Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* hayaa_n *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

    Interview--doosra aur Akhri hissa---
    Attached Files
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #47
      Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

      ye interview hamara 16th December ko inshAllah khatam ho ga

      aur aap sab apney sawal 14th dec. tak pooch tak saktey hein:thmbup:


      inshAllah
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #48
        Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

        Gul ji mujhay aap kay tamaam sawaal bouhat pasand aaey hain:thmbup: ...Gul ji ko Gul to paish karun, woh bhi duao'n say meihakta huwa..:rose :)

        Q)Aap'ki zindagi kay faislay chahay woh taleemi meidan main ho'n ya phir koi bhi chouta ya bara faisla,aap khud karti hain ya aap'kay baray?

        A):alhamd: :) Mujhay apnay baro'n par yeh yaqeen hay k woh mairay liye jo kuch bhi sochain gay woh mairay liye har lleihaaz say baihter hoga...yahi main nay hamaisha daikha bhi hay, jana bhi hay,kiya bhi hay aur us ki hi wajha say mairi life main koi Pachtawa nahi...Kaash...ka lafz nahi...Baray hi faisla kartay hain but mairi marzi aur raza mandi say...Taleemi maidan main maira rujhaan jis taraf hay wahi taleem baro'n kay mashwaray say muntakhib ki...Zindagi kay har choutay aur baray faislay k liye mujhay bouhat achcha lagta hay k main un ki pasand un ki khuahishaat par 99% nahi 100% poori utrun :alhamd: :) abhi tak to is main kamiyaab bhi hun...main jo kuch bhi karti hun mujhay pata hota hay k mairay liye, mairay baro'n k liye is main chouti ya bari koi problem to nahi?? is liye main aisay iqdamaat say bachti hun jo k aagay chal kay buray nataaij murattab karain...jin baato'n kay liye mairay baray mujh par pabandi lagaein ya mana karein to yun samajh lijiye k dili towr par us main mairi bhi razamandi shaamil nahi...is liye kay kabhi kisi sahi baat say mujh ko mana kiya hi nahi gaya..

        Q)Jab aap kisi mehfil main jaati hain to araam say ghul mil jaati hain Ya phir jin logon say aap waaqif hoti hain unhain talashti hain?

        A)Main na'honay kay baraber taqreebat main shareek hoti hun...aur jin main shareek hoti hun woh wahi hotay hain jin ko main jaanti hun..to abhi tak yahi hota aaya hay k abhi main nay Qadam rakha hi hay aur Ghair li gai :lol fowran sab k sab mowjood :lol main itna bolti nahi hun jitna un sab ki bato'n par hansti, muskurati aur enjoy karti hun...Kam'go hun but shugufta batain karna hi achcha lagta hay aur karti bhi hun kay khush mizaji mairi zaat ka bouhat bara hissa hay..mujhay chouti si baat bhi bouhat ziyada khush kar daiti hay aur mehfil main bhi khush baash rehti hun :) bouhat social nahi hun but jo hain un say:masha hamaisha ka saath hay childhood tak kay logon say raabta hay.Ginti ki dostiya'n hain jo k abhi bhi hain. :masha :)

        Q)Aap kis qisim ki company main khush rehti hain?

        A)Mujhay mowqay kay lehaaz say hi sab kuch achcha lagta hay but main un logon kay saath bouhat khush rehti hun jo k Sachchay, Bazla sanjh,Zinda dil,Barjasta jawaab dainay walay,Khush mizaaj,Ba'Zowq,hansi mazaq but with respect...aisay logon kay saath bouhat khush rehti hun...is tarha rehti hun...:lol :lol :lol :D :D
        Leikin mujhay pata ho k koi Dukhi hay ya kisi problem main hay to main sab kuch bhool kar bouhat sanjeedgi say khud barh kay us ki mushkil main shaamil ho jati hun aur aisay logon ki company mujhay khushi is liye bhi deti hay k main kisi na kisi tarha un ko zehni towr par positive way dikhanay main:alhamd: kamiyaab ho jati hun.un kay aansu khushk kar k jab tak smile na un k face par aa'jaey mujhay chain nahi aata aur abhi tak to Allah ki zaat nay mujhay is silsilay main kamiyabi hi bakhshi hay..:masha :)
        Last edited by hayaa_n; 4 December 2005, 21:07.
        :roseENIGMA:rose

        Comment


        • #49
          Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

          Q)Apnay doston main kownsi khoobiya'n daikhna pasand karti hain?

          A)Mairi dosti har aik say nahi ho'paati..wahi mairay dost khud ba khud bantay jaatay hain jin main Insaniyat mowjud ho,Sharaafat kay saath rehtay hon :lol hehehehehe aik dam hansi aa'gai :lol ji Sharaafat mowjud ho :D Zehni towr par parhay likhay hon,khush mizaaj,hans mukh,zindagi ko positive way say daikhnay waalay(warna main hun na un ko Allah ki madad say Raah par laanay waali :D)Doosron ki madad karnay k liye apni zaat ko peechay chowrnay waalay,Allah ka shukar har haal main ada karnay waalay,baray say baray dukh par sabr.o.himmat ka muzahira karnay waalay,apnay gham chupa kar khushiya'n taqseem karnay waalay,qinaa'at pasand aur Allah ki di hui chouti bari Naimat par dil.o.jaan say shukar ada kar kay hansi khushi rehnay waalay....aisay hi logon say mairi dosti hoti hay aur hay bhi :masha :)

          Q)Aksar tanhaai main kiya sochti hain?

          A)Main tanha hoti hi nahi hun :lol :lol yaqeen kijiye kay aik lamha tanha nahi hoti....koi bhi kaam kar rahi hoti hun tab bhi woh itni jaldi khatam ho jata hay k pata hi nahi chalta. is liye kay haath kaam main busy hotay hain aur mind kaheen aur hota hay aur main hans parti hun muskura daiti hun...:lol :) apnay saath bhi khush rehti hun :lol koi soch khud hi aaey to aaey jaan boojh kar kabhi nahi yeh karti k NAHI abhi mujhay fula'n baat sochna hay..jo sochti hun khud ba'khud jo k kuch bhi ho sakta hay...

          Q)Apni zindagi ka sab say bara Usool?

          A)Aisi kisi baat par koi samjhowta nahi... jo k mairay Zameer k khilaaf ho..us waqt mairay saamnay koi Baadsha ho ya koi bhi,,,Ghalat baat par YES nahi kar sakti...aisa koi waqt aaey to main shukar:alhamd: aik chataan saabit houti hun.

          Q)Paihli tehreer ki ishaa'at par aap kay kiya taasuraat thay?

          A)Sab say pehli isha'at aik bachon ki kahaani thi..apna naam aur kahaani k saath jab yeh bhi daikha k Pehlay number par aai hay to aik sarshaari si bhi,aik be'yaqeeni si bhi,Allah ka shuar bhi,aur khud hi baar baar read karti rahi us k baad hosh aaya :lol :lol aur baro'n ko dikhaai jinhon nay bouhat howsla afzaai ki..:)
          Last edited by hayaa_n; 4 December 2005, 21:14.
          :roseENIGMA:rose

          Comment


          • #50
            Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

            Q)Chalain ab kuch kitabo'n aur apni tehreero'n kay baray main hamain bataei'n kis qisim ki kitabain aap showq say parhti hain?

            A)Mujhay famous logon ki jo kay Pak.o.Hind ki mashoor Adabi shakhsiyaad reh chukay hain ya hain... un ki sawaneh hayaat read karna pasand hay,Apnay pasandeeda shaairo'n aur writers ko read karti hun.mujhay Writers main,Naheed Sultana Akhtar bhi pasand hain,Mushtaaq Ahmad Yusufi sahib ko showq say parha..Pak say books laana bouhat mushkil ho jata hay aur main ziyada tar in sab ko urdu web sites par hi read karti hun...Mustansar Husain Tararh Sahib ko showq say parhti hun...Meer Anees kay marsiye mujhay bouhat pasand hain...Kisi bhi writer ki koi bhi tehreer mujhay pasand aa'sakti hay chahay woh famous hon ya new ho'n...

            Q)Aap'ki sirf 2 tehreerai'n main nay parhi hain aur mujhay khushi hui kay un main haqeeqat ka aks hay...

            A)Gul ji bouhat shukriya k aap nay itni himmat ki kay taweel aur woh bhi Roman urdu main likhi gai tehreer read ki..aur aap ko pasand bhi aai jis ki mujhay bouhat khushi hui..:jazak: :)
            main nay bachon k liye bhi Bhoot ya Pariyon ki kahaniya'n nahi likhi'n kabhi.main samajhti hun k haqeqat say door jo bhi tehreer likhi jaati hay woh isi tarha hoti hay jaisay kay Baghair Rooh kay Koi Wujood..shairi ho ya Nasar nigaari,usi waqt asar andaaz hoti hay jab us main insani rawayo'n aur jazbaat ki, ya ird gird ki akaasi usi tarha ujaagar ki gai ho jaisa k daikhnay main bhi aata hay...main bas aisa hi likhti hun jaisa kay aap k saamnay mairi tehreerain mowjood hain...laikin yeh wazey kardu'n k main shaairi ya nasar nigari kisi koshish say nahi karti ya kaghaz qalam sanbhaal kar nahi baith jaati k mujhay likhna hay....is tarha main aik lafz nahi likh sakti...hanstay khailtay huway main koi ghamzada ghazal achanak likh baithti hun...sanjeeda mahowl main koi bhi shugufta tehreer mairay mind main aa'jati hay jo fowran rough copy par likh daiti hun..
            kitchen main roti pakatay ya koi bhi kaam kartay huway mind main kuch aaya aur bas fowran supurd-e-qirtaas huwa :lol mujhay apni likhi hui nazm TAAJ MAHAL pasand nahi aai...is liye k main kaghaz qalam sanbhaal kay baithi thi k mujhay likhna hay..waada kiya hay...lekin zara bhi achcha nahi likh saki, mujhay apni yeh nazm nahi pasand...AIK TITLEE...yeh nazm roti pakatay huway likhi :lol sotay say uth k baith jaati hun jaisay hi mind main kuch aata hay woh fowran likh laiti hun k bhool na jau'n.sab takhleeqaat isi tarha hain...
            Pegham kay games khailtay huway yeh Qitta mind main aaya jo k likh rahi hu'n..is say andaza kijiye k kar kiya rahi thi aur Mind main kiya aaya...:lol :lol

            Kis Khata Ki Mairay Maalik Yeh Saza Paai Hay
            Zindagi Hay Ya Sulagti Hui Tanhaai Hay
            Dilo'n Ko Tor Kay Tukray Uchaal Detay Hain
            Rasam zamanay nay ab tak to yeh nibhaai hay
            Utha kay kis ko chalay ho yun raah-e-qatl-e-wafa
            Dulhan ki cheekh hay,kiyun kehtay ho shehnai hay...

            (Háya)

            Q)Aik aakhri sawaal..
            Aik baat jo aap sab say kehna chahti hon?

            A)Is ka to bouhat mukhtasir jawaab daina hoga kiyun kay 1 Baat kehnay ko kaha gaya hay :lol ab dekhiye yeh aik baat kahaan ja kay khatam hoti hay? :lol
            Ji haan main kehna chahun gi k ham Pakistan main hon ya Pakistan say bahar hamain khud ko Pakistan ka Safeer Aur aisa Muslim character paish karna chahiye k loge hamaray mazhab aur Mulk say mutassir hon....Zindagi kay nashaib.o.faraaz say hansi khushi guzar jaiye, yeh soch kar k yeh Allah ki taraf say hi hay to is par kiya aansu bahana? ya howsla chowr dena..Allah ki taraf say bakhshi har naimat ka har dam shukar guzaar rehna...zindagi ki talkhiyon say bhi khushiya'n hi kasheed karna...zindagi phoolo'n ki seij nahi..is liye khud ko har aazmaish k liye tayyar rakhiye...jo kahiye us par amal bhi kijiye...achi baat kijiye,achchi sochiye aur yahi doosro'n tak bhi pohnchaiye.khud kuch sehna paray to seh lijiye but aisa na ho k aap ki wajha say kisi aur ko dukh sehna parey....dil aa'zaari say bouhat ziyada bachiye...khush rahiye aur khush rakhiye.Zindagi Allah ki taraf say bakhshi aik neimat hay aur is neimat ka sahi istimaal kartay huway Duniya main hi rehtay huway Aakhrat ki taameer kijiye....doosro'n ki Respect kijiye aur utni hi apni zaat ki bhi Respect kijiye....jitni dair main rona peetna hay utni dair main Dua kiyun na maang li jaey? banda to khud be-bas hay to apnay dukh banday say kiya kehna?..usi say kiyun na kaha jaey jo Zaat-e-Paak Majboor nahi, jo hamari Sheh rag say bhi qareeb hay, jo sab kuch karnay par Qadir hay to usi say kiyun na sab kaha jaey? aur na'umeed na huwa jaey...
            Bas aik Baat yahi kehna thi....kitni mukhtasir AIK BAAT thi.:D
            Last edited by hayaa_n; 6 December 2005, 19:34.
            :roseENIGMA:rose

            Comment


            • #51
              Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

              Gul ji Sawalaat khatam ho jaein to bataiye ga... :lol Mujhay to yeh Aakhri sawaal hi laga hay...:cc:
              :roseENIGMA:rose

              Comment


              • #52
                Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                i think khatam ho gaye hain ab meri bari
                Q haya jee aap favourite mosam konsa hay
                Q aap khush kab hoti hain
                Q last time kab roi thin
                Q Pakistan kitna ghooma hua hay aur sab se achi jagah konsi lagi
                Q Muhabbat sirf beevi se honi chahey ...yeh baat kahan tak sahi hay?
                chalin in ke jawab dein baqi baad main
                Allah

                Comment


                • #53
                  Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                  Originally posted by Adnan
                  i think khatam ho gaye hain ab meri bari
                  Q haya jee aap favourite mosam konsa hay
                  Q aap khush kab hoti hain
                  Q last time kab roi thin
                  Q Pakistan kitna ghooma hua hay aur sab se achi jagah konsi lagi
                  Q Muhabbat sirf beevi se honi chahey ...yeh baat kahan tak sahi hay?
                  chalin in ke jawab dein baqi baad main
                  Adnan ji aap k sawaalon k jawaab haazir hain...:)

                  A.1...:) Andar ka mousam khush'gawar ho to June July main bhi Badal chahaey nazar aatay hain but mujhay Mosam-e-Bahaar pasand hay..Na bouhat garmi,na bouhat sardi pasand hay...khush'gawaar mousam yaha'n March aur April main ideal hota hay galiya'n tak Raat ki Raani ki khushbu say mehek rahi hoti hain..:)

                  A..2...Allah nay mujhay nature aisi di hay k main positive points mind main rakhtay huway khush hi rehti hi rehti hun..but khush nazar aanay main aur khush rehnay main bouhat farq hota hay..jab main kisi k liye apna aap peechay chowr kar doosray ki khushi k liye kuch bhi kar guzarti hun apni zaat ki total nafi kar k sab kuch kar guzarti hun..to aik anjaani si khushi ka aik aihsaas mairay ird gird cha sa jaata hay..mairi kisi baat par kisi k labon par muskurahat aa'jaey to woh lamha mujhay khushi bakhsta hay..

                  A..3..Main pre-plane kuch nahi karti,na Rona na hi Hansna..koi shair koi nazm koi tehreer bhi mujhay kisi bhi waqt rula sakti hay...Ronay waali film daikh kar to main aik baar hospital pohanch gaai thi.:lol aur yahi israar tha k "un say kahiye kay dono ko mila dain":lol :lol :lol
                  Last time ka poocha hay to hehehehe :lol main abhi Roi thi aur bouhat Roi thi..us k baad bas login hui aur daikha to Q thay..answer likhnay baith gaai aur ab face par smile hay..:)

                  A..4..Main Pakistan July 2004 main aai thi..Karachi,Lahore, Pindi, Islamabad.Qayaam raha..mujhay Lahore bouhat pasand aaya.aik aik tareekhi muqaam daikha.Muree side say bhi bouhat aagay tak shumaali ilaqajaat bhi daikhay.Mujhay Daman-e-koh bhi pasand aaya.aur shumali ilaqajaat jin k mujhay naam bhi nahi pata hain ab yaad nahi naam mushkil say thay but pasand bouhat hi aey.shayed Naran thi woh jagha..theek say yaad nahi naam,Naran ya kaghan aisa hi kuch tha naam.

                  A..5..Sachi Mohabbat aik aisa jazba hay k jo kabhi soch samajh kar nahi hota,mohabbat to ho jati hay ki nahi jati..yeh kisi bhi waqt aap ko khud main giraftaar kar sakti hay.mohabbat ko bhala is say kiya gharz k kown shadi shuda hay kown nahi? Sachi mohabbat to aik dam waarid hoti hay but is ka yeh matlab hargiz nahi kay kiyun k Bivi k hotay huway bhi aap mubtila-e-mohabbat achchanak huway hain to laazim hay k izhaar kiya jaey..kuch maashrati majburiya'n, Zameer kay taqazay, kuch akhlaqi zimmay dariya'n ham par lagu hoti hain.Bivi say Nikaah kiya jata hay jo k bouhat muqadas rishta hay us k ba'wajud bhi aap mubtila-e-mohabbat hain aur Bivi ki mohabbat aap ko hasil hay to aap ko dil ki awaaz dil tak hi mehdood rakhna hogi..Sachi mohabat pa nahi saktay to us ko tamaasha ya ishtehaar banana mohabbat ki bouhat bari towheen hay..in jazbon ko aisi surat-e-haal main khud tak mehdood rakhna hi munasib aur insaaf ka taqaza hay...Bas yun samajh lain kay agar aisi koi surat-e-haal ho to aap Bivi say mohabbat na bhi hotay huway... Wafa zaroor karain, kiyun k mohabbat karnay k liye khud ko majbur nahi kiya ja sakta but wafa karna aap k ikhtiyar main hay...yeh main nay aik general baat likhi hay k aisi surat-e-haal main maira nuqta-e-nazar kuch yun hay.
                  Last edited by hayaa_n; 14 December 2005, 04:49.
                  :roseENIGMA:rose

                  Comment


                  • #54
                    Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                    Originally posted by Masood
                    ... To Haya ka interview chal raha hai - bohat zabardast choice hai :)

                    Haya key barey mein main kuchh kehna chahta hoon.

                    Haya ki aur meri dosti aik doosrey forum per hui, jahan Haya mujh sey kuchh din hi senior thi. Inka kalaam parh ker mujhey laga jaisey urdu adab mein aik naee rooh phoonki gaee hai. Phir inki aik tehreer aai - jo kisi mrs. Sarosh key barey mein thi - bohat umdah aur aala tehreer thi. Main ney lambhi lambhi kahaniyaan kam parhi hain, magar Haya ki woh tehreer mujhey bohat achhi lagi - aur mera yaqin pukhta ho geya keh yeh bachi bohat aala muqaam hasil karey gi.

                    Main wahan per moderator tha aur main ney Haya ko aik PM kiya jo meri aur Haya ki dosti ki mazbooti ki buniyaad bana. Aur woh dosti Alhamdolillah aaj bhi bohat paak aur saaf zehniyat ki dosti hai.

                    Allah Tala sey main ney hamesha aik hi dua maangi hai Haya key liye keh woh is bachi ko sakoon aur khushiyon ka woh muqaam ata karein jo iska haq hai. Meri duaein iskey saath hain aur main khud ko qadam qadam per Haya key aik aisey BUZURG key roop mein dekhta hoon jo iskey liye siraf achaee ki soch rakhta hai.

                    Merey Allah is bachi ko apni hifz-o-aman mein rakhna aur agar iski khushiyon ko meri nazar bhi lagey to meri aankhein andhi kar dena. Ameen.
                    Ta Ji aap ki duaein aur howsla afza baaton nay bouhat sukoon bakhsha hay...Duaein to Arsh-e-Moalla ko hila daiti hain agar dil say nikli hon...bouhat shukriya Ta Ji. :)
                    :roseENIGMA:rose

                    Comment


                    • #55
                      Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                      Originally posted by aik_lerki
                      Wow great going Haya :rose
                      Bohat acha lag raha ha ap ka interview perh ker ..:D:
                      Bouhat shukriya Aik larki ji..Interview ka doosra part to ab aap logon kay hathon main hay daikhain kiya hota hay.:lol
                      :roseENIGMA:rose

                      Comment


                      • #56
                        Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                        Originally posted by Hala
                        hayaa jjii Wellcome .... :welcome:
                        ab kuch khail kood band karii aur apna interview start karii no risk :lol:rose
                        Hala ji games to nahi kam khail sakti yeh to mujh par zulm hay :lol apnay interview say ghaafil nahi, bouhat dil'chaspi say jawabaat day rahi hun.:)
                        :roseENIGMA:rose

                        Comment


                        • #57
                          Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                          Originally posted by Aania
                          Welcome Hayaa_n .... Welcome to this spot...

                          Q: kesa feel ho raha hai...sab sathoyon ke beech...yehan.. ?
                          Q: kabhi knife pakrra diya jaye... ke murder kero...wernaa.. :(

                          to kis cheez kaa kero gi...? :D :lol
                          A..1)Aaniya ji mujhay bouhat achcha lag raha hay aap sab kay sawalon k jawabaat daina..:) Gul ji nay Masha Allah say achchay aur tareeqey kay sawaal poochay hain jin ka dil say jawaab likha..aap sab k beech bouhat achcha lag raha hay, khush hun bouhat..:masha :lol
                          A..2)Main Pegham kay Pvt ka murder karun gi :lol woh bhi without sorry :lol :lol msg send hi nahi hotay, bouhat time lagta hay. :cc: to is ka Murder hi munasib hay...:lol

                          Last edited by hayaa_n; 5 December 2005, 08:45.
                          :roseENIGMA:rose

                          Comment


                          • #58
                            Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                            Originally posted by khurram_shaikh
                            Assalaam o alekum,

                            aweeeey spotlight mien humaari mehmaan hayaa hain bahoot khoob bahoot khushi huee hayaa aapko yehaan dekh ker :D: bass gul ji ke sawaalaat khatm hoon tab humnien bhi kuch poochnaa hai aapse :tomato: :tomato: :kr:
                            W.salaam..
                            Khurram ji bouhat shukriya kay aap ko itni khushi hui mujhay yahaan daikh kar .aap ka guess theek hay :lol haya is here..
                            Ab khurram ji with haya k liye :tomato: :tomato: :tomato: :lol Khurram ji kiya yeh Tomatos aap k ghar k hi hain? :cc:
                            :roseENIGMA:rose

                            Comment


                            • #59
                              Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                              Originally posted by Muskan
                              Hayya ji aap ko spotlight ki roshni mein khushamdeed kehti hun:D, 2 weeks k bahd aap k liye swal laon gi, rule hey na!:)
                              Bouhat shukriya Muskan ji...but plz sawaal easy hi poochiye ga..:lol
                              :roseENIGMA:rose

                              Comment


                              • #60
                                Re: In The Spotlight ~* hayaa_n *~

                                Originally posted by khan
                                AOA,

                                Oh :lol aap aur yahan kia baat hai ab sare hanste hoye kahte rahyain ge na ji:lol


                                Sohail Abbasi.
                                W.salaam
                                Ji ji yahaan bhi aa'gai hun. :lol daikhiye kiya kiya hota hay Bahaanay Bahaanay say Sharaafat kay saath. :lol
                                :roseENIGMA:rose

                                Comment

                                Working...
                                X