Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ * Khan ki Pasand * ~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: koe Kia Janay

    :SubhanAllhaa:
    Originally posted by khan khan View Post
    Mousam-e-hijr k lamhaat koe kia jany

    kia gozarti hai meray saath koe kia janay
    dorioun main bhe teray saath marasim hain wohi
    rooz hoti hai mulaqaat koe kia janay
    loog hansti hoe aankhoun pe yaqeen rakhtay hain
    meray aanso meray jazbaat koe kia janay
    eak tu hai jisay maloom hain sari batain
    shab-e-hijran meray halaat koe kia janay
    koe kia janay k khamoshiyan kia kehti hain

    teri aankhoun k sawalaat koe kia janay


    Jane kya kya na mere bare me socha hoga
    rasta aj b usne mera dekha hoga

    ye guma b na tha es dooor me aaysa hoga
    kabar ka aaina har shakhs ka chehra hoga

    mooor sooone ka kareedenge kisi ke baccche
    daste eeflas me mitti ka khilona hoga

    phir zamane ke kari dhup ka hoga aahsaas
    sar pe MA BAAP ka jis roz na saaya hoga

    wah agar chup hai to kyn chup hai koi pooche to
    dil kisi bat pe aapno se tuuuta hoga....!

    Comment


    • #62
      Re: koe Kia Janay

      :SubhanAllhaa:
      Originally posted by khan khan View Post
      Mousam-e-hijr k lamhaat koe kia jany

      kia gozarti hai meray saath koe kia janay
      dorioun main bhe teray saath marasim hain wohi
      rooz hoti hai mulaqaat koe kia janay
      loog hansti hoe aankhoun pe yaqeen rakhtay hain
      meray aanso meray jazbaat koe kia janay
      eak tu hai jisay maloom hain sari batain
      shab-e-hijran meray halaat koe kia janay
      koe kia janay k khamoshiyan kia kehti hain

      teri aankhoun k sawalaat koe kia janay
      Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
      yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo

      Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
      Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo

      Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
      Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo

      Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
      Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo !!

      Comment


      • #63
        Re: koe Kia Janay

        Bohat umdaah :)

        Comment


        • #64
          Khamoush Muhabbat

          Qismat ki andhairi ratoun par jub unki nazar ho jati hai
          sharma k andhera chupta hai ghubra k sahar ho jati hai

          khamoush muhabbat main aksar taseer ye main ne daikhi hai
          dil mera dharaknay lagta hai aur unko khabar ho jati hai

          ilzaam se darti hai duniya lekin ye haqeqat hai ruswa
          karta hai muhabbat her koe kehta hai magar ho jati hai
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment


          • #65
            Ek Nigaah

            Hai unki chasm-e-tawajjo main roushni aise
            k jaisay un main sitaray qayaam kartay hain
            jahan main hotay hain aisay bhe kuch hunar walay
            jo ek nigaah main Amjad gulaam kartay hain
            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

            Comment


            • #66
              Re: Ek Nigaah

              Wah Je Wah Buhat Khub...Very Nice Sharing

              Comment


              • #67
                Re: Khamoush Muhabbat

                Wah Je Wah Buhat Khub...Very Nice Sharing

                Comment


                • #68
                  Ye Meri Muhabbat Hai

                  Teri khatir jo roti hon tu ye meri muhabbat hai
                  jo moti rool deti hon tu ye meri muhabbat hai

                  tumhari yaad ki kirno ko aksar aankh main rakh kar
                  main apni neend khoti hon tu ye meri muhabbat hai

                  huwa ehsaas khushbo chandni ko daikh kar aksar
                  teray dhokay main rehti hon tu ye meri muhabbat hai

                  falak pe chaand taroun k hasen jhurmot k manzar main
                  teray chehray ko takti hon tu ye meri muhabbat hai

                  main apni zindagi k saray jazboun ko meray jana
                  tumharay naam karti hon tu ye meri muhabbat hai

                  kabhi tu daikh le aa kar Duaa rah-e-muhabbat main
                  main khud se khud he larti hon tu ye meri muhabbat hai
                  aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                  kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                  Comment


                  • #69
                    Re: Ye Meri Muhabbat Hai

                    Bahot khoob janab nice sharing
                    sigpic

                    Comment


                    • #70
                      Re: Ye Meri Muhabbat Hai

                      Asslam-o-Alikum


                      Bohat Ala Khan Khan


                      bazuq Intekhab Ha


                      Kkhush rehay


                      PBT
                      :(

                      Comment


                      • #71
                        Re: Ye Meri Muhabbat Hai

                        wah bohat khoob

                        Comment


                        • #72
                          Re: Ye Meri Muhabbat Hai

                          Originally posted by WASI ANJUM View Post
                          Bahot khoob janab nice sharing
                          Originally posted by BaytaabTabaani View Post
                          Asslam-o-Alikum


                          Bohat Ala Khan Khan


                          bazuq Intekhab Ha


                          Kkhush rehay


                          PBT
                          Originally posted by MuQadas View Post
                          wah bohat khoob
                          W.Salaam,
                          aap sub dostoun ka bohat bohat shukriya.:)
                          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                          Comment


                          • #73
                            Meray rafeeq!meray dil nawaaz aa jaao

                            Gham-e-firaaq main dil ashk-baar rehta hai
                            na din ko chain na shub ko qaraar rehta hai
                            har eak lamha mujhay intazaar rehta hai
                            ab intazaar ki ghariyan meri bita jaao
                            meray rafeeq!meray dil nawaaz aa jaao
                            tasaworaat pe din raat chaaey rehtay ho
                            khayaal-o-khawaab ki duniya basaey rehtay ho
                            agarchay rooh k andar samaaey rehtay ho
                            magar jo aag hai dil main usay bujha jaao
                            meray rafeeq!meray dil nawaaz aa jaao
                            nigahain dhoondhti hain tumko lalaa-zaroun main
                            talaash karta hai dil tumko chaand taroun main
                            khayaal rehta hai har waqt koh-saroun main
                            bhatak rahi hon nishaan apna kuch bata jaao
                            meray rafeeq!meray dil nawaaz aa jaao
                            tumhari yaad ko dil se lagaoun ge kub tak
                            gham-e-firaaq k sadmay uthaoun ge kub tak
                            umeed-o-beem ki duniya basaoun ge kub tak
                            main jaan haar rahi hon mujhay jita jaao
                            meray rafeeq!meray dil nawaaz aa jaao
                            ye lamha lamha dushwaar-e-zindagi piyare!
                            utha sakon ge na ab baar-e-zindagi piyare!
                            ghashee hai aur shub-e-taar-e-zindagi piyare!
                            Khuda k waastay aa kar mujhay jaga jaao
                            meary rafeeq!meray dil nawaaz aa jaao
                            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                            Comment


                            • #74
                              Re: Meray rafeeq!meray dil nawaaz aa jaao

                              Bohat acha likha hai



                              ---------------------------------
                              woh maza diya tarap nay kay yeh aarzo hai yah rab
                              meray dono pehlo'on mein dil_e_beqarar hota

                              Comment


                              • #75
                                Re: Meray rafeeq!meray dil nawaaz aa jaao

                                Pyar kay deep jalanay walay khuch khuch pagal hotay hain
                                apni jaan say jaan sey walay khuch khuch pagal hotay hain

                                Hijar kay gehray zakham milay to mujh ko yeh ehsaas hua
                                pagal ko samjhaanay walay khuch khuch pagal hotay hain

                                jaan say piyare logoon say bhi kuch kuch pardah lazim hai
                                saari baat bataanay waalay khuch khuch pagal hotay hain

                                khaaboon main bhi piya milan ke sapne dekhtay rehte hain
                                neendoon main muskaney wale kuch kuch pagal hotay hain

                                iss jhooti naggri main hum nay yehi hameshaa dekhaa hai
                                sachi baat bataanay waalay khuch khuch pagal hotay hain

                                piyaar jinhain ho jaaye un ko chain bhalaa kab miltaa hai?
                                shab bhar ashk bahane walay kuch kuch pagal hotay hain

                                apni zaat se ujhray gulshan se wo piyar kahan karte hain?
                                auroon ko mehkanay walay khuch khuch pagal hotay hain

                                us kay ishq main bheeg kay 'wasiq' hum ko yeh ehsas hua
                                Dil ki baat main aane walay khuch khuch pagal hotay hain

                                Comment

                                Working...
                                X