Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ashaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ashaar

    Gr yaadien Rait hotien to kya khoob hi hota..

    Mutti se nikal jaateen pairon se uraa daity!!!


    Comment


    • Re: ashaar

      Is Pyar Ke Safar Mein Mera Hath Thaam Lo
      Manzil Per Pohanchnay Tak Kahien Dhool Na Ban Jaooun


      Comment


      • Re: ashaar

        ye kis maqaam pe pahunchaa diyaa zamaane ne

        ki ab hayaat pe teraa bhii iKhtiyaar nahiin


        Comment


        • Re: ashaar

          Tu nay meray zakhmoo ka youn kia ilaj,,
          Marham bhi lagaya to kaantoon ki nok say,,


          Comment


          • Re: ashaar

            Aapni YADOON ki silisly roko,
            Mairi nendain haraam hoti hain.


            Comment


            • Re: ashaar

              ye jo rafaqton ki khwahishon main dill-e-muntazir hai para huwa
              isay kiya khabar k judaiyon k azab kitny shadeed huty hain


              Comment


              • Re: ashaar

                Hum zindagi se kuch b udharr nahi lety
                ik kafan lein gay wo b zindagi de kar


                Comment


                • Re: ashaar

                  Jub shehr kay log na rasta dein
                  kioun man main na jaa bisraam karein
                  deewano sii baat na karey toh
                  aur karey deewana kia


                  Comment


                  • Re: ashaar

                    Szaa yeh di kah Aankho'n say cheen li neendie'n
                    qasoor yeh tha kah jeenay kay khawab dekhay thay


                    Comment


                    • Re: ashaar

                      Neendon se bghawat ka ye nuqsan hua hai
                      aik shakhs k khwaboon ko tarstain hain mere aankheen


                      Comment


                      • Re: ashaar

                        uljha howa hoon gardish-e-doran men aajkal......
                        tum yeh na samajhna kay ulfat nahi rahi....


                        Comment


                        • Re: ashaar

                          Dost kia khoob wafaaon ka sila detey hain
                          har naye mor par aik zakhm naya detey hain


                          Comment


                          • Re: ashaar

                            Aur se aur huway jatay hain mayaar e wafa
                            Ab mataiy dil o jaan koi kaya lay jaiy

                            Yeh Dil to kisi haal mien b qane nhe jaan e Faraz
                            Mil gaiy tum bhi to kaya aur na janay mangay........ Ahmad Faraz


                            Comment


                            • Re: ashaar

                              lab per hai talkhi-e-mey-e-ayaam warna Faiz
                              hum talkhi-e-kalaam per mayal zara na thay


                              Comment


                              • Re: ashaar

                                youn toh sayeed bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho
                                tum sabhi kuch ho magar batlao toh musalman bhi ho


                                Comment

                                Working...
                                X