Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: yahi wafa ka sila hai to koi baat nahi

    Originally posted by baad-e-saba
    wafaa k naam par kuchh shubdaa gar
    churaa lete hain haathoon ki hina tak

    bohth shukriya........................
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • Re: kabhi aa milo merey saaz se

      Jab teri dhun mein jia kartye thye
      hum bhi chup chapp raha kartye thye

      aankh mein piyass hua karti thi
      Dil mein tufaan utha kartye thye

      log aatye thye gazal sunnye ko
      hum teri baat kia kartye thye

      such samjhtye thye tere wadoon ko
      raat din ghar mein raha kartye thye

      kisi viranye mein tujh se mill kar
      dil mein kia phul khila kartye thye

      ghar mein dewar sajjanye k liye
      hum tera naam likha kartye thye

      woh bhi kia din thye bhula kar tujh ko
      hum tujhe yaad kia kartye thye

      jab tere dil mein daard uthta tha
      hum tere haq mein dua kartye thye

      bujhnye lagta tha jo tera chehra
      charag sinye mein jala kartye thye

      apnye jazboon ki kamandoon se tujhe
      hum bhi taskheer kia kartye thye

      apne ansoo bhi sitaroon ki tarha
      tere honthoon pe sajja kartye thye

      ab tujhe dekh k yaad aata hae
      hum sukhanwar bhi hua kartye thye
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • Re: yahi wafa ka sila hai to koi baat nahi

        very nice !!!!:rose

        Comment


        • Re: kuchh to log kahteiN haiN...

          Assalaam-0-Alaikom:rose


          niceeeeeee one :rose
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • Re: Always Loving U ....

            Assalaam-0-Alaikom:rose

            buht khoob
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment


            • Re: chandni raat baaki hai bhi aur nahi bhi

              nice hy bhi aur nahi bhi

              Comment


              • Re: chandni raat baaki hai bhi aur nahi bhi

                thanks for repling.............
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • Kyun rulate ho humien?




                  Salauddien



                  Kyun rulaate ho humien ?
                  Kyun bhool jaate ho humien?
                  Tere hee sahaare to jee rahe hain hum..
                  To phir kyun akela chod jaate ho humien?




                  Har baat ko chupana ataa hai tumhein,
                  Roothon ko manana ataa hai humien.
                  Roothe ho tum najaane kis baat par ...
                  To phir wo baat kyun nahi bataate ho humien?




                  Jaan jaati hai hamari ,
                  Jab yaad aati hai tumhari.
                  Tum to humien bhula dete ho...
                  To phir kyun yaad aate ho humien?




                  Hum jeene k bahaane marte rahenge,
                  Pyaar hum tumse karte rahenge.
                  Pyaar to tum bhi karte ho..

                  To phir kyun yun sataate ho humien?
                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment


                  • Kitna Pyaar diya usse per mila kuch bhi nahi

                    Kitna Pyaar diya usse per mila kuch bhi nahi

                    Itni gehri Chahat ka hasil - o - hasool kuch bhi nahi



                    Woh hum se khafa the to Jaan nikal gayi thi hamari

                    Hum un se khafa hain to un ko malaal kuch bhi nahi



                    Is qadar dukh diye hain na jaane kis khata per

                    Per hum bhi Sabar kargaye aur kiya sawal kuch bhi nahi



                    Us ki khushi main Hansne wale Khaas hain us ke liye

                    Dukh main us ke saath hum, hamari misaal kuch bhi nahi
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • Ae Khuda Aaj Ye Faisla Kar De,

                      Ae Khuda Aaj Ye Faisla Kar De,
                      Usey Mera Ya Mujhe Uska Karde,
                      Bahot Mushkil Lagta hai Usse Door Rehna,
                      Judai Ke Is Safar Ko Kam Karde,
                      Jithni Door Chala Gaya Hai Wo Mujhse,
                      Use Utna Mere Kareeb Kar De,
                      Nahi Likha Agar Naseeb Mein Uska Naam,
                      Khatam Karde Zindagi Aur Mujhe Fanaa Kar De.
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • Small Poetry Collection. For All Members


                        Apnay Sard Kamray Main
                        Main Udaas Bathi Hoon
                        Neem wa Dareecho'n Say
                        Nam Hawaien Ati Hain
                        Meray Jism Ko Choo Ker
                        Aag Si Lagati Hain
                        Tera Naam Lay Lay Ker
                        Muj Ko Gudgudati Hain
                        Kash Meray Per Hotay
                        Teray Paas Ur Ati
                        Kash Main Hawa Hoti
                        Tuj Ko Choo Kay Lout Ati
                        Main Nahi Magar Kuch Bhi
                        Sang Dil Riwajo'n Kay
                        Ahni Hisaaro'n Main
                        Umer Qaid Ki Mulzim
                        Sirf Aik Lerki Hoon!

                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment


                        • Re: Small Poetry Collection. For All Members

                          MUHABBAT" ba'ain karti hai
                          Mohabat ahaain bhhurti hai
                          Kisi toote howy dil may
                          Kisi tapky huwy ansoo may
                          Rooti ha machelti ha

                          "MUHABBAT" BA'AIN KARTI HAi

                          Kahi jary ki ratoon may
                          Diya jab timtimaee to
                          Koi bhoola hua raahi
                          Palet k jab na aye to

                          Yoon hi dar kohla rah jaye
                          Her ek omeed bah jaye
                          Tarepti hai sisekti hai

                          "MUHABBAT" BA'AIN KARTI HAI


                          Kisi sehraye dil ki ser zameen
                          Cahet ko tarsy to
                          Kisi ki ankh se sawan ki man'ned
                          Ashk barsy to
                          KIo na-huq yoon hi cahat main jab qurbaan hu jaye
                          Bikherti ha simet'ti hai

                          "MOHABBAT" BAA'AN KARTI HAI....
                          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                          Comment


                          • Re: Small Poetry Collection. For All Members

                            Woh Muhabat ko peristish ka maqam detta tha
                            Aur guzrey qisson ko ibadat ka darja samajhta tha
                            Kehta tha muhabat meen koi gharz posheeda naheen hotti
                            Muhabat to begharz aur lafani hotti hey
                            Kuch ajjeb falsafa Muhabat main us ka tha key
                            Woh meri muhabat ka talib bhi tha
                            Aur mein usey matloob bhi na thi
                            Kehta tha key main us ki rooh main jazb hoon aisey
                            Key mujh ko panney ki us ko hasrat bhi naheen
                            Ajeeb shakhs tha kuch ajjeb se us ki kahani thi
                            Yeh dor ab aisi muhabatoon ka naheen raha
                            Millan key baghair muhabatoon ka kia tassawer hey
                            Deed key baghair chahatoon ka kia rang hey
                            Yeh dor to faqt aghraz pey mabni hey
                            Meru muhabat bhi sirf char din ki kahani thi
                            Koi garri aik hee station pey hamesha naheen rukti
                            Waqt key sath khialat badaltey gatey heen
                            Muhabat baqqi rehti hey mehboob badaltey jatey heen
                            Mein ney chaha key khialat us key badal dallon aur
                            Muhabat ki haqeeqi tasweer dikha doon us ko
                            Woh muhabat ka pujari tha
                            main ney Us ko tanhai ki saza dey dalli
                            Mujhey yaqqn hey woh sota to ho ga magar
                            Neend us ki ankhoon mein na utarti ho gee
                            Mehfal men woh muskarata to ho ga magar
                            Us tabassum main ik tees see uthti ho gee
                            Ankh main aansoo to nazar na atey hoon gey
                            Palkoon taley ik barish zarror hotti ho gee
                            Meri yaad to us ki khon ki gardish key saath thi
                            Dil dharakta to ho ga magar ik aah bhi nikalti hoo gee
                            Kion sochto hoon yeh sab kuch main
                            Jo taaluq tha woh to main ney toor dia
                            Woh zinda rahey na rahey mujheu is sey kia
                            Us ki saans rukey ya chaley mujhey kia lena
                            Merey liey to faqt yehi kaafi hey key
                            Main aik duniya dar larki

                            aur

                            Woh ?????????????????
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment


                            • Re: Ae Khuda Aaj Ye Faisla Kar De,

                              Originally posted by Lexicon
                              Ae Khuda Aaj Ye Faisla Kar De,
                              Usey Mera Ya Mujhe Uska Karde,
                              Bahot Mushkil Lagta hai Usse Door Rehna,
                              Judai Ke Is Safar Ko Kam Karde,
                              Jithni Door Chala Gaya Hai Wo Mujhse,
                              Use Utna Mere Kareeb Kar De,
                              Nahi Likha Agar Naseeb Mein Uska Naam,
                              Khatam Karde Zindagi Aur Mujhe Fanaa Kar De.

                              Assalaam-0-Alaikom:rose

                              niceeee one
                              For New Designers
                              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                              Comment


                              • Re: Small Poetry Collection. For All Members

                                Koi Nazm Aysee Likhoon Kabhi
                                Teri Baat Baat Ki Roshni
                                Merey Harf Harf Main Bhar Sakey
                                Tere Lams Ki Yeh Shaguftagi
                                Merey Jism O Jaan Main Utar Sakey
                                Koi Chandani Kisi Gehrey Rang Key Raaz Ki
                                MereY RastooN Main Bikhar Sakey

                                Teri Guftagu Se Banaoun Main
                                Koi DastaaN Koi KehkashaaN
                                HoN MuhabbatoN Ki Tamazatey Bhi Kamaal Tarha Sey MeherbaaN
                                Terey BazouN Bahaar Main
                                Kabhi Jhultey Howe GaoN Main
                                Teri Justaju Ke Chiraag Ko Sar-e-Shaam Dil Main JalaoN Main
                                Isi Jhilmilati Si Shaam Main
                                LikhoN Nazm JO Tera Rup Ho
                                KahiN Sakht JaroN Main Ek Dum Jo Chamak Uthey
                                Koi Khusgawaar Si Dhoop Ho
                                Jo Wafa Ki Taal Key Raqs Ka
                                Koi Jeeta Jaagta Aqs Ho

                                Koi Nazm Aysee LikhoN Kabhi
                                Key Har Lafz Key Hath Main
                                Tere Naam Key
                                Tere Harf taza Kalaam Key
                                Kaiy Raaz HoN
                                Jinhain Munkashif Bhi KaroN Agar
                                To Jahan-E-Sheir Key Baab Main
                                merey Dil Pey Rakhi Kitaab Main
                                TereY Chashm O Lab Bhi Chamak UthaiN
                                Mujhey Roshni Ki FizaoN Main KahiN Ghair LaiN
                                Koi Nazm Aysee LikhoN Kabhi
                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X