Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Yeh zara zara si Baat per tarah tarah ka Azaz kyun?
    Jo kisi se b Khafa na ho, Mujhe us Khuda ki Talash hai


    Mujhe Lagzishon per her Ghari, Koi Tokta hai Baar Baar
    Jisey kar k Dil ko Dukh na ho Mujhe us Gunaah ki Talash hai

    Bina Hamsafar k kab Talak, Koi Musafaton mai laga rahey
    Jahan koi kisi se Juda na ho, Mujhe us Raah ki Talash hai

    Mujhe Dekh ker jo Ek Nazar, Mere Saarey Dard Samjh sake!!
    Jo is qadar ho Chaara-Gar, Mujhe us Nigaah ki Talash hai

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      [quote=musaddaq;402401]
      Koi mera bhi to ho saath nibhanay ke liye


      Mujhe maangey KHUDA se apna bananey ke liye
      Mere aansoo meri palkon se churanay ke liye
      Bas wohi ho mujhe seenay se laganey ke liye


      kitni khoobsoorat si khuwahish haii ..hr insan chahta hai k woh chaha jayee..kunk chahney sey chahey janey ka ahsas zayda dilkash howa krta hai


      Yun to hain chahnay walay bohat se dunya mein
      Nahin hai koi magar saath nibhanay ke liye


      waqt turpr loog humari achaii sey impress hoker pasand tu kerletey hai pr poori tarha sey janey k badd daman chura letey hain

      Din bhar khwaab jo tootay thay samaitay humne
      Phir so gaye naye khwaab sajanay ke liye
      Roz ik Jehd-e-Musalsal mein laga rehta hoon
      Meri saanson ki rawaani to faqat dhoka hai


      Haan main zinda hoon magar sirf dikhanay ke liye


      kuwaboo ka ek baar toot jana hii humain khuwaboo k dobara buney sey rook deta hai kunk pichley khuwaboo k tukrey hi zindagi bhr hum chuntey rehtey hain......zindagi sirf sans leney ka hi naam nahi pr aksar loog sirf dekhney main hi zinda hai werna zindagi tu kub ki un k under marchuki haii

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Yeh pal pal ka chalna,
        fasila khatam na karega,
        Tum kitna bhi chaho,
        tumhe woh kal na milega!

        Yeh koi gaata hai,
        ya namaaz padta hai,
        Tum kitna bhi chaho,
        tumhe alag khuda na milega!

        Yeh guzarti huwi raat hai,
        ya nikalti huwi sehar,
        Tum kitna bhi chaho,
        tumhe humsafar na milega!
        Yeh Baarish ki boondein hain,
        ya aankhon ke aansoon,
        Tum kitna bhi chaho,
        inhe thaamne wala na milega!
        Yeh dil ke tukde hain,
        ya aap ki yaadein,
        Tum kitna bhi chaho,
        tumhe marham na milega!
        Yeh dil mein armaan hain,
        ya sulagte huwe sholey,
        Tum kitna bhi chaho,
        tumhe sehra mein paani na milega!
        Yeh kaisi uljhan ban gayee hai,
        dil ki dhadkan,
        Tum kitna bhi chaho,
        tumhe sukoon na milega!!"

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          [quote=musaddaq;406401]
          Yeh pal pal ka chalna,
          fasila khatam na karega,
          Tum kitna bhi chaho,
          tumhe woh kal na milega!
          Ager humarey chahney sey woh mil jata tu humara hal na acha hotaa :)

          dil ki dhadkan,
          Tum kitna bhi chaho,
          tumhe sukoon na milega!!"
          sukoon dil mangta tu hai pr jis k pass hota haii woh dil k bus main nahi hotaa

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna...
            ghar jao to yaaron se mera zikar na kerna...
            woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar...
            tum raah guzaron se mera zikar na kerna...
            phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se...
            dekho kabhi khaaron se mera zikar na kerna...
            shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein...
            ab chaand sitaron se mera zikar na kerna...
            woh meri kahani ko galat rang na de dein...
            afsana nigaaron se mera zikar na kerna...
            shayad woh mere haal pe besakhta rodein...
            is baar baharon se mera zikar na kerna...
            le jayenge gehrayi mein tum ko bhi baha ker...
            darya ke kinaron se mera zikar na kerna...
            woh shakhs mile to usey har baat batana...
            tum sirf isharon se mera zikar na kerna...
            Last edited by musaddaq; 24 April 2007, 15:07.

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Subah k Ujaloon Mein,
              Jab bhi Aankh Khulti Hay
              Main Terey Khayalon Se
              Aitraaz Karnay Ka,
              Ehd Kar k Uthta Hoon

              Yunhi Be Khayali Mein
              Jab "Wasi" Ka Koi Shair Gungunata Hoon
              Rooh Jaag Uthti Hay,
              Dil Sukoon Pata Hay

              Lekin Uss k Shairon Par,
              Jab bhi Ghor Karta Hoon
              Mujh Ko Aisa Lagta Hay
              Vo Sitam Gazeeda bhi,
              Apni Sari Ghazlon Mein
              Tera Zikr Karta Hay

              Main Tery Khayalon Se,
              Sir Jhatak k Uthta Hoon
              Tez Tez Qadmoon Se,
              Bahir Ko Nikalta Hoon
              Pur Hajoom Galiyoon Mein...
              Har Jagah Dukanoon Par...
              BeQarar Phirta Hoon,
              Tujh Ko Bhool Jata Hoon

              Be Niaz Lamhoon Mein
              Jab Koi Pari Pekar Pass Se Guzarti Hay
              Mera Dil Machalta Hay,
              Zor Se Dharakta Hay
              Aur Vo Pari Pekar Tera Aks Lagti Hay
              Phir Wuhi Teri Yaadein,
              Phir Shikast Khata Hoon

              Aur Main Teri Yadoon Se,
              Door Bhag Janey Ko
              Sabz Posh Baaghon Mein,
              Sair Ko Nikalta Hoon
              Sabz Sabz Chadar Par,
              Sir Jhukaye Chalta Hoon

              Be Shumar Pholoon k
              Rung Aur Khushboo Se
              Dil Zara Behalta Hay
              Phir Kahin Darakhtoon ke
              Pur Sakoon Saaye Mein
              Piyar Karnay Walon Ko
              Pur Khumar Lehjay Mein,
              HumKalaam Pata Hoon

              Phir Teri Qurbat Mein,
              Kat Chukay Haseen Lamhey
              Mujh Ko Yaad Aatay Hain,
              Phir Shikast Hoti Hay

              Aur Main Thaka Haara,
              Ghar Ko Laut Aata Hoon

              Shaam k Andhery,
              Jab Shab Taraaz Hotay Hain
              Aur Mera Akela Pan,
              Soonay Soonay Bistar Par
              Phir Se Teri Yaadon Ki,
              Chaadrein Bichata Hay

              Tab Mery Iradey Bhi,
              Haar Maan Letay Hain
              Main Terey Khayaloon Ko,
              Orrhna Banata Hoon

              Roz Shikast Khata Hoon
              Roz Shikast Khata Hoon...!!!

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Ik dil walon ki basti thi
                Jahan chand aur suraj rehtay thay
                Kuch suraj mann ka pagal tha
                Kuch chand shokh aur chanchal tha
                Basti Basti phirtay aur
                Har pal hanstay rehtay thay
                Phir ik din dono rooth gaey
                Saray sapnay toot gaey
                Ab chand bhi uss waqt aata hai
                Suraj jab so jata hai
                badal shab se kehtay hain
                suraj uljha rehta hai
                Chand k sath sitaray hain
                Par suraj tanha rehta hai....

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Mai Paarsa b nahi aur Mai Bura b nahi
                  Suraag-e-Manzil- e-Janaan Mujhe Mila b nahi
                  Mijaaz Fitrat-e-Aadam se Mai Juda b nahi
                  Tamam Umar chala Mai kahin Ruka b nahi
                  Yeh Kis maqaam per le aaya Junoon Mujh ko
                  Khayal-e-Yaar ka Roshan jahan Diaa b nahi
                  Yeh Bar-Hami, yeh Tagafull, yeh Be-Rukhi kesi
                  Zabaan-e-Haal se Mai ne to kuch Kaha b nahi
                  Mai kis tarah karoon Izhaar-e-Ghum Sar-e-Mehfil
                  Mujhe Saleeq Aadab-e-Iltija b nahi

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai
                    Kya karein k Hamein Dusrey ki Adat hai
                    Tuu apne Sheesha-Gari ka na ker Hunar Zaya
                    Mai Aaina hoon, Mujhe Tootne ki Adat hai
                    Wisaal mai b wohi Faasley Sarab k hain
                    Ke Usko Neend, Mujh ko Rat-Jage ki Adat hai
                    Tera Naseeb hai Ae Dil Sada ki Mehroomi!!
                    Na Wo Sakhi hai, na Tujhe Maangne ki Adat hai
                    Ye Khood-Aziyati kab tak "FARAZ"
                    Tu b use na ker Yaad, Jise Bhoolne ki Adat hai

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Tujhe bhool ne ke liya
                      kiya kiya nahi karte hai
                      Roz zehar pete hai
                      Roz roz martee hai

                      Phir bhi tujhe bhool nahi pate hai
                      Har bura kam karte hai

                      Ke shayad tujhe bhool jayenge
                      Per tujhe bhool nahi pate hai

                      Roz Ro Ro Ker duwa karte hai
                      ke Tujhe Bhool Jaye

                      Phir Bi Tujhe bhool Nahi Pate Hai

                      Tujhe bhool ne ke liye
                      kya kya nahi karte hai
                      Roz zehar pete hai
                      Roz roz marte hai
                      Phir Bhi Tujhe Bhool Nahi pate ha

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Originally posted by musaddaq View Post
                        Tujhe bhool ne ke liya

                        kiya kiya nahi karte hai
                        Roz zehar pete hai
                        Roz roz martee hai

                        Phir bhi tujhe bhool nahi pate hai
                        Har bura kam karte hai

                        Ke shayad tujhe bhool jayenge
                        Per tujhe bhool nahi pate hai

                        Roz Ro Ro Ker duwa karte hai
                        ke Tujhe Bhool Jaye

                        Phir Bi Tujhe bhool Nahi Pate Hai

                        Tujhe bhool ne ke liye
                        kya kya nahi karte hai
                        Roz zehar pete hai
                        Roz roz marte hai
                        Phir Bhi Tujhe Bhool Nahi pate ha

                        Rooz kehta ho k bhool jaoo ussey
                        rooz mager yeh baat bhool jata hoo :blush:

                        hum 2 logo ko kabhi nahi bhula sakteyy 1 jinhey yaad rakhna chahyee or ek woh jinhian bhool jana chahain

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Originally posted by musaddaq View Post
                          Mai Paarsa b nahi aur Mai Bura b nahi
                          Suraag-e-Manzil- e-Janaan Mujhe Mila b nahi
                          Mijaaz Fitrat-e-Aadam se Mai Juda b nahi
                          Tamam Umar chala Mai kahin Ruka b nahi
                          Yeh Kis maqaam per le aaya Junoon Mujh ko
                          Khayal-e-Yaar ka Roshan jahan Diaa b nahi
                          Yeh Bar-Hami, yeh Tagafull, yeh Be-Rukhi kesi
                          Zabaan-e-Haal se Mai ne to kuch Kaha b nahi
                          Mai kis tarah karoon Izhaar-e-Ghum Sar-e-Mehfil
                          Mujhe Saleeq Aadab-e-Iltija b nahi
                          zaberdast

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain
                            naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain

                            jab woh the....!! talaash-e-zindagi bhi thi
                            ab to maut ke thikaane dhoondte hain..!!

                            kal khud hi apni mehfil se nikaala tha..!!
                            aaj hue se deewaane dhoondte hain...!!

                            musaafir be-khabar hain teri aankhon se
                            tere shahar mein maikhaane dhoondte hain

                            tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
                            hum to rone ke bahaane dhoondte hain...!!

                            unki aankhon ko youn dekho na
                            naye teer hain...!! nishaane dhoondte hain..!!

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Ab ke tajdeed wafa ka nahi imkaan Jaanaa
                              Yaad kya tujh ko dilaein tera paimaan Jaanaa

                              Yunhi mausam kee adaa dekh ke yaad aya hai
                              Kis qadar jald badal jate hain insaan Jaanaa

                              Zindagi teree attaa thee so teray naam kee hai
                              Hum ne jaise bhee basar kee teraa ehsaan Jaanaa

                              Mudatoon se yehi aalam na tawaku na umeed
                              Dil pukare hee chala jata hai Jaanaa Jaanaa

                              Hum bhee kya saadah thay ham ne bhee samajh rakha tha
                              Gam-e-doraan se judaa hai gam-e-Jaanaa Jaanaa

                              Ab tera zikar bhee shayad hee ghazal mein aaey
                              Aur se aur hoey dard ke unwaan Jaanaa

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Comment

                                Working...
                                X