Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Allama Iqbal special..life

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Allama Iqbal special..life

    (Bang-e-Dra-169) Teh-e-Daam Bhi Ghazal Aashna Rahe Tairan-e-Chaman To Kya

    Teh-e-Daam Bhi Ghazal Ashna Rahe Taaeeran-e-Chaman To Kya
    Jo Faghan Dilon Mein Tarap Rahi Thi, Nawaye Ziar-e-Labi Rahi

    Comment


    • Re: Allama Iqbal special..life

      Tera Jalwa Kuch Bhi Tasalli Dil-e-Na-Saboor Na Kar Saka
      Wohi Garya-e-Sehri Raha, Wohi Aah-e-Neem Shabi Rahi

      Comment


      • Re: Allama Iqbal special..life

        Na Khuda Raha Na Sanam Rahe, Na Raqeeb-e-Dair-o-Haram Rahe
        Na Rahi Kahin Asadullah, Na Kahin Abu Lahbi Rahi

        Comment


        • Re: Allama Iqbal special..life

          Mera Saaz Agarcha Sitam Raseeda-e-Zakhama Haye Ajam Raha
          Woh Shaheed-e-Zauq Wafa Hun Mein Ke Nawa Meri Arabi Rahi

          Comment


          • Re: Allama Iqbal special..life

            (Bang-e-Dra-169) Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir ! Nazar Aa Libas-e-Mijaaz Mein

            Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir! Nazar Aa Libas-e-Majaz Mein
            Ke Hazar Sajde Tarap Rahe Hain Meri Jabeen-e-Niaz Mein

            Comment


            • Re: Allama Iqbal special..life

              Tarb Ashnaye Kharosh Ho, Tu Nawa Hai Mehram-e-Gosh Ho
              Woh Surood Kya Ke Chupa Huwa Ho Sakoot-e-Parda-e-Saaz Mein

              Comment


              • Re: Allama Iqbal special..life

                Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Isse, Tera Aaeena Hai Woh Aaeena
                Ke Shikast Ho To Aziz Tar Hai Nigah-e-Aaeena Saaz Mein

                Comment


                • Re: Allama Iqbal special..life

                  Dam-e-Tof Karmak-e-Shama Ne Ye Kaha Ke Woh Asar-e-Kuhan
                  Na Teri Hikayat-e-Souz Mein, Na Meri Hadees-e-Gudaz Mein

                  Comment


                  • Re: Allama Iqbal special..life

                    Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan Mili
                    Mere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Ufuw-e-Banda Nawaz Mein

                    Comment


                    • Re: Allama Iqbal special..life

                      Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan, Na Woh Husn Mein Raheen Shaukiyan
                      Na Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi, Na Kham Hai Zulf-e-Ayaz Mein

                      Comment


                      • Re: Allama Iqbal special..life

                        Jo Mein Sar Basajda Huwa Kabhi To Zameen Se Ane Lagi Sada
                        Tera Dil To Hai Sanam Ashna, Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein

                        Comment


                        • Re: Allama Iqbal special..life

                          (Bang-e-Dra-168) Phir Baad-e-Bahar Ayi, Iqbal Ghazal Khawan Ho

                          Phir Bad-e-Bahar Ayi, Iqbal Ghazal Khawan Ho
                          Ghuncha Hai Agar Gul Ho, Gul Hai To Gulistan Ho

                          Comment


                          • Re: Allama Iqbal special..life

                            Tu Khak Ki Muthi Hai, Ajza Ki Hararat Se
                            Barham Ho, Preshan Ho, Wusa’at Mein Byanban Ho

                            Comment


                            • Re: Allama Iqbal special..life

                              Tu Jins-e-Mohabbat Hai, Qeemat Hai Garan Teri
                              Kam-Maya Hain Soudagar, Iss Daes Mein Arzan Ho

                              Comment


                              • Re: Allama Iqbal special..life

                                Kyun Saaz Ke Parde Mein Mastoor Ho Lay Teri
                                Tu Naghma’ay Rangeen Hai, Har Gosh Pe Uryan Ho

                                Comment

                                Working...
                                X