Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ * Khan ki Pasand * ~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Mousam ki tarha

    Din apnay charaghoun ki tarha gozaartay hain
    har subha ko bujh jana har shaam ko jal jana

    bachoun ki se fitrat hai hum ehl-e-muhabbat ki
    zid karna machal jana pher khud he sambhal jana

    wo shaks bhala mera kia saath nibhaaey ga
    mousam ki tarha jis ne sekha hai badal jana
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • #77
      Re: Mousam ki tarha

      Salam


      Bohat Khoob Ji



      Ala ha
      :(

      Comment


      • #78
        Re: Mousam ki tarha

        Originally posted by BaytaabTabaani View Post
        Salam


        Bohat Khoob Ji



        Ala ha
        W.Salaam,
        bohat shukriya ji.:)
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment


        • #79
          Suna Tha K

          Suna tha k wo aaen gain anjoman main,suna tha k un se molaqaat ho ge
          hamain kia pata tha hamain kia khabar thi,na ye baat ho ge na wo baat ho ge

          main kehta hon usko dil main basa lo,wo kehtay hain hum se nigahain mila lo
          nagahon ko maloom kia dil ki halat,nigahon nigahon main kia baat ho ge

          hamain khainch kar ishq laya hai tera,teray dar pe hum ne lagay hai daira
          hamain ho ga na jub tk dedaar tera,yahen subha ho ge yahen raat ho ge

          muhabbat ka jub hum ne chaira fasana,tu goray se mukhray pe aaya pasena
          jo nikle thay ghar se tu kia jaantay thay,k u dhoop main aaj barsaat ho ge

          khafa hum se ho k wo baithay hoey hain,raqeboun main ghir k wo baithay hoey hain
          na wo daikhtay hain na hum daikhtay hain,yahan baat ho ge tu kia baat ho ge
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment


          • #80
            Re: Suna Tha K

            Originally posted by khan khan View Post
            Suna tha k wo aaen gain anjoman main,suna tha k un se molaqaat ho ge

            hamain kia pata tha hamain kia khabar thi,na ye baat ho ge na wo baat ho ge

            main kehta hon usko dil main basa lo,wo kehtay hain hum se nigahain mila lo
            nagahon ko maloom kia dil ki halat,nigahon nigahon main kia baat ho ge

            hamain khainch kar ishq laya hai tera,teray dar pe hum ne lagay hai daira
            hamain ho ga na jub tk dedaar tera,yahen subha ho ge yahen raat ho ge

            muhabbat ka jub hum ne chaira fasana,tu goray se mukhray pe aaya pasena
            jo nikle thay ghar se tu kia jaantay thay,k u dhoop main aaj barsaat ho ge

            khafa hum se ho k wo baithay hoey hain,raqeboun main ghir k wo baithay hoey hain

            na wo daikhtay hain na hum daikhtay hain,yahan baat ho ge tu kia baat ho ge
            HMMM...SABHI SHER ACHAY LAGAY...........:thmbup:
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment


            • #81
              Re: Suna Tha K

              Khoob Achi choice ha janab
              :(

              Comment


              • #82
                Re: Suna Tha K

                khoob
                sigpic

                Comment


                • #83
                  Re: Mousam ki tarha

                  nice
                  sigpic

                  Comment


                  • #84
                    Amal ko toolnay wale

                    Amal ko toulnay wale baray darvaish hote hain
                    khamoshi boolnay wale baray darvaish hotay hain

                    yahan par jhoot palta hai,yahan sub jhoot kehtay hain
                    yahan sach boolnay wale baray darvaish hotay hain

                    zamana barf ki sil ki tarha jub sard par jaaey
                    tu es par khoulnay wale baray darvaish hotay hain

                    wo darvaishi jo koh'na umar main aaey,bhali lekin
                    jawani roolnay wale baray darvaish hotay hain

                    anaa'oun,nafratoun,khud gharzioun k tehray pani main
                    muhabbat ghoolnay wale baray darvaish hotay hain
                    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                    Comment


                    • #85
                      Re: Amal ko toolnay wale

                      Ap ki post parhnay walay aur parh ka reply karnay
                      walay bary dervish hotay hain:D:


                      Nice selection Double Khan ji



                      Khush rehay



                      PBT
                      :(

                      Comment


                      • #86
                        Re: Amal ko toolnay wale

                        Originally posted by khan khan View Post
                        wo darvaishi jo koh'na umar main aaey,bhali lekin
                        jawani roolnay wale baray darvaish hotay hain
                        yeh underlined kya word hai.......do tell me.....
                        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                        Comment


                        • #87
                          Re: Amal ko toolnay wale

                          Originally posted by BaytaabTabaani View Post
                          Ap ki post parhnay walay aur parh ka reply karnay
                          walay bary dervish hotay hain:D:


                          Nice selection Double Khan ji



                          Khush rehay



                          PBT
                          tabani ji aap b barray derveish hotay hain...........:khi:
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment


                          • #88
                            Yaad

                            U he be-kal be-kal lamhon main
                            jub bojhal bojhal qadmoun se
                            sahil ki taraf main jati hon
                            tumhain saath main aksar pati hon
                            jub aati jati mojoun se
                            be-rabt se batain karti hon
                            tub yaad tumhain main karti hon
                            kabhi aadhi raat ko uth kar jub
                            be-wajha tehla karti hon
                            ya apnay kamray ki khirki se
                            chaand ko daikha karti hon
                            aur uski thandi roushni ko
                            ang ang main samoya karti hon
                            tub yaad tumhain main karti hon
                            jub zabt k khoni panjoun se
                            main apna aap bachati hon
                            kar kar k yaad wo gozray pal
                            main pehroun ashk bahati hon
                            pher aankhoun k totay taroun se
                            aanchal ko bhigoya karti hon
                            tub yaad tumhain main karti hon
                            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                            Comment


                            • #89
                              Muhabbat Khaas Hoti Hai

                              Muhabbat khaas hoti hai
                              kuch khaas dilon main hoti hai
                              ek khaas nazar ki khaas enayat
                              kuch khaas lamhon main hoti hai
                              din aur raat se be-niyaaz
                              har lamha ujala karti hai
                              lafzon ki mohtaaj nahi hai
                              jazbon ki talab hai ye
                              khaas dilon ka
                              khaas tarana
                              ban kar labon par sajti hai
                              muhabbat khaas hoti hai
                              khaas zarorat mandoun ki
                              khaas zarorat hoti hai
                              be-lous
                              be-gharaz
                              shaf'faaf chaandni ki tarha
                              pakeza muhabbat hoti hai
                              aay kaaaaash!
                              k har dil khaas rahay
                              aur u he
                              muhabbat aabaad rahay...!!!
                              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                              Comment


                              • #90
                                Re: Muhabbat Khaas Hoti Hai

                                Achi Nazm ha As usual
                                :(

                                Comment

                                Working...
                                X