Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Small Poetry Collection. For All Members

    eik poem sunata hoon jo mujhee buhat pasand hai
    tum nee yoon hi mujhee rula dia
    mein tu pehlay hi apne pehloo mein eik dukha howa
    dil leye phirti hoon

    tum nee yoon hi mujhee thaaka dia
    mein tu pehlay hi musafatoon ki thakan see
    nidhaal
    aabla pa apne rastoon see kantee chunti
    rehti hoon

    tum nee yoon hi mujhee viraan kar dia
    mein tu pehlay hi apne barbad jiwan kay
    dukh ginti rehti hoon

    tum nee yoon hi mujhee taqsem kar dia
    mein tu pehlay hi apnee bikhree khwaboon ki
    kirchiyan
    sameatti rehti hoon

    tum nee yoon hi mujhee aag mein honk dia
    mein tu pehlay hi jalnee ki khuwahis aur
    bujhnee ki tamana mein
    rakh ho chuki hoon
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • Re: Small Poetry Collection. For All Members

      Jab kabhi tera dil ghabraye tou lout ana
      ager kabhi meri yaad sataye tou lout ana
      aj tmujhko thukra diya tuney ey dost
      ager zamana tujhe thukraye tou lout ana
      kucch din tou humne bhi acche guzare hain
      ager accha waqt kabhi yaad aye tou lout ana
      tu kehta hai k yeh sari duniya meri hai
      ager duniya tujhe na apnaye tou lout ana
      janey wale kab atey hain yeh sach hai
      ager qismat woh waqt laye tou lout ana
      jaan tujhper kardoon qurbaan ey janan!
      ager jaan ki zaroorat paish aye tou lout ana
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • Re: Small Poetry Collection. For All Members

        TUM KABHE NAHI SAMJH SAKO GEY


        Kitna dard hai chupa iss dil main
        kitni ahey hain in sansoon main
        kitney ansoo hain rakhye ankhon main
        kitni tarap hai meri ahoon main

        Tum kabhe nahi samjh sakoo gey

        mery karb main guzri raton ko
        un lamho ki yadoon ko
        jo na ki kabhe main ney woh sabhe
        baton aur wadoo ko

        Tum kabhe nahi samjh sakoo gey

        dil ka tootna kiya hota hai
        kisi ka bicharna kiya hota hia
        kabhe milker bhe na mila kiya hota hai
        tanhai ka ghum kiya hota hia

        Tum kabhe nahi samajh paoogey

        Tanha rehna kiya hota hia
        khuch paker khona kiya hota hia
        naam palko ka anso kiya hota hia

        Tum kabhe nahi samajh paoogey...

        Larki ki na main han hota hia
        Uss ki dharkan ka rukna kiya hota hia
        Kisi ka pehla piyar kiya hota hia

        Tum kabhe nahi samjh paogey.....

        Mouflisi ka rona kiya hota hia
        dard ka sehna kiya hota hai
        khamosh rehna kiya hota hai.......

        Tum kabhe nahe samajh paogey......
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • Re: Small Poetry Collection. For All Members

          jo kheyal the na keyas the wahi log mujh se bichar gaey
          jo mohabbato k asas the wahi log mujh se bichar gaey
          jinhe manta hi nahi ye dil wahi log mere hein humsafir
          mujeh har tarha se jo raas the wahi log mujh se bichar gaey
          mujhe lamha bhar ki rafaqato k sirab our sitaein gey
          meri umer bhar ki jo peyas the wahi log mujh se bichar gaey
          ye kheyal sare hein arzi ye gulab sare hein kagzi
          gule arzo ki jo baas the wahi log mujh se bichar gaey
          jinhein kar saka na kabool mein wo shareke rah safar huey
          jo meri talab meri aas the wahi log mujh se bichar gaey
          meri dharkano k kareeb the meri chah the mera khawab the
          wo jo rozo shab mere paas the wahi log mujh se bichar gaey
          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

          Comment


          • Re: Small Poetry Collection. For All Members

            Angdai Per Angdai Leti Hai Raat Judaaee Kee,
            Tum Kya Samjho Tum Kya Jaano Baat Meri Tanhaayee Kee

            Kaun Siyahi Ghol Raha Tha Waqt Ke Behte Dariya Mein,
            Maine Aankh Jhuki Dekhi Hai Aaj Kisi Harjee Kee

            Wasl Ki Raat Na Jaane Kyoon Israar Tha Unko Jaane Par,
            Waqt Se Pehle Dhoob Gaye Taaron Ne Badi Daanaee Kee

            Udte Udte Aas Ka Panchi Door Ufaq Mein Doob Gaya,
            Rote Rote Baith Gayee Awaaz Kisi Saudaaee Kee
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • Re: Small Poetry Collection. For All Members

              Tanha

              Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
              Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

              Khvabon aur Khyaalon Mein
              Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

              Raah Chaltey jo us ko
              Mera khyaal Aaya Ho ga

              Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
              Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey

              Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
              Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

              Aur na Pa ke Mujhey

              Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
              Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

              Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
              Tanha Sard Raat Mein

              Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
              Khyaalon hi Khyaalon Mein

              Haath us ney Mera Thama Ho ga

              Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
              Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga

              Phir Yaqenan

              Meri Aankhoon Mein doob Gayi Hogi
              Jabhi to Main Ab Aksar

              Aankhein Band Rakhta Hoon
              Keh Kaheen Woh Bhi Merey Aansoon key Saath

              Beh na Jayee

              Kaheen

              Khawab Toot Na Jaye
              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

              Comment


              • Re: Small Poetry Collection. For All Members

                khuli Aankh Main Sapna Jhankta Hai
                Woh Soya Hai Ke Kuch Kuch Jaagta Hai

                Teri Chahat Ke Bheege Junglon Main
                Mera Tan Moor Ban Kar Naachta Hai

                Mujhe Har Kafiat Main Kyun Na Samjhe
                Woh Mere Sab Hawale Jaanta Hai

                Main Us Ki Dastrat Main Hoon Magar Woh
                Mujhe Meri Raza Se Mangta Hai

                Kisi Ke Dihaan Main Dooba Hua Dil
                Bahane Se Mujhe Hi Taalta Hai

                Sarak Ko Choor Kar Chalna Pare Ga
                Ke Mere Ghar Ka Kcha Rasta Hai
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • Re: Kyun rulate ho humien?

                  Nice

                  Comment


                  • Re: Always Loving U ....

                    Very Nice

                    Comment


                    • Re: Kya Mila Mohabbat Se...

                      Very Nice

                      Comment


                      • Re: Zaban se na kuch kahti thi

                        Nice sharing

                        Comment


                        • Re: Zaban se na kuch kahti thi

                          ISHAQ KARNAA HY TO PHIR SAARA ASASAA LAAEN
                          ISS MAIN TO KUCHH BHI PAS ANDAAZ NAHI KAR SAKTY

                          Parveen Shaakir

                          Comment


                          • Re: Kya Mila Mohabbat Se...

                            kaheen wafaa sar e bazaar bik na jaay Nadeem
                            keh ab to loog muhabbat bhi besabab na kareen

                            Ahmad Nadeem Qaasmi

                            Comment


                            • Re: Always Loving U ....

                              yaad e maazi azaab hy yaa rab
                              chheen le mujh sy haafzaa mera

                              Comment


                              • Re: Kyun rulate ho humien?


                                Don't worry
                                aadat se majboor hy

                                Comment

                                Working...
                                X