Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

    Yun dosti ke naam ko rusvaa na keejiye

    Tark-e-Ta'alluqaat ka charchaa na keejiye

    Comment


    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

      Dekha Mujhay To Terk-e-ta'alluQ K Bawajood
      Wo Muskuraa Diya Ye Hunar Bhi Us Hi Ka Tha !

      Comment


      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

        Tark -e- Talluq khai'l nahi hai pehlay pehal ghabraye bohat...

        .
        .
        .

        Apni ana kai pagal-pun par aksar hum pachtaye bohat!!!

        Comment


        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

          Tark-e-ta'alluq to khair kya hoga ~FaraZ~

          Yahi bahut hai ke kam kam mila karo us se

          Comment


          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

            Wo mujh say Terk-e-ta'alluQ k baad khush hi sahi
            Mazah to jab hai, takhaiyull mein bhi na laaye mujhay !

            Comment


            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

              Ishq hai wahdat-e-tamaam shirk hai ishq mein haraam
              Apni khushi, khushi na jaan us ki khushi, khushi samhaj

              TERK-E-TA'ALLUQAAT bhi ain-e-ta'alluqaat hai
              Aag bujhi hui na jaan aag dabi hui samhaj !

              Comment


              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                آرزو کر نہ سکی ترکِ تعلق کو قبول
                تُُجھ سے بچھڑے تو تیری یاد کے ھو بیٹھے ھم

                Comment


                • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                  Seekh Liya Hum Ne B Tark-E-Taluq Karna,
                  Mohabbat Detey Detey Hum Ne Apni Qadar Kho Di…….!
                  __________________

                  Comment


                  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                    Raas aa he Gaya Tark-e-Ta'auluq usay Aakhir

                    Aankho mein wo pehli Si Nadamat Nahi Rakhta!
                    __________________

                    Comment


                    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                      Aap Sukh Say Hein Terk-e-ta'alluQ K Baad
                      Itni Jaldi Na Ye Faisla Keejiye

                      Zindagi Katt Rahi Hai Baray Chain Say
                      Or Ghum Hon To Wo Bhi Ataa Keejiye !

                      Comment


                      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                        Na muradi ka ye aalam bhi to ai dil na rahey
                        Ab to ham Tark-e-Ta'alluq k bhi qabil na rahey
                        __________________

                        Comment


                        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                          Meri her bat ki terdeed kaerna
                          Mujhi se bahut ummeed kerna

                          Kisi taqreeb mein Terk-e-talluq
                          Akale mein kabhi tajdeed kerna

                          Mita dena kabhi airab sare
                          Muhabbat per kabhi tashdeed kerna

                          Ager us ko palatna hi nahin hai
                          To phir baikar hai takeed kerna

                          Hamare jaise roz-o-shab guzaaro
                          Bahut aasan hai tanqeed kerna

                          Kabhi inkar peh israar zyada
                          Kabhi taaied pe taaied kerna

                          Muhabbat kar-e-la hasil hai jis mein
                          Kisi ki mat kabhi taqleed kerna

                          Comment


                          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                            Main Tark-e-Talluq per zinda hoon so mujrim hoon
                            Kash uss k liye jeeta apne liye marr jata

                            Comment


                            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''


                              نہ اس سے ترکِ تعلق کی بات کر پائیں
                              نہ ہمدمی کا ارادہ ہے کیا کیا جائے

                              Comment


                              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                                Jiss k Aimaa p Kia Tarak-E-Taluq Sab se ,
                                AB Wohi Shakhs Mujhe Tanaa-E-Tanhai Day hy .. !!

                                Comment

                                Working...
                                X