Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

    Sulag Raha Hoon Main Dheeray Dheeray, Mager Kesi Pay Ayaan Nahi Hay
    Wo Aag Dil Main Lagi Hay, Jis Main Tapish Hay Lakin Dhowa Nahi Hay

    Tumharay Ghum Nay Seekha Dia Hay Mujhay Har Ak Ghum Say Pyaar Karna
    Ghum -e- Jaha Bhi Yaqeen Jano, Mizaaj Dil Per Giraah Nahi Hay

    KHUDA Ki Basti Main Har Qadam Per, Koii Hay Garya Kesi Kay Ghum Per
    Ye Dard Tu Dard Mushtarik Hay Ye Aankh Pur Nam Kaha Nahi Hay

    Matah Umar Azeez Sari, Ganwa Chukay Per Safar Hay Jari
    Ajeeb Soda Hay Aashiqi Ka Keh Fikar Soud o Ziyaan Nahi Hay

    Meri Khamoshi Pay Hansnay Walon, Ye Bhool Kar Bhi Na Soch Laina
    Keh Meray Pehlo Main Dil Nahi Hay Keh Meray Moun Main Zubaan Nahi Hay

    Ghazal Kahon Aitabar Sajid Isi Tarapti Hoii Nawa Main
    Ye Tarz, Ye Dil Gudaas Lehja, Sama'aton Per Giraah Nahi Hay
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment


    • #17
      Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

      Qurbat (Nazam)


      Kitni Aasani Say Us Nay Likh Dia
      Jaan -e- Man, Mehsoos Mat Karna, Mager
      In Dino Bemaar Bhi Hoon Or Kuch Halaat Bhi Achay Nahi
      Raat Din Sochon Main Gum Rehti Hoon Main
      Dosray Alfaz Main Ab " Main " Nahi Rehti Hoon
      " Tum " Rehti Hoon Main
      Ak Guzarish Hay Bura Mat Manna
      Meray Khat Or Meri Tasveerain Tamaam
      Mujh Ko Wapis Bhej Do
      Meri Mangni Honay Wali Hay, Bohat Majboor Hoon,
      Us Ki Tasveerain Or Us Kay Khat Tamaam
      Main Nay Chun Chun Kar Rawana Kar Diye
      Us Nay Phir Likha Keh Sari Zindagi
      Apni Tehreeron Ki, Tasveron Ki Soorat Main Sada
      Ab Tumhay Dekho Gi Main
      Apnay Saanson Kay Bohat Nazdeek Paon Gi Tumhay
      Dosron Kay Wastay Main Bhool Jao Gi Tumhay
      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

      Comment


      • #18
        Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

        Zinda Nazam (Nazam)


        Saal Gira Ka Card Mila Hay Mujh Ko Us Ki Beti Ka
        Khushi Kay Is Mouqay Per Us Nay Ak Raqqa Bhi Likha Hay
        " Aap Please Zaroor Aayain Or Achi See Ak Nazam
        Meri Beti Ki Khatir Likh Laayain
        Nazam Taranum Say Parhiye Ga
        Jesay Dard Ki Lay Main Doob Kay Apni Ghazlain Parhtay Hain"
        Tab Say Ab Tak Soch Raha Hoon
        Nazam Likhon Ya Apni Zinda Nazam Ki Unglee Pakray
        Us Taqreeb Main Jaon
        Us Say Mil Kar Kahon Lo, Dekho !
        Tameel -e- Irshaad Tu Main Nay Kar Di Hay
        Lakin Ye Meri Nazam Nahi, Mera Beta Hay !
        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

        Comment


        • #19
          Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

          Bohat Sajain Thay Aankhon Main Khowab Main Nay Bhi
          Sahay Hain Us Kay Liye Ye Aazab Main Nay Bhi

          Judaiyon Ki Khalish Us Nay Bhi Na Zahir Ki
          Chupaye Apnay Ghum o Iztarab Main Nay Bhi

          Diye Bujha Kay Sar Shaam So Gia Tha Wo
          Bitaii So Kay Shab -e- Mahtaab Main Nay Bhi

          Yahi Nahi Keh Mujhay Us Nay Dard Hijar Dia
          Judaiyon Ka Dia Hay Jawab Main Nay Bhi

          Kesi Nay Khoon Main Tar Choriyaan Jo Bheji Hain
          Likhi Hay Khoon -e- Jigar Say Kitaab Main Nay Bhi

          Kheezan Ka War Bohat Kaargar Tha DIL Pay Mager
          Bohat Bacha Kay Rakha, Ye Gulaab Main Nay Bhi
          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

          Comment


          • #20
            Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

            Band Dareechay, Sooni Galiyaan, Un Dekhay Anjanay Log
            Kis Nagri Main Aa Niklay Hain Sajid Hum Dewanay Log

            Ak Hum Hi Nawaqif Thehray Roop Nagar Ki Galiyon Say
            Bhes Bdal Kar Milnay Walay Sab Janay Pehchanay Log

            Din Ko Raat Kahain So BarHaq, Subh Ko Shaam Kahain So Khoob
            Aap Ki Baat Ka Kehna Hi Kia Aap Howay Farzanay Log

            Shikwa Kia Or Kesi Shikayat, Aakhir Kuch Bunyaad Tu Ho
            Tum Per Mera Haq Hi Kia Hay Tum Thehray Beganay Log

            Shehar Kaha Khali Rehta Hay, Ye Darya Har Dum Behta Hay
            Or Bohat Say Mil Jayain Gay Hum Aisay Dewanay Log

            Suna Hay Us Kay Ahad -e- Wafa Main Hawa Bhi Muft Nahi Milti
            In Galiyon Main Har Har Saans Pay Bhartay Hain Jurmanay Log
            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

            Comment


            • #21
              Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

              Bil Aakhir Ye Haseen Manzar Mita Dena Hi Parta Hay
              Kesi Kay Sar Ko Shanay Say Hata Dena Hi Parta Hay

              Kesi Dair Aashna Ko Jhotay Sachay Kuch Hawalon Say
              Taaruf Kay Liye Sab Say Mila Dena Hi Parta Hay

              Jo Saanson Main Mehaktay Hain Jo Aankhon Main Damaktay Hain
              Achanak Ak Din Un Ko Bhula Dena Hi Parta Hay

              Diye Jo Hum Jalatay Hain Nihayat Shouq Say Har Shab
              Unhain Khud Apni Phoonkon Say Bujha Dena Hi Parta Hay

              Koii Jab Puchta Hay Hum Say Kesa Haal Say Sajid
              Humain Mohtaat Ho Kar Muskura Dena Hi Parta Hay

              Chamak Uthatay Hain Sajid Jab Sitaray Us Ki Palkon Per
              Usay DIL Say Laga Kar Hosla Dena Hi Parta Hay
              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

              Comment


              • #22
                Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                Mohabbat Main Mohabbat Ki Safaii Day Rahay Hain Hum
                Ajab Aashiq Hain Azar Aashnaii Day Rahay Hain Hum

                Humaray Haal Pay Jana Bohat Khush Feham Mat Hona
                Dekhanay Kay Liye Aisay Dekhaii Day Rahay Hain Hum

                Koii Tohfa Tumhay Dena Tu Tha Apni Mohabbat Ka
                Tumhay Lo ! Zakham -e- Aashnaii Day Rahay Hain Hum

                Humaray Rat Jagon Ka Tum Ko Kuch Ahsaas Tu Ho Ga
                Dam -e- Rukhsat, Tumhay Shaam -e- Judaii Day Rahay Hum

                Jinhain Khoon -e- Jigar Say Pesh Ro Tehreer Kartay Thay
                Ab Un Lafzon Ko Dil Ki Roshnaii Day Rahay Hain Hum

                Hum Itnay Shor Main Sab Say Mukhatib Bhi Nahi Sajid
                Jo Sun Saktay Hain Bas Un Ko Sunaii Day Rahay Hain Hum
                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                Comment


                • #23
                  Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                  Tujhay Itafaq Say Ird Gird Kay Log Achay Milay Nahi
                  Mager Is Dayaar -e- Umeed Kay Ye Makeen Tu Itnay Buray Nahi

                  Meray Lawn Main Jo Chamak Uthay Kaii Rang Dhoop Ki Shaal Per
                  Tu Main Dar Gia Keh Bahaar Main Kabhi Phool Itnay Khilay Nahi

                  Hum Ajab Musafir Dasht Thay Keh Chalay Tu Chaltay Chalay Gaye
                  Kesi Aab Jo Ki Sada Pay Bhi Kahi Rastay Main Rukay Nahi

                  Hay Gali Kay Khambon Pay Muntazir Ye Qataar Churyon Ki Dair Say
                  Abhhi Parda Posh Hain Khirkiyaan, Abhi Log So Kay Uthay Nahi

                  Humay Khud Jalaye Gi Ye Hawa, Ye Jo Edhar Say Guzri Hay Taiz Pa
                  Teri Anjuman Kay Charag Hain Keh Dhowa Howay Hain Bujhay Nahi

                  Kaii Or Ahal -e- Talab Milay Mujhay Rah -e- Shouq Main Hum Qadam
                  Jinhain Kar Raha Tha Talash Main, Wo Log Mujh Ko Milay Nahi
                  :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                  Comment


                  • #24
                    Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                    Ye Nahi Keh Saray Jahan Main Mujhay HumSafar Hi Nahi Mila
                    Sab Hi Aitabar Kay Saath Thay, Koii Moutabar Hi Nahi Mila

                    Meri Nabz Cho Kay Tu Dekhta Keh Shikasta Dil Ki Sada Hay Kia
                    Mera Laa Elaaj Marz Na Tha , Koii Chara Gar Hi Nahi Mila

                    Kabhi Shehar Chaan Liye Gaye, Kahi Kheemay Taan Liye Gaye
                    Jisay Dekhta Tha Main Khowab Main, Mujhay Wo Nagar Hi Nahi Mila

                    Mujhay Wo Makeen Hi Nahi Milay , Jinhain Meri Zaat Say Pyaar Ho
                    Jisay Apna Ghar Main Samaj Sakon, Mujhay Aisa Ghar Hi Nahi Mila

                    Raha Muztarib Mera Shouq Bhi, Mera Sajda Karnay Ka Zouq Bhi
                    Mujhay Sang Rah Tu Bohat Milay, Tera Sang Dar Hi Nahi Mila

                    Sabhi Apnay Apnay Garooh Kay, Ghum -e- Aarzoo Ka Shikaar Thay
                    Kesay Main Dekhata Ye Zakham -e- Dil, Koii Deeda -e- War Hi Nahi Mila
                    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                    Comment


                    • #25
                      Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                      Meri Roh Main Jo Utar Sakain Wo Mohabbatain Mujhay Chahiyain
                      Jo Saraab Hon Na Aazab Hon, Wo Rafaqatain Mujhay Chahiyain

                      Unhi Saa'aton Ki Talash Hay, Jo Calandaron Say Utar Gaii
                      Jo Samay Kay Saath Guzar Gaii, Wohi Fursatain Mujhay Chahiye

                      Kahi Mil Sakain Tu Samait Laa, Meray Shab o Roz Ki Kahaniyaan
                      Jo Gubaar Waqt Main Chup Gaii Wo Hikayatain Mujhay Chahiyain

                      Jo Meri Shabon Kay Charag Thay Jo Meri Umeed Kay Baagh Thay
                      Wohi Log Hain Meri Aarzoo, Wahi Soratain Mujhay Chahiyain

                      Teri Qurbatain Nahi Chahiyain, Meri Shairi Kay Mizaaj Ko
                      Mujhay Faaslon Say Dawaam Day, Teri Furqatain Mujhay Chahiyain

                      Mujhay Or Kuch Nahi Chahiye, Ye Dua'een Hain Meri Saibaan
                      Kari Dhoop Main Kahi Mil Sakain Tu Yahi Chatain Mujhay Chahiyain
                      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                      Comment


                      • #26
                        Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                        Bas Yon Hi Chup Ho Jata Hoon

                        (Nazam)


                        Koii Aisa Gehra Dukh Bhi Nahi
                        Jisay Dukh Samjhon
                        Or Tum Say Kahon
                        Bas Yon Hi Chup Ho Jata Hoon
                        Kesi Ujray Ghar Ki Mimti Per
                        Jab Shaam Dhalay
                        Kesi Cheel Ko Sar-Nehoraye Howay Main Pata Hoon
                        Kho Jata Hoon
                        Tum Puchta Ho, Koii Dukh Tu Nahi?
                        Main Ak Nazar Tum Ko Dekhta Hoon
                        Or Kehta Hoon
                        Koii Aisa Gehra Dukh Bhi Nahi
                        Jisay Dukh Samjhon
                        Or Tum Say Kahon
                        Jab Dekhta Hoon Aisa Manzar
                        Main Mazi Main Kho Jata Hoon
                        Bas Yon Hi Chup Ho Jata Hoon
                        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                        Comment


                        • #27
                          Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                          Lagta Hay Kesi Dil Main Mohabbat Nahi Meri
                          Is Ghar Main Kesi Ko Bhi Zarorat Nahi Meri

                          Kaaghaz Pay Hay Bas In Dar o Dewaar Say Rishta
                          Jo Saaya Figan Sar Pay Hay, Wo Chatt Nahi Meri

                          Har Shaks Ki Nazron Main Meray Daam Alag Hain
                          Maloom Hay Mujh Ko Koii Qeemat Nahi Meri

                          Rasmi Sa Hay Is Shehar Kay Logon Say Taluq
                          Barson Howay Khud Say Bhi Rafaqat Nahi Meri

                          Main Jin Kay Liye Khaak Basar Dasht Main Bhatka
                          Tasleem Unhain Bhi Ye Mushaqqat Nahi Meri

                          Ye Keh Kay Meri Neend, Meray Khowab Bhi Cheenay
                          Mujh Say Unhain Darkaar Ijazat Nahi Meri

                          Wo Soorat Zar Maang Rahay Hain Meray Ashaar
                          Mutlaab Unhain Kaaghazi Shohrat Nahi Meri
                          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                          Comment


                          • #28
                            Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                            Ye Kia Halat Bana Rakhi Hay ? Ye Aasaar Kesay Hain
                            Bohat Acha Bhala Chora Tha Ab Bemaar Kesay Hain

                            Wo Mujh Say Puchnay Aai Hay Kuch Likha Nahi Mujh Per
                            Main Us Ko Kesay Samjhaon, Meray Aashar Kesay Hain

                            Meri Sochain Hain Kesi, Koun In Sochon Ka Markaz Hay
                            Jo Meray Zehan Main Paltay Hain Wo Afkaar Kesay Hain

                            Meray DIL Ka Aalao Aaj Tak Dekha Nahi Jis Nay
                            Wo Kia Janay Keh Shoulay Soorat Izhaar Kesay Hain

                            Ye Mantaq Koun Samjhaye Ga Keh Yakh Kamray Ki Thandak Main
                            Meray Alfaaz Kay Malboos Shoula Baar Kesay Hain

                            Zara See Ak Farmaish Bhi Puri Kar Nahi Saktay
                            Mohabbat Karnay Walay Log Bhi La Chaar Kesay Hain

                            Judaii Kis Tarah Bartao Hum Logon Say Karti Hay
                            Mezajan Hum Sakhnoor, Be Dil o Be Zaar Kesay Hain
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • #29
                              Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                              Is DIL Nay Teray Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki
                              Hadd Ye Keh Dharaknay Ki Jasarat Bhi Nahi Ki

                              Tabeer Ka Ahzaaz Howa Hay Usay Hasil
                              Jis Nay Meray Khowabon Main Sharakat Bhi Nahi Ki

                              Ulfat Tu Bari Baat Hay Hum Say Tu Sar -e- Shehar
                              Logon Nay Kabhi Dhang Say Nafrat Bhi Nahi Ki

                              Aadab -e- Safar Ab Wo Seekhatay Hain Jinho Nay
                              Do Chaar Qadam Tay Ye Musafat Bhi Nahi Ki

                              Kia Apni Safaii Main Bayaan Detay Keh Hum Nay
                              Na Karda Gunahi Ki Wazahat Bhi Nahi Ki

                              Khamosh Tamashaii Kay Manind Sar -e- Bazam
                              So Zakham Sahay Dil Pay, Shikayat Bhi Nahi Ki

                              Us Ghar Kay Sab Hi Log Mujhay Chornay Aaye
                              Dehleez Talak Us Nay Ye Zehmat Bhi Nahi Ki

                              Us Nay Bhi Gulamon Ki Safa'on Main Humay Rakha
                              Is DIL Pay Kabhi Jis Nay Hakomat Bhi Nahi Ki
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment


                              • #30
                                Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                                Ab Tak Na Samaj Paye Mera Shoor -e- Figah Bhi
                                Tum Log Tu Parh Laitay Ho Aankhon Ki Zubaan Bhi

                                Khat Is Liye Shayed Mujhay Ab Tum Nahi Likhtay
                                Kaaghaz Pay Utar Aatay Hain Saanso Kay Nisaan Bhi

                                Seenay Ki Ghutan Main Kabhi Rukti Nahi Aahain
                                Kamray Say Nikalnay Ko Machalta Hay Dhowab Bhi

                                Shohrat Say Faqat Is Liye Aata Hay Mujhay Khouf
                                Mashoor Na Ho Jaye Mera Zakham Nihaan Bhi

                                Is Dard Kay Rishtay Main Tu Yaksa Hain Shab o Roz
                                Jo Haal Tumhara Hay Wo Aalam Hay Yaha Bhi

                                Kuch Wo Bhi Dukhi DIL Liye Aaya Tha Meray Pass
                                Kuch Dard Bhara Tha Mera Andaz -e- Bayaan Bhi
                                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                                Comment

                                Working...
                                X