Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Musaddaq Ki Choice
Collapse
X
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Jo Rishtey Dil se jurte hain inhain tora nahi karte
Kisi ka saath Raste mai kabhi chora nahi karte
Kahin is se Tumhare haath hi zakhmi na ho jayein
Jo Toote Aaina to phir ise jora nahi karte
Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Biphri hoi Mojon ka Rookh mora nahi karte
Tijarat ke usulon per Mohabbat ki nahi jati
Mohabbat mai kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte
Sitam karna Mohabbat per, yeh hai Adat zamane ki
Zamane ke sitam per Hum yeh Dil tora nahi karte
Mohabbat ke usulon mai, yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte
Jis se Mohabbat karte ho us se Jhoot na bolo
Mohabbat mai kabi Khayanat kia nahi karte
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Originally posted by musaddaq View PostJo Rishtey Dil se jurte hain inhain tora nahi karte
Kisi ka saath Raste mai kabhi chora nahi karte
Kahin is se Tumhare haath hi zakhmi na ho jayein
Jo Toote Aaina to phir ise jora nahi karte
Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Biphri hoi Mojon ka Rookh mora nahi karte
Tijarat ke usulon per Mohabbat ki nahi jati
Mohabbat mai kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte
Sitam karna Mohabbat per, yeh hai Adat zamane ki
Zamane ke sitam per Hum yeh Dil tora nahi karte
Mohabbat ke usulon mai, yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte
Jis se Mohabbat karte ho us se Jhoot na bolo
Mohabbat mai kabi Khayanat kia nahi karte
buaht khoobsoorat intekhab haii .................
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Raha Yun hi Na-Mukammal Gham-e-Ishq ka Fasana
Kabi Ana ko Neend aa gayi, Kabi so gaya Zamana
Tum apne Husn-e-Bekhud ko Shikast se bachana
Meri her Nazar Jalwa hai, Mere samne na aana
Teri Aashqi se pehley Mujhe kon janta tha?
Tere Ishq ne bana dia Meri Zindagi ka Fasana
Mujh ko is ka Gham nahi k badal gaya Zamana
Meri Zindagi hai Tum se hai, Kahin Tum badal na jana
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
TUJ SAY BICHAR KAR APNEE KAHANEE BADAL GAEEDARIYA E ZINDAGEE KEE RAWAANEE BADAL GAEE
LOGON KAY IS HAJOM MAIN DHONDAIN TUJAY KAHAN
IS SHAHAR KE TU SAREE NISHANEE BADAL GAEE
WO RAAT AIK KHAWAB KE SORAT HAY AUNKH MAIN
JAB DIN CHARHAA TU RAAT KE RANEE BADAL GAEE
BORHA BANA DIA HAY GHAM E ROOZ GAAR NAY
WO DIN BADAL GAY WO JAWANEE BADAL GAEE
KARTA THAA KON YAAD MUNAWAR HAMAIN YAHAAN
TUM SAY MILLAY TU APNEE KAHANEE BADAL GAEE
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
URTEE HAWA BHE SAATH HAMARAY CHALEE NA THEEIS WASTAY BAHAAR SAY HAMAAREE BANEE NAA THEE HEERAY TRASHTA THAA JO PAL PAL KHALOOS LIAY
US KE NAZAR MAIN ZEEST ZARAA JATCHEE NAA THEE
MAIN APNAY SHAHAR E FUN MAIN AKAILA RAHAA BOHAT
AHAL E SUKHAN KAY SAATH MAIREE DOSTEE NAA THEE
DUNIYA TU IK FARAIB E NAZAR HAY KHAYALL O KHAWAB
DUNIYA BOHAT BUREE THEE PER ITNE BUREE BEE NA THEE
MAIN KHUD KO DHONDTA HOON AKAILAY MAIN AAJ BE
KHUD SAY HE RASAM O RAWAA ABHEE HOEE NAA THEE
Comment
-
Teri Yaadon Ke Bina
Teri Yaadon k bina koi Lamha Guzaara nahi
Ek pal nahi jab Tumhein Hum ne Pukaara nahi
Meri Na-Kaamiyon ka itna bhi Gham na kijiye
Agar Aap Jeete hain to Mai Haara nahi
Ye Naksh-e-dard kese utar jaaye Chehre se
Mai ne abhi Aap ka Gham dil se utaara nahi
Tere bin yun katt rahe hai Dariya-e-Zindagi mai
Kashti bhi hai, Maajhi bhi hai, Kinaara nahi
Ker rakhaa hai jisne saare Ghar mai Ujaala
Aansu hai Mera ye koi Toota hua Taara nahi
Kis ko gale lagaa ke Royeinn Na-Muraad Hum
Is bhari Dunya mai apna koi Sahara nahi
Mareez-e-Ishq hai Tamannai Khud-Kushi ka ab
Gehre hain Dil k Zakhm, aur koi Chaara nahi
wo aa ke Ponchh dein Aansu Hamari Aankhon se
Itna bhi Hamare Haq mai Naseeb Hamara nahi
Itna hai Bad-Naseeb 'MOHSIN' ka ye Jahan
Loota hai zindagi ne jise Maut ne Maara nahi
Comment
-
Kuch Khood b they Afsurda se
Kuch Khood b they Afsurda se,
Kuch Tum b Hum se Rooth gaye
Kuch Khood hi Zakhm k aadi the,
Kuch Sheeshey Haath se choot gaye
Kuch Khood b they Hassas boht,
Kuch apne Muqaddar Rooth gaye
Kuch Tum ko Such se Nafrat thi,
Kuch Hum se na bole Jhoot gaye
Kuch Logo ne Uksaya Tumhein,
Kuch apne Muqaddar Phoot gaye
Kuch Khood itne Mohtat na they,
Kuch Log b Hum ko Loot gaye
Kuch Talkh Haqaa'iq they Itne,
K Khuwab hi sarey Toot gaye
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.
lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.
dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.
her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Barson k baad Dekah ek Shakhs Dil-Ruba sa,
Ab Zehn mai nahi hai per Naam tha Bhala sa
Ubroo khinche khinche se, Aankhein Jhuki Jhuki si,
Baatein ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa
Alfaaz they k, Jugnoo Awaaz k safar mai,
Ban jaye Jangalon mai jis tarah Rasta sa
Khuwabon mia Khuwab us k, Yaadon mai Yaad uski,
Neendon mai ghull gaya ho, jese k Rat-jaga sa
Pehley b Log aaye kitne hi Zindagi mai,
Wo her tarah se lekin Auron se tha Juda sa
Agli Mohabbaton ne wo Na-Muraadiyan di,
Taza Rafaqaton se Dil tha Dara Dara sa
Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa
Kuchh Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye
Kuchh Zeher Men Bujha Tha Ahabaab Ka Dilasa
Phir Yun Hua Ki Sawan Akhon Men Aa Base The
Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aablaa Sa
Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi
Ban Jayega Qayamat Ek Waqeya Zara Sa
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
us simt mujh ko yaar ne jaane nahii.n diyaa
ek aur shahar-e-yaar me.n aane nahii.n diyaa
kuchh aur vaqt chaahate the ki soche.n tere liye
tuune vo vaqt ham ko zamaane nahii.n diyaa
ma.nzil hai is mahak kii kahaa.N kis chaman me.n hai
is kaa pataa safar me.n havaa ne nahii.n diyaa
rokaa anaa ne kaavish-e-besud se mujhe
us but ko apanaa haal sunaane nahii.n diyaa
hai jis ke baad ahad-e-zavaal- aashnaa "Munir"
itanaa kamaal ham ko Khudaa ne nahii.n diyaa
Comment
Comment