Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

    Nadim Hoon Main Nay Koii Bhi Rahat Na Di Tujhay
    Tu Jis Ka Mustahiq Tha Wo Chahat Na Di Tujhay

    Apnay Hi Shab o Roz Kay Jhamailon Main Gum Raha
    Jis Per Tera Tha Haq Wo Rafaqat Na Di Tujhay

    Tu Pass Tha Tu Meri Ana Kay Garoor Nay
    Pather Kay Ak Butt Ki Bhi Waqqat Na Di Tujhay

    Darya Tha Main Khaloos Ka Har Shaks Kay Liye
    Per Boond Bhar Bhi Main Nay Mohabbat Na Di Tujhay

    Kaaghaz Kay Qamqamo Ko Jalanay Kay Shouq Main
    Afsoos, Koii Shaam Rafaqat Na Di Tujhay

    Tu Sochta Tu Ho Ga Shaair Kay Pyaar Nay
    Apni Kesi Ghazal Ki Bhi Soorat Na Di Tujhay

    Main Kia Karon Keh Meray Bohat Say Aazab Thay
    Bas Is Liye Kabhi Koii Zehmat Na Di Tujhay
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment


    • #32
      Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)


      Utri Hay Yon Judaiyon, Tanhaiyon Main Shaam
      Jesay Ujaar Shehar Ki Angnaiyon Main Shaam

      Rangeen Qamqamon Ka Sahara Liye Howay
      Sehmi Hoii Hay Shehar Ki Ranaiyon Main Shaam

      Kamron Main Band, Hijar Kay Gosha -e- Nasheen Teray
      Kab Dhoondtay Hain Apni Pazeeraiyon Main Shaam

      Hum Sookhta Dilon Ki Tumhay Kia Khaber Keh Hum
      Kesay Guzaar Laitay Hain Tanhaiyon Main Shaam

      Ay Aakhri Kiran, Mujhay Ghar Tak Tu Chorr Day
      Ab Dhal Rahi Hay Doobti Parchaiyon Main Shaam

      Na Aashna Hajoom Main Khoye Howay Thay Hum
      Guzri Hay Aaj Aisi Shanasaiyon Main Shaam
      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

      Comment


      • #33
        Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

        Mujh Say Mukhlis Tha Na Waqif Meray Jazbaat Say Tha
        Us Ka Rishta Tu Faqat Apnay Mufadaat Say Tha

        Ab Jo Bichra Hay Tu Kia Roye Judaii Main Teray
        Ye Andesha Tu Humay Pehli Mulaqat Say Tha

        DIL Kay Bujhnay Ka Hawa'on Say Gila Kia Karna ?
        Ye Diya Nazah Kay Aalam Main Tu Kal Raat Say Tha

        Markaz -e- Shehar Main Rehnay Pay Musir Thi Khalqat
        Or Main Wabasta Teray DIL Kay Mazafaat Say Tha

        Main Kharabon Ka Makeen Or Taluq Mera
        Teray Naatay Kabhi Khowabon Kay Mahalaat Say Tha

        Lab Kushaii Pay Khula Us Kay Sukhan Ka Iflaas
        Kitna Aarasta Wo Etlas o Banaat Say Tha
        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

        Comment


        • #34
          Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)


          Ye Barson Ka Taluq Torr Dena Chahatay Hain Hum
          Ab Apnay Aap Ko Bhi Chorr Dena Chahatay Hain Hum

          Kesi Dehleez Pay Aankhon Kay Ye Roshan Diye Rakh Kar
          Zameer Subh Ko Jhanjor Dena Chahatay Hain Hum

          Jidhar Hum Ja Rahay Hain Us Taraf Toota Howa Pul Hay
          Ye Baagain Is Say Pehlay Morr Dena Chahatay Hain Hum

          Ye Noubat Kal Jo Aani Hay Tu Sharminda Nahi Hongay
          Marasim Ahtiyatan Torr Dena Chahatay Hain Hum

          Ajeeb Dewangi Hay, Jis Kay Hum Saaye Main Bethay Hain
          Isi Deewar Say Sar Phor Dena Chahatay Hain Hum

          Taluq Kurchiyon Ki Shakal Main Bikhra Tu Hay Phir Bhi
          Shikasta Aaino Ko Jorr Dena Chahatay Hain Hum
          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

          Comment


          • #35
            Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

            Main Takye Pay Sitaray Bo Raha Hoon
            Janam Din Hay Akela Ro Raha Hoon

            Kesi Nay Jhaank Kar Dekha Na Dil Main
            Keh Main Andar Say Kesa Ho Raha Hoon

            Jo DIL Pay Daagh Hain Pichli Rutton Kay
            Unhain Ab Aanso'on Say Dho Raha Hoon

            Sab Hi Parchaiyan Hain Saath Lakin
            Bhari Mehfil Main Tanha Ho Raha Hoon

            Mujhay Un Nisbaton Say Koun Samjha ?
            Main Rishtay Main Kesi Ka Jo Ho Raha Hoon

            Main Choonk Uthta Hoon Akser Bethay Bethay
            Keh Jesay Jagtay Main So Raha Hoon

            Kesay Panay Ki Khowaish Hay Keh Sajid
            Main Rafta Rafta Khud Ko Kho Raha Hoon
            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

            Comment


            • #36
              Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

              Ager Milna Zarori Hay

              (Nazam)


              KHUDA Janay Tumharay Zehan Main Kia Hay
              Meray Baray Main Tum Kia Sochti Ho, Keh Nahi Sakta
              Mager Main Is Liye Milnay Say Katrata Hoon Tum Say

              Keh Wo Baatain Jo Hum Likhtay Hain ! Apnay Khat Main Chahat Say
              Wo Baatain Or Baatain Hain
              Wo Baatain Aisi Baatain Hain Keh Bas Baatain Hi Baatain Hain
              Haqiqat Mukhtalif Hay Aisi Baaton Say
              Haqiqat Kia Hay, Is Edraak Tak Tum Kesay Pohcho Gi ?
              Haqiqat Munkashif Hoti Nahi Alfaz Likhnay Say
              Zabani Guftago Say, Bahimi Ezhaar o Arz Haal Karnay Say
              Bohat See Aisi Baatain Hain
              Jinhain Sunnay Ko Kaano Ki Nahi Aankhon Ki Haajat Hay
              Ager Tum Mujh Say Milnay Per Bohat Israar Karti Ho
              Tu Phir Ak Shart Hay
              Ak Lafz Bhi Na Kehna Honton Say
              Faqat Aankhon Say Aankhain Guftago Karti Rahay Gi
              Khala Apnay Sawalon Ka
              In Aankhon Ki Sada'een Khud Ba Khud Bharti Rahay Gi
              Ager Milna Zarori Hay
              Tu Chotti See Meri Ye Shart Apnay Zehan Main Rakhna!
              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

              Comment


              • #37
                Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                Wo Pehli Jesi Wehshatain, Wo Haal Hi Na Raha
                Keh Ab Tu Shouq -e- Raahat Wasaal Hi Na Raha

                Tamaam Hasratain Har Ak Sawal Dafan Kar Chukay
                Humaray Pass Ab Koii Sawal Hi Na Raha

                Talash Rizq Main Ye Shaam Is Tarah Guzar Gaii
                Koii Hay Apna Muntazir Khayal Hi Na Raha

                Un Aatay Jatay Roz o Shab Ki Gardishon Ko Dekh Kar
                Kesi Kay Hijar Ka Koii Malaal Hi Na Raha

                Humara Kia Banay Ga Kuch Na Kuch Tu Is Pay Sochtay
                Mager Kabhi Humay Ghum -e- Maal Hi Na Raha

                Tumharay Khaal o Khad Pay Ak Kitaab Likh Rahay Thay Hum
                Mager Tumhara Husan Be Misaal Hi Na Raha

                Sanwarta Nikhaarta Main Kesay Apnay Aap Ko
                Tumharay Baad Apna Kuch Khayal Hi Na Raha

                Zara See Baat Say Dilon Main Itna Faraq Aa Gia
                Taluqaat Ka Tu Phir Sawaal Hi Na Raha
                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                Comment


                • #38
                  Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                  Ajab Halaat Thay Meray, Ajab Din Raat Thay Meray
                  Mager Main Mutma'een Tha Is Liye, Tum Saath Thay Meray

                  Meray Zar Kay Talabgaron Ki Nazrain Aisay Uthati Thin
                  Keh Lakhon Ungliyaan Thin, Or Hazaron Haath Thay Meray

                  Main Ak Pather Ka Gard Aalood Butt Tha Un Kay Mandar Main
                  Na Dil Tha Meray Seenay Main, Na Kuch Jazbaat Thay Meray

                  Kesi Or Say Kia Tadeed Ki Umeed Main Rakhta
                  Wohi Khamosh Thay Jo Mohram -e- Halaat Thay Meray

                  Main Jin Sholon Main Jalta Tha Usay Tum Bhi Nahi Samjhay
                  Mera DIL Mukhtalif Tha, Mukhtalif Sadmaat Thay Meray

                  Mujhay Mujrim Bana Kay Rakh Dia Jhotay Gawahon Nay
                  Sab Hi Radd Ho Gaye Jitnay Bhi Elzamat Thay Meray

                  Tasawur Ban Gia Tasveer Aakhir Ak Din Sajid
                  Usi Ka Khouf Tha Mujh Ko Yahi Khadshaat Thay Meray
                  :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                  Comment


                  • #39
                    Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                    Koii Shaam Aisi Bhi Shaam Ho Keh Ho Sirf Meray Hi Naam Say
                    Meray Sama'een Hon Shagufta Dil, Meray Dil Gudaaz Kalaam Say

                    Meray Guftago Kay Gulaab Say Ho Dilon Main Aisi Shaguftagi
                    Koii Aisi Nikhat Khas Ho Keh Mehak Uthay Dar o Baam Say

                    Koii Rang In Main, Main Kia Bharon? Unhain Yaad Rakh Kay Bhi Main Kia Karon
                    Ye Jo Bheer Bhaar Main Shehar Ki, Mujhay Log Miltay Hain Aam Say

                    Meri Raat Meri Habeeb Hay, Ye Bari Ajeeb o Gareeb Hay
                    Mera Saath Chorr Dia Karo Meray Hum Nasheen Mujhay Shaam Say

                    Main Mohabbaton Ka Ameen Hoon, Main Dilon Ki Rutt Ka Yaqeen Hoon
                    Mujhay Pyaar Kartay Hain Ahal -e- DIL, Meray Fun Say Meray Kalaam Say

                    Meri Aarzoo Hay Keh Moum Hon, Kabhi Un Kay DIL Bhi Meray Liye
                    Jinhain Bair Hay Meri Zaat Say, Jo Hain Badd Gumaa Meray Naam Say
                    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                    Comment


                    • #40
                      Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                      Hijar Ki Chohti (4th) Saal Girah


                      Aaj Tumharay Hijar Ki Chohti SaalGirah Hay
                      Chaar Baras Tak Main Nay Tumhari Chab Nahi Dekhi
                      Jis Main Chaand Nikalta Hay
                      Wo Shab Nahi Dekhi
                      Chaar Baras Pehlay Jis Chaand Ko Dekha Tha
                      Mainn Nay Us Ko Phir Nahi Dekha
                      Tanha, Balkani Main Ja Kar
                      Ab Is Chaand Ko Kia Dekhon Main
                      Tum Jo Meray Saath Nahi Ho
                      Cake Pay Shamain Roshan Kar Kay
                      Dheeray Dheeray Gul Karta Hoon
                      Taali Tu Main Baja Nahi Sakta
                      Bas Thandi Aahain Bharta Hoon
                      Aaj Tumharay Hijar Ki Chohti (4th) SaalGirah Hay
                      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                      Comment


                      • #41
                        Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                        Kesi Nay Dil Kay Taaq Per Jala Kay Rakh Dia Humay
                        Mager, Hawa -e- Hijar Nay Bujha Kay Rakh Dia Humay

                        Hazaar Hum Nay Zabt Say Liya Tha Kaam, Kia Karain
                        Kesi Kay Aanso'on Nay Phir Rula Kay Rakh Dia Humay

                        Humari Shohratain Kharab Is Tarah Bhi Us Nay Ki
                        Keh Apnay Aash-nao Say Mila Kay Rakh Dia Humay

                        Humay Is Anjuman Main Janay Us Nay Kyun Bula Liya
                        Bula Liya Or Ak Taraf Betha Kay Rakh Dia Humay

                        Faqat Hum Ak Dekhnay Ki Cheez Ban Kay Reh Gaye
                        Kesi Nay Aisa Ishq Main Bana Kay Rakh Dia Humay

                        Hum Aitabar Us Ki Har Shikast Main Shareek Thay
                        Mager Bisaat Say Alag Utha Kay Rakh Dia Humay
                        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                        Comment


                        • #42
                          Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                          Dharkan Dharkan Yaadon Ki Baraat Akela Kamrah
                          Main Or Meray Zakhmi Ahsasaat Akela Kamrah

                          Gaye Dino Ki Tasveron Kay Bujhtay Howay Naqoosh
                          Taazah, Tark -e- Taluq Kay Sadmaat Akela Kamrah

                          Dosh -e- Hawa Per Urnay Walay Kheezan Kay Aakhri Pattay
                          Apni Akeli Jaan , Ghum Halaat , Akela Kamrah

                          Aakhri Shab Kay Chaand Say Karna, Balkani Main Baatain
                          Us Kay Shehar Main Hotel Ki Ye Raat , Akela Kamrah

                          Meri Sisakti Aawazon Say Goojhti Hain Deewarain
                          Sunta Hay Din Raat Meray Naghmaat Akela Kamrah

                          Sab Samaan Beham Hain Sajid Likhnay Likhanay Kay
                          Khoon -e- Jigar Or Aansoo, Dil Ki Dawaat Akela Kamrah
                          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                          Comment


                          • #43
                            Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                            Dil Hay Yon Muztarib Makano Main
                            Machliyaan Jesay Martabano Main

                            Dhoop Say Dhoondtay Hain Rah -e- Faraar
                            Log Sheeshay Kay Saibano Main

                            Be Erada Kalaam Ki Khowaish
                            Be Sabab Lukhnatain Zabano Main

                            Teri Aamad Pay Jesay Lout Aaya
                            Waqt Guzray Howay Zamano Main

                            Dil Dharakta Hay Har Sitaray Ka
                            Aaj Ki Raat Aasmano Main

                            Zang Aalood Ho Gaye Hain Jazbay
                            Jam Gaye Hurf Sard Khano Main

                            Reshmi Log Dhoondtay Hain Hum
                            Shehar Ki Aahini Makano Main
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • #44
                              Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                              Kabhi Tu Nay Khud Bhi Socha Hay Ye Pyaas Hay Tu Kyun Hay
                              Tujhay Pa Kay Bhi Mera Dil Jo Udaas Hay Tu Kyun Hay

                              Mujhay Kyun Azeez Ter Hay Ye Dhowa Dhowa Sa Mousam
                              Ye Hawa -e- Shaam -e- Hijrah Mujhay Raas Hay Tu Kyun Hay

                              Tujhay Kho Kay Sochta Hoon Meray Daaman Talab Main
                              Koii Khowab Hay Tu Kyun Hay Koii Aas Hay Tu Kyun Hay

                              Main Ujar Kay Bhi Hoon Tera, Tu Bichar Kay Bhi Hay Mera
                              Ye Yaqeen Hay Tu Kyun Hay, Ye Qayaas Hay Tu Kyun Hay

                              Meray Tan Barhana Dushman Isi Ghum Main Ghul Rahay Hain
                              Keh Meray Badan Pay Saalam Ye Libaas Hay Tu Kyun Hay

                              Kabhi Puch Us Kay Dil Say Keh Ye Khush Mijaaz Shaair
                              Bohat Apni Shairy Main Jo Udaas Hay Tu Kyun Hay

                              Tera Kis Nay Dil Bujhaya Meray Aitabar Sajid
                              Ye Charag -e- Hijar Ab Tak Teray Pass Hay Tu Kyun Hay
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment


                              • #45
                                Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                                Yon Tu Teri Mohabbatain Jaan Aziz Saath Hain
                                Apni Bhi Kuch Qabahatain Jaan Aziz Saath Hain

                                Sirf Ye Ak Ghazal Nahi, Is Main Hain Kuch Safaiyaan
                                Ishq Ki Kuch Wazahatain Jaan Aziz Saath Hain

                                Jism Hi Manzil Talab, Apnay Khayal Ki Nahi
                                Or Bhi Kuch Zaroratain Jaan Aziz Saath Hain

                                Apnay Liye Tu Ak Bhi Lamha Jaan Fiza Nahi
                                Apni Kaha Rafaqatain Jaan Aziz Saath Hain

                                Aisay Bandhay Howay Hain Hum Shaam o Sehar Ki Dor Main
                                Apni Tamaam Kalafatain Jaan Aziz Saath Hain

                                Tum Bhi Ho Is Say Ba Khabar, Hum Hain Kaha Kay Moutabar
                                Apni Tamaam Qeematain Jaan Aziz Saath Hain

                                Dil Tu Behal Hi Jaye Ga, Tanha Safar Main Hum Nahi
                                Guzri Hoii Kaii Ruttain Jaan Aziz Saath Hain
                                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                                Comment

                                Working...
                                X