yeh thread mera life activity kay leye hai
Main Azal Ki Shaakh Se Toota Hua
Phir Raha Hoon Aaj Tak Bhatka Hua
Dekhta Rehta Hai Mujhe Ko Raat Din
Koi Apne Takht Per Betha Hua
Chand Taare Dur Peechey Reh Gaye
Main Kahan Par Agaya Urta Hua
Band Khirki Se Hawaa Ati Rahi
Aik Sheesha Tha Kahin Toota Hua
Apne Maazi Ka Samundar Chaaniye
Ik Khazaana Hai Yahan Dooba Hua
Doston Ne Kuch Sabak Aese Diye
Apne Saaye Se Bhi Hoon Sehma Hua
2.
Han suno dosto,
Jo bi dunya kahe,
Is ko parkhe bina, maan lena nahi
saari dunya ye kehti he,
Parbat pe charne ki nisbat utarna sehal he
Kis tarah maan len,
Tum ne dekha nahi,
Sarfarazi ki dhun me koi admi
Jab bulandi k raste pe chalta he to
Sans tak theek karne ko rukta nahi
Or isi shakhs ka,umar ki seeryo se utartey hue,
pao uthta nahi
Isi liye dosto!!!
Jo b duniya kahe,
Is ko parkhey bina,
Maan lena nahi,
3
کہنے کو میرا اُس سے کوئی واسطہ نہیں
امجد مگر وہ شخص مجھے بُھولتا نہیں
Comment