Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

    Tumhay Jab Kabhi Milay Fursatain, Meray Dil Say Bojh Utaar Do
    Main Bohat Dino Say Udaas Hoon, Mujhay Koii Shaam Udhaar Do


    Mujhay Apnay Roop Ki Dhoop Do Keh Chamak Sakain Meray Khaal o Khad
    Mujhay Apnay Rang Main Rang Do, Meray Saray Zang Utaar Do


    Kesi Or Ko Meray Haal Say Na Garz Hay Koii Na Wasta
    Main Bikhar Gia Hoon Samait Lo, Main Bighar Gia Hoon Sanwaar Do


    Meri Wehshaton Ko Barha Dia Hay Judaiyon Kay Aazab Nay
    Meray Dil Pay Haath Rakho Zara, Meri Dharkano Ko Qaraar Do


    Tumhay Subha Kesi Lagi, Kaho Meri Khowaishon Kay Dayaar Ki
    Jo Bhali Lagi Tu Yahi Raho, Usay Chahaton Say Nikhaar Do


    Waha Ghar Main Koun Hay Muntazir Keh Ho Fikar Dair Sawair Ki
    Bari Mukhtasir See Ye Raat Hay Isi Chaandni Main Guzaar Do


    Koii Baat Karni Hay Chaand Say Kesi Shakhsaar Ki Out Main
    Mujhay Rastay Main Yahi Kahin Kesi Kanj Gul Main Utaar Do
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

  • #2
    Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

    Jo Khayal Thay Na Qayaas Thay, Wahi Log Mujh Say Bichar Gaye
    Jo Mohabbaton Ki Asaas Thay, Wahi Log Mujh Say Bichar Gaye

    Jinhain Manta Hi Nahi Yeh Dil, Wahi Log Hain Meray Hum Safar
    Mujhay Har Tarah Say Jo Raas Thay, Wahi Log Mujh Say Bichar Gaye

    Mujhay Lamha Bhar Ki Rafaqaton Kay Yeh Saraab Or Sata'yain Gaye
    Meri Umar Bhar Ki Jo Pyaas Thay Wahi Log Mujh Say Bichar Gaye

    Yeh Khayal Saray Hain Aarzi Yeh Gulaab Saray Hain Kagazi
    Gul -e- Aarzoo Ki Jo Baas Thay Wahi Log Mujh Say Bichar Gaye

    Jinhain Kar Saka Na Qabool Main, Wo Shareek Rah -e- Safar Howay
    Jo Meri Talab, Meri Aas Thay, Wahi Log Mujh Say Bichar Gaye

    Meri Dharkano Kay Qareeb Thay Meri Chah Thay, Meray Khowab Thay
    Wo Jo Roz o Shab Meray Paas Thay Wahi Log Mujh Say Bichar Gaye
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment


    • #3
      Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

      Teray Jesa Mera Bhi Haal Tha, Na Sakoon Tha, Na Qaraar Tha
      Yahi Umar Thi Meray Hum Nasheen Keh Kesi Say Mujh Ko Pyaar Tha

      Main Samaj Raha Hoon Teri Kasak, Tera Mera Dard Hay Mushtarik
      Isi Ghum Ka Tu Bhi Hay Aseer, Isi Dukh Ka Main Shikaar Tha

      Faqat Ak Dhun Thi Keh Raat Din Isi Khowab Zaar Main Gum Rahay
      Wo Saroor Aisa Saroor Tha, Wo Khumaar Aisa Khumaar Tha

      Kabhi Lamha Bhar Ki Bhi Guftago, Meri Us Kay Saath Na Ho Saki
      Mujhay Fursatain Nahi Mil Sakain, Wo Hawa Kay Ruth Per Sawaar Tha

      Hum Ajeeb Tarz Kay Log Thay, Keh Humaray Or Hi Rog Thay
      Main Khezaan Main Us Ka Tha Muntazir, Usay Intazar Bahaar Tha

      Usay Parh Kay Tum Na Samaj Sakay Keh Meri Kitaab Kay Roop Main
      Koii Qarz Tha Kaii Saal Ka, Kaii Rat Jagon Ka Udhaar Tha
      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

      Comment


      • #4
        Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

        Kesay Kahain Keh Jaan Say Pyara Nahi Raha
        Ye Or Baat Ab Wo Humara Nahi Rah

        Aansoo Teray Bhi KhushK Howay Or Meray Bhi
        Nam Ab Kesi Nadi Ka Kinara Nahi Raha

        Kuch Din Tumharay Lout Aanay Ki Aas Thi
        Ab Is Umeed Ka Bhi Sahara Nahi Raha

        Rastay Mah o Najoom Kay Tabdeel Ho Gaye
        In Khirkiyon Main Ak Bhi Taara Nahi Raha

        Samjhay Thay Dosron Say Bohat Mukhtalif Tujhay
        Kia Maan Lain Keh Tu Bhi Humara Nahi Raha

        Haathon Pay Bujh Gaii Hay Muqadar Ki Kehkashaan
        Ya Raakh Ho Gia Hay Wo Sitara Nahi Raha

        Tum Aitabar Us Kay Liye Kyun Udaas Ho
        Ak Shaks Jo Kabhi Bhi Tumhara Nahi Raha
        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

        Comment


        • #5
          Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

          Tum Ko Tu Ye Saawan Ki Ghata Kuch Nahi Kehti
          Hum Sokhta Logon Ko Ye Kia Kuch Nahi Kehti

          Ho Laakh Koii Shor Machata Howa Mousam
          Dil Chup Ho Tu Bahar Ki Fiza Kuch Nahi Kehti

          Kyun Rait Per Bethay Ho Jhukaye Howay Sar Ko
          Kia Tum Ko Samandar Ki Hawa Kuch Nahi Kethi

          Pucha Keh Shikayat Tu Nahi Hay Usay Hum Say
          Aahista Say Qasid Nay Kaha " Kuch Nahi Kehti"

          Pucha Keh Judaii Ka Koii Hal Bhi Nikala
          Qasid Nay Dobara Ye Kaha, " Kuch Nahi Kehti "

          Tang Aa Kay Ye Pucha, " Dam -e- Rukhsat Koii Jumla "
          Qasid Nay Kaha, " Keh Tu Chuka- Kuch Nahi Kehti"

          Ay Nukta Waron ! Ye Tu Batao Keh Sar -e- Shab
          Kia Shama Ferozan Say Hawa Kuch Nahi Kehti ?
          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

          Comment


          • #6
            Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

            (Nazam)



            Ak Roz Koii Tu Sochay Ga

            Farzano Ki Bisti Main
            Ak Shaks Tha Pagal Pagal Sa
            Per Baatain Theek Hi Kehta Tha
            Barish Ki Tarah Pur Shor Na Tha
            Darya Ki Tarah Chup Rehta Tha
            Jin Say Usay Pyaar Bala Ka Tha
            Taanay Bhi Unhi Kay Sehta Tha


            Ak Shaks Tha Pagal Pagal Sa
            Per Baatain Theek Hi Kehta Tha


            Ak Roz Koii Tu Sochay Ga

            Dunya Nay Usay Kuch Bhi Na Dia
            Per Jag Ko Us Nay Pyaar Dia
            Jaan Rotay Rotay Kho Betha
            Dil Hanstay Hanstay Haar Dia
            Jo Nazam Likhi Bharpoor Likhi
            Jo Sher Dia Shahkaar Dia
            Kyun Jeetay Jee Dargor Howa
            Kis Cha Pay Tan Man Waar Dia
            Tha Dushman Koun Bicharay Ka
            Kis Ranj Nay Us Ko Maar Dia
            Ak Roz Koii Tu Sochay Ga
            Or Pehron Beth Kay Roye Ga
            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

            Comment


            • #7
              Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

              Aanay Wali Thi Kheezan, Maidaan Khali Kar Dia
              Kal Hawa -e- Shab Nay Sara Lawn Khali Kar Dia

              Hum Teray Khowabon Ki Jannat Say Nikal Kar Aa Gaye
              Dekh, Tera Qsar Aali Shan Khali Kar Dia

              Dushmano Nay ShasT Bhandi Kheema -e- Umeed Per
              Doston Nay Darrah -e- Imkaan Khali Kar Dia

              Bantnay Nikla Hay Wo Phoolon Kay Tohfay Shehar Main
              Is Khabar Per Hum Nay Bhi Guldan Khali Kar Dia

              Lay Gia Wo Saath Apnay DIL Ki Sari Ronakain
              Kis Qdar Ye Shehar Tha Gunjaan Khali Kar Dia

              Sari Churyaan Ur Gaii Mujh Ko Akela Chorr Kar
              Meray Ghar Ka Sehan Or Dalaan Khali Kar Dia

              Dairy Main Saray Achay Sher Chun Kar Likh Liye
              Ak Larki Nay Mera Deewan Khali Kar Dia
              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

              Comment


              • #8
                Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                (Nazam)


                Dorr Ufaq Ki Tareeqi Main
                Bijli Jab Bhi Lehrati Hay
                Shama Jalatay Lamhay Akser
                Kamray Kay Ghup Andhyaray Main
                Pehli Mohabbat Yaad Aati Hay
                Autograaf Talab Karnay Jab
                Koii Haseena Ghar Aati Hay
                Bari Bari Aankhon Say Jab Wo
                Dekh Kay Mujh Ko Sharmati Hay
                Maazi Main Kho Jata Hoon Main
                Chotta Sa Ho Jata Hoon Main
                Pehli Mohabbat Yaad Aati Hay
                Shaam Kheezan Jab Tanha Tanha
                Baagh Main Seir Ko Jata Hoon Main
                Kesi Udaas See Larki Ko Jab
                Punch Pay Tanha Pata Hoon Main
                Janay Kyun Yaad Aa Jata Hay
                Ak Kheezan Ki Shaam Ka Manzar
                Jab Hum Dono Juda Howay Thay.
                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                Comment


                • #9
                  Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                  Wish Card


                  Tu Nay Wish Card Bejh Kar Mujh Ko
                  Yaad Kitnay Dila Diye Mousam

                  Meray Bahar Badal Dia Manzar
                  Meray Andar Saja Diye Mousam

                  Faraq Baki Nahi Rakha Tu Nay
                  Mousamo Main Mila Diye Mousam

                  Sochta Hoon Keh Apni Furqat Main
                  Tu Nay Kesay Bana Diye Mousam

                  Bachon Jesi Teri Ziddain Janaa
                  Tu Nay Yon Hi Ganwa Diye Mousam

                  Moum Batti Na Thi Keh Pal Bhar Main
                  Phoonk Mari Bujha Diye Mousam
                  :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                  Comment


                  • #10
                    Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                    Teri Rehmaton Kay Dayaar Main, Teray Baadalon Ka Pata Nahi
                    Abhi Aag Sard Nahi Hoii, Abhi Ak Aalao Bujha Nahi

                    Meri Bazm -e- Dil Tu Ujar Chuki, Mera Farsh -e- Jaan Tu Simat Chuka
                    Sabhi Ja Chukay Meray Hum Nasheen Mager Ak Shaks Gia Nahi

                    Dar o Baam Sab Nay Saja Liye, Sabhi Roshni Main Naha Liye
                    Meri Ungliyaan Bhi Jhulas Gaii Mager Ak Charagh Jala Nahi

                    Ghum -e- Zindagi Teri Rah Main, Shab -e- Aarzoo ! Teri Chah Main
                    Jo Ujar Gia Wo Basa Nahi, Jo Bichar Gia Wo Mila Nahi

                    Jo Dil o Nazar Ka Saroor Tha, Meray Pass Reh Kay Bhi Dorr Tha
                    Wahi Ak Gulaab Umeed Ka, Meri Shaakh -e- Jaan Pay Khila Nahi

                    Pas -e- Kaarwaan, Sar -e- Rah Guzar, Main Shikasta Pa Hoon Tu Is Liye
                    Keh Qadam Tu Sab Say Mila Liye, Mera DIL Kesi Say Mila Nahi

                    Mera Hum Safar Jo Ajeeb Hay Tu Ajeeb Ter Hoon Main Aap Bhi
                    Mujhay Manzilon Ki Khabar Nahi, Usay Raaston Ka Pata Nahi
                    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                    Comment


                    • #11
                      Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                      Kesi Ko Hum Say Hain Chand Shikway, Kesi Ko Be Hadd Shikayatain Hain
                      Humaray Hissay Main Sirf Apni Safaiyaan Hain , Wazahatain Hain

                      Qdam Qdam Pay Badal Rahay Hain Musafiron Ki Talab Kay Rastay
                      Hawa'on Jesi Mohabbatain Hain, Sada'on Jesi Rafaqatain Hain

                      Kesi Ka Maqrooz Main Nahi Per, Meray Gareeban Pay Haath Sab Kay
                      Koii Meri Chahaton Ka Dushman, Kesi Ko Darkaar Chahatain Hain

                      Teri Judaii Kay Kitnay Sooraj, Ufaq Pay Doobay, Mager Abhi Tak
                      Khalash Hay Seenay Main Pehlay Din Si, Lahoo Main Wesi Hi Wehshatain Hain

                      Meri Mohabbat Kay Razdan Nay Ye Keh Kay Louta Dia Mera Mera Khat
                      Keh Bheegi Bheegi See Aanso'on Main Tamaam Gan-Jalak Ebaratain Hain

                      Main Dosro Ki Khushi Ki Khatir Gubaar Ban Kar Bikhar Gia Hoon
                      Mager Kesi Nay Ye Haq Na Mana Keh Meri Bhi Kuch Zaroratain Hain
                      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                      Comment


                      • #12
                        Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                        Wo Jo Daway Daar Hay Shehar Main Keh Sabhi Ka Nabz Shanas Hoon
                        Kabhi Aa Kay Mujh Say Tu Puchta Keh Main Kis Kay Ghum Main Udaas Hoon

                        Ye Meri Kitaab -e- Hayaat Hay, Isay DIL Ki Aankh Say Parh Zara
                        Main Warq Warq Teray Samnay, Teray Ro Ba Roo, Teray Pass Hoon

                        Ye Teri Umeed Ko Kia Howa, Kabhi Tu Nay Gour Nahi Kia ?
                        Kesi Shaam Tu Nay Kaha Tu Tha, Teri Saans Hoon Teri Aas Hoon

                        Ye Jo Shehar Fun Main Qayaam Hay, So Teray Tufail Hi Naam Hay
                        Meray Sher Kyun Na Gudaas Hon Keh Labon Ki Methaas Hoon

                        Ye Teri Judaii Ka Ghum Nahi Keh Ye Silsalay Tu Hain Roz Kay
                        Teri Zaat Is Ka Sabab Nahi Kaii Din Say Yon Hi Udaas Hoon

                        Kesi Or Aankh Say Dekh Kar, Mujhay Aisay Wesay Laqab Na Day
                        Tera Aitabar Hoon Jaan -e- Man, Na Gumaa Hoon Na Qayaas Hoon
                        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                        Comment


                        • #13
                          Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                          Dhoondtay Kia Ho In Aankhon Main Kahani Meri
                          Khud Main Gum Rehna Tu Aadat Hay Purani Meri

                          Bheer Main Bhi Tumhay Mil Jao Ga Aasani Say
                          Khoya Khoya Howa Rehna Hay Nishani Meri

                          Main Nay Ak Baar Kaha Tha Keh Bohat Pyasa Hoon
                          Tab Say Mashoor Hoii Tishna Dehani Meri

                          Yahi Dewaar -o- Dar Baam Thay Meray Hum Raz
                          In Hi Galiyon Main Bhatakti Thi Jawani Meri

                          Tu Bhi Isi Shehar Ka Basi Hay Tu Dil Say Lag Ja
                          Tujh Say Wabasta Hay Ak Yaad Purani Meri

                          Karbala Dasht -e- Mohabbat Ko Bana Rakha Hay
                          Kia Ghazal Goii Hay, Kia Marsiya Khowani Meri

                          Dheemay Lehjay Ka Sakhnoor Hoon, Na Sehba Na Josh
                          Main Kaha, Or Kaha Shoula Bayani Meri
                          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                          Comment


                          • #14
                            Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                            Kesi Din Tujh Say Milnay Ka Bahana Dhoond Laitay Hain
                            Chalo, Kuch Saal Pehlay Ka Zamana Dhoond Laitay Hain

                            Andhera Kitna Hi Gehra Ho, Raatain Kitni Kaali Hon
                            Parinday Apna Apna Aashiyana Dhoond Laitay Hain

                            Kaii Dar Bhi Khul Jatay Hain, Jo Ak Dar Band Hota Hay
                            Hum Aisay Log Apna Aab o Dana Dhoond Laitay Hain

                            Chahtain Jin Kay Saron Say Cheen Lee Jati Hain Wo Ghar
                            Kahin Bhi Sar Chupanay Ka Theekana Dhoond Laitay Hain

                            Galay Hum Say Bhi Aa Lagta Hay Koii Dard Ka Mara
                            Kesi Dil Sookhta Ka Hum Bhi Shaana Dhoond Laitay Hain

                            KHUDA Mehfooz Rakhay Un Ki Zadd Pay Hum Na Aa Jayain
                            Shikari Apnay Matlab Ka Nishana Dhoond Laitay Hain

                            Ana Ki Jang Main Aakhir Bharam Bhi Qaeem Rakhna Hay
                            Tu Yon Kartay Hain, Rasta Darmiyana Dhoond Laitay Hain
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • #15
                              Re: Mujhay Koii Shaam Udaar Do ...... Aitabaar Sajid .. (Ghazal, Nazam, Aashaar)

                              Phir Wahi Lambi Dophairain Hain, Phir Wahi Dil Ki Halat Hay
                              Bahar Kitna Sannata Hay, Andar Kitni Wehshat Hay

                              Shaam Karay Kesay Us Din Ki, Thandi Soorat Dekhain Kin Ki
                              Edhar Udhar Tu Dhoowa Urati, Aag Ugalti Khalqat Hay

                              Jis Ko Hum Nay Chaha Tha Wo Kahi Nahi Is Manzar Main
                              Jis Nay Hum Ko Pyaar Kia, Wo Samnay Wali Moorat Hay

                              Phool Babool Kay Achay Hain Lakin Saakit Tasveron Main
                              Sach Much Ki Sehraon Ki Tu Is DIL Jesi Soorat Hay

                              Teray Baad Dukano Main Ja Kar Puchta Rehta Hoon
                              Kia Wo Khushboo Mil Sakti Hay Ab Us Ki Kia Qeemat Hay

                              Baray Baray Sapnay Nahi Boye, Main Nay Apnay Aangan Main
                              Nanni Munni Khushyaan Hain Meri Chotti See Ak Jannat Hay
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment

                              Working...
                              X