Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Allama Iqbal special..life

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Allama Iqbal special..life

    Ae Rehro-e-Farzana! Raste Mein Agar Tere
    Gulshan Hai To Shabnam Ho, Sehra Hai To Toofan Ho

    Comment


    • Re: Allama Iqbal special..life

      Saman Ki Mohabbat Mein Muzmar Hai Tan Asani
      Maqsad Hai Agar Manzil, Gharat Gar-e-Saman Ho

      Comment


      • Re: Allama Iqbal special..life

        Bang-e-Dra-147) Phoolon Ki Shahzadi

        Phoolon Ki Shehzadi
        The Princess Of Flowers



        Kali Se Keh Rahi Thi Aik Din Shabnam Gulisan Mein
        Rahi Main Aik Muddat Ghuncha Haye Bagh-e-Rizwan Mein

        One day the dew in the garden was saying to the flower bud
        “I lived for a long time among the flower buds of Paradise

        Comment


        • Re: Allama Iqbal special..life

          Tumhare Gulistan Ki Kaifiat Sarshar Hai Aesi
          Nigah Firdous Dar Daman Hai Meri Chashm-e-Heeran Mein

          Comment


          • Re: Allama Iqbal special..life

            Suna Hai Koi Shehzadi Hai Hakim Iss Gulistan Ki
            Ke Jis Ke Naqsh-e-Pa Se Phool Hon Paida Byaban Mein

            Comment


            • Re: Allama Iqbal special..life

              Kabhi Sath Apne Uss Ke Astan Tak Mujh Ko Tu Le Chal
              Chupa Kar Apne Daman Mein Barang-e-Mouj-e-Bu Le Chal

              Comment


              • Re: Allama Iqbal special..life

                Kali Boli, Sareer Ara Humari Hai Woh Shehzadi
                Darkhashan Jis Ki Thoukar Se Hon Pathar Bhi Nageen Ban Kar

                Comment


                • Re: Allama Iqbal special..life

                  Magar Fitrat Teri Uftanda Aur Begam Ki Shan Unchi
                  Nahin Mumkin Ke Tu Pohenche Humari Hum-Nasheen Ban Kar

                  Comment


                  • Re: Allama Iqbal special..life

                    Pohench Sakti Hai Tu Lekin Humari Shahzadi Tak
                    Kisi Dukh Dard Ke Mare Ka Ashak-e-Atisheen Ban Kar

                    Comment


                    • Re: Allama Iqbal special..life

                      Nazar Uss Ki Payam-e-Eid Hai Ahl-e-Muhram Ko
                      Bana Deti Hai Gohar Ghamzadon Ke Ashak-e-Peham Ko

                      Comment


                      • Re: Allama Iqbal special..life

                        (Bang-e-Dra-146) Musalman Aur Taleem-e-Jadeed

                        Musalman Aur Taleem-e-Jadeed
                        The Muslims And Modern Education


                        Tazmeen Bar-Shair-e-Malik Qumi
                        (Includes a Verse of Malik Qumi)


                        Murshid Ki Ye Taleem Thi Ae Muslim-e-Shourida Sar
                        Lazim Hai Rahru Ke Liye Dunya Mein Saman-e-Safar

                        Comment


                        • Re: Allama Iqbal special..life

                          Badly Zamane Ki Hawa, Aesa Taghiyur Aa Gya
                          The Jo Garan Qeemat Kabhi, Ab Hain Mataa-e-Kas Makhar

                          Comment


                          • Re: Allama Iqbal special..life

                            Woh Shaola Roshan Tera, Zulmat Grezan Jis Se Thi
                            Ghat Kar Huwa Misl-e-Sharar Taare Se Bhi Kam Noor Tar

                            Comment


                            • Re: Allama Iqbal special..life

                              Shedai-e-Ghaeeb Na Reh, Diwana-e-Moujood Ho
                              Ghalib Hai Ab Aqwam Par Mabood-e-Hazir Ka Asar

                              Comment


                              • Re: Allama Iqbal special..life

                                Mumkin Nahin Iss Bagh Mein Kosish Ho Bar Awar Teri
                                Farsooda Hai Phanda Tera, Zeerak Hai Murgh-e-Taiz Par

                                Comment

                                Working...
                                X