Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Kitna Pyaar diya usse per mila kuch bhi nahi

    Assalaam-0-Alaikom:rose

    :cry ...kia zuroorat thi itna wafa daar bannay ki

    niceee
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • Re: Small Poetry Collection. For All Members

      mohabbat mein mohabbat ki safai de rahe hein hum
      ajab aashiq hein azar aashnai de rahe hein hum
      hamare haal par janaa khush feham mat hona
      dhikhane k liye aese dhikhai de rahe hein hum
      koi tuhfa tumhein dena to tha apni mohabbat ka
      tumhein lo,aaj zakhme aashnai de rahe hein hum
      hamari rutjago ka tum ko kuch ihsas to hoga
      dame rukhsat,sham_e judai de rahe hein hum
      jinhein hoon_e jigar se peshe ro tahrer karte the
      ab is lafzo ko dil ki roshnai de rahe hein hum
      hum itne shour mein sub se mukhatab bhi nahi......saqi
      jo soun sakte hein baas un ko sounai de rahe hein hum
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • Re: Small Poetry Collection. For All Members

        shaam se ankh main nami si hia
        aj phir app ki kaami si hai

        dafan kardo hamain ke saans miley
        nabz kuch dair se thamey si hai'

        waqt rehta nahi kahe tik kar
        is ki adat bhi admi si hai

        koi rishta nahi raha phir bhi
        aik tasleem lazmi si hia
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • Re: Small Poetry Collection. For All Members

          bohot beautiful collection hai aap ki...........:)
          sigpic


          Comment


          • Re: Small Poetry Collection. For All Members

            ghari ki soye ki tak tak karte howe

            her lamhe se

            apni ankhon main chupe hue aik ajaab

            musafut se

            din ki taiz dhoop main sulagti tapish se

            raat main hijer ki be maya ghutan se

            tumhari yaadon ke sayoon ke peche bhagte rehne se

            tumhari qurbat main tumhe ko khone ke durr se

            main thaak gaye hoon

            suno!mujhe is durr se rehaye doo

            kabhi tu chund lafz etbar ke mere daman main dal do

            kuke

            ab main thaak gaye hoon
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • Re: Small Poetry Collection. For All Members

              Very nice ji - bohat khoob!
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: Small Poetry Collection. For All Members

                bohth shukriya aap dono ka..
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • Re: Kitna Pyaar diya usse per mila kuch bhi nahi

                  Pyar main wafadaar bana parta hai..
                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment


                  • Re: Ae Khuda Aaj Ye Faisla Kar De,

                    thanks ..... sister for repling/...
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • Kya Mila Mohabbat Se...

                      Aslamolekum..
                      Attached Files
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • Re: Small Poetry Collection. For All Members

                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment


                        • Re: Small Poetry Collection. For All Members

                          Wafa Kernay Pe Dill Naakaam Q Hay
                          Jafa,kaaro,n Ka Itna Naam Q Hay

                          Mohabbat Ikk Muqaddas Jurm Hay Q?
                          Tamannaa Wasl Ki Naakaam Q Hay

                          Khuda Maaloom Ay Najma! Jahaa,n Mei,n
                          Mohabbat Iss Qadar Badnaam Q Hay
                          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                          Comment


                          • Re: Small Poetry Collection. For All Members

                            Haqeeqat E Husn


                            Khuda Nay Husn Say Ik Roz Ye Sawaal Kiya
                            Jahan Men Tu Nay Mujhay Kion Na Lazawaal Kiya

                            Mila Jawaab Tasveer Khaana Hai Dunia
                            Shab E Daraaz Adam Ka Fasana Hai Dunia

                            Hui Hai Rang E Taghayur Say Jab Namood Is Ki
                            To Haseen Wo He Hai Haqeeqat Zawaal Hai Jis Ki

                            Qareeb Tha Kahen Ye Guftugu Qamar Nay Suni
                            Falak Pe Aam Hui Akhtar E Sehar Nay Suni

                            Sehar Nay Taaray Say Sun Kar Sunaai Shabnam Ko
                            Falak Ki Baat Bata Di Zameen K Mehram Ko

                            Bhar Aaye Phool K Aansu Payaam E Shabnam Say
                            Kali Ka Nannah Sa Dil Khoon Ho Gaya Gham Say

                            Chaman Say Rota Hua Mosam E Bahaar Gaya
                            Shabaab Sair Ko Aaya Tha Sogwaar Gaya.
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment


                            • Re: Small Poetry Collection. For All Members

                              ab to kuchh aur bhii a.ndheraa hai
                              ye merii raat kaa saveraa hai

                              rahazano.n se to bhaag nikalaa thaa
                              ab mujhe rahabaro.n ne gheraa hai

                              aage aage chalo tabar vaalo
                              abhii ja.ngal bahut ghaneraa hai

                              qaafilaa kis kii pairavii me.n chale
                              kaun sab se ba.Daa luTeraa hai

                              so raho ab "Salauddien"jii tum bhii
                              ye na_ii zindagii kaa Deraa hai
                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment


                              • Re: Small Poetry Collection. For All Members

                                Aansoo mein nay rok liye hain
                                khawaab gharoda tor diya hai
                                khat bhi saray phar diye hain
                                dil ko mein nay bandh liya hai

                                band ye hsaray khol na jana
                                tum mujhay ab yaad na aana

                                sheeish mahal ka ysunder sapnay
                                tu nay chakna choor kiye hain
                                teray naam peh behtay aansoo
                                khamoshi say zabt kiye hain

                                zabt kay bandhan tor na jana
                                tum mujhay ab yaad na aana

                                ek ek kar kay saaray panchi
                                apnay gharon ko chalay gaye hain
                                prem nagar kay waa darwazay
                                mein nay thak kay band kiye hain

                                dar yeh saray khol na jana
                                tum mujhay ab yaad na aana
                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X