh hay k yaha'n khushgawar mousam hota hay.na bouhat sardi na bouhat garmi..mousam-e-bahaar ka urooj hota hay aur galiya'n raat ki raani ki khushbu say mehekti hain..har taraf phool hi phool...is wajha say mujhay yeh 2 months ziyada pasand hain..

                    A 7)Plz zara is sawaal ki wazahat kijiye..kiya koi Adabi hawalay say Q hay ? ya kisi Mazhabi hawalay ki shaksiyat? :cc:

                    A 8) Aisay kaam karna chahti hun jin main mustahiq logon ki bhalaai ka paihlu mairay saamnay ho...mairi dili khuahish hay k main Pakistan say ibtida karun kiyun k ibtida ghar say hi karna chahiye..mazloom logon ki madad k ilawa main un main taaleem phailanay ki aarzu rakhti hun.kiyun k la ilmi bouhat si ghalat baaton ko janam deti hay...yahi wajha hay k hamara Deen kuch aur kehta hay aur moashray main kuch aur dekhnay ko milta hay. is ki wajha la ilmi hi hay.taleem ka farogh bouhat ziyada zaroori hay aur main in kaamon main shaamil hona chahti hun.aik bouhat bari aarzu hay.

                    A 9)Yeh sawaal Gul ji kar chuki hain Plz Read it...:)

                    A 10)Mujhay to har din hi :masha yaad gaar sa lagta hay.Allah nay apna bouhat khas fazal kiya huwa hay...Zindagi ka yaad'gar din...har woh din hay jab maira wujood, mairi rooh tak khushi say be'sakhta jhoom uthi..:masha :rose :)
                    :roseENIGMA:rose

                    Comment


                    • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                      Originally posted by khurram_shaikh
                      Assalaam o alekum,


                      hayaa ek aur sawaal leker haazir hun :D:

                      kal ki aurat aur aaj ki aurat(females) mien kyaa farq hai ???
                      W.salaam
                      Khurram ji main is sawaal ka shayed sahi jawaab na day sakun? :cc:

                      Mujhay Qaid-e-Azam ka aik Qowl yaad aa'gaya hay..

                      "TUM mujhay achi Maa'n do,Main tumhain achi Qowm dun ga"

                      Aaj ki aurat itni achi maa'n nahi shayed jitni pehlay huwa karti thee'n. jab k aaj ki aurat ziyada taleem yaafta hay puranay zamanay ki aurat kay muqaablay main...
                      Muashray kay zawaal ka aik sabab yeh bhi hay k Tarbiyat main woh baat nahi rahi jo k pehlay huwa karti thi..moashra din ba'din zawaal pazeer isi liye hay k ghar say tarbiyat achi nahi mil rahi..Aurat ka bouhat bara amal dakhal hay moashray ki taameer main...kal ki aurat zehni towr par ziyada educated thi.ba'nisbat aaj ki...main degree holder honay ko education tasleem nahi karti..
                      :roseENIGMA:rose

                      Comment


                      • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                        Q)yahi to hum jaana chah rahey they ....key khud bakhud kaun si sochienn aati hein ??? :-)
                        Sochain kis tarha share karun? :lol :lol
                        Ok kuch batati hun....mairi kuch sochain to bouhat hi personal hain woh to zaahir hay k share nahi ho saktee'n but kuch share karti hu'n :khi:

                        ....Pakistan main hoti,aur wahaan maira Tandoor hota :lol sab say kehti k main achi rotiya'n, saaf tareeqey say pakati hun aap loge sab say kahiye k woh mairay hi tandoor say rotiya'n khareeda karain. :lol :lol

                        ....Main petrol pump par job karti sab ki gariyon aur bykes main thowra thowra ziyada hi petrol bahanay bahanay say daal diya karti...:lol :lol

                        ....Main Rikhshaw bhi chalati...Truck bhi chalati...sir par cap ya pagree hoti aur main Dagha Dagha wai wai kiya karti..:lol :lol



                        Last edited by hayaa_n; 10 December 2005, 21:01.
                        :roseENIGMA:rose

                        Comment


                        • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                          Q)cool, aaj key insaan itni dher saari batein ikhati aap ko mil jati hein?
                          aap ney kaha "apni zaat ko peechey chorney waley"

                          yani???


                          Ji haan mil jaati hain...:alhamd: maira "kuchhh" hi logon say waasta hay aur un main :masha :) yeh khubiya'n mowjud hain..:)

                          Apni zaat ko peechay chowr deney ki wazahat karti hun..
                          Aik Shair yaad aaya hay pata nahi kin ka hay?:)

                          ( Doosro'n kay gham say apnay gham ko wus'at mil gai
                          Loge pyasay hain yahi aihsas darya ban gaya )

                          Koi kisi gham main mubtila ho,kisi maslay main giraftaar ho..to apni zaat ko faramosh kar kay,apnay gham ko peechay chowr kay..us ki dil joi kijiye..us ka masla solve karnay ki koshish kijiye..doosron kay gham ko apnay gham par fowqiyat dijiye...


                          :roseENIGMA:rose

                          Comment


                          • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                            AOA,

                            Agar aap ka khane ka mood ho aur kareeb koch b na mile to kia karaion ge.


                            Agaar neend na a rahyi ho aur aap ko sona b ho to kia karain ge.:)



                            Sohail Abbasi.
                            Apna haq ada karo.

                            Comment


                            • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                              Originally posted by khan
                              AOA,

                              Agar aap ka khane ka mood ho aur kareeb koch b na mile to kia karaion ge.


                              Agaar neend na a rahyi ho aur aap ko sona b ho to kia karain ge.:)



                              Sohail Abbasi.
                              W.salaam

                              A 1) Khan ji main araam say bhooki reh laiti hun..zara bhi koi masla hi nahi :lol :lol main 2 din bhi kuch na khaun tab bhi bhook par qaabu hay bouhat...hehehehehe :lol
                              Main :masha cooking achi karti hun :) sab :alhamd: tareef kartay hain..is liye kuch bhi paka k khaya ja sakta hay na ? :cc:

                              A 2) Jaagtay main so jaun gi...:lol neend na aa'rahi hui aur sona bhi huwa to main aankhain band kar kay jaagti aankhon say khuaab dekhun gi jo kay mujhay bouhat pasand bhi hay :lol gumaan yeh guzrey ga kay main so rahi hun. :lol
                              :roseENIGMA:rose

                              Comment


                              • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                                AOA,

                                Acha ji sachi:)


                                Sohail Abbasi.
                                Apna haq ada karo.

                                Comment

                                Working...