Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* hayaa_n *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

    ... To Haya ka interview chal raha hai - bohat zabardast choice hai :)

    Haya key barey mein main kuchh kehna chahta hoon.

    Haya ki aur meri dosti aik doosrey forum per hui, jahan Haya mujh sey kuchh din hi senior thi. Inka kalaam parh ker mujhey laga jaisey urdu adab mein aik naee rooh phoonki gaee hai. Phir inki aik tehreer aai - jo kisi mrs. Sarosh key barey mein thi - bohat umdah aur aala tehreer thi. Main ney lambhi lambhi kahaniyaan kam parhi hain, magar Haya ki woh tehreer mujhey bohat achhi lagi - aur mera yaqin pukhta ho geya keh yeh bachi bohat aala muqaam hasil karey gi.

    Main wahan per moderator tha aur main ney Haya ko aik PM kiya jo meri aur Haya ki dosti ki mazbooti ki buniyaad bana. Aur woh dosti Alhamdolillah aaj bhi bohat paak aur saaf zehniyat ki dosti hai.

    Allah Tala sey main ney hamesha aik hi dua maangi hai Haya key liye keh woh is bachi ko sakoon aur khushiyon ka woh muqaam ata karein jo iska haq hai. Meri duaein iskey saath hain aur main khud ko qadam qadam per Haya key aik aisey BUZURG key roop mein dekhta hoon jo iskey liye siraf achaee ki soch rakhta hai.

    Merey Allah is bachi ko apni hifz-o-aman mein rakhna aur agar iski khushiyon ko meri nazar bhi lagey to meri aankhein andhi kar dena. Ameen.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #17
      Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

      Originally posted by barg.e.gul
      lol Muskan, itney khatarnaak rules mey ney nahi rakhey ....

      see



      hainnnnnnnnnnn:eye: ? baat to aik hi hui na........................JWAB to humein aap k bahd hi milay ga na:phool:

      Comment


      • #18
        Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

        Originally posted by hayaa_n
        Assalam.o.Aleikum :)
        Bouhat shukriya Gul ji..main Pegham ki shukar guzaar hun k mujhay interview k liye muntakhib kiya gaya..bouhat shukriya..umeed hay k yeh waqt bhi:insha: bouhat achcha guzray ga.:) mujhay urdu composing nahi aati is liye aap logon ko roman urdu main hi majburan read karna paray ga...:cc:
        koi nahi ham sab perhey likhey hein yahan ... ;)
        Ok ab main Bahaanay bahaanay say Sharaafat kay saath aap k sawaalon kay jawaab bhi daiti jaaun..:lol


        Q)Din main aap kitni baar Pegham par aa'kar game khailti hain?

        A)Main bouhat baar aati hun :lol thoura sa khaila phir chali gaai again aa gai phir chali gaai..:lol but aati kaafi baar hun..:lol

        wo to mey aap ko yahan deykhti rehti hun isi liye poocha key aap gin ker bata dein gi key aap kitni baar aati hien :D


        Q)Game Shame main aapki pasandeeda game kownsi hay?

        A)Mujhay taqreeban saari games pasand hain but sab say achchi game "Guess"waali lagti hay..bouhat enjoy karti hun.:lol itna hansti hun Games khailtay waqt kay lagta hay chair say hi gir jaun gi.bouhat achcha lagta hay games main ja kar.:lol :lol

        lol
        guess wali game :$
        wo waqai achi game hai aap key liye :P
        hansney sey pehley tamaam hifaazti iqdaamat kerna na bholie ga :D


        Q)KIYA AAP ARCADE PAR JA KAR BHI KHAILTI HAIN?
        A)JI NAHI ARCADE PAR NAHI KHAILTI NA MUJHAY WOH GAMES KHAILNA HI AATAY HAIN AUR NA DAIKHAY HAIN BUT SUNAY ZAROOR HAIN.MUJHAY FORUM K GAMES HI ACHCHAY LAGTAY HAIN..:lol


        wo try zaroor keriye ga aap ko achi lagein gi :lpop:



        Q)Din ka Agaaz aap kis tarha karti hain?

        A)Din ka agaaz main jaagnay say karti hun :lol
        Ghusul lainay kay baad Allah k huzoor haazir hoti hun..Us kay baad Ja'namaaz par hi baith kar dheemi aawaaz say tilawat karti hun..aur sab k liye mushtarika dua aur kuch k liye jinhon nay infiraadi Dua k liye khaas towr par kaha ho un k liye infiraadi towr par dua karti hun...

        Agar to raat ko dair tak ya bilkul hi na soi hun to phir main is mamool say farigh ho kar Juice, Apple, aur koi bhi flavored milk pi kar so jaati hun..phir shaam tak soti rehti hun ya kabhi dopeher ko hi uth jaati hun.:D

        MashAllah Haya :thmbup:
        apni dua'on mey hamein bhi yaad rakhien inshAllah


        Q)Agar aik poora din aapko diya jaey jis din na kaam par jaana ho aur na hi university to woh din aap kaisay guzarain gi.

        A)Mairy studies 1 year k liye break-up hain..College nahi ja rahi hun...is liye kisi bhi time online aa'jaati hun....
        mujhay bilkul kuch na bhi karna ho tab bhi main apna din isi tarha guzaarna pasand karun gi jaisay kay guzaarti hun.:)

        ok :)


        Q)Din main kownsa waqt achcha lagta hay?

        A)Mujhay subha, dopeher, se'paihar, shaam, raat sab achchi lagti hain..har waqt hi bouhat:masha achcha lagta hay aur us ko bouhat hansi khushi, hanstay muskuratay, gungunatay, guzaarti hun.. doosron ko bhi khush rakhnay ki koshish karti hun.:)

        bohto achi baat hai haya,
        meyri dua hai key aap aeysey hi hansti muskurati rahien inshAllah :rose
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #19
          Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

          Originally posted by hayaa_n
          1-b

          Q)Haya aap achchi shairi karti hain aap hamain bataein gi kay aap nay kab likhna shuru kiya?

          A)Bouhat shukriya kay aap ko mairi shaairi pasand aai :)Soch rahi hun kay bata hi doo'n :lol yun samajh lain kay born honay kay kuch arsay baad hi say mairi Books say bouhat achchi dosti ho gai jo k aaj tak bouhat achchi tarha .......

          :thmbup:
          ab aap ney Akhbaaraat aur digests key liye kyoon chor diya hai?? koi khas waja...?



          Q)Aap ko apnay kalaam say sab say achi nazm ya ghazal kownsi lagti hay jo aap ham say bhi share karna chahain gi..

          A)Main nay likha to kaafi hay mujhay zaati towr par to apni likhi nazm MASJID-E-QURTUBA pasand hay..jo kay Pegham par mowjood bhi hay.Jisay Adnan ji nay urdu main compose kiya hay:jazak: :) Adnan ji.
          Woh aik taweel nazm hay is liye koi aur main aap say share karti hun

          taweel hai to koi baat nahi mey zaroor perh key aap ko bataon gi key kaisi lagi :)
          but zara sawaalon kay jawaab day loo'n warna yeh sab delete hi na ho jaey..:lol
          :lol

          :$

          kehtey hein do kaam kabhi bhi aik waqat mey nahi kerney chahiyein....aur mey us time do sey ziada ker rahi thi ...isi liye .... lol

          aap ka shukrya key aap ney reply dobara ker diya warna meyra apney aap ko hathora maarney ka ji ho raha tha :D

          Q)Aap kay pasandeeda shaair ya shaaira..

          A)Mairi aik aadat hay kay main pehlay kalaam read karti hun us kay baad hi daikhti hun kay yeh kis ki takhleeq hay?baaz un-known shaair bhi ghazab ka khubsurat kalaam tehreer kartay hain jo mujhay famous poets say bhi ziyada pasand aa'jata hay..aur khud hi bouhat waah waah karti hun:lol baaz famous poets ka bhi kuch kalaam pur asar nahi lagta..
          Mujhay ALLAMA IQBAL SAHIB, FAIZ AHMAD FAIZ SAHIB,UBAID ULLAH ALEEM,PARWEEN SHAKIR SAHIBA,ZAKIYA GHAZAL SAHIBA,NOSHI GELANI SAHIBA,AITBAR SAJID SAHIB,WASEE SHAH SAHIB,MOHSIN NAQVI SAHIB,FARHAT ABBAS SHAH SAHIB ka kalaam parhna achcha lagta hay..Naam kam ho'n to aur likh doo'n?:lol
          naam waqai kam lag rahey hien :D

          mey ney in mey sey Allama Iqbal ko perha hai aur faiz ahmed Faiz ko bhi....
          Parween shakir ki bohot kam perhi hien
          ye sabhi bohot acha likhtey hien aur IQbal ney to ghazab ka likha hai ..... :)
          -----

          bohot shukrya haya aur apney agley sawalaat key sath inshAllah mey phir sey hazir hon gi
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #20
            Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

            Q)ab aap ney Akhbaaraat aur digests key liye kyoon chor diya hai?? koi khas waja...?

            A)Forums par din raat likhti hun aur key-board par typing ki aisi aadat pari hay k ab net par hi likhna achcha lagta hay...Doosri wajha yeh k Digest ka wait 1month say bhi ziyada karna parta tha...Teesri wajha yeh k main itni mehnat say sab likh kar post karti thi aur jab kai month tak afsaana ya shaairi nahi shaya hui to pata kiya k kiya wajha hay? to pata chala k un ko koi afsaana siray say mila hi nahi...:tauba aur farmaish k again post kar dijiye..main photo copy hi post karti thi original nahi but itni door say yeh silsila kuch sahi nahi raha.:cc:
            :roseENIGMA:rose

            Comment


            • #21
              Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

              Assalam-o-Alikum WR WB

              Welcoemr Haya .. dekh kr khushi hui ky aap is month ki mahmaan hy . Chaly INSHALAH aap ko aur jaany ka moka mily ga

              FeamnAllah
              Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
              Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


              Comment


              • #22
                Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                Q)wo to mey aap ko yahan deykhti rehti hun isi liye poocha key aap gin ker bata dein gi key aap kitni baar aati hien :D

                A)Main waisay bhi Maths main 0/0 hu'n...itni counting nahi aati jitni baar Pegham par login aur logout hoti hun..:lol Chaliye answer 25 samajh lijiye :lol yeh bhi shayed kam count kiya hay.:lol
                :roseENIGMA:rose

                Comment


                • #23
                  Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                  Welcome
                  Haya :rose

                  Do din ke baad PG pe login kar raha hoon, aap ko dekh kar badi khushi huwi, Aap interview ke jawabat badi tezi se diye jaa rahi hain,

                  Aap ke jawabat to abhi padha nahin, aaj mera workload bahut hai, dheerey dheerey padhoonga,
                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment


                  • #24
                    Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                    Originally posted by barg.e.gul
                    welcome Haya to Pegham Interview Spot :wave





                    1-Ham sirf 20 sawal poochein gey inshAllah


                    Yeh huwi naa baat

                    2-sawalaat ka jawab (haya sey request hai) chaar "4" dino mey mil jaye ga inshAllah,

                    3-baki 10 din aap sab key hein, yani aap araam sey sawal ker saktey hein


                    ummmm...

                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment


                    • #25
                      Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                      Request...

                      Members ke elawey MODERATORS ke bhi interview shuru ki jaaye. Jaise

                      Aanchal, You (Gul), Saima, Khan, Adnan, Khl, Aania...
                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment


                      • #26
                        Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                        Welcome Hayaa_n .... Welcome to this spot...

                        Q: kesa feel ho raha hai...sab sathoyon ke beech...yehan.. ?
                        Q: kabhi knife pakrra diya jaye... ke murder kero...wernaa.. :(

                        to kis cheez kaa kero gi...? :D :lol
                        Visit My Early PS Work
                        You Are Welcome To Comment

                        Comment


                        • #27
                          Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                          Originally posted by Spy009
                          Request...

                          Members ke elawey MODERATORS ke bhi interview shuru ki jaaye. Jaise

                          Aanchal, You (Gul), Saima, Khan, Adnan, Khl, Aania...
                          ahem ahem... inni jaldi kia hai... ho jayen ge... ham ithey hi kahin nahen jaa rahey.... :lol :lol pehley bacha party ki klass to ho jaaye.... :khi: :khi:
                          Visit My Early PS Work
                          You Are Welcome To Comment

                          Comment


                          • #28
                            Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                            Originally posted by hayaa_n
                            ...........
                            kia baat hai ... wow... :rose
                            Visit My Early PS Work
                            You Are Welcome To Comment

                            Comment


                            • #29
                              Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                              Originally posted by Spy009
                              [/color][/size]

                              Yeh huwi naa baat

                              [/color][/size]

                              ummmm...

                              [/indent]
                              ummm????
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment


                              • #30
                                Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                                Originally posted by Spy009
                                Request...

                                Members ke elawey MODERATORS ke bhi interview shuru ki jaaye. Jaise

                                Aanchal, You (Gul), Saima, Khan, Adnan, Khl, Aania...
                                yes inshAllah agal interview hamarey aik Mod. ka hi ho ga :)
                                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                                Comment

                                Working...
                                X