Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* hayaa_n *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • In The Spotlight ~* hayaa_n *~

    welcome Haya to Pegham Interview Spot :wave




    ham umeed kertey hein key ye do haftey aap key hamarey sath bohot achey guzrein gey inshAllah

    Pegham Interview Rules

    Rules hamarey thorey sey change ho gaye hein,

    1-Ham sirf 20 sawal poochein gey inshAllah

    2-sawalaat ka jawab (haya sey request hai) chaar "4" dino mey mil jaye ga inshAllah,

    3-baki 10 din aap sab key hein, yani aap araam sey sawal ker saktey hein

    4-Aap sawal hamarey interview key dauran bhi pooch saktey hein magar Haya un ka jawab hamara interview khatam honey key baad hi dein gi inshAllah

    5-bey maqsad sawal poochney sey gureyz karein warna aap mujhey jaantey hi hein :P

    6-Agar Rules na follow kiye gaye to hum aap ki post edit kerney ka poora haq rakhtey hein

    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

    Interview First Part
    Attached Files
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

      Interview Part 1-b
      Attached Files
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

        hmmmmmmm Welcome Haya to the iNterview sPoT :)
        Allah

        Comment


        • #5
          Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

          hayaa jjii Wellcome .... :welcome:
          ab kuch khail kood band karii aur apna interview start karii no risk :lol:rose
          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

          :pr:

          Comment


          • #6
            Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

            Assalam.o.Aleikum :)
            Bouhat shukriya Gul ji..main Pegham ki shukar guzaar hun k mujhay interview k liye muntakhib kiya gaya..bouhat shukriya..umeed hay k yeh waqt bhi:insha: bouhat achcha guzray ga.:) mujhay urdu composing nahi aati is liye aap logon ko roman urdu main hi majburan read karna paray ga...:cc:
            Ok ab main Bahaanay bahaanay say Sharaafat kay saath aap k sawaalon kay jawaab bhi daiti jaaun..:lol

            Q)Din main aap kitni baar Pegham par aa'kar game khailti hain?

            A)Main bouhat baar aati hun :lol thora sa khaila phir chali gaai, again aa' gai phir chali gai..:lol but aati kaafi baar hun..:lol

            Q)Game Shame main aapki pasandeeda game kownsi hay?

            A)Mujhay taqreeban saari games pasand hain but sab say achchi game "Guess"waali lagti hay..bouhat enjoy karti hun.:lol itna hansti hun Sharaafat kay saath bahaanay bahaanay say:lol Games khailtay waqt kay lagta hay chair say hi gir jaun gi.bouhat achcha lagta hay games main ja kar.:lol :lol


            Q)KIYA AAP ARCADE PAR JA KAR BHI KHAILTI HAIN?
            A)JI NAHI ARCADE PAR NAHI KHAILTI NA MUJHAY WOH GAMES KHAILNA HI AATAY HAIN AUR NA DAIKHAY HAIN BUT SUNAY ZAROOR HAIN.MUJHAY FORUM K GAMES HI ACHCHAY LAGTAY HAIN..:lol


            Q)Koi aik jo aap ka roz khailnay ko dil chahay?

            A)Kisi aik ka batana mushkil hay is liye kay bouhat say games hain jin ka Roz nahi, har waqt khailnay ko dil chahta hay :lol ..Shayed dreams main bhi WhoZZZZ next ka guess lagati hun.:lol :lol Whozzz next but koi aik ka hi agar batana hay to to to hmmmmm kown si bataaun?:cc: Bahaanay Bahaanay say+Sharaafat kay saath+Whozzz next hehehehe 3 say kam nahi bata sakun gi.:lol

            Q)Din ka Agaaz aap kis tarha karti hain?

            A)Din ka Aagaaz main jaagnay say karti hun :lol
            Ghusul lainay kay baad Allah k huzoor haazir hoti hun..Us kay baad Ja'namaaz par hi baith kar dheemi aawaaz say tilawat karti hun..aur sab k liye mushtarika dua aur kuch k liye jinhon nay infiraadi Dua k liye khaas towr par kaha ho un k liye infiraadi towr par dua karti hun...

            Agar to raat ko dair tak ya bilkul hi na soi hun to phir main is mamool say farigh ho kar Juice, Apple, aur koi bhi flavored milk pi kar so jaati hun..phir shaam tak soti rehti hun ya kabhi dopeher ko hi uth jaati hun.:D

            Q)Agar aik poora din aap ko diya jaey jis din na kaam par jaana ho aur na hi university to woh din aap kaisay guzarain gi.

            A)Mairy studies 1 year k liye break-up hain..College nahi ja rahi hun...is liye kisi bhi time online aa'jaati hun....
            mujhay bilkul kuch na bhi karna ho tab bhi main apna din isi tarha guzaarna pasand karun gi jaisay kay guzaarti hun.:)

            Q)Din main kown sa waqt achcha lagta hay?

            A)Mujhay subha, dopeher, se'paihar, shaam, raat sab achchi lagti hain..har waqt hi bouhat:masha achcha lagta hay aur us ko bouhat hansi khushi, hanstay muskuratay, gungunatay, guzaarti hun.. doosron ko bhi khush rakhnay ki koshish karti hun.:)
            Last edited by hayaa_n; 4 December 2005, 20:45.
            :roseENIGMA:rose

            Comment


            • #7
              Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

              hmmmm boahat acha lga aap ke answers parh ke :)
              Allah

              Comment


              • #8
                Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                shukran Haya :rose
                mey apney comments inshAllah baad mey daalti hun .... :)
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                  Hayya ji aap ko spotlight ki roshni mein khushamdeed kehti hun:D, 2 weeks k bahd aap k liye swal laon gi, rule hey na!:)

                  Comment


                  • #10
                    Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                    Originally posted by Muskan
                    Hayya ji aap ko spotlight ki roshni mein khushamdeed kehti hun:D, 2 weeks k bahd aap k liye swal laon gi, rule hey na!:)
                    lol Muskan, itney khatarnaak rules mey ney nahi rakhey ....

                    see
                    4-Aap sawal hamarey interview key dauran bhi pooch saktey hein magar Haya un ka jawab hamara interview khatam honey key baad hi dein gi inshAllah
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                      Assalaam o alekum,

                      aweeeey spotlight mien humaari mehmaan hayaa hain bahoot khoob bahoot khushi huee hayaa aapko yehaan dekh ker :D: bass gul ji ke sawaalaat khatm hoon tab humnien bhi kuch poochnaa hai aapse :tomato: :tomato: :kr:
                      :tang: RISK IS MY BUSINESS

                      DANGER IS MY GAME

                      DONT PLAY WITH ME
                      BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                      Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                      Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                      Comment


                      • #12
                        Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                        1-b

                        Q)Haya aap achchi shaairi karti hain aap hamain bataein gi kay aap nay kab likhna shuru kiya?

                        A)Bouhat shukriya kay aap ko mairi shaairi pasand aai :)Soch rahi hun kay bata hi doo'n :lol yun samajh lain kay born honay kay kuch arsay baad hi say mairi Books say bouhat achchi dosti ho gai jo k aaj tak bouhat achchi tarha nibh rahi hay..khaana tak khaati hun to parhnay kay liye kuch na kuch laazmi hona chahiye warna khaana nahi kha paati:lol
                        Likhnay ki abtida bouhat chouti age main kardi thi.. main nay JANG AKHBAAR kay bachon kay page pay aik kahaani bas yun hi post kardi thi jo k 1st number par aai aur yun maira kuch howsla barha.main nay kuch hi bachon ki kahaniya'n likhi thee'n kay Aditor sahib nay kaha kay main baron kay liye bhi likh sakti hun...aur main likha karun...mujhay un kay lafzon say mazeed howsla mila aur main nay JANG AKHBAAR main khawateen k liye aik afsana likha jo k pasand kiya gaya aur is tarha likhnay ki ba-qaida ibtida hui..isi dowran out of Pakistan aa'gai aur yahaan main nay PAKEEZA DIGEST AUR SARGUZASHT DIGEST lagwa liye..Aur in main likhti rahi PAKEEZA DIGEST main musalsal Awards miltay rahay..Main Afsanay,Kahaniya'n,Tabsiray,Shaairi karti rahi...Urdu aur Quraan-e-Pak ki taleem privetly haasil karti rahi...
                        ZIA.UL.HAQ.QASMI SAHIB kay ZARAFAT main bhi likha...MUJHAY MIZAAH SAY BHI BOUHAT LAGAAO HAY.:lol
                        Main nay kahin bhi Asal naam say nahi likha is liye kay mujhay ijazat nahi thi sirf likhnay ki hi ijaazat haasil hay naam badal badal kay likhti rahi hun...waisay bhi mujhay bas likhna achcha lagta hay naam.o.shohrat say kabhi gharaz nahi rahi..us kay baad main nay GUL NAUKHAIZ AKHTER SAHIB ki web site TOP URDU say web sites par likhnay ka aghaaz kiya..lekin woh site ab khatam ho chuki hay.bas phir main kuch forums say waabasta ho gai jin main say 2 forums par likhna chowr diya hay aik Forum par 6000 posts theen bouhat work bhi kiya but kuch usool hain mairay jin par main koi samjhowta nahi karti, na hi posts barhanay k liye likhti hun.is liye un say kinara kashi ikhtiyaar ki but apna mouqaf achchi tarha bata kar aur la jawaab kar kay waha'n say aai aur palat kay nahi daikha... 0 posts hon ya 1000 mujhay koi farq nahi parta. mujhay bas likhna pasand hay aur ab sirf Pegham aur apnay forum say wabasta hun...Pakistan main ab kisi bhi Digest say munsalik nahi hun...
                        Jo karti hun bouhat dil ki gehraai say karti hun warna nahi karti..chahay woh koi post ho ya reply, aik aik lafz bouhat dil say likhti hun...aur bas isi main khush rehti hun..:)

                        Q)Aap ko apnay kalaam say sab say achi nazm ya ghazal kown si lagti hay jo aap ham say bhi share karna chahain gi..

                        A)Main nay likha to kaafi hay mujhay zaati towr par to apni likhi nazm MASJID-E-QURTUBA aur HAZRAT ALI (ALEHISSALAAM) KI SHAAN MAIN LIKHA QASEEDA pasand hay..jo kay Pegham par mowjood bhi hain. Masjid-e-Qurtuba..Jisay Adnan ji nay urdu main compose kiya hay:jazak: :) Adnan ji....HAZRAT ALI(AHS)KA QASEEDA Manzoom Kalaam kay Thread main mowjood hay...
                        Masjid-e-Qurtuba kiyun kay aik taweel nazm hay is liye woh yahaan share nahi kar rahi... koi aur aap say share karti hun but zara sawalo'n kay jawaab day loo'n warna yeh sab delete hi na ho jaey..:lol

                        Q)Aap kay pasandeeda shaair ya shaaira..

                        A)Mairi aik aadat hay kay main pehlay kalaam read karti hun ,us kay baad hi daikhti hun kay yeh kis ki takhleeq hay?baaz un-known shaair bhi ghazab ka khubsurat kalaam tehreer kartay hain jo mujhay famous poets say bhi ziyada pasand aa'jata hay..aur khud hi bouhat waah waah karti hun:lol baaz famous poets ka bhi kuch kalaam pur'asar nahi lagta..
                        Mujhay ALLAMA IQBAL SAHIB, FAIZ AHMAD FAIZ SAHIB,UBAID ULLAH ALEEM,PARWEEN SHAKIR SAHIBA,ZAKIYA GHAZAL SAHIBA,NOSHI GELANI SAHIBA,AITBAR SAJID SAHIB,WASEE SHAH SAHIB,MOHSIN NAQVI SAHIB,FARHAT ABBAS SHAH SAHIB ka kalaam parhna achcha lagta hay..Naam kam ho'n to aur likh doo'n?:lol
                        Last edited by hayaa_n; 4 December 2005, 22:01.
                        :roseENIGMA:rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                          AOA,

                          Oh :lol aap aur yahan kia baat hai ab sare hanste hoye kahte rahyain ge na ji:lol


                          Sohail Abbasi.
                          Apna haq ada karo.

                          Comment


                          • #14
                            Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                            .........
                            Attached Files
                            Last edited by Yaaram; 3 December 2005, 01:09.
                            :roseENIGMA:rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                              ...........
                              Attached Files
                              Last edited by Yaaram; 3 December 2005, 01:10.
                              :roseENIGMA:rose

                              Comment

                              Working...
                              X