Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* hayaa_n *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

    Originally posted by KHL
    so simple sawal

    Q....
    kia aap reallity per belive kerty hu...?
    A) Ji haan yaqeen karti hun..baaz waqt dil nahi bhi chahta but Haqeeqat par Yaqeen karti hun aur aisa bhi hota hay kay jaan boojh kar Haqeeqat say aankhain chura laiti hun aur khud main magan ho jati hun..but Mind kay aik konay main aur dil main yahi hota hay k haqeeqat say nazrain chura rahi hun...
    Last edited by hayaa_n; 6 December 2005, 23:49.
    :roseENIGMA:rose

    Comment


    • #77
      Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

      Assalaam o alekum,


      hayaa chand sawaal hum bhi laayien hain aapki khidmat mien

      Q.1 ) kyaa net ki duniyaan mien kuch haqeeqat bhi hootaa hai ?? ager hai to kitnaa ??

      Q.2 ) net per rishte nibhte hain yaa nahin ?? ager nahin to kyoon nahin ??

      ab rishtaa chaahe koee bhi ho
      :tang: RISK IS MY BUSINESS

      DANGER IS MY GAME

      DONT PLAY WITH ME
      BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

      Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

      Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

      Comment


      • #78
        Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

        Originally posted by khurram_shaikh
        Assalaam o alekum,


        hayaa chand sawaal hum bhi laayien hain aapki khidmat mien

        Q.1 ) kyaa net ki duniyaan mien kuch haqeeqat bhi hootaa hai ?? ager hai to kitnaa ??

        Q.2 ) net per rishte nibhte hain yaa nahin ?? ager nahin to kyoon nahin ??

        ab rishtaa chaahe koee bhi ho
        W.salaam

        A 1) Ji haan bouhat kuch haqeeqat bhi hay...sab kuch jhoot nahi hay....kuch to ham par bhi depend karta hay k agar hamaray ander hi khowt hay to khowt hi milta bhi hay..but some time aisa bhi hota hay k aap ka dil.o.dimaagh saaf hay but net ki duniya say dhoka hi milta hay...sach yeh hay k ham jis tarha forums par likhtay hain to maira khayaal hay k hamaari tehreer kam az kam jhuti nahi...hamaari aik doosray ko di janay waali duaein jhuti nahi...baaqi WALLAH ALAM..

        A 2)Rishton ki buniyaad agar dono taraf say sachaai par mabni hay to woh net hi kiyun na ho rishta nibhta hay..shart-e-awwal sachchai hay...har baat ki Base hi us waqt banti hay jab us main sachchai shaamil ho..main nay bouhat say rishtay toot'tay daikhay hain net par, is liye k dono taraf sachchai na thi,,kisi aik taraf ki sachchai rishta nahi bacha sakti...bouhat say rishton ko aaj bhi waisa hi paati hun jaisa k awwal din paya tha...net ki hi duniya par aisa bhi daikha k aaj bhi un ka rishta ya to waisa hi hay ya mazeed barh gaya,mazeed bouhat ziyada pukhta hogaya. kiyun k rishtay ki bunyaad hi sach par thi aur sach zawaal pazeer nahi..:alhamd::)

        PS:Is zimn main itna mazeed kahun gi kay Asal rishtay wahi hain jo k Allah Ta'aala nay banaey hain.jaisay k Maa'n,Baap,Baihan ,Bhaai,etc....jin rishton ko bananay say hamain Quraan-e-Pak main mana kiya gaya hay woh rishtay Net par bhi aur real main bhi nahi banana chahiyein...Ijtinaab hi theek hay.
        Last edited by hayaa_n; 7 December 2005, 03:45.
        :roseENIGMA:rose

        Comment


        • #79
          Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

          Main bhi sawal le kar aa gaya hoon

          1.) Fursat ke lamhon mein aksar kya sochti hain ?
          2.) Hawai safar aur bahri safar (by Airplane and Ship) dono se ek saath safar karney ka mauqa miley to koun sa safar select karengi ? (suppose ke aap ke pass pura waqt hai)
          3.) Baby boy and baby girl, dono mein se aap ko koun attract karta hai?
          4.) 1-100 ke bich mein 2 ka hindsa (digit) kitni baar hai?
          5.) Aaj kal taqreeban har mulkon mein zyadah taraqqi kar raha hai banisbat govt. Sector ke, phir bhi log govt job karna chahtey hain. privatization or govt custody ?
          6.) Aap India ke baarey mein ya India Pakistan ki dosti ke baarey mein kya khyal rakhti hain, dono mulkon ke bich dostana talluqat (thaw relation) qayam karney ke liye koi solid implement batayie.
          7.) Tarikh ka sabse achha kirdar, the great personality, aap ka koun hai ?
          8.) Suppose aap ko raah chaltey 1000 Rupae mil jaye, aap usko kaise aur kin chizon pe kharch karenge?

          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment


          • #80
            Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

            Originally posted by Spy009
            Main bhi sawal le kar aa gaya hoon

            1.) Fursat ke lamhon mein aksar kya sochti hain ?
            2.) Hawai safar aur bahri safar (by Airplane and Ship) dono se ek saath safar karney ka mauqa miley to koun sa safar select karengi ? (suppose ke aap ke pass pura waqt hai)
            3.) Baby boy and baby girl, dono mein se aap ko koun attract karta hai?
            4.) 1-100 ke bich mein 2 ka hindsa (digit) kitni baar hai?
            5.) Aaj kal taqreeban har mulkon mein ‘private sector’ zyadah taraqqi kar raha hai banisbat govt. Sector ke, phir bhi log govt job karna chahtey hain. Badey badey govt monopoly companiyan jaise Electricity, Rail, Telephone, Post privatization mein tabdeel ho rahey hain. Aap ki khyal mein kya sahi hai ‘privatization or govt custody ?
            6.) Aap India ke baarey mein ya India Pakistan ki dosti ke baarey mein kya khyal rakhti hain, dono mulkon ke bich dostana talluqat (thaw relation) qayam karney ke liye koi solid implement batayie.
            7.) Tarikh ka sabse achha kirdar, the great personality, aap ka koun hai ?
            8.) Suppose aap ko raah chaltey 1000 Rupae mil jaye, aap usko kaise aur kin chizon pe kharch karenge?
            A.1)Fursat ka yeh aalam hay kay main khud say pata karti hun k "Haya tumhain kuch Haya ki khabar hay"?:lol..main aksar yeh zaroor sochti hun kay main apna Character hamaisha aisa rakhun k kisi bhi jagha rahun ya na rahun .mujhay buray lafzo'n main Allah na karay kay koi yaad karay..jahaa'n say rukhsat hun koi achi yaad ya koi achi riwaayat chowr jau'n.:)

            A.2)Maira jawaab by air safar ka hi hoga.usi ki use 2 bhi hun aur waqt ki bachat bhi..By Ship ka mujhay bouhat achcha lagay ga but abhi nahi...

            A.3)Mujhay bachay achay lagtay hain un ki masumiyat aur un ki hansi bouhat attract karti hay aur woh baby boy ho ya baby girl mujhay boooooooouhat achay lagtay hain.Allah babies ko khubsurti say bhi nawaz dain to mazeed pyaray lagtay hain.:)

            A.4)Is kay liye mujhay sona paray ga k shayed khuaab main mujhay koi is sawaal ka jawaab milay.maira math sahi nahi..aur yeh is liye weak hay k mujhay intrest nahi.:cc:

            A.5)Main kiyun k abhi Amli maidaan say door hun is liye aap k itnay Umda sawaal ka reply sahi nahi day sakun gi.jab tak mujhay theek say jawaab ya apna point of view nahi pata chalta, jawaab daina ghair munasib khayaal karti hun.aur mujhay apna point of view us waqt hi pata chalay ga jab main field main hon gi.:)

            A.6)Main to bilkul is haq main nahi hun..is liye k yeh na mumkin baat hay k India Aur Pakistan main dosti ho sakti hay.main is ko aik siyaasi game hi kahun gi..agar aisa hi tha to aaj Pakistan wujood main hi na aata...is dosti ki koi Base hi nahi hay..jo base bana kar propaganda kiya ja raha hay woh sab bahanay baziya'n hain..is ko main Pakistan aur Muslims kay khilaaf saazish hi kahu'n gi.siyaasi game hay.India kabhi bhi Pakistan say mukhlis nahi ho sakta..Taareekh is baat ki gawaah hay aur jo loge yeh khuaab daikh rahay hain woh is ki tabeer bhi daikhain gay k un ko kiya milta hay? aisay khuaab woh bhi jaagti aankhon say daikhna be-waqufi hay aur kuch nahi....Momin aik jagha say 2 martaba nahi dasa jata.ham ko bhi ijtinaab karna chahiye..

            A.7)Kaafi shakhsiyaat hain but mujhay Qaid-e-Azam Mohammad Ali Jinaah bouhat pasand hain..un ki himmat aur mehnat,un ki qaabliyat,ba'zaahir dublay patlay laikin aik fowlaadi insaan.madd-e-muqaabil ko la jawaab kar dainay walay.Sachai par aur apnay haq par koi samjhowta kabhi nahi kiya aur Pakistan bana kar un sab ko dikha diya jo is ko hans hans kar aik khuaab kaha kartay thay.

            A. 8)Paihlay to main koshish karun gi k dhoond hi lo'n jin ka gira tha 1000 ka note... but yeh na'mumkin hay k us ko apni zaat par kharach karun jab kay woh maira tha hi nahi...
            Main us k barabar k hissay kar k 5 logon may yeh baat Bata kar taqseem kar doo'n gi k yeh 1000 ka note mujhay raastay say mila tha...
            Last edited by hayaa_n; 7 December 2005, 17:52.
            :roseENIGMA:rose

            Comment


            • #81
              Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

              Shukriya Haya, Sawal no. 2 aur 3 mein aapke psychological test tha...
              (aksar shaadi ke baad husband ki yeh khwahish hoti hai ke use 'ladki' chahiye jabke wife ko 'ladka' ) Aap sabar se kaam lene wali hain.

              dusri aur aap zamaney ke saath chalney wali hain.

              Question 7. se maine qayas kiya tha ke Rasool Muhamad Sallallaho Allehei Wassalam jawab hoga...

              1000 Rs...aap sadka aur zakat ka khyal karti hain.


              Shukriya Haya,

              Mauqa mila to phir questions lekar aaoonga.
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • #82
                Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                Originally posted by Spy009
                Shukriya Haya, Sawal no. 2 aur 3 mein aapke psychological test tha...
                (aksar shaadi ke baad husband ki yeh khwahish hoti hai ke use 'ladki' chahiye jabke wife ko 'ladka' ) Aap sabar se kaam lene wali hain.

                dusri aur aap zamaney ke saath chalney wali hain.

                Question 7. se maine qayas kiya tha ke Rasool Muhamad Sallallaho Allehei Wassalam jawab hoga...

                1000 Rs...aap sadka aur zakat ka khyal karti hain.


                Shukriya Haya,

                Mauqa mila to phir questions lekar aaoonga.
                Spy ji mujhay Q samajhnay main ghalt fehmi hui...Q 7..Ko main theek say nahi samajh saki main nay is ko Tareekhi hawalay say to liya but yeh nahi samjhi thi...

                Yaqeeni towr par mairi Ideal Shakhsiyat Mazhabi Tareekh k hawalay say..Rasool-e-Allah(S.A.W) hi hain.Un ka kirdaar un ko jis darjay par faaiz rakhay huway hay woh to Ta Qayaamat bhi kisi aur k hissay main nahi aasakta..Mehboob-e-Khuda say ziyada kown Ideal hosakta hay...


                1000...ka note kiyun k mujhay para huwa mila tha Maira nahi tha is liye maira khayaal hay k us main say Zakaat nahi nikali ja sakti,aur na sadqa...us say mustahiq afraad ki madad ki ja'sakti thi...
                :roseENIGMA:rose

                Comment


                • #83
                  Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                  Assalaam o alekum,


                  Mera aglaa Q aapse

                  TAJ MAHAL ke mutalliq aapke kyaa tassurat hain?? log kehte hain Taj mahal mohabbat ki nishaani hai lekin mere khayaal se Taj mahal mohabbat ki nishaani to zaroor hai lekin usski deewaaroon per laakhoon beqasoor insaanoon ke khoon ke dhabbe bhi hain
                  :tang: RISK IS MY BUSINESS

                  DANGER IS MY GAME

                  DONT PLAY WITH ME
                  BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                  Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                  Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                  Comment


                  • #84
                    Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                    Originally posted by khurram_shaikh
                    Assalaam o alekum,


                    Mera aglaa Q aapse

                    TAJ MAHAL ke mutalliq aapke kyaa tassurat hain?? log kehte hain Taj mahal mohabbat ki nishaani hai lekin mere khayaal se Taj mahal mohabbat ki nishaani to zaroor hai lekin usski deewaaroon per laakhoon beqasoor insaanoon ke khoon ke dhabbe bhi hain
                    W.salaam
                    Khurram ji mairi likhi "Taaj Mahal" nazm main yeh baat main nay bhi mention ki hay..woh nazm main nay achi to nahi likhi lekin us main yeh bhi bataya hay kay...

                    (Sang-e-mar mar kay talay
                    Hain khoon kay dhabbay chupay
                    Teri sajaawat ka silah
                    Teri banaawat ka silah



                    Umeed hay k aap ko apnay sawaal ka jawaab mil gaya hoga.:thmbup: :)
                    :roseENIGMA:rose

                    Comment


                    • #85
                      Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                      Originally posted by hayaa_n
                      A) Ji haan yaqeen karti hun..baaz waqt dil nahi bhi chahta but Haqeeqat par Yaqeen karti hun aur aisa bhi hota hay kay jaan boojh kar Haqeeqat say aankhain chura laiti hun aur khud main magan ho jati hun..but Mind kay aik konay main aur dil main yahi hota hay k haqeeqat say nazrain chura rahi hun...
                      :masha buhat hee khobsurat..............

                      another???

                      kis tarah kee friendship per bilive kerty hu...?:eye:

                      Comment


                      • #86
                        Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                        Hayaa jiii ur interview is going excellent ....keep it on :thmbup:

                        can i ask question ....:khi:

                        ok thanks ...

                        Agar ap truck driver ban jaii .... ap kahaa pe chalana pasand karingii ?

                        next Q is coming soon :)
                        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                        :pr:

                        Comment


                        • #87
                          Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                          Originally posted by hayaa_n
                          Gul ji mujhay aap kay tamaam sawaal bouhat pasand aaey hain:thmbup: ...Gul ji ko Gul to paish karun, woh bhi duao'n say meihakta huwa..:rose :)
                          shukrya haya, aur d'aon ka bohot ziada shukrya :)

                          Q)Aap'ki zindagi kay faislay chahay woh taleemi meidan main ho'n ya phir koi bhi chouta ya bara faisla,aap khud karti hain ya aap'kay baray?

                          A):alhamd: :) Mujhay apnay baro'n par yeh yaqeen hay k woh mairay liye jo kuch bhi sochain gay woh mairay liye har lleihaaz say baihter hoga...yahi main nay hamaisha daikha bhi hay, jana bhi hay,kiya bhi hay aur us ki hi wajha say mairi life main koi Pachtawa nahi...Kaash...ka lafz nahi...
                          ,
                          excellent haya :thmbup:
                          im happy for you :rose

                          Q)Jab aap kisi mehfil main jaati hain to araam say ghul mil jaati hain Ya phir jin logon say aap waaqif hoti hain unhain talashti hain?

                          A)Main na'honay kay baraber taqreebat main shareek hoti hun...aur jin main shareek hoti hun woh wahi hotay hain jin ko main jaanti hun..to abhi tak yahi hota aaya hay k abhi main nay Qadam rakha hi hay aur Ghair li gai :lol fowran sab k sab mowjood :lol main itna bolti nahi hun jitna un sab ki bato'n par hansti, muskurati aur enjoy karti hun...Kam'go ...
                          [COLOR=#ff0000[/COLOR]

                          Q)Aap kis qisim ki company main khush rehti hain?

                          A)Mujhay mowqay kay lehaaz say hi sab kuch achcha lagta hay but main un logon kay saath bouhat khush rehti hun jo k Sachchay, Bazla sanjh,Zinda dil,Barjasta jawaab dainay walay,Khush mizaaj,Ba'Zowq,hansi mazaq but with respect...aisay logon kay saath bouhat khush rehti hun...is tarha rehti hun...:lol :lol :lol :D :D
                          MashAllah :D:
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #88
                            Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                            Originally posted by hayaa_n
                            Q)Apnay doston main kownsi khoobiya'n daikhna pasand karti hain?

                            A)Mairi dosti har aik say nahi ho'paati..wahi mairay dost khud ba khud bantay jaatay hain jin main Insaniyat mowjud ho,Sharaafat kay saath rehtay hon :lol hehehehehe aik dam hansi aa'gai :lol ji Sharaafat mowjud ho :D Zehni towr par parhay likhay hon,khush mizaaj,hans mukh,zindagi ko positive way say daikhnay waalay(warna main hun na un ko Allah ki madad say Raah par laanay waali :D)Doosron ki madad karnay k liye apni zaat ko peechay chowrnay waalay,Allah ka shukar har haal main ada karnay waalay,baray say baray dukh par sabr.o.himmat ka muzahira karnay waalay,apnay gham chupa kar khushiya'n taqseem karnay waalay,qinaa'at pasand aur Allah ki di hui chouti bari Naimat par dil.o.jaan say shukar ada kar kay hansi khushi rehnay waalay....aisay hi logon say mairi dosti hoti hay aur hay bhi :masha :)
                            cool, aaj key insaan itni dher saari batein ikhati aap ko mil jati hein?
                            aap ney kaha "apni zaat ko peechey chorney waley"
                            yani???

                            Q)Aksar tanhaai main kiya sochti hain?

                            A)Main tanha hoti hi nahi hun :lol :lol yaqeen kijiye kay aik lamha tanha nahi hoti....koi bhi kaam kar rahi hoti hun tab bhi woh itni jaldi khatam ho jata hay k pata hi nahi chalta. is liye kay haath kaam main busy hotay hain aur mind kaheen aur hota hay aur main hans parti hun muskura daiti hun...:lol :) apnay saath bhi khush rehti hun :lol koi soch khud hi aaey to aaey jaan boojh kar kabhi nahi yeh karti k NAHI abhi mujhay fula'n baat sochna hay..jo sochti hun khud ba'khud jo k kuch bhi ho sakta hay...
                            yahi to hum jaana chah rahey they ....key khud bakhud kaun si sochienn aati hein ??? :-)


                            Q)Apni zindagi ka sab say bara Usool?

                            A)Aisi kisi baat par koi samjhowta nahi... jo k mairay Zameer k khilaaf ho..us waqt mairay saamnay koi Baadsha ho ya koi bhi,,,Ghalat baat par YES nahi kar sakti...aisa koi waqt aaey to main shukar:alhamd: aik chataan saabit houti hun.
                            MashALlah Haya,
                            Allah T'ala aap isi tarhan sabi qadam rakhey InshAllah :rose


                            Q)Paihli tehreer ki ishaa'at par aap kay kiya taasuraat thay?

                            A)Sab say pehli isha'at aik bachon ki kahaani thi..apna naam aur kahaani k saath jab yeh bhi daikha k Pehlay number par aai hay to aik sarshaari si bhi,aik be'yaqeeni si bhi,Allah ka shuar bhi,aur khud hi baar baar read karti rahi us k baad hosh aaya :lol :lol aur baro'n ko dikhaai jinhon nay bouhat howsla afzaai ki..:)
                            lol
                            good :thmbup:
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #89
                              Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                              Originally posted by hayaa_n
                              Q)Chalain ab kuch kitabo'n aur apni tehreero'n kay baray main hamain bataei'n kis qisim ki kitabain aap showq say parhti hain?

                              A)Mujhay famous logon ki jo kay Pak.o.Hind ki mashoor Adabi shakhsiyaad reh chukay hain ya hain... un ki sawaneh hayaat read karna pasand hay,Apnay pasandeeda shaairo'n aur writers ko read karti hun.mujhay Writers main,Naheed Sultana Akhtar bhi pasand hain,Mushtaaq Ahmad Yusufi sahib ko showq say parha..Pak say books laana bouhat mushkil ho jata hay aur main ziyada tar in sab ko urdu web sites par hi read karti hun...Mustansar Husain Tararh Sahib ko showq say parhti hun...Meer Anees kay marsiye mujhay bouhat pasand hain...Kisi bhi writer ki koi bhi tehreer mujhay pasand aa'sakti hay chahay woh famous hon ya new ho'n...
                              in mey sey mey sirf Mustansir hussain tarrar ko jaanti hun :)
                              pakistan sey kitabein laana waqai mushkil hota hai aur na hi log asaani sey tayyar hotey hein kuch laa ker deyney per, aik akhri kaam parcel ka reh jata hai ;)
                              internet bohot acha hai her cheez hamien yahi mil jati hai magar online reading mey itna mazza nahi aata :)
                              leykin ...yahi kerna perhta hai :D

                              Q)Aap'ki sirf 2 tehreerai'n main nay parhi hain aur mujhay khushi hui kay un main haqeeqat ka aks hay...

                              A)Gul ji bouhat shukriya k aap nay itni himmat ki kay taweel aur woh bhi Roman urdu main likhi gai tehreer read ki..aur aap ko pasand bhi aai jis ki mujhay bouhat khushi hui..:jazak: :)

                              shukrya aap ka haya, key haamrey beech hien :)
                              mey ney aap ki tehreerein kafi pehley sey perhni thien leykin dair ayid durust ayid :D:
                              main nay bachon k liye bhi Bhoot ya Pariyon ki kahaniya'n nahi likhi'n kabhi.main samajhti hun k haqeqat say door jo bhi tehreer likhi jaati hay woh isi tarha hoti hay jaisay kay Baghair Rooh kay Koi Wujood..

                              mey bilkul aap sey iteyfaaq kerti hun, hamein haqeeqat mey rehtey huye hi likhna chahiye chahey wo bachon key liye hi kyoon na ho ,
                              isi liye mujhey khud bhi ziada biographies hi perhna acha lagta, ya kuch bhi ho magar haqeeqat sey hat ker na ho,


                              kitchen main roti pakatay ya koi bhi kaam kartay huway mind main kuch aaya aur bas fowran supurd-e-qirtaas huwa :lol mujhay apni likhi hui nazm TAAJ MAHAL pasand nahi aai...is liye k main kaghaz qalam sanbhaal kay baithi thi k mujhay likhna hay..waada kiya hay...lekin zara bhi achcha nahi likh saki, mujhay apni yeh nazm nahi pasand...AIK TITLEE...yeh nazm roti pakatay huway likhi :lol sotay say uth k baith jaati hun jaisay hi mind main kuch aata hay woh fowran likh laiti hun k bhool na jau'n.sab takhleeqaat isi tarha hain...
                              lol haya,
                              Aik titlee mujhey bohot achi lagi hai, itna payyar to likha hai wo bhi roti banatey huye
                              Pegham kay games khailtay huway yeh Qitta mind main aaya jo k likh rahi hu'n..is say andaza kijiye k kar kiya rahi thi aur Mind main kiya aaya...:lol :lol

                              Kis Khata Ki Mairay Maalik Yeh Saza Paai Hay
                              Zindagi Hay Ya Sulagti Hui Tanhaai Hay
                              Dilo'n Ko Tor Kay Tukray Uchaal Detay Hain
                              Rasam zamanay nay ab tak to yeh nibhaai hay
                              Utha kay kis ko chalay ho yun raah-e-qatl-e-wafa
                              Dulhan ki cheekh hay,kiyun kehtay ho shehnai hay...

                              :)


                              Q)Aik aakhri sawaal..
                              Aik baat jo aap sab say kehna chahti hon?

                              A)Is ka to bouhat mukhtasir jawaab daina hoga kiyun kay 1 Baat kehnay ko kaha gaya hay :lol ab dekhiye yeh aik baat kahaan ja kay khatam hoti hay? :lol
                              Ji haan main kehna chahun gi k ham Pakistan main hon ya Pakistan say bahar hamain khud ko Pakistan ka Safeer Aur aisa Muslim character paish karna chahiye k loge hamaray mazhab aur Mulk say mutassir hon....

                              exactly
                              Zindagi kay nashaib.o.faraaz say hansi khushi guzar jaiye, yeh soch kar k yeh Allah ki taraf say hi hay to is par kiya aansu bahana? ya howsla chowr dena..Allah ki taraf say bakhshi har naimat ka har dam shukar guzaar rehna...zindagi ki talkhiyon say bhi khushiya'n hi kasheed karna...zindagi phoolo'n ki seij nahi..is liye khud ko har aazmaish k liye tayyar rakhiye...jo kahiye us par amal bhi kijiye...

                              bilkul haya
                              mey ney aik jaga perha tha " a man who wants to command must learn to "obey" "
                              achi baat kijiye,achchi sochiye aur yahi doosro'n tak bhi pohnchaiye.khud kuch sehna paray to seh lijiye but aisa na ho k aap ki wajha say kisi aur ko dukh sehna parey....dil aa'zaari say bouhat ziyada bachiye...khush rahiye aur khush rakhiye.

                              inshALlah :)
                              Zindagi Allah ki taraf say bakhshi aik neimat hay aur is neimat ka sahi istimaal kartay huway Duniya main hi rehtay huway Aakhrat ki taameer kijiye....

                              yep inshALlah,
                              jab us dunya ki tayyari mukamal ho to ye dunya bhi bohot arram aur sakoon sey guzarti hai
                              doosro'n ki Respect kijiye aur utni hi apni zaat ki bhi Respect kijiye....

                              jo log apni respect jaantey hein wahi log doosron ki respect bhi kerna jaantey hein :)
                              jitni dair main rona peetna hay utni dair main Dua kiyun na maang li jaey? banda to khud be-bas hay to apnay dukh banday say kiya kehna?..usi say kiyun na kaha jaey jo Zaat-e-Paak Majboor nahi, jo hamari Sheh rag say bhi qareeb hay, jo sab kuch karnay par Qadir hay to usi say kiyun na sab kaha jaey? aur na'umeed na huwa jaey...
                              bilkul haya magar kabhi jab alfaaz na hon to ansoo saari roodad keh deytey hein :)
                              Bas aik Baat yahi kehna thi....kitni mukhtasir AIK BAAT thi.:D

                              aap ki Aik Baat bohot achi "lagein" ::rose
                              kush raho Haya inshAllah :)
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment


                              • #90
                                Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                                Haya mai aa gaee Questions lay ker

                                1)Ager aapko ikhtiyar mil ja'ay to aap awaam ki bhalae kay liay kiya kerayge?

                                2)Aaap ye batao ky aap nagaware ka izhar kis tarah kerte ho?

                                3)jesa ky aap bohat acha likhte hain..to bohat saray loog tanqeed bhe kerty hon gay..kiya aap vo bardasht kerte ho?

                                4)Aapka zindagi k bary main kiya nazarya hai?

                                5)Aaap tanhae pasand ho ya social?

                                6)aapko 12 maheeno ma sy kon sa maheena pasand hai aur kio?

                                7)Koe aise shakhsiyat jis sy aap mutasir hoe hon?

                                8)Wo kon sy kaam hain jin ki takmeel ki ta haal arzo hai?

                                9)Aapki zindage ky asool?

                                10)Khoobsurat tareen din kon sa hai apki zindage ka?

                                Baki abhe lay ker ate hon :D:

                                Comment

                                Working...
                                X