Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ * Khan ki Pasand * ~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

    Dil main jo dard base hain,tumhare thehray
    ab tu ye dard he jenay k saharay thehray

    jo diye hum ne jalae wo teray naam k thay
    jo diye tu ne bujhaey wo hamaray thehray

    koe sehra ko gaey koe chalay so-e-daar
    uf kahan ja k teray husn k maray thehray

    badbaan khool k kishti ko khuda pe chora
    uski taqdeer hai doubay ya kinaray thehray

    aisay roushan hoey aankhoun main teri yaad k chaand
    jaisay palkon pe kahen aa k sitaray thehray
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

      waaaaah bahot khoob janab
      sigpic

      Comment


      • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

        Originally posted by WASI ANJUM View Post
        waaaaah bahot khoob janab
        Bohat Shukriya.
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment


        • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

          Kho chokay hain jis ko,wo jageer lekar kia karain
          ek paraey shaks ki tasveer lekar kia karain

          ham zamen-zaday,sitaroun se hamain kia wasta
          dil main na haq khwahish-e-taskheer lekar kia karain

          alemoun se zaaechay banwaaen kis umeed par
          khawaab he achay na thay,tabeer lekar kia karain

          aitabaar-e-harf kafi hai tasalli k liye
          pakkay kagaz par koe tehreer lekar kia karain

          apna ek asloob hai,acha boda jaisa bhe hai
          lehja-e-ghalib,zuban-e-meer lekar kia karain

          shamma apni he bhali lagti hai apne taaq pe
          mangay tangay ki koe tanveer lekar kia karain
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment


          • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

            Dil-e-purshookh ko pehlo main dabaey rakha
            tujh se bhe hum ne tera piyaar chopaey rakha

            choor es baat ko k aay dost tujh se pehlay
            ham ne kis kis ko khayaloun main basaey rakha

            ghair mumkin thi zamanay k ghamoun se fursat
            pher bhe ham ne tera gham dil main basaey rakha

            phool ko phool na kehtay tu usay kia kehtay
            kia hoa ghair ne kalar pe sajaey rakha

            jane kis haal main hai kaun se shehroun main hai
            zindagi apni jinhain hum ne banaey rakha

            haaey kia loog thay wo loog pari chehra loog
            ham ne jin k liye duniya ko bholaey rakha
            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

            Comment


            • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

              Abhi tu rut badalni thi,abhi tu phool khilne thay
              abhi tu raat dhalni thi,abhi tu zakhm silne thay

              abhi tu sar zamen-e-jan pe ek badli ko ghirna tha
              abhi tu wasl ki barish main nagay paaoun pherna tha

              abhi tu kisht-e-gham main ek khushi ka khawaab bona tha
              abhi tu sainkroun sochi hoe batoun ko hona tha

              abhi tu sahiloun pe ek hawa-e-shaad chalni thi
              abhi jo chal rahi hai,ye tu kuch din baad chalni thi
              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

              Comment


              • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                Tanha tanha mat socha kar
                mar jaaey ga!mat socha kar

                apna aap ganwa kar tu ne
                paya kia hai?mat socha kar

                dhoop main tanha kar jata hai
                keun ye saya?mat socha kar

                piyaar ghari bhar ka bhe bohat hai
                jhoota,sacha mat socha kar

                rah kathin aur dhoop kari hai
                kaun aaey ga?mat socha kar

                wo bhe tujh se piyaar kare hai?
                pher dukh ho ga mat socha kar

                mound lay aankhain aur chala chal
                manzil,rasta mat socha kar

                jis ki fitrat he dasna ho
                wo tu dasay ga!mat socha kar

                duniya k gham saath hain teray
                khud ko tanha mat socha kar

                jeena do bhar ho jaey ga
                jaana!itna mat socha kar


                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                Comment


                • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                  v nice.................

                  Comment


                  • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                    Neend aankhoun main musalsal nahi hone deta
                    wo mera khawaab mukammal nahi hone deta

                    aankh k sheesh mehal main wo kise bhe lamhe
                    apni tasveer ko oujhal nahi hone deta

                    raabta bhe nahi rakhta hai sar-e-wasl koe
                    aur ta'aluq bhe muattal nahi hone deta

                    dil ye kehta hai usay lout k aana hai yahen
                    ye dilasa mujhay pagal nahi hone deta
                    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                    Comment


                    • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                      Aisay bhe muhabbat ki saza deti hai duniya
                      mar jaaen tu jenay ki dua deti hai duniya

                      ham kaun se momin thay jo ilzaam na sehtay
                      pathar ko bhe bhagwan bana deti hai duniya

                      ye zakhm-e-muhabbat hai dikhana na kise ko
                      la kar sar-e-bazaar saja deti hai duniya

                      qismat pe karo naaz na itna bhe faqeroun
                      hathoun ki lakeroun ko mita deti hai duniya

                      marne k liye karti hai majbor tu lekin
                      jenay k tareqay bhe sikha deti hai duniya

                      kia yaad rakhay ga hamain zarra se zamana
                      zindoun ko bhe pal bhar main bhula deti hai duniya
                      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                      Comment


                      • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                        falak par rehne wale sub sitare eak jaisay hain
                        samandar eak jaisay hain,kinaray eak jaisay hain

                        agar chaho,khushi apni chopa lo saat pardoun main
                        magar lagta hai jaisay dukh hamaray eak jaisay hain

                        kholi aankhon se bhe ham ko dikhai kuch nahi deta
                        yahan mousam ne jo manzar utaray,eak jaisay hain

                        teri yadon k jhonko se alag hokar nahi chalte
                        ta'aqub main hain jo khusbo k dharay,eak jaisay hain

                        anhain tum phool keh lo,rang keh lo,khushboen keh lo
                        zamanay main wafa k esta'aray eak jaisay hain
                        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                        Comment


                        • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                          Sochta hon wo agar mujh se juda ho jaey
                          mera rasta meray qadmon se khafa ho jaey

                          bare he gham se gozarta hon kise hijr k baad
                          jis ne hona hai abhi mujh se juda ho jaey

                          kaise laaey ga mera zakhm nigahoun ki taab
                          jo teri saans ki khushbo se hara ho jaey

                          kaise kat jaey safar dhe'aan main jub tu he nahi!
                          kis taraf jaoun jo manzil he fana ho jaey

                          kia sakon tujhko moyassar bhala aaey Haidar
                          hijr jitna bhe katay utna bara ho jaey

                          :jmm:
                          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                          Comment


                          • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                            zabardast ji

                            Comment


                            • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                              Originally posted by ashnalovely View Post
                              zabardast ji
                              Thanx...!!!:rose
                              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                              Comment


                              • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                                buht khooob!!
                                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                                :pr:

                                Comment

                                Working...
                                X