Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

    Aashnaii Thi Faqat Wo, Aashnaii Ki Tarah
    Hum Nay Kia Halat Bana Lee, Jone Bhai Ki Tarah

    Itni Shiddat Say Unhain Socha Nahi Lakin Humay
    Or Bhi Dukh Thay Kray Teri Judaii Ki Tarah

    Jheel See Apni Tabiyat Hay Zara See Baat Per
    Zehan Main Alfaaz Jam Jatay Hain Kaii Ki Tarah

    Tujh Ko Khat Likhta Hoon Or Kaaghaz Pay Har Aansoo Mera
    Jazb Ho Jata Hay Pheeki Roshnaii Ki Tarah

    Jesay Be Qaboo Hon Lehjay Ki Tanabain Aaj Kal
    Tujh Ko Ab Aawaz Deta Hoon Dahaii Ki Tarah

    Janay Sajid Hum Nay Kia Say Kia Bana Daala Usay
    Hijar Tha Bas Aam Logon Ki Judaii Ki Tarah
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment


    • #47
      Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

      Bas Ghari Do Ghari Ko Tera Saath Ho, Is Say Barh Kar Saa'adat Nahi Chahiye
      Umar Bhar Kay Liye Or Ghum Hain Bohat, Umar Bhar Ki Rafaqat Nahi Chahiye

      Aisi Goongi Mohabbat Ka Kia Faida Jis Main Izhaar -e- Jazbaat Mumkin Na Ho
      Jis Main Sach Bhi Na Hum Keh Sakain Dhang Say, Aisi Jhooti Murawat Nahi Chahiye

      Aisay Rahi Ka Bhi Kia Safar Kia Hazar, Shouq -e- Manzil Tu Jis Ko Bohat Ho Mager
      Har Qadam Per Bharay Siskiyaan, Cheekh Uthay, Rastay Ki Tawalat Nahi Chahiye

      Jis Ko Jana Nahi, Jis Ko Parkha Nahi, Us Pay Kia Apnay DIL Ki Girah Kholtay
      Kesay Sach Boltay Us Ki Khidmat Main Hum, Jis Ko Hurf -e- Sadaqat Nahi Chahiye

      Tu Nay Kia Soch Kar Aag Main Rakh Diye, Teray Pairon Kay Ye Phool Jal Jayain Gaye
      Chahay Ishq Main Shidatain Bhi Mager, Ye Janoon Aisi Wehshat Nahi Chahiye

      Jis Ko Parh Kar Sulagnay Lagay Chashm o Dil, Jis Ko Pa Kar Dhoway Main Bikhar Jaye Hum
      Chahiye, Tera Khat Be Talab Chahiye, Lakin Aisi Ebarat Nahi Chahiye

      Saa'atain Chand Ginti Ki Hain Jaib Main, Kharch Karna Hay In Ko Bohat Soch Kar
      Qarz Hain Mujh Pay Ouron Ki Bhi Rahatain, Sirf Apni Hi Raahat Nahi Chahiye
      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

      Comment


      • #48
        Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

        Kyun Karrtay Ho Be Kaar, Usay Kyun Nahi Likhtay
        Tum Haal -e- DIL Zaar Usay Kyun Nahi Likhtay

        Kab Tak Ye Sarabon Ka Safar Kartay Raho Gaye
        Ab Zabt Hay Dushwaar, Usay Kyun Nahi Likhtay

        Har Ahad Ki Tamseel Main Hay Jalwa Figan Wo
        Tum Log Ada Kaar Usay Kyun Nahi Likhtay

        Naraz Hain Kuch Log Keh Jo Wadi -e- Shab Hay
        Hum Qarya -e- Anwaar Usay Kyun Nahi Likhtay

        Har Sahib -e- Fun Ko Yahi Shikwa Hay Keh Naqaad
        Is Ahad Ka Funkar Usay Kyun Nahi Likhtay

        Suntay Nahi Kia Tum Keh Wo Madah Sukhan Hay
        Khat Likhtay Ho, Aashaat Usay Kyun Nahi Likhtay
        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

        Comment


        • #49
          Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

          Dhoop Ghari Ka Dor Bhi Kitna Acha Tha
          Waqt Ka Darya Paon Kay Neechay Behta Tha

          Main Nay Aankhain Mondein Or Dam Saadh Liya
          Ak Parinda Kaandhay Per Aa Betha Tha

          Sabt Hay Ab Tak Phoolon Kay Do Surkh Nishaan
          Khowab Main Kis Nay Mera Maatha Chooma Tha

          Barhti Umar Kay Saath Khulay Israar Us Kay
          Kitna Zalim Tha Wo Hijar Jo Pehla Tha

          Jab Apnay Atraaf Main Bheer Ka Shoor Suna
          Tab Mujh Ko Ahsaas Howa Main Tanha Tha

          Hijar Kay Us Lamhay Per Ab Tak Nadim Hoon
          Tark -e- Taluq Ki Baabat Jab Socha Tha

          Khaak Uratay Phirtay Hain Ab Khaak Nasheen
          Ak Din Kehkashaan Per Pao Na Tikta Tha
          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

          Comment


          • #50
            Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

            Band Kamray Kay Makeen

            (Nazam)


            Kabhi Ghar Say Nikal Kar Tum Nay
            Sarma Ki Thatherti Chaandni Shab Main
            Akelay Chaand Ko Dekha Hay ?
            Kabhi Sunsaan Baaghon Main
            Kesi Tanha Rawish Per Chaltay Chaltay, Chaand Say Pucha
            Keh Wo Tum Say Ziada Muztarib Kyun Hay ?
            Mager Tum !
            Band Kamray Kay Makeen
            Khowabon Kay Shezaday !
            Nikal Kar Garam Kamray Say
            Kaha Jao Gaye Aadhi Raat Ko Sunsaan Baaghon Main ?
            Akelay Chaand Say Baatain Tu Wo Mazloom Kartay Hain
            Jinhain Ghar Kay Dar o Deewaar Bhi
            Dhatkaar Detay Hain
            Jinhain Apni Hi Aawazon Kay Khanjar
            Maar Detay Hain
            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

            Comment


            • #51
              Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

              Mohtaaj HumSafar Ki, Musafat Na Thi Meri
              Sab Saath Thay Kesi Say Rafaqat Na Thi Meri

              Haq Kis Say Maangta Keh Makeeno Kay Saath Saath
              Deewar o Baam o Dar Ko Zarorat Na Thi Meri

              Sach Bol Kay Bhi Dekh Liya Un Kay Samnay
              Lakin Unhain Pasand Sadaqat Na Thi Meri

              Main Jin Pay Mar Mita Tha Wo Kaaghaz Kay Phool Thay
              Rasmi Mukaalmay Thay Mohabbat Na Thi Meri

              Jo Dosron Kay Dukh Thay Wahi Meray Bhi Dukh Thay
              Kuch Aisi Mukhtalif Bhi Hakayat Na Thi Meri

              Bas Kuch Asool Thay Jo Beharhaal Thay Azeez
              Janam ! Kesi Say Warna Adawat Na Thi Meri
              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

              Comment


              • #52
                Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                Mat Us Khowab Kay Pichay Bhago!


                Bholi Larki !
                Mat Us Khowab Kay Pichay Bhago
                Pather Ban Kay Reh Jao Gi
                Taiz Bohat Hay Waqt Ka Darya
                Tum Bhi Us Main Beh Jao Gi
                Ye Nashter Jesi Ruswaii
                Bolo, Kesay Seh Pao Gi
                Kia Bachon Jesi Baaton Say
                Tum Sab Ko Behla Sakti Ho ?
                Kia Tum Apnay Mann Ki Mantaq
                Dunya Ko Samjha Sakti Ho
                Khowabon Jesi Baatain Kar Kay
                Kia Tabeerain Pa Sakti Ho
                Baap Ki Shafqat, Maa Ki Mamta
                Kia Sach Much Thukra Sakti Ho
                Jis Ghar Main Parwaan Charain Tum
                Us Ko Chorr Kay Aa Sakti Ho
                Aisi Baatain Na Mumkin Hay
                Bas Tum Apni Tanhaii Main
                Hijar Kay Geet Hi Ga Sakti Ho
                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                Comment


                • #53
                  Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                  Intazar

                  Saray Parind So Gaye, Khowab Nagar Main Kho Gaye
                  Ous Main Bheegta Raha Raat Ko Baagh Main Koii
                  :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                  Comment


                  • #54
                    Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                    Majbori

                    ( Nazam)

                    Tujhay Main Bhool Tu Jata
                    Mager Teray Taluq Say
                    Jo Chehray Samnay Aaye
                    Jo Rastay Samnay Aaye
                    Jo Lamhay Samnay Aaye
                    Jo Rishtay Samnay Aaye
                    Unhain Kesay Bhulata Main
                    Tujhay Kesay Bhulata Main ?
                    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                    Comment


                    • #55
                      Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                      Tark -e- Taluq Tu Kar Chukay Hain Ak Imkaan Abhi Baki Hay
                      Ak Mohaaz Say Lout Aaye Hain Ak Maidaan Abhi Baki Hay

                      Shayed Us Nay Hansi Hansi Main Tark -e- Wafa Ka Zikar Kia Ho
                      Yon Hi See Ak Khush Fehmi Hay, Itmanaan Abhi Baki Hay

                      Raatain Us Kay Hijar Main Ab Bhi Nazah Kay Aalam Main Katti Hain
                      DIL Main Wesi Hi Wehshat Hay, Tan Main Jaan Abhi Baki Hay

                      Bachpan Kay Us Ghar Kay Saray Kamray Malya Mait Howay
                      Jis Main Hum Khaila Kartay Thay, Wo Daalan Abhi Baki Hay

                      Diye Mundair Pay Rakh Aatay Hain Hum Har Shaam Na Janay Kyun
                      Shayed Us Kay Lout Aanay Ka Kuch Imkaan Abhi Baki Hay

                      Ak Adalat Or Hay Jis Main Hum Tum Ak Din Hazir Hon Gaye
                      Fesla Sun Kar Khush Mat Hona, Ak Maizaan Abhi Baki Hay
                      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                      Comment


                      • #56
                        Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                        Tujhay Bhula Kar Jiyon, Aisi Badd Dua Na Day
                        KHUDA Mujhay Ye Tahammul, Ye Hosla Bhi Na Day

                        Meray Bayaan Safaii Kay Darmiyaan Mat Bol
                        Sunay Bagair Mujhay, Apna Fesla Bhi Na Day

                        Ye Umar Main Nay Teray Naam Be Talab Main Likh Di
                        Bhalay Say Daaman -e- DIL Main Kahi Jaga Bhi Na Day

                        Ye Din Bhi Aaye Gaye, Aisa Kabhi Na Socha Tha
                        Wo Mujh Ko Dekh Bhi Lay, Or Muskura Bhi Na Day

                        Ye Ranjishain Tu Mohabbat Kay Phool Hain Sajid
                        Taluqat Ko Is Baat Pay Ganwa Bhi Na Day
                        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                        Comment


                        • #57
                          Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                          Sawal


                          Sawal Ye Hay Tumhari Rafaqatain Bhi Rahin
                          Akelay Kesay Rahay Hum, Tumharay Hotay Howay
                          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                          Comment


                          • #58
                            Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                            Teray Liye

                            ( Nazam)

                            Dil Hathaili Per Liye Sab Nay Qatarain Baandh Lee
                            Sab Nay Aankhon Ki Sajaii Kehkashaan Teray Liye
                            Apni Umeedon Kay Taaray Teray Aagay Rakh Diye
                            Kar Dia Sab Nay Zameen Ko Aasmaan Teray Liye

                            Meray Liye

                            Kaktis Jesay Hain Ye Meray Dar o Deewar Bhi
                            Mera Kamrah Bhi Hay Dasht -e- Be Amaa Meray Liye
                            Main Tu Sarma Ki Thatherti Raat Ka Mahtaab Hoon
                            Koun Wa Karta Hay Ghar Ki Khirkiyaan Meray Liye
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • #59
                              Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                              Aklapa


                              (Nazam)


                              Wo Borha Ak Din Bazaar Main Mujh Ko Mila
                              Kehnay Laga, " Betay "!
                              Tumharay Pass Thora Waqt Hay?
                              Main Nay Kaha, " Farmaye" Kia Chahiye"?
                              Kehnay Laga, " Bas Chand Lamhay Guftago Kay Wastay"
                              Hum Pass Kay Hotel Main Ja Bethay,
                              Humharay Darmiyaan Kuch Dair Tak Taari Rahi Be Chain Khamoshi
                              Phir Us Nay Apni Aainak, Apnay Aansoo Poch Kar

                              Yon Lab Kushaii Ki :

                              Humaray 3 Betay Hain Jo America Main Rehtay Hain
                              Yaha, Is Mulk Kay Is Shehar Main
                              Chotta Sa, Khasta Haal Sa Ak Ghar Hay
                              Jis Ki Toti Photi Balkoni Main
                              Sar Shaam Kheezan
                              Hum Dono, Bivi Or Main, Khamosh
                              Pairon Ki Ghani Shaakhon Kay Pechay Dobtay Sooraj Ko Taktay Hain
                              Kabhi Bachon Kay Pichlay Khat Say Behlatay Hain Apna DIL
                              Kabhi Hum Un Ki Tasveeron Ko Seenay Say Lagatay Hain
                              Musalsal , Kaan Telephone Ki Ghanti Per Rakhtay Hain
                              Na Janay Kab Kesi Betay Ka Telephone Aa Jaye
                              Guzar Jatay Hain Din , Beton Ko Fursat Hi Nahi Milti
                              Keh Hum Ko Sirf Itni Italah Day Dain
                              " Yaha Sab Khairyat Hay, Aap Kay Ahwaal Kesay Hain ? "
                              Kaii Din Beet Jatay Hain
                              Na Koii Khat Na Telephone
                              Sannata Sa Rehta Hay
                              Ye Sannata Humaray Khoon, Humari Hadiyon Main Jazb Ho Kar
                              Aanso'on Main Phoot Behta Hay
                              Hum Un Ko Phone Kartay Hain
                              Edhar Say Koii Beta Neend Main Dobi Hoii Aawaz Main
                              Jhinjala Kay Kehta Hay :
                              " Abhi Thak Haar Kay Soye Thay, Apnay Job Say Aa Kar
                              Humari Neend Kyun Disturb Kar Di Aap Nay Papa ?"
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment


                              • #60
                                Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                                Kal Or Aaj


                                Main Jab Chotta Sa Ak Bacha Tha
                                Meray Zindagi Kay Do Marakiz Thay
                                Mera Ghar Or Mera Basta
                                Meray Ghar Main Meray Maa Baap Ki Shafqat Kay
                                Ujlay Phool Khiltay Thay
                                Kabhi Main Dair Say Aata Tu Meri Muntazir Milti Thi Meri Maa
                                Sar Dehleez, Darwazay Pay Phelaiye Howay Baahain
                                Karakti Sardiyon Main Wo Sada Geeli Jaga Soti
                                Mujhay Sookha Howa Aaram Day Bister Ata Karti
                                Meray Abba Mujhay Har EID Per Achay Say Acha Boat Pehnatay
                                Or Un Kay Paon Kay Boseeda Jootay Muskura Diye
                                Wo Eidain Ja Chuki, Wo Din Meray Mazi Ka Hissa Hain
                                Main Ab Khud Baap Hoon
                                Or EID Say Do Chaar Din Pehlay
                                Kharidari Kay Khatir Ghar Say Jab Nikalta Hoon
                                Tu Nazrain Sab Say Pehlay Dhoondti Hain Wo Dokanain
                                Jin Main Achay Boat Miltay Hain
                                Tasawer Main Meray Abbu Ka Chehra Muskurata Hay
                                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                                Comment

                                Working...
                                X