Dard ke phool
Dard ke phool bhi khilte hain bikher jate hain
zakhm kaise bhi hon kuchh roz main bhar jate hain
us dareeche main bhi ab koi nahin aur hum bhi
sar jhukaey hue chupchap guzar jate hain
raasta roke khadi hai yehi uljhan kab se
koi poochhe to kahein kya ke kidher jate hain
narm awaz bhali batein mohazzab lahje
pehli barish main hi yeh rang utar jate hain

Comment