Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Allama Iqbal special..life

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Allama Iqbal special..life

    Sanad To Lijiye, Larkon Ke Kaam Aye Ge
    Woh Mehrban Hain Ab, Phir Rahain Rahain Na Rahain

    Comment


    • Re: Allama Iqbal special..life

      Zameen Parto Nahin Hindiyon Ko Ja Milti
      Magar Jahan Mein Hain Khali Samundar Ki Tehain

      Comment


      • Re: Allama Iqbal special..life

        Misal-e-Kashti-e-Behiss Matee-e-Farman Hain
        Kaho To Basta-e-Sahil Rahain, Kaho To Bahain

        Comment


        • Re: Allama Iqbal special..life

          (Bang-e-Dra-185) Memberi Imperial Council Ki Kuch Mushkil Nahin

          Memberi Imperial Council Ki Kuch Mushkil Nahin
          Vote To Mil Jaen Ge, Paise Bhi Dilwaen Ge Kya?

          Comment


          • Re: Allama Iqbal special..life

            Mirza Ghalib, Khuda Bakhse Baja Farma Gye
            “Hum Ne Ye Mana Ke Dili Mein Rahain, Khaen Ge Kya?”

            Comment


            • Re: Allama Iqbal special..life

              (Bang-e-Dra-184) Hindustan Mein Juzw-e-Hukumat Hain Councilain

              Hindustan Mein Juzw-e-Hukumat Hain Councilain
              Aghaz Hai Humare Siasi Kamal Ka

              Comment


              • Re: Allama Iqbal special..life

                Hum Tou Faqeer The Hi, Humara Tou Kaam Tha
                Sikhain Saliqa Ab Umra Bhi ‘Sawal’ Ka

                Comment


                • Re: Allama Iqbal special..life

                  (Bang-e-Dra-183) Nadan Thay Iss Qadar Ke Na Jani Arab Ki Qadar

                  Nadan The Iss Qadar Ke Na Jani Arab Ki Qadar
                  Hasil Huwa Yehi, Na Bache Maar Peet Se

                  Comment


                  • Re: Allama Iqbal special..life

                    Maghrib Mein Hai Jahaz-e-Byaban Shutar Ka Naam
                    Turkon Ne Kaam Kuch Na Liya Iss Fleet Se

                    Comment


                    • Re: Allama Iqbal special..life

                      (Bang-e-Dra-182) Vo Miss Boli Irada KhudKhushi Ka Jab Kiya Mein Ne

                      Woh Miss Boli Irada Khudkushi Ka Jab Kiya Main Ne
                      Muhazzib Hai Tu Ae Ashiq! Qadam Bahir Na Dhar Had Se

                      Comment


                      • Re: Allama Iqbal special..life

                        Na Juraat Hai, Na Khanjar Hai To Qasad-e-Khudkushi Kaisa
                        Ye Mana Dard-e-Nakami Gya Tera Guzr Had Se

                        Comment


                        • Re: Allama Iqbal special..life

                          Kaha Main Ke Ae Jaan-e-Jahan Kuch Naqad Dilwa Do
                          Karaye Par Mangwa Loon Ga Koi Afghan Sarhad Se

                          Comment


                          • Re: Allama Iqbal special..life

                            (Bang-e-Dra-181) Hathon Se Apne Daman-e-Dunya Nikal Gaya

                            Hathon Se Apne Daman-e-Duya Nikal Gya
                            Rukhsat Huwa Dilon Se Khiyal-e-Ma’ad Bhi

                            Comment


                            • Re: Allama Iqbal special..life

                              Qunoon-e-Waqf Ke Liye Larte The Sheikh Ji
                              Pucho To, Waqf Ke Liye Hai Jaidad Bhi!

                              Comment


                              • Re: Allama Iqbal special..life

                                (Bang-e-Dra-180) Asal-e-Shahood-o-Shahid-o-Mashood Aik Hai

                                “Asal-e-Shuhood-o-Shahid-o-Mashood Aik Hai”
                                Ghalib Ka Qoul Sach Hai To Phir Zikr-e-Ghair Kya

                                Comment

                                Working...
                                X