Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty
    saahil pe samundar ke hazane nahi aaty
    palkein bi chamak uthi hen sote hi hamari
    aankho ko abi khawab chupane nahi aaty
    dil ujri hoi ik saraye ki terha hai
    ab loogh yahan raat jagane nahi aaty
    yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hen
    ab yaad samje derd porane nahi aate
    urny do abi parindo ko shoh hawa men
    phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty
    is shehar ke badal teri zulfon ki terha hen
    yeh aag lagate hen per bojane nahi aaty
    ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gye hen
    aaty hen magar dil ko dukhane nahi aaty

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      sub boht achi uor umda shairy hy.

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        HAR AIK CHAHRAY KO ZAKHMOON KA AYENA NA KAHO
        YEH ZINDAGE TU HAY RAHMAT ISAY SAZAA NA KAHO
        NA JANAY KAUN SE MAJBURIYON KAY QAIDEE HO
        WO SAATH CHOOR GIYA HAY TU BEYWAFA NA KAHO
        TAMAAM SHAHAR NAY NEZOON PAY KION UCHALAA MUJHAY
        YAH ITTEEFFAAQ THA TUM IS KO HADSAA NA KAHO
        YAH AUR BAAT KAY DUSHMAN HUA HAY AAJ MAGAR
        WO MAIRAA DOST THA KAL TAK USAY BURAA NA KAHO
        HAMMARRAY AIB HAMAIN UNGALIYON PAY GINWAO
        HAMMAREE PEETH KAY PEECHAY HAMAIN BURAA NA KAHO
        MAIN WAQIYAAT KE ZANJEER KAA NAHII QAAYAL
        MUJHAY BHE APNAY GUNAAHOON KAA SILSILAA NAA KAHO

        HAR AIK TARASHAY HOWAY BHUT KO DEWATAA NAA KAHO

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Originally posted by bolti Kamoshi View Post
          sub boht achi uor umda shairy hy.
          Thanx:)

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Tu bata a dil-e- betaab, kahan aatey hain
            Humko khush rehney k aadaab kahan aatey hain
            Mein to yakmusht usey sonp doon sab-kuch lekin
            Ek muthi mein merey khwaab kahan aatey hain
            Muddaton baad tujhey dekh k dil bhar aaya
            Warna sehraon mein selaab kahan aatey hain
            Meri bedaar nigahon mein agar bholey se
            Neind aaye bhi to ab khwaab kahan aatey hain
            Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai- noshi hai
            Hosh mein ab terey betaab kahan aatey hain
            Hum kisi tarah terey dar pe thikana kar lein
            Hum faqiron ko ye aadaab kahan aatey hain
            Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi
            Ab muyassar hamin who khwaab kahan aatey hain

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Humein jeene dou hum bhi tou tere jaise hain
              Humein bhi dil k dharkanon pe ikhtiyar nahi
              Yoon sshab taar mein beete gi kya apni hayat
              Kyun humein subah darkhshah ka intezar nahi
              Humare jism mein bhi daurta hai khoon-e-hayat
              Humein bhi zindagi k qafilon mein goonjna hai
              Humein bhi chorh dou in mausamon k beech mein
              Humein bhi taarbaran k suron ko chehrna hai
              Jahan pe geet gaye jarahe hain ulfaton k
              Humein bhi un raseeli wadion ko dekhna hai
              Buhat tang achuke ab zindagi ki talkhiyon se
              Humein bhi zeest ki ra'nayion mein jeene do

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                buht khoob.....
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Teri Yadoon k Sard Mousam Mein
                  Main Ne Raatein Guzar Di Apni
                  Par Sukoon Mila Nahi Mujh Ko
                  Teri Soorat Ka Vo To Sadqa Thy
                  Dil Ka Mousam Yunhi Raha Yaaron
                  Khoon Hasratoon Ka Phir Baha Yaaron
                  Teri Yadoon k Sard Mousam Mein
                  Dil Jala Deep Ki Soorat
                  Khuwab Mery Bikhar Gaye Saray
                  Raiza Raiza Meri Hasti Ko Kar Diya Tune
                  Meri Chahat Ka Dam Jo Bharta Tha
                  Khud Se Zyada Pyar Mujh Se Karta Tha
                  Aaj Tak Hay Meri Soch Ka Mehwar
                  Dil Tere Bin Udas Hay Ab Tak
                  Meri Chahat Ka Kya Koi Sila b Nahi
                  Uss Ko Mujh Se Koi Gila b Nahi
                  Teri Yadoon k Sard Mousam Mein
                  Aaj Phir Khud Ko SamaitTa Hoon Main
                  Kal Jo Tootay Thy Khuwab Saray Vo
                  Ashk Aankhon Se Bahay Saray Vo
                  Teri Yadoon Mein Guzra Ik Ik Pal
                  Meri Umer Ka Vo Hissa
                  Jo Kabhi Saath Tery Guzra Tha
                  Jo Kabhi Bichaye Thy Main Ne
                  Gul Vo Saray Samait loon Ab To
                  Jo Kabhi Chah Se Tune Likhay Thy
                  Vo Tery Khat Sambhal Rakhay Hain
                  Main Tujhay Kaisy Bhool Paon Ga
                  Meri Nas Nas Mein Tu Samayi Hay
                  Teri Yadoon k Sard Mousam Mein
                  Ahhh! Zindagi Ko Luta Diya Hum Ne
                  Apna Aap Khud Mita Diya Hum Ne
                  Teri Yadoon k Sard Mousam Mein...!!

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Originally posted by musaddaq View Post
                    Teri Yadoon k Sard Mousam Mein

                    Main Ne Raatein Guzar Di Apni
                    Par Sukoon Mila Nahi Mujh Ko
                    Teri Soorat Ka Vo To Sadqa Thy
                    Dil Ka Mousam Yunhi Raha Yaaron
                    Khoon Hasratoon Ka Phir Baha Yaaron
                    Teri Yadoon k Sard Mousam Mein
                    Dil Jala Deep Ki Soorat
                    Khuwab Mery Bikhar Gaye Saray
                    Raiza Raiza Meri Hasti Ko Kar Diya Tune
                    Meri Chahat Ka Dam Jo Bharta Tha
                    Khud Se Zyada Pyar Mujh Se Karta Tha
                    Aaj Tak Hay Meri Soch Ka Mehwar
                    Dil Tere Bin Udas Hay Ab Tak
                    Meri Chahat Ka Kya Koi Sila b Nahi
                    Uss Ko Mujh Se Koi Gila b Nahi
                    Teri Yadoon k Sard Mousam Mein
                    Aaj Phir Khud Ko SamaitTa Hoon Main
                    Kal Jo Tootay Thy Khuwab Saray Vo
                    Ashk Aankhon Se Bahay Saray Vo
                    Teri Yadoon Mein Guzra Ik Ik Pal
                    Meri Umer Ka Vo Hissa
                    Jo Kabhi Saath Tery Guzra Tha
                    Jo Kabhi Bichaye Thy Main Ne
                    Gul Vo Saray Samait loon Ab To
                    Jo Kabhi Chah Se Tune Likhay Thy
                    Vo Tery Khat Sambhal Rakhay Hain
                    Main Tujhay Kaisy Bhool Paon Ga
                    Meri Nas Nas Mein Tu Samayi Hay
                    Teri Yadoon k Sard Mousam Mein
                    Ahhh! Zindagi Ko Luta Diya Hum Ne
                    Apna Aap Khud Mita Diya Hum Ne
                    Teri Yadoon k Sard Mousam Mein...!!
                    zaberdast

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Chaha tu bohut tha lekin wo mila hi nahi,
                      Laakh koshish ki mager yeh fasla mita hi nahi,
                      Na jaane zamane ne majboor is qader ker diya,
                      Ki wo meri kisi sada pay thera hi nahi,
                      Me tamam ter koshishoo ke bawajoud har gaya,
                      Wo usay mil gayi jisne us ko manga hi nahi,
                      Har ik say poucha tere na milne ka sabab,
                      Her ik ne kaha wo tery liye bani hi nahi,
                      Itni shiddut say chaha tha us ko,
                      Is duniya me shayed wafa ka sila hi nahi

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte
                        Mere Dost! Yun Kisi Ko Satya Nahi Karte
                        Ek Baar Yun Kisi Ko Keh Ker Apna
                        Daman Phir Us Se Churaya Nahi Karte
                        Us ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil
                        Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aya Nahi Karte
                        Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene main
                        Dosron Ka Dil Phir Woh Dukhaya Nahi Karte
                        Do Qadam Saath Chal Ker Jo Judda Ho Jayen
                        Aise Logon Ko To Humsafar Banaya Nahi Karte
                        Kis Tarhan Guzarti Ho Gi Zindagi Unnnnn ki
                        Pehli MOHABBAT Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Us ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil
                          Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aya Nahi Karte
                          bauht khoob:clap:

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Bina Jurm-o-Khata, Khood ko koi aisi Saza Dena
                            Boht Mushkil hai Meri Janaa!! Tumhein bilkul Bhula Dena
                            Mere Maula! agar Tuu ne dubara Zindagi Bakhsi
                            To bus itni Guzarish hai, Mujhe Patthar bana dena
                            Mai Zehni tor per Khood ko zara Tayyar kar loongi
                            Bichar jane se kuch pehley HAMDAM bata dena
                            Phir is k baad jis paas b jao, ijazat hai
                            Mujhe ek baar apne Naam ki Mehndi laga dena
                            Faqat itna kaha tha na?.. Mujhe kuch Roshni dedo
                            Tumhein kis ne ye Bola tha, Meri Basti jala dena
                            Jise Barish k paani mai baha ker Muskhurate the
                            Mujhe Kagaz ki wo Kishti zara phir se bana dena
                            Umar bhar phir Tumhara Rasta takne se acha hai
                            Ke Tum jane kuch pehley Meri Aankhien bhuja dena

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Originally posted by musaddaq View Post
                              Bina Jurm-o-Khata, Khood ko koi aisi Saza Dena
                              Boht Mushkil hai Meri Janaa!! Tumhein bilkul Bhula Dena
                              Mere Maula! agar Tuu ne dubara Zindagi Bakhsi
                              To bus itni Guzarish hai, Mujhe Patthar bana dena
                              Mai Zehni tor per Khood ko zara Tayyar kar loongi
                              Bichar jane se kuch pehley HAMDAM bata dena
                              Phir is k baad jis paas b jao, ijazat hai
                              Mujhe ek baar apne Naam ki Mehndi laga dena
                              Faqat itna kaha tha na?.. Mujhe kuch Roshni dedo
                              Tumhein kis ne ye Bola tha, Meri Basti jala dena
                              Jise Barish k paani mai baha ker Muskhurate the
                              Mujhe Kagaz ki wo Kishti zara phir se bana dena
                              Umar bhar phir Tumhara Rasta takne se acha hai
                              Ke Tum jane kuch pehley Meri Aankhien bhuja dena
                              :clap: zaberdast

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Tumhein jab kabi mile Fursatein Mere Dil se Bojh utar do
                                Mai boht dino se Udaas hoon, Mujhe koi Shaam udhar do
                                Mujhe apne Roop ki Dhoop do, K Chamat sakey Mere Khad-o-Khaal
                                Mujhe apne Rang mai rang do, Mere sare Zang utar do
                                Kisi aur ko Mere Haal se, na garz hai na koi Wasta
                                Mai Bikhar gaya hoon Samet lo, Bigar gaya hon Sanwaar lo
                                Meri Wehshaton ko barha dya hai Judaiyon k Azab ne
                                Mere Dil pe Haath rakho zara, Meri Dharkano ko Qarar do
                                Wahan Ghar mai Kon hai Muntazir, Kise Fikar Dair Sawer ki
                                Bari Mukhtasar si yeh Raat hai, ise Chandni mai Guzar lo

                                Comment

                                Working...
                                X