Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~ * Khan ki Pasand * ~
Collapse
X
-
Kuch nahi sagar surahi
Kuch nahi sagar surahi aur pe-manay ka naam
teri aankhoun ki tarha hota hai me-khanay ka naam
tera chehra chaandni k raqs main anay ka naam
abr rakha hai teri zulfoun k khol janay ka naam
teray hontoun ki hansi ko subha kehtay hain sabhi
shaam hai shayed teri aankhoun k sharmanay ka naam
main ne jan-e-man tumhara naam rakha hai wafa
tum batao kia rakho gay apnay dewanay ka naam
tha koe dost,na dushman,na humdam Atiq
ghar na janay rakh diya hai kis ne weranay ka naamaay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
-
Muhabbatoun ka pata chale ga
Had-e-jana se gozar hoa tu muhabbatoun ka pata chale ga
koe muhabbatoun ki nazar hoa tu,muhabbatoun ka pata chale ga
abhi tu phertay ho dostoun main,azeez koe juda nahi hai
koe idhar se udhar hoa tu,muhabbatoun ka pata chale ga
abhi muhabbat nahi hoe na kuch es liye moskora rahay ho
kise ki banhoun main ghar hoa tu,muhabbtoun ka pata chale ga
wo jiski khatir bana rahe ho zamane bhar ko apna dushman
wo na apna agar hoa tu,muhabbatoun ka pata chale gaaay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
-
Re: Muhabbatoun ka pata chale ga
buht khoobsorat.....
Comment
-
-
-
Aalam-e-zaat
Khud ko kirdaar se oujhal nahi honay deta
wo kahani ko mukammal nahi honay deta
sang bhe phaainkta rehta hai kahen sahil se
aur pani main bhe hal-chal nahi honay deta
kasaa-e-khawaab se tabeer utha deta hai
pher aabadi ko bhe jangal nahi honay deta
dhoop bhe chaaoun bhe rakhta hai saroun par lekin
aasman par kahen badal nahi honay deta
rooz ek lehar utha lata hai be-khwabi ki
aur palkoun ko bhe boujhal nahi honay deta
phool he phool khilata hai sar-e-shaak wajood
aur khushbo ko musalsal nahi honay deta
aalam-e-zaat main darwaish bana deta hai
ishq insan ko pagal nahi honay detaaay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
Comment