Kasak
Yeh bebasee ka samaa kab tak
yeh gham ke jaam maghar kab tak
din nikalta bhi nahi teri yaad aa jaye
tadaptei rahei taa raat maghar kab tak
yeh gham ke jaam maghar kab tak
din nikalta bhi nahi teri yaad aa jaye
tadaptei rahei taa raat maghar kab tak
Pathar ka jigar rakhnei walon
yun phoolon ka yauvan chooso naa
murjhaye hue jismon ki kasak
sulagei armaan maghar kab tak
yun phoolon ka yauvan chooso naa
murjhaye hue jismon ki kasak
sulagei armaan maghar kab tak
Tum to sote ho mahalon mein
aur mujhko bistar kaanton kaa
andheri sooni raton ke saayon mein
yaadon ke ghaav maghar kab tak
aur mujhko bistar kaanton kaa
andheri sooni raton ke saayon mein
yaadon ke ghaav maghar kab tak
Kafan odh kar so bhi jawoon
gar mujh par khaak koi daale
behayaa aankhon ki garmi se
dahken jazbaat maghar kab tak
gar mujh par khaak koi daale
behayaa aankhon ki garmi se
dahken jazbaat maghar kab tak
Koi naya chahne waala phir
raatein rangeen banayega
jismon ki numaaish mein honge
naye naye kharidaar maghar kab tak
raatein rangeen banayega
jismon ki numaaish mein honge
naye naye kharidaar maghar kab tak
Phir laut ke mujh ko dhoondoge
kohron mein kabhi saawan mein kabhi
jab kahin nahin deekhoonga tumhe
hoga afsos maghar kab tak ?
no Image Containing Copyright From Other Sites Please - Masood
kohron mein kabhi saawan mein kabhi
jab kahin nahin deekhoonga tumhe
hoga afsos maghar kab tak ?
no Image Containing Copyright From Other Sites Please - Masood
Comment