Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* hayaa_n *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

    AOA,

    Bohat ache jawabat diye hain aap nain ye bataye k har aik apne aap ko acha zahir karta hai to acha hai kon aur kis tara ban sakta hai agar koi khaish rakhta hoo:)



    Sohail Abbasi.
    Apna haq ada karo.

    Comment


    • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

      Hayaa ji Asslam o allaikum Wr WB,
      umeed e wasiq hey k aap bakhairiyat hon gi.
      kuch swaal le ker hazir hoon, jwab inayat kijiye ga, shukerguzaar rahun gi.:)


      1. Insaan shayeri kiyun kerta hey? ager aap adab se lagao nah rakhteen to aap izhaar e zaat ya izhaar e khyal k liye kis shohbay ko apnateen?

      2. Ager aap ko yeh ilm ho jaye k aap ki zindagi jald hi khatum honay wali hey to aap k kia jazbaat hon gay?

      3. Aap ki zindagi mein dosti ki kia ahmiyat hey? kia aap doston ko apni family per foqiyat deti hein, family jaisa hi samjhti hein ya family se alag aik rishta samjhti hein?

      4. Aap Pakistan mein nhi hein to iss hawaalay se aik swal puchna chahti hun k aap k khyal mein kia aik aurat mard k sahaaray k bagher zindagi guzaar skti hey?(pakistan k halaat k hawalay se jwab nhi dijiye ga)

      5. Hum humesha yehi rona rotay hein k mard ne aurat per zulm kiya, uss k haqooq ka istesaal kiya..........kia aap samjhti hein k aaj aurat bhi mard ko ussi trah tashadud ka nishana bna rahi hey, lekin unn becharon ki awaaz sunenay wala koi nhi.........kia mardon k haqooq k tahafuz k liye bhi tanzeemein bnai jani chahiyein ya nahi?(ye bat mein ne European Countries k hawalay se ki hey).

      Bass Hayaa ji aaj k liye itnay hi swaal hein, 16th phir mouqa mila to zaroor poochun gi.

      Comment


      • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

        Originally posted by khan
        AOA,

        Bohat ache jawabat diye hain aap nain ye bataye k har aik apne aap ko acha zahir karta hai to acha hai kon aur kis tara ban sakta hai agar koi khaish rakhta hoo:)



        Sohail Abbasi.
        W.salaam
        :jazak: :) Bouhat shukriya Khan ji.

        A) Khan ji koi Insaan burai say maawra to hay nahi but main un mai takhsees ya imtiyaaz is tarha karti hun k jin logon main burai ka tanasub achai say ziyada hay woh buray hain..jin logon main buraai k muqablay main achaiya'n ziyada hain un ko achay logon main shumaar karti hun..yeh bhi maanti hun k mostly buray logon k ander kahin na kahin achai chupi hoti hay jo doosron ki kiya un ki khud ki bhi nazron say posheeda hoti hay....har insaan Zameer rakhta hay aur :alhamd: yeh mera pukhta imaan hay k har bura kaam karnay say pehlay hamaray ander say aik aawaaz aati zaroor hay k "YEH NA KARO"yeh zameer ki awaaz hoti hay jis ko ham daba detey hain aur achay raastay say bhatak jaatay hain..jo loge achai ka raasta apnana chahtay hain woh apnay ander say ubharnay wali Zameer ki halki si bhi awaaz ghowr say sun lain to :insha: sirat-e-mustaqeem par chalnay say un ko koi banda bashar nahi rok sakta...mustaqil mizaji bhi shart hay.:alhamd: himmat karay insaa'n to kiya ho nahi sakta..:thmbup: :)
        :roseENIGMA:rose

        Comment


        • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

          AOA,

          :masha wah kia baat hai bohat ache tareeke se aap nain apna noka e nazaar baiyaan kiye hain:)


          Sohail Abbasi.
          Apna haq ada karo.

          Comment


          • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

            Originally posted by khan
            AOA,

            :masha wah kia baat hai bohat ache tareeke se aap nain apna noka e nazaar baiyaan kiye hain:)


            Sohail Abbasi.
            :jazak: Bouhat Shukriya Khan Ji.K Aap Ko Maira Jawaab Pasand Aaya.:)
            :roseENIGMA:rose

            Comment


            • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

              [quote=Muskan]Hayaa ji Asslam o allaikum Wr WB,
              umeed e wasiq hey k aap bakhairiyat hon gi.
              kuch swaal le ker hazir hoon, jwab inayat kijiye ga, shukerguzaar rahun gi.:)

              W.salaam
              Muskan ji umda Q hain.mujhay pasand aaey aap k Q. :insha: Aaj hi ya Kal reply likhun gi.:)
              :roseENIGMA:rose

              Comment


              • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                Originally posted by Muskan
                Hayaa ji Asslam o allaikum Wr WB,
                umeed e wasiq hey k aap bakhairiyat hon gi.
                kuch swaal le ker hazir hoon, jwab inayat kijiye ga, shukerguzaar rahun gi.:)


                1. Insaan shayeri kiyun kerta hey? ager aap adab se lagao nah rakhteen to aap izhaar e zaat ya izhaar e khyal k liye kis shohbay ko apnateen?

                2. Ager aap ko yeh ilm ho jaye k aap ki zindagi jald hi khatum honay wali hey to aap k kia jazbaat hon gay?

                3. Aap ki zindagi mein dosti ki kia ahmiyat hey? kia aap doston ko apni family per foqiyat deti hein, family jaisa hi samjhti hein ya family se alag aik rishta samjhti hein?

                4. Aap Pakistan mein nhi hein to iss hawaalay se aik swal puchna chahti hun k aap k khyal mein kia aik aurat mard k sahaaray k bagher zindagi guzaar skti hey?(pakistan k halaat k hawalay se jwab nhi dijiye ga)

                5. Hum humesha yehi rona rotay hein k mard ne aurat per zulm kiya, uss k haqooq ka istesaal kiya..........kia aap samjhti hein k aaj aurat bhi mard ko ussi trah tashadud ka nishana bna rahi hey, lekin unn becharon ki awaaz sunenay wala koi nhi.........kia mardon k haqooq k tahafuz k liye bhi tanzeemein bnai jani chahiyein ya nahi?(ye bat mein ne European Countries k hawalay se ki hey).

                Bass Hayaa ji aaj k liye itnay hi swaal hein, 16th phir mouqa mila to zaroor poochun gi.
                W.salaam :) Ji Allah ka shukar hay k ba'kheriyat hu'n.
                Muskan ji aap k Q kay jawaab paish karti hun.:)
                A1)Shairi aik Ilhami kefiyat ka naam hay.Insan par khud aamad hoti hay aur woh apni feelings aur khayalaat ko kisi had tak shairi main bayaan kar pata hay aur bouhat si feelings kabhi bhi lafzon ka roop nahi dhaar sakteen..isi liye har insaan shaair nahi...is liye k un par aamad ka silsila us tarha nahi hota k woh shaairi kar sakain jab k woh bila shuba saahib-e-zowq bhi hotay hain.tab bhi un say shaairi nahi hoti.doosron ka likha albatta showq say parhtay hain..
                main agar Adab say lagao na rakhti tab bhi kisi aisi hi field say wabasta hoti jo k artistical hoti.main ab bhi paintings banati hun.mairay liye painting bhi shaairi hi hay.

                A 2) Mujhay agar yeh ilm ho jaey to fitri towr par shayed pehlay to Dil par bouhat ziyada dhakka sa lagay ga, ho sakta hay k shocked reh jaun, aansu hi na niklein,ya bouhat roun...
                but agar mujhay yeh pata chal jaey to main khud ko jald say jald sanbhalnay ki koshish kartay huway khud ko poori tarha din raat waqf kardun gi bhalaai k kaamo'n main....
                jo loge mujh say wabasta hain un ka mazeed khayaal rakhu'n gi aur ahista ahista share bhi karun gi k mairay saath aisa huwa hay aur main zehni towr par tayyaar hun is baat k liye..main sonay ki kam say kam try karun gi kiyun kay bouhat kam time hoga mairay paas.. jitni deir main sona hay kuch kar kiyun na guzrun? bila tafreeq sab k kaam aana mujhay hamesha pasand raha hay aur isi ko continue rakhun gi :insha:

                Wesey dekha jaey to hamein sirf WAQT-E-MOWT ka hi to nahi pata ?sirf yahi baat posheeda hay, warna to ham jaantay hi hain k hamein marna hay..aaj nahi to kal...
                Last edited by hayaa_n; 13 December 2005, 03:53.
                :roseENIGMA:rose

                Comment


                • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                  A 3)meri zindagi k har rishtay ki base dosti hi hey,main Q k reply main likh chuki hun but again likhti hun k har woh rishta paidaar hota hay jis ki base sachi dosti par hay chahay woh jo bhi rishta ho but kuch rishton main main dosti ki to qael hun but be'takalufi ki zara qail nahi.is tarha un rishton main had-e-adab khatam honay ka khadsha hota hay...main doston ko family members nahi samajhti. dosti k apnay taqazey hain aur family k apnay..jis tarha har rishtay say aik si mohabbat nahi hoti isi tarha har rishta bhi aik sa nahi hota..doston say jo maira rishta hay woh family say bilkul hat kar hay..Mujhay Allah ka shukar hay Ideal family naseeb hui hay is liye aap k is sawaal ka jawaab k "Main kis ko fowqiyat doon gi?" yeh hay k main family ko fowqiyat dun gi...family k liye dosti qurban kar sakti hun but dosti k liye family nahi, chahay dil par kuch bhi guzray..

                  :roseENIGMA:rose

                  Comment


                  • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                    A 4)Aurat mard k saharay k baghair kahin bhi ba'izzat zindagi guzarnay say qaasir nazar aati hay..badnami kisi na kisi hawalay say us ka peecha karti hay aur woh na sirf zehni towr par rafta rafta khatam hoti jaati hay balkay roohani towr par bhi mutassir hoti hay.Jab qudrat nay hi mard.o.zan ko aik doosray ka sahara banaya hay to, na to mard mukamal hay aurat k baghair, aur na hi aurat mukamal hay mard k baghair.
                    Kiyun k aap nay only aurat k hawalay say sawaal kiya hay aur out of Pakistan ki baat ki hay to yaha'n phir bhi aurat zindagi guzaar sakti hay is had tak usay mushkilaat ka saamna nahi karna parta jo hadd Pakistan main hay.but yaha'n ki aurat bhi bouhat qabil-e-rehem hay aisay iasay tashaddud ka shikaar hay k kiya kahun..zehni bhi,jismani bhi..khawateen kiyun yaha'n smoking karti nazar aati hain? is liye k tension ka shikar hain...khud saakhta tensions bhi hain aur apni insani fitrat say faraar bhi in ki mushkil barhata hay...in short itna kahun gi k yaha'n ki aurat mard k saharey k baghair reh sakti hay aur apnay rights bhi use kar sakti hay...but zindagi us ki mushkil hi hoti hay asaan nahi.
                    :roseENIGMA:rose

                    Comment


                    • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                      A 5) Khawateen k huqooq ki tanzeemein hi is baat ki gawah hain k yaha'n bhi aurat na'insafi ka shikar hay warna in tanzeemo'n ka wujood hi na hota...
                      Ji haan yeh bilkul sahi baat hay k khawateen ki bouhat bari tadaad aisi hay jo k mardon k liye zehni towr par aziyat ka ba'is banti hain.aur qanoon ka faeda uthatay huway jhootay ilzamaat laga kar apnay haq aur apnay faedey ka sochti hain.khud mazloom na hotay huway bhi khud ko mazloom bana kar aam towr par bhi aur media k samnay bhi paish karnay say nahi chooktee'n..har jaiz, na jaiz harba istimaal karti hain k mard hil bhi na sakay...yeh main Europe k hawalay say hi baat kar rahi hun.yaha'n tak kay rafta rafta aurat ghalba pa leti hay chahay us k liye us ko apnay muqaam say kitna hi neechay utarna paray jo woh thaan leti hay kar k hi dikhati hay.murder tak main khawateen mulawwis hain..dehshat gardi main bhi mulawwis hain..main general baat paish kar rahi hun..
                      ji haan main is haq main hun k khawateen k ilawa mard hazraat k rights k liye bhi tanzeemein hona chaiyein.sirf is hawalay say aurat k haq main fesla dena na insafi hay k kiyun k woh aurat hay yaqeeni towr par mard hi nay ziyaad'ti ki ho gi...yeh na' insafi hay mard k saath.jis ka qusoor hay us k saath insaaf hona chahiye aur mardo'n ki bhi tanzeemein tashkeel dena chahiyein.
                      :roseENIGMA:rose

                      Comment


                      • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                        AOA,

                        Agar aap so saal pahle k zamane main hote to kahsa mahsoos karte :)


                        Agar net ki dunya se monsalik na hote to kia mashaghil hote:)


                        Sohail Abbasi.
                        Apna haq ada karo.

                        Comment


                        • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                          Originally posted by khan
                          AOA,

                          Agar aap so saal pahle k zamane main hote to kahsa mahsoos karte :)


                          Agar net ki dunya se monsalik na hote to kia mashaghil hote:)


                          Sohail Abbasi.
                          A1)Agar main 100 saal pehlay peda hoti to main us waqt aap ko reply likh kar bata'ti k main kiya feel kar rahi hun :lol aap maira bayaan Akhbaar main laga detey.:lol
                          hmmm mujhay nahi pata k main kiya mehsoos karti bas itna jaanti hun k Allah agar mujhay aisa hi mizaj aur fitrat k saath 100 saal pehlay bhaijtay tab bhi main :masha khoob khush reti aur khoob khush rakhti.chahey mitti aur stone hi hotay us say hi games khailti. :lol aur kisi na kisi tarha shaairi bhi karti..koi na bhi parhta to main kaafi thi.:lol

                          A 2) Mujhay Net ki duniya say munsalik huway abhi pooray 2 saal bhi nahi huway hain.agar munsalik na hoti to key board ki jagha kaghaz aur bol point haath main hotay aur main pehlay ki tarha Digests main likhti...Digests aur books read karti.time par soti :lol yeh kam az kam na hota k abhi to mujhay din raat ka koi eihsaas hi nahi hay.net k baghair yeh aihsaas rehta..bouhat ziyada forums par likhti hun but net na hota to main again Digests aur news papers main likhnay lagti..
                          :roseENIGMA:rose

                          Comment


                          • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                            haya aap ka bohot shukrya ...hamein itna acha time deyney ka....aap key baarey mey jaan ker bohot khushi hui :rose


                            isi tarhan hansti muskurati rahein :lol

                            inshAllah :-)
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                              Originally posted by barg.e.gul
                              haya aap ka bohot shukrya ...hamein itna acha time deyney ka....aap key baarey mey jaan ker bohot khushi hui :rose


                              isi tarhan hansti muskurati rahein :lol

                              inshAllah :-)
                              Assalam.o.Aleikum
                              Gul ji :masha say mujhay bhi bouhat hi acha laga hay aap logon kay saath :thmbup: bouhat umda Q aap sab kay jin ka answer likhtay huway mujhay bouhat acha laga..:) aap sab k liye mairi dua hay k bouhat khush rahain aur achchai ki sanjeedgi say ya mizaah main tableegh jaari rakhein..aik doosray ki achi baato'n ko apnaiye aur baghair dil aazari kiye aik doosray ki ghaltiyon ki nishandahi pvt main kijiye ta kay ham apni in baaton ki islaah kar sakein...
                              Mairay kisi bhi lafz,ya jumlay,answer say kisi ki dil shikni hui ho to maazrat chahti hu'n....

                              Main 1000 posts to pehley Dedicate kar chuki hun...ab bhi bouhat kam hain but main Pegham ki respectable team aur respectable bouhat achay members ko apni 2700 Posts Dedicate karna chahti hun..Yeh chouta sa gift qubool kijiye...Mujhay khushi ho gi...Allah aap sab ko bouhat khush rakhay aur aap say waabasta logon ko bhi bouhat khush rakhay.Aameen.. :insha: mulaqaat jari rahay gi.
                              Allah Hafiz :)
                              Last edited by hayaa_n; 15 December 2005, 13:03.
                              :roseENIGMA:rose

                              Comment


                              • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                                Me late ho gayi :(

                                magar Hayaa_n u ka interview parh ker buhut acha laga dear :phool: .. aur ek baat btao u ne first page per jo poem share ki hai na , mera bister, meri chader, mera takiya...wesi hi ek choti si poem me ne bhi likhi thi .... :embarasse ba'unwan "Takiya" matlab wesa hi hai, alfaz mukhtalif hain, U ki nazm parh ker buhut acha laga.


                                Khush raho buhut :ff:
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X