Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Allama Iqbal special..life

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Allama Iqbal special..life

    Husn Aaeena-e-Haq Aur Dil Aaeena-e-Husn
    Dil-e-Insan Ko Tera Husn-e-Kalaam Aaeena

    Comment


    • Re: Allama Iqbal special..life

      Hai Tere Fikr-e-Falak Ras Se Kamal-e-Hasti
      Kya Teri Fitrat-e-Roshan Thi Maal-e-Hasti

      Comment


      • Re: Allama Iqbal special..life

        Tujh Ko Jab Dida-e-Deedar Talab Ne Dhoonda
        Taab-e-Khursheed Mein Khursheed Ko Pinhan Dekha

        Comment


        • Re: Allama Iqbal special..life

          Chashm-e-Alam Se To Hasti Rahi Mastoor Teri
          Aur Alam Ko Teri Ankh Ne Uryan Dekha

          Comment


          • Re: Allama Iqbal special..life

            Hifz-e-Asrar Ka Fitrat Ko Hai Souda Aesa
            Raazdaan Phir Na Kare Gi Koi Paida Aesa

            Comment


            • Re: Allama Iqbal special..life

              (Bang-e-Dra-155) Phool

              Phool
              The Flowe
              r




              Tujhe Kyun Fikar Hai Ae Gul Dil-e-Sad Chaak-e-Bulbul Ki
              Tu Apne Pairhan Ke Chaak To Pehle Rafoo Kar Le

              O flower! Why do you care for the nightingale’s wounded heart
              First you should darn the slits of your own shirt!

              Comment


              • Re: Allama Iqbal special..life

                Tamanna Abru Ki Ho Agar Gulzar-e-Hasti Mein
                To Kanton Mein Ulajh Kar Zindagi Karne Ki Khu Kar Le

                Comment


                • Re: Allama Iqbal special..life

                  Sanobar Bagh Mein Azad Bhi Hai, Pa Ba Gill Bhi Hai
                  Inhi Pabandiyon Mein Hasil Azadi Ko Tu Kar Le

                  Comment


                  • Re: Allama Iqbal special..life

                    Tunak Bakhshi Ko Istaghna Se Pegham-e-Khajalat De
                    Na Reh Minnat Kash-e-Shabnam, Nigun Jaam-o-Saboo Kar Le

                    Comment


                    • Re: Allama Iqbal special..life

                      Nahin Ye Shan-e-Khud-Dari, Chaman Se Torh Kar Tujh Ko
                      Koi Dastaar Mein Rakh Le, Koi Zaib-e-Guloo Kar Le

                      Comment


                      • Re: Allama Iqbal special..life

                        Chaman Mein Ghuncha-e-Gul Se Ye Keh Kar Urh Gyi Shabnam
                        Mazaq-e-Jour-e-Gulcheen Ho To Paida Rang-o-Bu Kar Le

                        Comment


                        • Re: Allama Iqbal special..life

                          Agar Manzoor Ho Tujh Ko Khazan Na-Ashna Rehna
                          Jahan-e-Rang-o-Bu Se, Pehle Qataa-e-Arzu Kar Le

                          Comment


                          • Re: Allama Iqbal special..life

                            Iss Mein Dekh, Muzmir Hai Kamal-e-Zindagi Tera
                            Jo Tujh Ko Zeenat-e-Daman Koi Aaeena Ru Kar Le

                            Comment


                            • Re: Allama Iqbal special..life

                              (Bang-e-Dra-154) Shab-e-Miraj


                              Shab-e-Meeraj
                              The Night Of The Celestial Ascension Of The Prophet (PBUH)




                              Akhtar-e-Shaam Ki Ati Hai Falak Se Awaz
                              Sajda Karti Hai Sahar Jis Ko, Woh Hai Aaj Ki Raat

                              This call of the evening star is coming from the sky
                              This is the night before which the dawn prostrates

                              Comment


                              • Re: Allama Iqbal special..life

                                Reh-e-Yak Gaam Hai Himmat Ke Liye Arsh-e-Bareen
                                Keh Rahi Hai Ye Musalman Se Meeraj Ki Raat

                                Comment

                                Working...
                                X