Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

    Abbo, Aisa Kyun Hota Hay ???


    Aap Say Main Kuch Keh Nahi Sakta
    Ak Nanna Sa Bacha Hoon Main
    Abhi Tu Meray Moun Say Abbo
    Maa Kay Dhood Ki Boo Aati Hay
    Abhi Main Bol Nahi Sakta Hoon
    Apni Chamakti Aankhon Say Main
    Bohat Say Rang, Bohat Say Manzar, Bohat Say Chehray Dekhta Hoon
    Sab Ki Goud Main Aa Jata Hoon
    Har Seenay Say Lag Jata Hoon
    Lakin Abbo, Aap Kay Seenay Per Jab Apna Sar Rakhta Hoon
    Yon Lagta Hay Jesay Is Puri Dunya Main
    Do Mehfooz Qilay Hain Meray
    Maa Ki Chaati, Aap Ka Seena
    Ye Sab Kuch Main Keh Nahi Sakta
    Bas Apni Ghoo Ghaan Karta Hoon
    Abbo Main Chup Reh Nahi Sakta
    Panghoray Main Chorr Kay Mujh Ko
    Kyun Per Dees Chalay Jatay Hain
    Jab Janay Lagtay Hain Ghar Say
    Aap Ki In Aankhon Kay Taaray
    Aakhir Kyun Dhoondla Jatay Hain
    Abbo Aap Tu Itnay Baray Hain
    Abbo Aap Bhi Rotay Hain Kia
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment


    • #62
      Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

      Teri Payel Teray Khowabon Ki Sada
      Jesay Sehra Main Sarabon Ki Sada

      Itna Hassas Hoon Sun Laita Hoon
      Shaam Kay Zard Gulabon Ki Sada

      Jism Sunta Hay Sakoot -e- Shab Main
      Dil Kay Pur Shoor Azabon Ki Sada

      Gour Say Sun Kesi Almari Main
      Gard Aalood Kitabon Ki Sada

      Raat Aaya Tha Chanbeli Ka Pyaam
      Jesay Khoye Howay Khowabon Ki Sada
      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

      Comment


      • #63
        Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

        Sandeesa

        Zeenay Pay Rakh Gia Koii Tehni Gulaab Ki
        Aisay Dia Kesi Nay Sandeesa Bahaar Ka
        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

        Comment


        • #64
          Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

          Aisi Deewangi Say Kia Hasil ??


          (Nazam)


          Quwat -e- Fikar Jis Main Ghat Jaye
          Zehan Tareekhiyon Main Bat Jaye

          Dil Gubaar Alam Main Att Jaye
          Aadmi Zindagi Say Kat Jaye

          Aisi Deewangi Say Kia Hasil
          Is Ghum Aashiqi Say Kia Hasil

          Ishq Aisa Tu Ho Keh Jis Ki Chamak
          Dil Ki Tareekhiyon Ko Dorr Karay
          Fikar Ko Aabshaar Noor Karay
          Sheesha -e- Ghum Ko Choor Choor Karay

          Lakin 21veen Sadi Ka Demagh
          Jesay Aandhi Kay Rastay Main Charagh
          Jesay Pather Ka Phool, Rait Ka Baagh
          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

          Comment


          • #65
            Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

            Chaar Misray


            Jaan Kani Main Mareez Hasti Hay
            Maangta Hay Dawa Zamanay Say
            Chara Saazon ! Sunairi Mouqa Hay
            Zehar Day Do Isi Bahanay Say

            *****

            Shaan Ghati Hay Inkasari Say
            Is Liye Sar Ko Kham Nahi Rakhtay
            Jin Ki Ouqaat Chaar Sikkay Hain
            Wo Zameen Per Qadam Nahi Rakhtay

            *****

            Ouj Aflaak Hay Meri Manzil
            Meri Parwaz Rukh Nahi Sakti
            Meri Aawaz Roknay Walon
            Meri Aawaz Ruk Nahi Sakti

            *****

            Waqt -o- Halaat Bhool Jatay Hain
            Ak Ak Baat Bhool Jatay Hain
            Hum Nay Dekha Keh Log Pal Bhar Main
            Apni Ouqaat Bhool Jatay Hain

            *****

            Jab Keh Bedaar Hon Mohafiz Gul
            Phir Lutay Kyun Chaman Sawal Ye Hay
            Sab Ko Dawa Hay Reh Numaii Ka
            Koun Hay RahZan Sawal Ye Hay
            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

            Comment


            • #66
              Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

              Phool Khilnay Ki Ghari


              (Nazam)


              Pehlay Aap Bataye Mujh Ko
              Aap Ka Chehra Peela Kyun Hay?
              Aap Kay Kapray Mailay Kyun Hain?
              Wo Neeli See Shart Kaha Hay?
              Aap Ki Ladder Belt Kaha Hay?
              Ainak Ka Number Kyun Badlay?
              Kyun Dhoondlee Dhoondlee Hain Aankhain?
              Kyun Itna Likhtay Parhtay Hain?
              Aap Kay In Uljhay Baalon Ko
              Koun Waha Suljhata Ho Ga?
              Is Wehshi, Is Muzter Dil Ko
              Koun Waha Behlata Ho Ga?
              Wo Dasht Hay Tanhaii Ka
              Chain Waha Kab Aata Ho Ga?
              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

              Comment


              • #67
                Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                Resham Jesay Kitnay Sawalon Kay Ghuchay


                (Nazam)


                Resham Jesay Kitnay Sawalon Kay Ghuchay Hain
                Jo Perdesh Say Ghar Aatay Hi Khul Jatay Hain
                Sochta Hoon Main
                Maa, Mehboba Or Bivi
                Ye Teeno Rishtay
                Aapas Main Jab Mil Jatay Hain
                Jesay Dorr Kahin Sehra Main
                Taaza Phool Khil Jatay Hain
                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                Comment


                • #68
                  Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                  Kaha : Din Ko Bhi Ye Ghar Kis Liye Weeran Rehta Hay??
                  Yaha Kia Hum Sa Koii Be Saro Samaan Rehta Hay ??

                  Dar o Deewar Sannatay Ki Chaadar Maiin Hain Khowabida
                  Bhala Aisi Jaga Zinda Koii Insaan Rehta Hay ??

                  Musalsal Puchnay Per Ak Chilman Say Jawab Aaya
                  Yaha Ak Dil Shikasta Sahib -e- Deewan Rehta Hay

                  Jhijhak Kar Main Nay Pucha : Kia Kabhi Bahar Nahi Aata
                  Jawab Aaya : Usay Khalwat Main Itmanaan Rehta Hay

                  Kaha : Kia Us Kay Rishtay Dar Bhi Milnay Nahi Aatay ?
                  Jawab Aaya : Ye Sehra Din Raat Sunsaan Rehta Hay

                  Kaha : Koii Tu Ho Ga Us Kay Dukh Sukh Baantnay Wala
                  Jawab Aaya : Nahi, Khali Ye Ghar, Ye Lawn Rehta Hay

                  Kaha : Us Kay Ghar Main Hain Kuch Phoolon Kay Pouday Bhi
                  Jawab Aaya Keh Khali Phir Bhi Har Guldaan Rehta Hay

                  Kaha : Us Kay Mohallay Main Nahi Pursaan -e- Haal Us Ka ?
                  Jawab Aaya : Khayal Us Ka Mujhay Har Aan Rehta Hay

                  KHUDA Ka Shukar Hay Hum Ak Fiza Main Saans Laitay Hain
                  Ager Miltay Nahi, Itna Tu Itmanaan Rehta Hay !
                  :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                  Comment


                  • #69
                    Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                    Takeed


                    (Nazam)


                    Meray Halaat Ki Abtari Dekh Kar
                    Us Kay Abbo Nay Thukra Dia Tha Mujhay
                    Phir Achanak Wo Ak Anjuman Main Mili
                    Apni Khamosh Palkain Jhukaye Howay
                    Wo Meray Pass Aa Kar Khari Ho Gaii
                    Chand Lamhon Talak Khanjar Khamshi
                    Dheeray Dheeray Kalaijon Pay Chalta Raha
                    Waqt Hairan Aankhon Ko Malta Raha
                    Phir Zara Dair Main Mouzoo -e- Guftago
                    Apnay Haath Aa Gia
                    Yani Mousam, Siasat, Ghum Zindagi
                    Dair Tak Us Say Jee Bhar Kay Baatain Hoii
                    Phir Wo Chaltay Howay Ak Pal Ko Ruki
                    Mujh Say Kehnay Lagi :
                    Shairy Say Bhala Kia Mila Aap Ko
                    Sirf Palkon Ka Num
                    Sirf Yaadon Ka Ghum
                    Aap Ki Shoratain, Aap Ko Pesh o Kam
                    Kuch Na Dain Gi Kabhi Shair Mohtaram
                    Mat Bura Maniye Ga Meri Baat Ka
                    Ye Taqaza Hay Moujoda Halaat Ka
                    Is Liye Jan -e- Mann , Shairy Chorr Kar
                    Fun Kay Is Reg-Zaron Say Moun Mor Kar
                    Ab Dubai Or Masqat Ka Rukh Kijiye
                    Chand Barson Main Jab Aap Ki Jaib Main
                    8-10 Laakh Hon
                    Tab Watan Aaiye
                    Or Abbo Say Phir Maang Lijiye Mujhay
                    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                    Comment


                    • #70
                      Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                      Har Jaii


                      (Nazam)


                      Tum Nay Hi Majboor Kia
                      Mujh Ko Rah Badalnay Per
                      Jeewan Kay Be Ant Safar Main
                      Gair Ka Ho Kar Chalnay Per

                      Main Nay Tumhari Aashaon Ka
                      Har Har Roop Saraha Hay
                      Main Nay Apna Aap Bhula Kar
                      Tum Ko Toot Kay Chaha Hay

                      Umar Ki Ujli Dewaron Per
                      Qismat Ka Andhyara Tha
                      Or Bohat Say Sooraj Lakin
                      Tum Sa Charagh Hi Pyara Tha

                      Lakin Tum Hi Meray Maseeha
                      Nafrat Kay Saanchay Main Dhal Kar
                      Ak Din Meray Samnay Aa Gaye
                      Qatil Ka Behroop Badal Kar

                      Ab Kia Shikwa Kesi Shikayat
                      Chahat Kay Sab Rishtay Kachay
                      Main Bhi Or Tum Bhi Har Jaii
                      Main Bhi Theek Or Tum Bhi Sachay
                      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                      Comment


                      • #71
                        Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                        Amanat


                        Yaad Parta Hay Keh Kuch Khowab Thay Dhoondlay Dhoondlay
                        Wo Amanat Main Kahin Bhool Gia Hoon Rakh Kay
                        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                        Comment


                        • #72
                          Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                          Meri Tarah Kesi Ko Bhi Khona Nahi Para
                          Tum Khush Naseeb Ho Tumhay Rona Nahi Para

                          Bin Mangay Mil Gaii Tumhay Har Manzil Muraad
                          TalwaO Main Koii Khaar Chibhona Nahi Para

                          Sadd Shukar Mujhay Dreedah Badan Ki Tarah Tumhay
                          Kanton Pay Ak Raat Bhi Sona Nahi Para

                          Dushman Say Sur Khoro Hon Keh Badla Nahi Liya
                          Sharminda Apnay Aap Say Hona Nahi Para

                          Rakhay Tamaam Chaak Salamat , Faraaq Kay
                          Perdes Main Bhi Seena Prona Nahi Para

                          Ki Zindagi Nay Meri Wakalat Kuch Is Tarah
                          Baar Saboot Bhi Mujhay Dhona Nahi Para

                          Nazaan Hoon Apnay Qalib -e- Deewan Main Mujhay
                          Bharti Ka Koii Sher Samona Nahi Para
                          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                          Comment


                          • #73
                            Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                            Aawaz Ka Rishta. (Nazam)

                            Bas Yon Hi Rasmi Rasmi Sa
                            Ak Be Mafoom Taa'ruf Tha
                            Us Nay Mera Number Maang Liya
                            Phir Ak Din Telephone Kia
                            Phir Phone Kia..............
                            Phir Phone Kia.............
                            Ak Roz Thi Barish Zoron Per
                            Baadal Garjay, Bijli Chamki
                            Phir Boondhain Barsi Khirki Per
                            Tab Us Ka Telephone Aaya
                            Be Saakhta Main Nay Us Say Kaha
                            Barsaat Main Tanhaii Ki Saza
                            Kyun Deti Ho
                            Kyun Karti Ho Tum Phone Mujhay
                            Kuch Lamhon Tak Wo Chup See Rahi
                            Phir Kehnay Lagi
                            Jo Aap Ka Dheema Lehja Hay
                            Mujhay Be Hadd Acha Lagta Hay
                            Aawaz Jo Aap Kay Honton Say
                            Tashna Kaano Tak Aati Hay
                            Mujhay "Us" Ki Yaad Dilati Hay
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • #74
                              Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                              Bujh Jayein Gi Roshan Aankhain (Nazam)


                              Ak Din
                              (Or Wo Din Bhi Shayed Dorr Nahi)

                              Ye Roshan Or Pyari Aankhain
                              Zalim Khaak Main Rul Jaye Gi
                              Goud Main Lainay Wali Baahain
                              Behar -e- Fana Main Ghul Jaye Gi
                              Maa ! Tum Tanha Chorr Kay Hum Ko
                              Shehar Ajal Main Kho Jao Gi
                              Bujh Jayein Gi Roshan Aankhain
                              Maa ! Tum Chain Say So Jao Gi
                              Shehar -e- Abad Ki Ho Jao Gi
                              Chahra Garon Kay Qatil Jumlay
                              Sunta Hoon Tu Dukh Hota Hay
                              Zabt Karon Tu Dam Ghut-ta Hay
                              Ashk Piyon Tu Dil Rota Hay
                              Taaq Umar Say Dheeray Dheeray
                              Kitni Shamain Bujh Chuki Hain
                              Tum Say Pehlay Taiz Hawa Say
                              Kitni Aankhain Ujar Chuki Hain
                              Lakin Ye Ghum Kesa Ghum Hay?
                              Jis Kay Soug Main Chashm -e- Falak Bhi
                              Janay Kitnay Roz Say Nam Hay
                              Janay Kab Tak Roye Gi Aankhain
                              Janay Kab Tak Lamhay Gin Gin
                              Guzray Gaye Soli Pay Ye Din
                              Or Phir Aak Din ..................
                              Sochta Hoon Tu Kaanp Uthata Hoon!
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment


                              • #75
                                Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                                Maa ! Kaha Ho Tum ?


                                Meray Charon Taraf Hay Dasht Be Payan Kaha Ho Tum
                                Meray Maathay Pay Bosa Denay Wali Maa ! Kaha Ho Tum

                                Mujhay Jhulsa Rahi Hay Zindagi Ki Dhoop Barson Say
                                Meri Umeed, Meri Zeest Ka Samaan Kaha Ho Tum

                                Kharashain Daal Di Hain Dil Kay Aainay Pay Dunya Nay
                                Meray Har Dukh, Meray Har Dard Ka Darmaan Kaha Ho Tum

                                Main Thak Kay Girnay Wala Hoon Mujhay Aagosh Main Lay Lo
                                Taaqub Main Hay Meray Gardish -e- Douraan Kaha Ho Tum

                                Meray Wo Dost Khush Qismat Hain Jin Ki MAA'AIN Zinda Hain
                                Meri Nazron Main Sara Shehar Hay Weeran Kaha Ho Tum

                                Kaha Ho Tum ? Ye Dekho, Mera Seena Kitna Ghaayal Hay
                                Meray Zakhmo Ko Marham Ki Talab Hay Maa ! Kaha Ho Tum
                                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                                Comment

                                Working...
                                X