Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Designing Poetry "Aap ki farmaish"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

    Originally posted by moomo View Post
    ...soryy is main 2 mistaks hain .....mian dubara likh rhi hoon

    Praim Katha ki Anit na koi..
    Kitni bar isay Dohrain..
    Preet ki reet Anokhi sajan..
    Kuch na mangain sab kuch pain..
    Faiz on sy kia bat chupi hy..
    Hum kuch Keh ker Kiun pachtain...

    its correct:zuban:

    Dear Anchal

    ap ny abhi tak dising nahi kia :na: i m still waiting
    KOI TO HO :dua

    Comment


    • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

      Originally posted by moomo View Post
      Dear Anchal

      ap ny abhi tak dising nahi kia :na: i m still waiting
      is leye kay aap nay KHALIL ko kaha tha :wk
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

        Originally posted by Aanchal View Post
        is leye kay aap nay KHALIL ko kaha tha :wk

        ohhhhhh dearrrrrrrrr
        sorry
        ghalti sy ho agay hoo ga
        but ab to ap ko hi keh rhi hoon:zuban:
        KOI TO HO :dua

        Comment


        • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

          Originally posted by moomo View Post
          ohhhhhh dearrrrrrrrr
          sorry
          ghalti sy ho agay hoo ga
          but ab to ap ko hi keh rhi hoon:zuban:
          http://www.pegham.com/showthread.php...947#post371947
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"


            :salam: ...Anchal g thanx alott

            bohot achi disining ki hy all cute
            KOI TO HO :dua

            Comment


            • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

              thora sa homework meyri taraf sey bhi..its long one....agar possible hai aur agar nahi to koi masla nahi :D


              Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
              Jagmagati jaagti sarkooN peh aawara phriooN
              Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
              Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

              Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
              Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
              Mere seene par magar chalti hui shamsheer si
              Ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN

              Yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
              Jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
              Aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
              Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

              Phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
              Jane kis ki goad meiN aai yeh moti ki laRi
              Hook si seenay meiN uThi choat si dil per paRi
              Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

              Raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
              Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
              Yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
              Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

              Har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
              Har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
              BaRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
              Ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN

              Raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
              Laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
              Aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
              Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

              Muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
              Ab bhi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
              Per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
              Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

              Jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
              Un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
              HaaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
              Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

              Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
              Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
              Jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
              Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

              Dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
              Mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
              Zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN *
              Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

              Jee meiN aata hei murda chaand taray noch looN
              Iss kinare noch looN us kinare noch looN
              Aik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
              Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

              Muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
              SekRoN Changez-o-naadir haiN nazar ke samane
              Sekron Sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
              Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

              Le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
              Taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
              Koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
              Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

              BaRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
              Iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
              Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
              Ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

                *HARJAI*
                wo jis ki chandni sarey jahaan pey chai hai
                kiya yeh sach hai k wo harjai hai??

                yeh chandni hi teri ruswai hai
                han yeh sach hai k wo harjai hai...

                wo mery pass b hai or uski yad b aye hai
                kiya yeh sach hai k wo harjai hai??

                wo tery pass hai tu kion uski yad aye hai
                han yeh sach hai k wo harjai hai...

                uski yadein hain sath mery phir b tanhai hai
                kiya yeh sach hai k wo harjai hai??

                bhool ja usko or yeh jo tanhai hai
                haan yeh sach hai k wo harjai hai....

                kesy bhool jaoon usey ,kesy keh doon k wo harjai hai
                k ! mery dil pey tu 'sawera' usi ki parchai hai
                ------------------------
                aslam o laikum,
                kesy hain app sab ... mainey kuch poetry likhi thi ,agher app sab ko achi lagey tu pleez meri poetry design ker deyn ,
                agher achi na lagey tu koi baat nai it,s oky

                Comment


                • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

                  Munir Niazi ki ye nazam bahut hi laajwaab hai main chahti hoon k aap main se koi iss ko design ker saktaa hai plz dil se iss nazam ko compose kare especially(w hanif , hala .aania aur gul )aap k design kiye huwe poetry maine dekhi hain ......


                  DUAA


                  Meri duaien bohat pechida hain!!
                  Shaam ka waqt hai
                  Duaon ki maanzoori ka waqt hai
                  Main kaisi duaon ko yaad karoon
                  Meri duaien pechida bohat hain!!
                  Mere DIL main bohat be-asar duaien hain
                  Bohat duaon k bajaaye mere dil main
                  Ek DUA hoti tu kinta acha tha.

                  __________________
                  MUNIR NIAZI

                  Comment


                  • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

                    Originally posted by crying eyes View Post
                    Munir Niazi ki ye nazam bahut hi laajwaab hai main chahti hoon k aap main se koi iss ko design ker saktaa hai plz dil se iss nazam ko compose kare especially(w hanif , hala .aania aur gul )aap k design kiye huwe poetry maine dekhi hain ......
                    aap ki list mein mera naam nahin hai..........:cc:
                    mein design karney wala tha k list dekh li....
                    aap wait karen k in mein se koi is ko design karey


                    Comment


                    • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

                      Shakeel bhai Plz: zaroor aap is ko design kar sakte hain
                      bus bahut hee khoobsoorat andaz main (DIL SE)
                      mere pass aik image bhi hai (is duaa k liye) woh main
                      pegham main kaise upload karoon

                      ye duaa mujhe pasand hai
                      Munir Niazi ne kiya likha

                      i'm waiting 4 rep

                      Comment


                      • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

                        Originally posted by crying eyes View Post
                        Shakeel bhai Plz: zaroor aap is ko design kar sakte hain
                        bus bahut hee khoobsoorat andaz main (DIL SE)
                        mere pass aik image bhi hai (is duaa k liye) woh main
                        pegham main kaise upload karoon

                        ye duaa mujhe pasand hai
                        Munir Niazi ne kiya likha

                        i'm waiting 4 rep
                        aap image ko yahan par hi reply mein upload kar den, mein design kar dun ga


                        Comment


                        • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

                          thanx shakeel bhai

                          Comment


                          • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

                            thanx shakeel bhai

                            Comment


                            • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

                              Shakeel bhai ye hai wo image verna aap khud hee design kar lien aapn pasad ke mutabaq
                              Attached Files

                              Comment


                              • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

                                Originally posted by crying eyes View Post
                                Shakeel bhai ye hai wo image verna aap khud hee design kar lien aapn pasad ke mutabaq
                                image is very small, anyway i will try..........just give me one more day


                                Comment

                                Working...
                                X