Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* hayaa_n *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

    Originally posted by khan
    AOA,

    Acha ji sachi:)

    Sohail Abbasi.
    W.salaam
    Khan ji koi doubt ? :lol
    :roseENIGMA:rose

    Comment

    • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

      AOA,

      Aap ko kon sa waqt acha lagta hai:)

      sab se pasandida jaga kon si hai aap ki:)

      Sohail Abbasi.
      Apna haq ada karo.

      Comment

      • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

        Originally posted by khan
        AOA,

        Aap ko kon sa waqt acha lagta hai:)

        sab se pasandida jaga kon si hai aap ki:)

        Sohail Abbasi.
        W.salaam
        A 1)Mujhay waisay to subha,dopeher,se'peher,shaam,raat ka waqt pasand hay but mujhay Raat ka waqt ziyada pasand hay...Specially jab online hun...:lol

        A 2) Main jahaan muqeem hun mujhay yeh jagha:masha bouhat pasand hay :)...Switzerland bouhat pasand hay :) .....Pakistan to maira ghar hi hay aur apna ghar kis ko nahi pasand...:) :thmbup: mairi dili khuahish hay kay main Haj ki saa'dat hasil karun aur Madeena-e-Munawwara bhi jau'n...Aameen:)
        Yun samajh lijiye kay Allah ki banaai hui yeh saari duniya hi mujhay bouhat achi lagti hay..:masha :)

        :roseENIGMA:rose

        Comment

        • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

          AOA,

          jab aap udaas hote hain to kahse apne aap ko sanbalte hain ya khush rahne k liye kia karte hain:)

          agar aap ko aik baat napasand ho aur wo baat dohra dijaye to kia karain ge:)

          Sohail Abbasi.
          Apna haq ada karo.

          Comment

          • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

            Originally posted by khan
            AOA,

            jab aap udaas hote hain to kahse apne aap ko sanbalte hain ya khush rahne k liye kia karte hain:)

            agar aap ko aik baat napasand ho aur wo baat dohra dijaye to kia karain ge:)

            Sohail Abbasi.
            A 1) Main khud ko itna time hi nahi daiti kay main udaas hun :) aur agar aisa phir bhi ho jaey to dil bhar kay roti hun aur dil bilkul halka ho jata hay...rotay huway aik aik baat Allah Ta'ala say share karti hun..yeh jaantay huway bhi k Allah har baat say waaqif hay tab bhi apni choti, bari har baat Allah say share karti hun roti bhi hun aur fresh ho jati hun...:)

            A 2) Jin baato'n ko ignore kar sakun ignore kar deti hun..ijtinaab baratti hun...aur agar bouhat ziyada nagawar baat ho to fowran keh deti hun k mujhay yeh baat achi nahi lagi hay...aainda say aisi baat say parheiz kiya jaey...bardasht ka maada mujh main :masha say bouhat hay but baaton ki bhi aqsaam hain kuch nagawaar baatai'n main lamha bhar bardasht nahi karti.aur fowran izhaar karti hun k yeh aainda na ho agar again wahi baat ho to tameez,tehzeeb kay daerey main rehtay huway apna mowqaff bouhat sakhti say paish karti hun,aur asar na ho to kinara kashi ikhtiyaar karti hun..beihes bara-e-beihes main nahi parti.
            :roseENIGMA:rose

            Comment

            • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

              Assalaam o alekum,

              hayaa ab tak to aapkaa interview behud achchaa ghuzer rahaa hai taqreeban sabhi jawaab aapnien bakhoobi diye hain bahoot khoob khush rahien :D: :D: :D:

              mera ek aur sawaal

              kyaa aaj ki humaari khwaateen kuch zeyaadaa hi modern nahin hoo gayin hain??qasoor kisskaa hai un khawteen kaa yaa hum mardoon kaa????
              :tang: RISK IS MY BUSINESS

              DANGER IS MY GAME

              DONT PLAY WITH ME
              BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

              Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

              Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

              Comment

              • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                buhat hee khobruat jawab..........................
                you are really great..............girl
                keep smiling

                Comment

                • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                  Originally posted by khurram_shaikh

                  Bouhat shukriya Khurram ji..:)
                  Modernism buri cheez nahi but dekhna yeh hay k is ka matlab kiya liya ja raha hay...agar to modern honay ka matlab kam say kam libas use karnay ko hi samajh liya jaey to yeh modernism nahi ikhlaqi girawat hay...is main qusoor har aik ki apni soch ka hay jis k buray nataij nasal dar nasal bhugatna parein gay..aur burey nataij saamnay aaey bhi hain..
                  :roseENIGMA:rose

                  Comment

                  • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                    Originally posted by KHL
                    buhat hee khobruat jawab..........................
                    you are really great..............girl
                    keep smiling
                    :jazak: :) KHL ji aap k remarks k liye bouhat shukar'guzaar hun..Allah ki farma'n bardaar bandi hun bas...bouhat shukriya..:)
                    :roseENIGMA:rose

                    Comment

                    • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                      AOA,

                      hayaa ji ye batain :masha amooman aap ki guftagu main rabuizaat ka shukar ada hota hai jo aap pe Allah pak ka bohat fazaak hai aap ye batain k aap koi khas amaal ya abaadat b karte hain .

                      Sohail Abbasi.
                      Apna haq ada karo.

                      Comment

                      • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                        Originally posted by khan
                        AOA,

                        hayaa ji ye batain :masha amooman aap ki guftagu main rabuizaat ka shukar ada hota hai jo aap pe Allah pak ka bohat fazaak hai aap ye batain k aap koi khas amaal ya abaadat b karte hain .

                        Sohail Abbasi.
                        W.salaam
                        :alhamd: Khan ji meri tarbiyat hi aisi hui hay aur bachpan say hi aisi aadat hui hay k :alhamd: ,:masha ,:insha: ,:jazak:,Subhan Allah, Bismillah yeh meri guftugu ka laazmi hissa ban chukay hain. in ko kahay baghair mujh say guftugu nahi hoti aur na hi replies likhay jatay hain...:)
                        Namaz ki adaigi to as a Muslim mujh par farz hay....main koi wazeefa nahi karti but jis time par bhi sonay k liye jau'n AYATAL KURSI,SURA-E-FATEHA,4RON QUL,DROOD SHAREEF,SURA KOSAR...parhna mairay mamool ka hissa hay is k ilawa Marhumeen k liye Magfirat ki ijtimaai Dua laazmi parhti hun..aur kuch k liye un ka naam lay kar Dua-e-Maghfirat parhti hun is k baghair sona na mumkin hay kiyun k pukhta adaat ban chuki hay..dowran-e-working bhi mind ka aik hissa AYATAL KURSI AUR DUROOD SHAREEF ka wird karta rehta hay.main Qalam tak Bismillah parhay baghair nahi utha sakti chouta kaam ho ya bara BISMILLA parhay baghair kar hi nahi paati.bouhat ziyada aadi ho chuki hun bachpan ki addatai'n bouhat pukhta ho chuki hain. Bouhat pur'sukoon feel karti hun khud ko.:masha :)
                        Last edited by hayaa_n; 11 December 2005, 02:41.
                        :roseENIGMA:rose

                        Comment

                        • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                          Originally posted by hayaa_n

                          :masha bahooot khoob bahoot khushi huee Allaah aapko aur hum sab musalmaanoon ko taufeeq ataa karein ameen summa ameen khush rahien :D:
                          :tang: RISK IS MY BUSINESS

                          DANGER IS MY GAME

                          DONT PLAY WITH ME
                          BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                          Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                          Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                          Comment

                          • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                            Originally posted by khurram_shaikh
                            Assalaam o alekum,

                            :masha bahooot khoob bahoot khushi huee Allaah aapko aur hum sab musalmaanoon ko taufeeq ataa karein ameen summa ameen khush rahien :D:
                            W.salaam
                            :jazak: :) Khurram ji aap ki Duaon kay liye dil say shukar guzaar hun.Allah aap ko aur aap say wabasta logon ko bhi bouhat khush rakhay.Aameen.
                            :roseENIGMA:rose

                            Comment

                            • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                              AOA,

                              Ye batain k kia aap zalim ka hath rokain ge:)

                              agar aap k pas taqat ho to kia karain ge:)

                              kahte hain himat karo to har kaam ho jata hai aap kia kahte hain:)

                              Sohail Abbasi.
                              Apna haq ada karo.

                              Comment

                              • Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                                Originally posted by khan
                                AOA,

                                Ye batain k kia aap zalim ka hath rokain ge:)

                                agar aap k pas taqat ho to kia karain ge:)

                                kahte hain himat karo to har kaam ho jata hai aap kia kahte hain:)

                                Sohail Abbasi.
                                W.salaam
                                A 1) :) Ji haan main :alhamd: Zaalim ko zulm karnay say rokun gi, chahay khud mujhay nuqsan kiyun na pohnchay, main peechay nahi hatum gi. :insha: Mazloom ka saath har surat main dun gi.yeh maira farz hoga is soorat main kay mujhay pata bhi hoga k zalim kown hay aur mazloom kown?:thmbup:

                                A 2) Taqat say muraad agar yeh hay k main kisi bari shaksiyat say link rakhti hun ya waaqif hun?? kiya yeh poocha hay aap nay?
                                main kisi ko jaanti hun ya na jaanti hun as a Insaan mujh par jo faraiz hain un ko :insha: ada karun gi but agar mairi pohanch Sarbarah tak bhi hui to main to har surat apna moaqaf bayaan karun gi aur un say Insaaf talab karun gi k Hukumraani ka haq hi us ka banta hay jo insaaf kar sakay warna us ka hukumraani ka koi haq nahi banta..

                                A 3)Himmat kay saath saath kuch planings bhi laazmi karna chaiyein sirf himmat hi sab kuch nahi hoti..apni zindagi ka aik plan aik gol banaein aur us gol tak pohanchnay k liye sabr.o.himmat kay saath Allah say madad talab kartay huway mehnat aur imaan daari k saath qadam uthatay chalay jaein.bhaagnay say acha hay k step by step..nakami bhi ho to himmat na harein again usi azm.o.himmat say jidd.o.jehed jari rakhain..:insha: kamiyaabi aap k qadam chumay gi.:)
                                Last edited by hayaa_n; 12 December 2005, 00:04.
                                :roseENIGMA:rose

                                Comment

                                Working...
                                X