Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Originally posted by musaddaq View Post
    first of all thanx, jahan tak khushi dhoondne ka sawal hia to baki zindagi keh assolon keh sath yeh bhi asool hia keh jiss cheez keh peecha normally hum log bhagte hain woh cheez hum se doooor hoti jati hai to khushion ka bhi yehi haal hia,buss ek umeed si hi rehti hai,pata hai ajeeb si baat ha hamesha humain yehi lagta hai keh poori khushi nahi milli, woh ek poetry hai na mujeh abhi poori yaad nahihai keh "yeh zindagi badi ajeeb si," hum sirf dua hi ker sakta hian,baki kuch dukh or weranian kismat ki wajah se hoti hai jiss main koi amal(act) kaam nahi aata, yeh meri ek personal feeling hia may be ghalat hi ho,but kuchh cheezain hoti hian aisi espacially relations main aisa hota hia, jiss mian aap apni poori honesty bhi kerta hian but phir bhi... :)

    Khasi had tak app ki baat thek haii k bauht sey realtion main hum honest hote hai phir bhi .....

    khair zindagi aisi hi hai kabhi thandi kabhi garm
    umeed per tu duniya qayim haii hum shayed na umeed hoo ker bhi nahi hotey kahi na kahi dil k under ek chiragh jal raha hota haii Ass hoti haii
    App ki thinking bhi achi hia rahi baat k ghalat bhi hosakti haii tu my dear falsfa her ek ka apna apna hota haii jo us k apney experinces per pabni hotaa hai app k lehaz sey app ki thinking sahi haii or kisi k hisaab sey ghalat hogi ..phir bhi i must say app acha soochti hain ..:)

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Originally posted by aquari View Post
      Khasi had tak app ki baat thek haii k bauht sey realtion main hum honest hote hai phir bhi .....

      khair zindagi aisi hi hai kabhi thandi kabhi garm
      umeed per tu duniya qayim haii hum shayed na umeed hoo ker bhi nahi hotey kahi na kahi dil k under ek chiragh jal raha hota haii Ass hoti haii
      App ki thinking bhi achi hia rahi baat k ghalat bhi hosakti haii tu my dear falsfa her ek ka apna apna hota haii jo us k apney experinces per pabni hotaa hai app k lehaz sey app ki thinking sahi haii or kisi k hisaab sey ghalat hogi ..phir bhi i must say app acha soochti hain ..:)
      g falsafa her ek ka apna hi hota hia,but apna falsafa ghalat bhi ho sakta hai, or main sochti nahi sochta hon,:)

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Originally posted by musaddaq View Post
        g falsafa her ek ka apna hi hota hia,but apna falsafa ghalat bhi ho sakta hai, or main sochti nahi sochta hon,:)

        oopss i m sorry :( actually humarey janey waloo main ek larki ka naam hai mussadaq....:blush:

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Originally posted by aquari View Post
          oopss i m sorry :( actually humarey janey waloo main ek larki ka naam hai mussadaq....:blush:
          its ok:salam:

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            bohot zabardast collection hai

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Originally posted by saba ashraf View Post
              bohot zabardast collection hai
              :) thanx

              Comment


              • Us ko mera halka sa ehsaas to hai

                Us ko mera halka sa ehsaas to hai
                be-dard sahi woh meri humraaz to hai

                woh aaye na aaye mere paas lekin
                shiddat se mujhe uska intezar to hai

                abhi nahi to kya hua mil hi jaayegi kabhi
                mere dil mein us se milan ki aas to hai

                pyaar ki gawahi mere aansuon se na maang
                barasti nahi aankhen magar dil udaas to hai...

                Comment


                • aankho ko abi khawab chupane nahi aaty

                  Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty
                  saahil pe samundar ke hazane nahi aaty
                  palkein bi chamak uthi hen sote hi hamari
                  aankho ko abi khawab chupane nahi aaty
                  dil ujri hoi ik saraye ki terha hai
                  ab loogh yahan raat jagane nahi aaty
                  yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hen
                  ab yaad samje derd porane nahi aate
                  urny do abi parindo ko shoh hawa men
                  phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty
                  is shehar ke badal teri zulfon ki terha hen
                  yeh aag lagate hen per bojane nahi aaty
                  ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gye hen
                  aaty hen magar dil ko dukhane nahi aaty

                  Comment


                  • Re: Us ko mera halka sa ehsaas to hai

                    Originally posted by musaddaq View Post
                    Us ko mera halka sa ehsaas to hai

                    be-dard sahi woh meri humraaz to hai

                    woh aaye na aaye mere paas lekin
                    shiddat se mujhe uska intezar to hai

                    abhi nahi to kya hua mil hi jaayegi kabhi
                    mere dil mein us se milan ki aas to hai

                    pyaar ki gawahi mere aansuon se na maang

                    barasti nahi aankhen magar dil udaas to hai...

                    bauht khoobsoorat

                    Comment


                    • Re: Us ko mera halka sa ehsaas to hai

                      Originally posted by aquari View Post
                      bauht khoobsoorat
                      :) :rose

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay
                        Bikhar gay hain tera intazaar kartay howay

                        Tou main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
                        Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay

                        Main muskurata howa aainay main ubhroon ga
                        Woh ro paray ge achanak singhar kartay howay

                        Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
                        Mohabbatoon ko bohat paedaar kartay howay

                        Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
                        Main un main doob gia ahtabaar kartay howay

                        Mujhay khaber thi kah ab loot kar na aaonga
                        Tuj ko yaad kia dard paar kartay howay...!!!

                        Comment


                        • Dard ki baarish ho rahi hai hawa zaraa aahistaa chal

                          Dard ki baarish ho rahi hai hawa zaraa aahistaa chal
                          Dil ki miTTii hai abhii tak nam zaraa aahistaa chal

                          Tere milane aur phir tere bichhar jaane ke biich
                          Faasalaa rusvaaii ka hai kam zaraa aahistaa chal

                          Apane dil hi main nahiin hai us ki maharuumi ki yaad
                          Us ki aankhon mein bhi hai shabanam zaraa aahistaa chal

                          Koii bhii ho ham-safar na ho Khush is qadar
                          Ab ke logon mein vafaa hai kam zaraa aahistaa chal

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Originally posted by musaddaq View Post
                            Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay
                            Bikhar gay hain tera intazaar kartay howay

                            Tou main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
                            Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay

                            Main muskurata howa aainay main ubhroon ga
                            Woh ro paray ge achanak singhar kartay howay

                            Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
                            Mohabbatoon ko bohat paedaar kartay howay

                            Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
                            Main un main doob gia ahtabaar kartay howay

                            Mujhay khaber thi kah ab loot kar na aaonga
                            Tuj ko yaad kia dard paar kartay howay...!!!
                            Bauht khoob...:clap:

                            One of my Fav:)

                            Comment


                            • Bara dushwaar hota hey

                              Bara dushwaar hota hey
                              Zara sa faisla kerna
                              Ke jawaani ki kahani ko
                              beyan-e-zubaani ko
                              Kahaa se yaad rakhna hey
                              Kahaa se bhool jana hey
                              Kisey kitna bataana hey
                              kis se kitna chupana hey
                              Kahaa ro ro ke hasna hey
                              Kahan hass hass ke rona hey
                              Kahaan awaz deni hey
                              Kahaa khamoosh rehna hey
                              Kahaa raasta badalna hey
                              Kahaa se laot ana hey

                              Bara Dushwaar hota hey ....

                              Comment


                              • Re: Bara dushwaar hota hey

                                Originally posted by musaddaq View Post
                                Bara dushwaar hota hey
                                Zara sa faisla kerna
                                Ke jawaani ki kahani ko
                                beyan-e-zubaani ko
                                Kahaa se yaad rakhna hey
                                Kahaa se bhool jana hey
                                Kisey kitna bataana hey
                                kis se kitna chupana hey
                                Kahaa ro ro ke hasna hey
                                Kahan hass hass ke rona hey
                                Kahaan awaz deni hey
                                Kahaa khamoosh rehna hey
                                Kahaa raasta badalna hey
                                Kahaa se laot ana hey

                                Bara Dushwaar hota hey ....
                                bauht khoob ..is barish main maza agyaa.......:)

                                Comment

                                Working...
                                X