Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Designing Poetry "Aap ki farmaish"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

    Originally posted by Masood
    Assalamo allaikum


    Mujhey is geet per aik composing chahiye :)

    Tu jo nahin hai to kuchh bhi nahin hai
    yeh mana keh mehfil jawan hai haseen hai

    nigahon mein tu hai, yeh dil jhoomta hai
    na'janey muhabbat ki rahon mein kya hai
    jo tu hamsafar hai to kuchh gham nahin hai

    woh aaein na aaein jami hain nigahein
    sitaron ney dekhi hain, jhuk jhuk key rahein
    yeh dil bad'guman hai nazar ko yaqin hai

    Salam. yeh ek geet hai jis ko S.B.John ne gaya tha, film ka nam tha "apna paraya"
    well i will try to compose it.


    Comment


    • Masood's demand

      Salam masood bhai, mein ne ek koshish ki hai, ek do aur bhi kar raha hun , aap ko jo pasand aa jaye?
      ( yeh song complete nahin hai, is ka ek aur sher bhi hai:
      " wa'de bhula den qasam tor den wo
      halat pe apni hamen chor den wo"

      lekan is ka aakhri hissa mein bhool gaya hun, agar kisi ko pata ho to yahan bata de. complete ho kar aur bhi acha lage ga.
      Attached Files


      Comment


      • Re: Masood's demand

        tu jo nahin hai tu kuch bhi nahin hai
        yeh mana ke mehfil jawan hai , haseen hai ....

        nigahon main tu hai , yeh dil dhoont ta hai
        nigahon main tu hai.........
        na janey mohabbat ki rahon main kia hai
        na janey mohabat ki rahon main kia hai.......
        rahon main kia hai.............

        yeh dil bad guman hai , nazar ko yaqeen hai
        yeh mana ke mehfil jawan hai , haseen hai
        tu jo nahin hai ................................

        woh ayen na ayen , jami hain nigahen
        woh ayen na ayen , jami hain nigahen .....
        sitaron ne dekhi hain jhuk jhuk ke rahen ....
        sitaron ne dekhi hai jhuk jhuk ke rahen ......

        jo tu hamsafar hai tu kuch ghum nahin hai
        yeh mana ke mehfil jawan hai hasen hai ....

        tu jo nahin hai tu kuch bhi nahin hai .....
        yeh mana ke mehfil jawan hai haseen hai ....
        Visit My Early PS Work
        You Are Welcome To Comment

        Comment


        • Re: Masood's demand

          shakeel bohat khoobsurat image bnaya hai - thanks. AUr haan aik chhoti si ghalti ho gaee thi jo aania ney drust kar di hai :) thanx
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: Masood's demand

            Originally posted by Aania
            tu jo nahin hai tu kuch bhi nahin hai
            yeh mana ke mehfil jawan hai , haseen hai ....

            nigahon main tu hai , yeh dil dhoont ta hai
            nigahon main tu hai.........
            na janey mohabbat ki rahon main kia hai
            na janey mohabat ki rahon main kia hai.......
            rahon main kia hai.............

            yeh dil bad guman hai , nazar ko yaqeen hai
            yeh mana ke mehfil jawan hai , haseen hai
            tu jo nahin hai ................................

            woh ayen na ayen , jami hain nigahen
            woh ayen na ayen , jami hain nigahen .....
            sitaron ne dekhi hain jhuk jhuk ke rahen ....
            sitaron ne dekhi hai jhuk jhuk ke rahen ......

            jo tu hamsafar hai tu kuch ghum nahin hai
            yeh mana ke mehfil jawan hai hasen hai ....

            tu jo nahin hai tu kuch bhi nahin hai .....
            yeh mana ke mehfil jawan hai haseen hai ....
            Thanx for corection aania, agar aap ke pas yeh song hai to last wala shehr bhi likh den na.....:cc:


            Comment


            • Re: Masood's demand

              Originally posted by shakeeel
              Thanx for corection aania, agar aap ke pas yeh song hai to last wala shehr bhi likh den na.....:cc:
              dhoondney wala kaam :cc:
              check kerti hoon :lpop:
              Visit My Early PS Work
              You Are Welcome To Comment

              Comment


              • Re: Masood's demand

                Originally posted by shakeeel
                Salam masood bhai, mein ne ek koshish ki hai, ek do aur bhi kar raha hun , aap ko jo pasand aa jaye?
                ( yeh song complete nahin hai, is ka ek aur sher bhi hai:
                " wa'de bhula den qasam tor den wo
                halat pe apni hamen chor den wo"

                lekan is ka aakhri hissa mein bhool gaya hun, agar kisi ko pata ho to yahan bata de. complete ho kar aur bhi acha lage ga.
                hmmm ye song... S.B John ne 1959 mein jese gaya aap ne wesey hi likha in shape of ghazal... :cc:
                aur itney hi sha'r gaaye hein unhon ne... :cc:
                ye song main ne gallery mein upload kia hai aur showbiz main us ka link mil jaaye gaa aap ko originally sung by S B JOHN (1959)
                1960 or 1958 main ye song Lata n Rafi ne bhi gaya hai movie (Savera) ke liye , aayaa us mein is ghazal ke kitney ashar hain... i cudnt find yet... :( lekin koshish ker rahi hooon ke mil jaaye ne-ways...
                jitna hai .. kaafi hai isi se guzara kartey hein... :lpop:

                Visit My Early PS Work
                You Are Welcome To Comment

                Comment


                • Re: Masood's demand

                  Asslam_O_Alikum WR WB

                  Bhot zabaradst Shakeel

                  FeaamnAllah
                  Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                  Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


                  Comment


                  • Re: Masood's demand

                    wah wah wah........ kiya hi baat hai.......as song ke aur app ke desigen' ke
                    Zaid Hammid on Sawat War..
                    A must Watch..

                    Comment


                    • Re: Designing Poetry "Aap ki farmaish"

                      salam anchel plzzzzzzzzzzzzzz is poem ko desing kerwana hai plzzzz kerdein
                      bohut hi cutes sa back ground ho aur font urdu ho

                      and in the end a gift 4 zeeshan likha ho


                      Comment


                      • Jia Ali ki demand

                        Salam, nazam bohat lambi hai,is liye image bhi lamba banana para,
                        aur text ko chota rakhna mjboori hai.
                        agar pasand na aaye to bata den, mazeed try ki ja sakti hai.
                        Kush rahiye.
                        Attached Files


                        Comment


                        • Re: Jia Ali ki demand

                          kafi lambi poetry the , lekan aap nay buhat achay tareekay say design ki hai :thmbup: :rose
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • Re: Jia Ali ki demand

                            Ek Aur Try Ki Hai
                            Attached Files


                            Comment


                            • meri demand plz compose it Shakeel bro

                              Pyaar Ke Deep Jalane wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai
                              Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.



                              Hijar K Gehri Zakham Mile To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua
                              Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai



                              Jaan Se Pyare Logon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim Hai
                              Sari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai
                              .

                              Khwabon Mein Bi Anmol Milan K Sapne Dekhte Rehte Hai
                              Neendon Mein Muskane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.



                              Iss Johti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Dekha Hai
                              Sachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.



                              Pyar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Keb Mill Pata Hai
                              Shab Ber Ashk Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.



                              Apni Zaat Ke Ujrey Gulshan Se Wo Pyaar Kahan Kerte Hai
                              Auroon Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.



                              Us Ke ISHQ Mein Bheeg Ke Ham Ko Yeh Ehsaas Hua
                              Dil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.




                              Comment


                              • Re: meri demand plz compose it Shakeel bro

                                subhanALLAH*

                                pure TRUTH*
                                ~Princess Jazmin~

                                Comment

                                Working...
                                X