Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MazahiYa Shairi...!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • MazahiYa Shairi...!


    AsaLaMu ALaikum :rose


    Main jo bhi Mazahiya Shairi post karongi ..wo is he thread main karongi :p aik jaga sara khazana :p

    theet hai :eye:

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

  • #2
    Re: MazahiYa Shairi...!

    chupke chupke raat din us ka bartan manjwaana yaad hai,
    hum ko ab tak kaprrey dhoney ka woh zamaana yaad hai.


    dopeher ki dhoop main kaprrey sukhaaney ke liye,
    woh mera khothey pe nangey paon jana yaad hai.


    aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping,
    woh mera meri biwi se ATM card chhupaana yaad hai.


    saas sasur ki dosto ab kiya sunaun dastaan,
    sasuraal na jaaney ka mujhai har ik bahaana yaad hai.


    dayr say anna howa ghar main jab bhee
    woh mera danton taley illaichi chabaana yaad hai. {buree adat cigrate noshiki}


    dekh liya jab bhi kabhi raastey main kissi prosan ko,
    biwi ke ghussey ko dekh kar mera tarthraana yaad hai.


    waqt-e-rukhsat office ab bhi yaad aata hai mujhai,
    biwi ke purse se car ki chaabi churaana yaad hai.


    secound show dekh kar woh mera raat ko ghar dair sey aana,
    biwi ka ghussey se darwaaza na kholna yaad hai.


    jab kabhi ittifaqan tawwey pe roti jal janey par,
    woh mera tere belan se sir phorrwana yaad hai.


    jub kabhi tujh se teri umar poochney per woh tera dupattey main
    sharmaana aur 34 ko 24 batatey hue muskuraana yaad hai.


    apni umar chhupaney ke liye woh tera munney ko peetna
    aur tujhe 'mummy' nahi 'baaji' bulaney ko kehna yaad hai.


    haftey baad hi munh utha kar maihkey chaley jaana tera
    aur mera ghar main jhaarru pocha lagana yaad hai.


    kheench lena woh tera salary ka lifafa dafatan
    aur tera beauty parlor pe woh paisey urraana yaad hai.

    yaad hai beghum ab bhi woh tera belan se mujhai peetna
    aur baad peetney ke tera woh marham lagaaana yaad hai.


    aey din saley saliyon ka aana ghar pe mere,
    woh tera un ke saamney mujhai murgha banaana yaad hai.


    shukar hai - E parrhney waley - teri shaadi nahi hui abhi
    shaadi shuda yaaron ka woh rona rulaana yaad hai !!!

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

    Comment


    • #3
      Re: MazahiYa Shairi...!

      Yeh to bahut purana hai...yehin Pegham pe padha tha...Shaikh sahab post kiye thay:zuban:
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment


      • #4
        Re: MazahiYa Shairi...!

        Chaliye dusra post karen jaldi se....
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • #5
          Re: MazahiYa Shairi...!

          haan tu sara purana he hoga :p naya kha se aye :p

          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

          Comment


          • #6
            Re: MazahiYa Shairi...!

            Originally posted by naz
            chupke chupke raat din us ka bartan manjwaana yaad hai,
            hum ko ab tak kaprrey dhoney ka woh zamaana yaad hai.


            dopeher ki dhoop main kaprrey sukhaaney ke liye,
            woh mera khothey pe nangey paon jana yaad hai.


            aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping,
            woh mera meri biwi se ATM card chhupaana yaad hai.


            saas sasur ki dosto ab kiya sunaun dastaan,
            sasuraal na jaaney ka mujhai har ik bahaana yaad hai.


            dayr say anna howa ghar main jab bhee
            woh mera danton taley illaichi chabaana yaad hai. {buree adat cigrate noshiki}


            dekh liya jab bhi kabhi raastey main kissi prosan ko,
            biwi ke ghussey ko dekh kar mera tarthraana yaad hai.


            waqt-e-rukhsat office ab bhi yaad aata hai mujhai,
            biwi ke purse se car ki chaabi churaana yaad hai.


            secound show dekh kar woh mera raat ko ghar dair sey aana,
            biwi ka ghussey se darwaaza na kholna yaad hai.


            jab kabhi ittifaqan tawwey pe roti jal janey par,
            woh mera tere belan se sir phorrwana yaad hai.


            jub kabhi tujh se teri umar poochney per woh tera dupattey main
            sharmaana aur 34 ko 24 batatey hue muskuraana yaad hai.


            apni umar chhupaney ke liye woh tera munney ko peetna
            aur tujhe 'mummy' nahi 'baaji' bulaney ko kehna yaad hai.


            haftey baad hi munh utha kar maihkey chaley jaana tera
            aur mera ghar main jhaarru pocha lagana yaad hai.


            kheench lena woh tera salary ka lifafa dafatan
            aur tera beauty parlor pe woh paisey urraana yaad hai.

            yaad hai beghum ab bhi woh tera belan se mujhai peetna
            aur baad peetney ke tera woh marham lagaaana yaad hai.


            aey din saley saliyon ka aana ghar pe mere,
            woh tera un ke saamney mujhai murgha banaana yaad hai.


            shukar hai - E parrhney waley - teri shaadi nahi hui abhi
            shaadi shuda yaaron ka woh rona rulaana yaad hai !!!
            :kr::kr:

            Comment


            • #7
              Re: MazahiYa Shairi...!

              Originally posted by naz
              haan tu sara purana he hoga :p naya kha se aye :p

              apni laga dona :zuban:

              Comment


              • #8
                Re: MazahiYa Shairi...!

                u ki na lagadon :p

                ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                Comment


                • #9
                  Re: MazahiYa Shairi...!

                  Originally posted by naz
                  u ki na lagadon :p
                  meki tu hai hi nahi

                  Comment


                  • #10
                    Re: MazahiYa Shairi...!

                    Naz hahahah bohat umdah :D:
                    Allah

                    Comment


                    • #11
                      Re: MazahiYa Shairi...!

                      Originally posted by sheem
                      meki tu hai hi nahi
                      nahi hai tu bana dete hian :D:

                      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                      Comment


                      • #12
                        Re: MazahiYa Shairi...!

                        Originally posted by naz
                        nahi hai tu bana dete hian :D:
                        kiya matlab hai

                        Comment


                        • #13
                          Re: MazahiYa Shairi...!

                          Originally posted by Adnan
                          Naz hahahah bohat umdah :D:
                          thanks Uncle :p
                          Last edited by naz; 13 November 2005, 16:03.

                          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                          Comment


                          • #14
                            Re: MazahiYa Shairi...!




                            Newspaper Main Yeh Akser Ishtihaar Aata Raha

                            Jis Ko Dekh Dekh Ker Dil Sub Ka Lulchata Raha

                            Ik Haseena Bholi Bhali Dilnasheen-O-Mahjabeen

                            Lumbi Zulfain Chushm Aaho Gora Rung Chehra Hasee'n

                            U.S.A. Main Hai Skoonat Kaar Bhi Rukhti Hai Woh

                            Saath Us Kay Ek Green Card Bhi Rukhti Hai Woh

                            Bus Isi Ek Baat Ney Mujhko Deewana Ker Diya

                            Apna Bio-Data Photo Bhi Rawana Ker Diya

                            Baat Pukki Ho Gayi Aur Phone Per Nikah Huwa

                            U.S.A. Behjain Gay Tumko Humse Yeh Wadaa Huwa

                            Seat Phir Comfirm Huwi Aur Main U.S.A. Aa Gayaa

                            Merey Istukbaal Ko Brother-In-Law Aa Gaya

                            Saath Us Key Thi Meri Woh Shreekey Hayaat

                            Lung Kha Yuk Chul Rahi Thi Leg Main Thi Koi Baat

                            Yeh Soch Yuk Main Chup Raha Rukhti To Hai Bungla-O-Car

                            Ek Din Bun Jaye Gaa Phir Apna Bhi Green Card

                            Gher Main Pohuncha Na Wahaan Tha Koi Bungla Shaandaar

                            Daidh Kumroon Ka Woh Ghar Tha, Na Kitchen Tha Shaandaar

                            Dekh Ker Us Ghar Ki Haalat Dil Mera Ghubraa Gaya

                            Meri Wife Khush Thi Ke Servant To Gher Aa Gaya

                            Dusrey Din Phir Mugh Per Raaz Aysa Khul Gaya

                            Nukli Zulfoon Ka Joodha Raat Main Jub Khul Gaya

                            Chushm Aaho Ki Terhaan Thin Aankhain Bus Naam Ki

                            Ek Thi Musnuyi Shayad Ek Thi Bus Naam Ki

                            Phir Bhi Mian Khamosh Tha Dil Main Yehi Ek Aas Thi

                            Main Citizen Bun Hi Jaon Dollaroon Ki Pyaas Thi

                            Baad Main Shamut Jo Aayi Subha Ho Yaa Shaam Ho

                            Night Main Wife Ki Khidmut Subha Gher Ka Kaam

                            Is Per Bhi Ilzaam Husband Kaam Kyun Kertey Nahin

                            Na Bed Tea Dayte Ho Tum Good Morning Kertey Nahin

                            Itni Zillut Jo Uthayi Dil Mera Ghebraa Gaya

                            Main U.S.A. Chodh Ker Apney Watun Main Aa Gaya

                            Ab Jub Kabhi Akhbaar Main Yeh Ishtihaar Aata Hai Raha

                            Bay Saakhta Main Yaaroon Ko Akser Yeh Sumjhata Raha

                            Yeh Khawaab Green Card Bhi Jhunjaal Hai Ek Jaal Hai

                            Jo Dekhney Main Ek Dream Hai Sumjho To Ek Wabaal Hai

                            Ghaazi Teri Is Baat Main Wazzun Hai Istudlaal Hai

                            Logoon Ko Ger Sumjha Sukka To Yeh Tera Kamaal Hai

                            ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                            tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                            Comment


                            • #15
                              Re: MazahiYa Shairi...!

                              Originally posted by sheem
                              kiya matlab hai
                              zaida danda na dikha me ko :slap:

                              ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                              tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                              Comment

                              Working...
                              X