Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Musaddaq Ki Choice
Collapse
X
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Originally posted by musaddaq View PostBaarishon ke mausam main Waqt ke andheron main
Maine us se poocha tha Chorr to na jaoge
Haath tham ker us ne Kaan main yeh bola tha
Kaise chorr sakta hoon Tum to Jaan ho meri
Aur aaj aisa hai Waqt ki tamazat main
Wehshaton ke Mausam main Maine us se poocha hai
Chorr kar hi jaana tha Muskurati galiyon main
Aas kyun dilayi thi Pyaas kyun jagayi thi
Mere in sawalon per Na woh chonka na woh thehra
Chalte chalte itna kaha Mausamon ke khel hain sab
shayed isi trha ki ek pehley bhis hare kr chukey hoo app...!
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
ik zamanay baad hum ko roshni achi lagi
saath ab wo hai tou humko har khushi achi lagi
baimaieni guftugo mei b buhtisraar hian
baimaieni guftugo kartee hoi wo achi lagi
saath iskay chaltay chaltay dur itnay gaye
phir koi bhaya nahy bas wohiik achi lagi
wo yeh kehti hai k itni khoobsurat mai nahy
mai yeh kehta hoon tumari saadgi achi lagi
mei tootay lehjay mai jb bhi baat karta hoon kabhi
phir muje wo hosla deti howi achi lagi
baat kartay kartay jb khilkila kr hans padi
shookhiyoun say pur hamain yeh hansi uski achi lagi
baatoon hi baaton mai tng muje kartee hia buhot
istarah is ki ada mujko kuch aur b achi lagi
haiech iskay saamnay sab hi rang dunya k lagay
sanwalay say rang ki ladki badi achi lagi
mera khul k hansna is ko acha lagta hai buhot
jb bhi is nay yeh baat humko kahi,achi lagi
chain ata hinahy ab humko ik pal k lye
is ko bhi barhti mairee deewangi achi lagi
iskay mairay darmiyan sey faslay mitnay lagay
pyaar ki barsaat mai wo bheegti achi lagi
issay mil kar khud say bhi humko muhabbat ho gaie
abtou apni hasti humko aur b achi lagi
ab kahan tak likhtay jaieyega hamari shaan mai
Jaan ab bas kijiye ....kehti hui achi lagi
jb say mairee rooh mai utri wo manindey ghazal
tab say humko apni shairee achi lagi
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Mujhey yaad koe dua nahi
Meyrey humsafer ebhee soch ley
Tu meyri jabeen pey likha nahi
Meyrey humsafer ebhee soch ley
Ebhee rasta bhee hey dhool mey
Ebhee faeda bhee hey bhool mey
Ebhee mujh ko tujh sey gila nahi
Meyrey humsafer ebhee soch ley
Mein janum janum sey naraz hu
Mein janum janum sey udaas hu
Mein kabhee bhee khul key hensa nahi
Meyrey humsafer ebhee soch ley
Tu hey khawab khawab pukarta
Meyri ankh mey nahi ashk bhee
Mein key mudatou sey jiya nahi
Meyrey humsafer ebhee soch ley
Tujhey khushbuwou ki hey arzoo
Tujhey roshni ki hey justaju
Mein hawa nahi mein diya nahi
Meyrey humsafer ebhee soch ley
Tujhey ansuu ka peta nahi
Tujhey rut jago ka guman nahi
Tujhey iss sey agey peta nahi
Meyrey humsafer ebhee soch ley
Kaheen chhut sekta hey dermiyaa
Na zamin miley ge na asman
Tujhey rastou ka peta nahi
Meyrey humsafer ebhee soch ley
Mujhey dhundta he phirey ga tu
Na jiye ga roz marey ga tu
Mein kabhee bhee gehr pey mila nahi
Meyrey humsafer ebhee soch ley
Keho! lotna hey kabhee yehaa
Meyrey dard sun meyrey meherbaa
Meyrey paas waqt zra nahi
Meyrey humsafer ebhee soch ley
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Assala-o-Allaikum mussadaq jee
waaaaaaaaah ji mussadaq ki choice ..... ki kiaa baat hai zabarrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrdasttttttttttttttttttt ...
:thmbup:
mujhe sab hi buht achi lage.... buht hi khooob sharing ki hai aap ne....:rose
raita phila diya.....:)
khush rehye sada
ameen sum ameen
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Jane kab be-quraari ko aaram mile
Mujhko maut thodi to asaan mile
Jin ko apna samjhte rahe umr bhar
Aakhiri mod par ban ke anjaan mile
Unke saaye me chalte gaye umr bhar
Unke saanche me dhalte gaye umr bhar
Itna badle ki khud se bichad baithe hum
Ab to mar kar hi shayad ek pechchaan mile
Ashq itne bahe aankhen ab num nahi
Dil hai pathar ka ab usko kuch gum nahi
Saamne maut hai bas yehi khauf hai
Bastiyan us taraf bhi na veraan mile
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zameen to kahin aasman nahin milta
jisay bhi dekhiyay woh apnay aap mein goum hai
zuban mili hai magar hum zuban nahin milta
bujha saka hai bhala kaun waqt kay shoulay
yeh aisi aag hai jis mein dhuaan nahin milta
teray jahan mein aisa nahin kay pyar na ho
jahan umeed ho iski wahan nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zameen to kahin aasman nahin milta...
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
kuch hatky or umda choice hain ap ka
just keep it up
thanks for sharing ur choice with us ...
be hapyu can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."
:pr:
Comment
Comment