Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    wo kahin kibriya na ban jaen
    naz bardariyan nahi achi

    next ye

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~


      Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai
      Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte

      sigpic


      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        yehi fesla he tera k jo tujhe chahe
        wo dar-o-karb-oalam ki khataleyon me jale

        next ye

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          yeh moajza bhi muhabbat kabhi dikhaey mujhey
          keh sang tujh peh girey aur chot aaey mujhey


          yey
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Yaad mein teri aksar Aansu bahata hai koi
            saans ke saath tujhe yaad karta hai koi
            maut barhaqq hai ek roz sabko aani hai
            teri judai mein har roz jee key marta hai koi

            yeh
            sigpic


            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              ya Rab! gham-e-hijraan mein itna to kiya hota
              jo hath jigar peh hai woh dast-e-duaa hota
              nakaam-e-tamana dil is soch mein rehta hai
              yun hota to kya hota yun hota to kya hota

              Alif
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Ek baar wo mila tha mujhe berukhi kay saath
                us din say dil ka shahr barabar uddas hai!!!!!!!

                Ye


                Never trust blindly!!!!

                _______________________________



                _____________________________________________

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  ye inaayate.n Gazab kii ye balaa kii meharabaanii
                  merii Khairiyat bhii puuchhii kisii aur kii zubaanii

                  meraa Gam rulaa chukaa hai tujhe bikharii zulf vaale
                  ye ghaTaa bataa rahii hai ki baras chukaa hai paanii

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    Yeh na thi humari qismat k wisal-e-yaar hota
                    jo kuch or din jeetey rehtey yehi intezar hota
                    tery wadey pey jiya hum tu yeh jan jhoot janaa
                    k khushi sey mar na jatey gar aitebar hotaa

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Uss ne dukh ke samandarr banaye maire liay
                      kamal shakhs tha kehne ko mairaa apna tha

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Aik dil-e-zinda ko patharoo ki siloo main rakha diyaa
                        Aik gul-e-shadab ko murda kitaboo main rakhaa

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Aaja ke abhii zabtt ka mausam nahinn guzraa
                          aaja ke pahaaron pe abhi barrf jami haii....
                          Khushbo ke jazeeron se sitaron ki haddon tak
                          is shehar mein sab kuch hai bas ik tairi kami hai

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            Yeh hum hai jo hijr main dewar-o-dar ko dekhtain hian
                            kabhi sabaa ko,kabhi nama bar ko dekhtain hian

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              Nigaah-e-dil Ki Aakhiri Yahi Tamannaa Hai
                              Tumhaari Zulfoon Ke Saaye Mai Shaam Kartaa Chaluun

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Nazar lagey na kahi us k dast-o-bazoo ko
                                yeh loog ku merey zakhm-jigar ko dekhtain hain

                                Comment

                                Working...
                                X