Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sara Poetry Collection !!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Sara Poetry Collection !!!


    اسی ایک فرد کے واسطے مرے دل میں درد ہے کس لئے
    مری زندگی کا مطالبہ وہی ایک فرد ہے کس لئے

    تو جو شہر میں ہی مقیم ہے تو مسافرت کی فضا ہے کیوں
    ترا کارواں جو نہیں گیا تو ہوا میں گرد ہے کس لئے

    نہ جمال و حسن کی بزم ہے نہ جنون وعشق کا عزم ہے
    سرِ دشت رقص میں ہر گھڑی کوئی بادِ گرد ہے کس لئے

    ترے حسن سے یہ پتہ چلا تجھے دیکھ کر یہ خبر ہوئی
    جہاں راستہ ہی نہیں کوئی وہاں رہ نورد ہے کس لئے

    جو لکھا ہے میرے نصیب میں کہیں تو نے پڑھ تو نہیں لیا
    ترا ہاتھ سرد ہے کس لئے ترا رنگ زرد ہے کس لئے

    وہ جو ترکِ ربط کا عہد تھا کہیں ٹوٹنے تو نہیں لگا
    ترے دل کے درد کو دیکھ کر مرے دل میں درد ہے کس لئے

    کوئی واسطہ جو نہیں رہا تری آنکھ میں یہ نمی ہے کیوں
    مرے غم کی آگ کو دیکھ کر تری آہ سرد ہے کس لئے

    (عدیم ہاشمی)



    Comment


    • Re: Sara Poetry Collection !!!



      *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
      Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya…
      Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya…

      Hum To Samje The K Hum Bhul Gaye Hen Un Ko…
      Kia Howa Aaj Ye Kis Baat Pe Rona Aaya…

      Kis Liye Jeete Hen Hum Kis K Liye Marte Hen…
      Baarha Aise Sawalaat Pe Rona Aaya…

      Kon Rota Hai Kisi Aur Ki Katir Aye Dost!…
      Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya…
      *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


      Comment


      • Re: Sara Poetry Collection !!!




        *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
        aey subh! main ab kahan raha hun...
        khuaabon main hi sarf ho chuka hun...

        kia hai jo badal gai hai dunia...
        main bhi to bohat badal gaya hun...

        main jurm ka aitraaf kar k...
        kuch aur hai jo chupa gaya hun...

        main aur faqat ussi ki khuaahish...
        ikhlaaq main jhoot bolta hun...

        roya hun to apney doston main...
        par tujh sey to hans k hi mila hun...

        aey shakhs! main tairi justujoo sey...
        baizaar nahi hun, thak gaya hun...

        *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


        Comment


        • Re: Sara Poetry Collection !!!

          Gulshan ki faqat phoolon se nahin kaanton se bhi zeenat hoti hai,
          jeene ke liye is duniya mein gham ki bhi zaroorat hoti hai.

          Aye waaiz-e-naadan! karta hai, tu aik Qayamat ka charcha,
          yahan roz nigahen milti hain yahan roz qayamat hoti hai.

          Wo pursish-e-gham ko ayae hain, kuch keh na sakoon chup reh na sakoon,
          khaamosh rahoon to mushkil hai, keh doon to shikaayat hoti hai.

          Karna hi padega zabt-e-alam, peene hi parren ge ye aansoo,
          fariyaad-o-fughaan se, aey naadaan! tauheen-e-mohabbat hoti hai.

          Jo aa ke ruke daaman pe Saba wo ashq nahin hai paani hai,
          jo ashq na chhalke aankhon se us ashq ki keemat hoti hai.

          (Saba Afghani)


          Comment


          • Re: Sara Poetry Collection !!!

            bohat aala siso

            Comment


            • Re: S!.will you please tell the full ghazal of attaullah khan after these lines.i Thanks.big fan of urdu poetrywanna download it from you tube.

              Originally posted by maya View Post
              Darmiyan ab gham-e-hijar ho to muje kya
              tume ab meri khabar ho, na ho muje kya

              Jab ho gai gham se meri duniya taho-bala
              ab koi jahan zairo-zabar ho to muje kya

              Jab Khaak b baki na rahi Qalb-o-jiger ki
              tum mery liye khaak basar ho to muje kya

              or mery dil main veran main ujala nahi hota
              tum gairt-e-khurshido Qamar ho to muje kya

              hai ab meri duniya main sara-sar shabe furqat
              ab is shabe furqat ki sehar ho to muje kya

              acha hai k bin mery guzar jaye kesi ki
              or yun b kesi ki guzar na ho to muje kya
              :thmbup::thmbup:

              Comment


              • Re: Sara Poetry Collection !!!

                Hummm Nice Sharing... :)
                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                Comment

                Working...
                X